Namaz-E-Janaza Ka Tareeka (Ahnaf Ka Tareeka)

 

Ahle Sunnat Wal Jamat.Ahnaf ka Namaz-e-Janaza ka Tareeka yeh hai ke….
~~~
1. Pehli Takbeer kahe uske Baad Allah ki Hamd bayan kare (yani SANAA padhe)
~~~
2. Phir Takbeer kahe aur Nabi sallallahu alaihi wasallam par DAROOD SHAREEF padhe
~~~
3. Teesri Takbeer kahe aur usme Apne liye aur Mayyit ke liye aur
Musalmano ke liye Dua padhe
~~~
4. Phir chauthi (4th) Takbeer kahe aur Salaam pherde.
[Dekhiye: Hidayah jild 2, safa 145 Aur Durr al-Mukhtar, Kitab al-Salah, Baab: Salat al-Janaza, 3/109-111] ~~~
AHNAF KE DALAIL:
