Ulama e Deoband (Mufti Rasheed Ahmed Gangohi Rh.) Par Aiteraaz ( Sunlo Haq wahi… ki Ibaarat) Ka Jawaab

 

Logo ko Dhoka Dene ke liye, Ahlehadees Ghair muqallideen aur Bralwi Hazraat Maulana Mufti Imam e Rabbaani Rasheed Ahmed Gangohi Rh. ki Ibaarat Pesh karte hai ke

*

“ Sunlo Haq wahi hai Jo Rasheed Ahmed ki Zubaan se Nikalta hai, aur Ba-qasam Kehta hu ke Mai Kuch nahi hum agar Is Zamaana me Hidaayat wa Najaat Mauqoof hai Meri Itteba par “.

*

(Tazkirat ur Rasheed : Jild 2 : Safa 17, Dusra Nusqa : Jild 2 : Safa 35)       

   *  

Al – Jawaab :

*

Aam Aadmi Chunke Ulama ke Maqaam wa Martabe se Nawaaqif Hote hai, Aisi Ghalat Fehmiyo ka Shikaar hojaate hai ke Yaha Mufti Rasheed Rh. ne Apni Itteba ki Dawa’at derahe hai, Lekin Yaha Kisi aur ki Dawa’at di Jaarahi hai, Jisko Hum Waazeh Karenge  INSHA-ALLAH.  

*

Ulama ka Maqaam wa Martaba :

*

1 – Huzur SAW ne Farmaaya ke Ulama Ambiya ke Waaris hai.(Bukhari)

*

2 – Isi Tarah Ek aur Riwayat me Farmaate hai ke Aalim ke liye Aasmaan wa Zameen ki Saari Maqlooq aur Machliyaa Jo Paan ke andar Sab ke sab Duaa e Maghfirat Karti hai.

*

Bilaa Shuba Aalim ki Fazilat Aabid par Aisi hai Jaise 14wi Raat ke Chand ko Saare Sitaaro par Fazilat hai. (Abu Dawud : Raqm no 3641)

*

 3 – Ek aur Riwayat me Is Tarah hai ke

*

Rasoolullah SAW ne Farmaaya : Aalim ki Fazilat Aabid par Aisi hi hai Jaise Meri Fazilat Tumme se Ek Mamuli Shaks par. (Tirmizi : Hadees no 2685) 

4 – Ek Hadees me Yu hai ke Aalim ki Maut Aisi Musibat hai Jiski Tilaafi Nahi Hosakti aur Aisa Nuqsaan hai Jo pura nahi Hosakta aur Aalim Aisa Sitaara hai Jo (Maut ki Wajeh se) be-noor hogaya.

*

Ek Poore Qabeele ki Maut Ek Aalim ki Maut se Kam Darje ki hai.(Shoeib ul Imaan Lil Behaiqi : Jild 2 : Safa 264)

*

5 – Hazrat Anas Rdh. Farmaate hai ke Nabi e Karim SAW ne Farmaaya :

*

Ulama ki Misaal un Sitaaro ki Tarah hai Jinse Khushki aur Tari ke Andhero me Rehnumaayi Haasil ki Jaati hai.Jab Sitaare Be-noor hojaati hai Toh Is baat Imkaan hota hai ke Raasta Chalne waala Bhatak Jaaye. (Musnad e Ahmed : Jild 3 : Safa 157)

*

Muraad Yeh ke Ulama Na hone ki Wajeh se Log Gumraah Hojaate hai.

*

6 – Ibn Abbas Rdh. Se Marwi hai ke Rasoolullah SAW be Farmaaya ke Ek Aalim e Deen Shaitaan par 1000 Aabido se Zyaada Saqt hai.(Tirmizi : Hadees no 2681) 

Matlab yeh hai ke Shaitaan ke Liye 1000 Aabido ko Dhoka Dena Aasaan hai, Pure Deen ki Samajh Rakhne Waale Aalim ko Dhoka Dena Mushkil hai.

7 – Huzur SAW ne Farmaaya ke

*

Logo ko Bhalaayi Sikhaane Waale (Aalim par) Allah tala, Unke Farishte, Aasmaan aur Zameen ke Tamaam Maqluqaat Yaha tak ke Chitiya Apne Bil me Machli (Paani me Apne Apne Andaaz) Rehmat Bhejti aur Duaaye Karti hai. (Tirmizi : Hadees no 2685)

*

Wazaahat :

Chunke Ulama Ambiya ke Waaris hai aur Unka Kaam wa Zimmedaari ke wo Awaam ko Saheeh Bataaye aur Ghalat Baat se Rooke hai.

*

Ulama ki Ghair Maujoodgi me Log Gumraah Hojaate hai aur Har Haal Ulama ka Maqaam Awaam se Kahi Zyaada Buland Jaisa ke Ahadees Guzar chuki hai.

*

Mazeed Awaam Chahiye ke Ulama ki Iqtedaa wa Itteba Kare : Chunaanche Imam Daarmi Rh. Al Mutawaffa 255 Hij. Ne Apni Kitaab Sunan e Darmi me Ek Baab Bandha hai.

بَابُ الِاقْتِدَاءِ بِالْعُلَمَاءِ

*

Ulama ki Iqtedaa ka Bayaan

(Sunan e Darmi : Jild 1 : safa 83)

Scan Page :

Sunan al-Darimi vol1_Page83

Jisse Saaf Maloom Hota hai ke Imam Darmi Rh. ke Nazdeek bhi Ulama ki Iqtedaa wa Itteba Karni Zaroori hai.

*

Mazeed Allah Tala ne Quraan e Paak me Irshaad Farmaaye ke :

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آَمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَأُولِي الْأَمْرِ مِنْكُمْ

(Sureh Nisaa : 59)

*

Allah Tala Ka Irshaad Hai Ke “ Aye Imaan Waalo ! Allah Ki Itaa-At Karo Aur Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Itaa-at Karo Aur Apne Me Se “ Ulil Amr” Ki Itaa-at Karo

Ulil Amr Se Muraad Fuqaaha, Mujatahideen aur Ulama hai.

*

Toh Gooya Yaha Allah Tala ne Imaan waalo ko Hukum Diya ke wo Ulama ki Itaa-at Kare.

*

Isi Tarah Ek aur Jagah Rabbul Aalameen ka Irshaad hai ke

فَاسْأَلُوا أَهْلَ الذِّكْرِ إِنْ كُنْتُمْ لَا تَعْلَمُونَ

(Sureh Namal : 43, Sureh Ambiyaa : 7)

*

Is Aayaat me bhi Aam Logo ko Khitaab Kiya gaya hai ke Deeni Maalumaat ke Liye Na hone ki Surat me Ulama se Sawaal Kare.

*

Ek aur jagah Irshaad e Baari Ta’ala hai ke

وَاتَّبِعْ سَبِيلَ مَنْ أَنَابَ إِلَيَّ

(Sureh Luqmaan : 15)

*

Jo Meri Ruju ho Uski Taraf Itteba Karo.

*

Is aayaat ki Zail me Mufassireen ne Irshaad Farmaaya hai ke

Us Shaks ki Itteba Karo Jo Shirk se Puri Tarah Bezaar ho, Islaam ki Taraf Raajeh ho aur Rasoolullah SAW ki Pairwi Kiye huwe Aise ki Itteba Karo. (Tafseer e Tabri  : Jild 18 : Safa 553)

Scan Page :

taftabry18_Page553

In Tamaam Ibaraat ka Khulaasa yeh hai ke

1 – Allah tala ne Imaan Waale Logo Yaani Musalmaano ko Hukum diya ke wo Ulama ki Pairwi Kare.

*

2 – Mazeed Ulama ko bhi Hukum Diya gaya ke wo Logo ko Naik Kaamo ka Hukum kare aur Buri Baato se Roke, Taake Unpar Allah ki Rehmat ho Jaisa ke Hadees e paak ke Mafhoom me Guzar chuka hai.

*

3 – Sureh Luqmaan ki Aayat ke Zail me bhi Mufassireen ne Yahi Kaha hai ke Us Shaks ki Itteba Ki Jaaye Jo Shirk se Bezaar ho aur Rasoolullah SAW ki Pairwi kare.

*

Algarz Yeh jo Aiteraaz Jis Kitaab wa Safhe [Page] se Naql Kiya gaya hai Usi Kitaab ke Pehle ke Safhaat me Jo Ibaaraat Mufti Rasheed Ahmed Rh. ke bare me Maujood hai Usko zara Mulaaheza Farmaaye:

*

1 – Shariyat ki Itteba aur Khilaaf e Sunnat Yaani Bid’aat se Tanaffur (Yaani Nafrat) ki Badolat Mukhaalifeen ke Ta’an aur Bad-gooya  Jo aap ke kaan me pardi thi,unko  aap apne Maqsood ka haasil hona aur muraad wa Aazoo ki Kaamiyaabi wa Zafar Samjhte the. (Tazkirat ur Rasheed : Jild 2 : Safa 10)

Scan Page :

IMG_20141124_122034

2 – Murda Sunnatein ka Ahyaa Aapne Apna Mansab Samjh Rakha tha. (Tazkirat ur Rasheed : Jild 2 : Safa 10)

Scan Page :

IMG_20141124_122034

3 – Nabi e Ummi ki Laayi huwi Shariyat par Amal Karna Aapki aadat Ban gaya tha.Sunnat se Zyaada Aapko Koi Cheez Mehboob na thi, Isliye Uske Itteba me Aapko wo Lazzat aati thi, Jiski Maahiyat [Haqiqat] Bayaan Nahi Hosakti.

(Tazkirat ur Rasheed : Jild 2 : Safa 10)

Scan Page :

IMG_20141124_122034

4 – Itteba e Sharah [Shariyat] ki Mehwiyat wa Fanahiyat [Yaani Puri Zindagi Lagaane] me Is Darje Istehkaam wa Isteqaamat ke Baa-is Sunnat ke Talabgaaro ke liye Aapka Wajood Hazaar Sawaalaat ka Jawaab tha.

(Tazkirat ur Rasheed : Jild 2 : Safa 15)

Scan Page :

IMG_20141124_122103

5 – Bidat se Tanaffur [Nafrat] se Jo asal Shariyat se Fart e Muhabbat [Zyaada Muhabbat] aur Sunnat ke saat Ishq wa Shaghaf ka Samrah tha.

(Tazkirat ur Rasheed : Jild 2 : Safa 16)

Scan Page :

IMG_20141124_122123

Yeh Tamaam Ibaarat ka Khulaasa yeh hai ke

*

Imam e Rabbaani Mufti Rasheed Ahmed Gangohi Rh. ka Zindagi ka Maqsad Itteba e Sunnat wa Shariyat aur Biddat ko Khatam Karna tha.

*

In Tamaam Ibaarto ke Baad Yeh Ibaarat Maujood hai ke

*

“ Sunlo Haq wahi hai Jo Rasheed Ahmed ki Zubaan se Nikalta hai, aur Ba-qasam Kehta hu ke Mai Kuch nahi hum agar Is Zamaana me Hidaayat wa Najaat Mauqoof hai Meri Itteba par “.

(Tazkirat ur Rasheed : Jild 2 : Safa 17, Dusra Nusqa : Jild 2 : Safa 35)

Scan Page : New Edition.

final 7+

Wazaahat :

Qaari-een ! Jo Ibaarte Aapne upar Padhi hai, Uski Rooshni me Insaaf karte huwe Bataaye ke Yaha jo Mufti Rasheed Ahmed Rh. Itteba ki Dawa’at de rahe hai Kya Sunnat e Nabawi SAW nahi hai.

*

Jabke Aapne Is Ibaarat se Pehle jo Ibaarte Maujood hai Usko bhi Padha hai.

*

Ibaarat ka Yeh Matlab Qatan Qatan NAHI hai ke Yaha Mufti Rasheed Ahmed Gangohi Rh. Itteba e Rasool ki Dawat Chor-kar Apne Dawa’t derahe hai.

*

Kyunke  Isi Kitaab Tazkirat ur Rasheed ke Musannif Maulana Aashiq Ilaahi Rh. Is Ibaarat ko Likhne ke baad Usi Safhe [Page] par Farmaate hai ke

*

Hazrat Imam Rabbaani Rh. Us Seedhi aur Saaf Batyaa [Raaste] par Chalte chalte Jaan Degaye Jisko Shariyat aur Sunnat kaha Jaata hai.(Tazkirat ur Rasheed : Jild 2 : Safa 17)

Scan Page :

IMG_20141124_122149

Isi Kitaab me Ek aur Jagah Farmaate hai ke

Agar Kisi Shaykh ka koi Amr Khilaaf Amr Shara ke Farmaa denga uska Tasleem karna NA-JAYEZ hoga, BALKE KHUD SHAYKH KO HIDAAYAT KARNA MUREED PAR WAAJIB HOGA.

(Tazkiratur Rasheed : Jild 1 : Safa 122)

Scan Page :

1

Aur Suniye !

Mufti Rasheed Ahmed Gangohi Rh. Apne Dosto aur Ahle Khandaan ko Nasihat Karte huwe Farmaate hai ke

*

Itteba e Sunnat ko Bahut Zaroori Jaankar, Shariyat ke Muwaafiq Amal kare. Thodi Muqaalifat ko Bahut Saqt Dushmann Apne Jaane.

(Tazkirat ur Rasheed : Jild 2 : Safa 341-342)

Scan Page :

IMG_20141124_122325

Tawajjo Farmaaye !

Itni saaf aur Sareeh Ibaaraat Aane ke Bawajood bhi Agar koi Shaks phir bhi yeh kahe ke Is Ibaarat (Sunlo Haq wahi hai…..) me Rasheed Ahmed Gangohi Rh. Apni Zaat ki Itteba ka Hukum derahe hai.

*

Toh yeh Kuch nahi wo shaks Insaaf ka Khoon Kar raha hai.

*

Kyunke humne Kai Ibaaraat Isi Kitaab se Naql ki hai Jo ke yeh Waazeh Ishaara derahe hai ke Is Ibaarat me Daraasal Itteba e Rasool hi ki Dawa’at di Jaarahi hai.

*

Balke Khud Alfaaz Musannif Likhte hai ke

*

Aapne Kai Martaba BA-HASIYAT e TABLEEGH yeh Alfaaz Zubaan e Faiz Tarjumaan se Farmaaye “Sunlo Haq wahi hai……..(Tazkirat ur Rasheed : Jild 2 : Safa 17)

*

Note : Iska Scan upar Guzar Chuka.

*

Lehaaza In Waazeh Ibaarto se Yeh Baat Subaah Roshan ki Tarah Saaf hai ke Is Ibaarat me Daraasal Itteba e rasool SAW hi ki Dawa’at degayi hai.

*

Aisi Alfaaz kyun Bayaan Kiye gaye hai :

*

Iski Wajeh yeh thi, Mufti Rasheed Ahmed Gangohi Rh. ki Zamaane me Bid’at Aam hogayi thi, aur chand Naam Nihaad Ulama bhi Angrezo ke Ghulaam hogaye the Jiska Natija yeh huwa ke Logo me biddat Jard pakardti gayi aur ulama e Su [Baatil] me koi Usko Rookne waala nahi tha.

*

Yahi wajeh hai ke Maulana Rasheed Ahmed Gangohi Rh. ne Yeh Alfaaz Ba-taur e Tableegh Farmaaye the Jiska Ma’ana yeh hai ke Itteba e rasool SAW me Najaat hai Kyunke Mufti Rasheed Ahmed Gangohi Rh. Saqt Muttabe Sunnat the aur Waqt ke Faqi wa Mujtahid bhi the.

*

Aur Quraan e Kareem me Irshaad hai ke

وَاتَّبِعْ سَبِيلَ مَنْ أَنَابَ إِلَيَّ

(Sureh Luqmaan : 15)

*

Jo Meri Ruju ho Uski Taraf Itteba Karo.

*

Is aayaat ki Zail me Mufassireen ne Irshaad Farmaaya hai ke

*

Us Shaks ki Itteba Karo Jo Shirk se Puri Tarah Bezaar ho, Islaam ki Taraf Raajeh ho aur Rasoolullah SAW ki Pairwi Kiye huwe Aise ki Itteba Karo. (Tafseer e Tabri  : Jild 18 : Safa 553)

*

Note : Iska Scan page upar Guzarchuka.

*

Chunke yeh baatein Rasheed Ahmed Gangohi Rh. me Maujood hai.

*

Is Wajeh se bhi unki Itteba ki Muraad Itteba e Rasool hi hai.

*

Algarz Bralwi aur Ahlehadees Hazraat ka Aiteraaz aur unka Mafhoom Tehqeeq ke Lehaaz se Baatil wa Mardood hai.

*

Bralwi Hazraat se Sawaal :

*

Bralwi Hazraat ke Buzurg wa Rehnu Imam Ahmed raza Khan sahaab Farmaate hai ke

*

Mere Deen wa Mazhab jo Meri Kutub se Zaahir hai Uspar Mazbooti se Qaayil Rehna, HAR FARZ se AHEM FARZ hai.

*

(Hayaat e Alaa Hazrat : Jild 3 : Safa 292, Wasaaya Shareef : Safa 16)

Scan Page :Hayaat e Alaa Hazrat

10502340_1594511280776619_6440272624723693424_n

Scan Page :

Wasaya-Shareef_Page16

Wazaahat :

Ab jo Alfaaz Ulama e Bralwi ne Mufti Rasheed Ahmed Gangohi Rh. ke bare me kahe hai, Kya wahi alfaaz wo apne buzurg wa rehbar ke bare me kehsakte hai.

*

Hum Unki Taraf Insaaf ki Umeed Karte hai.

*

Ahlehadees Ghair Muqallideen Hazraat se Sawaal :

*

Imam Ibn Taimiya Rh. Al Mutawaffa 728 Hij.  Ke bare me

*

Imam Ibn Abdul Haadi Rh. Al Mutawaffa 744 Hij.  Apni Kitaab me Ibn Taimiya Rh. ke Ek Shaagird Imam Abdullah bin Khizar bin Abdur Rehman Rumi Rh. Al Mutawaffa 731 Hij. Ka Qaseeda

*

(Jo ke Ibn Taimiya Rh. ki Shaan me Unhone Padha tha Us) se Istedlaal Karte huwe Naql karte hai ke

*

فَمن كَانَ تَاج العارفين لوقتنا وَشَيخ الْهدى قل لي بِغَيْر حمية

Aur Hamaare Zamaane me Aarifeen ka Sardaar aur

*

Raah e Hidaayat Ka Minaar Aap Rh. Ke Siwa Kaun Hai ?

*

(Al Qu’ud ur Darriya Min Manaaqib e Shaykh ul Islaam Ahmed IBn Taimiya : Safa 369)

Scan Page :

53010_Page369

Saari Dunya Jaanti hai, Raah e Hidayat toh Sirf Rasoolullah SAW ke Tariqe me hai, Lekin yaha Toh Ek Ummati ke bare Kaha jaaraha hai, ke Gooya Aap ki Itteba me Raah e Hidaayat hai.

*

Ab Jo Jawaab Ghair muqallideen hazraat Is Ibaarat ka Denge, wahi Jawaab Hamari Taraf se Is Ibaarat ke bare me Hoga.

*

Pas, Allah tala Haq Samjhne ke saat saat Usko Tasleem karne ki Taufeeq Aata Farmaaye…..Ameen.

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads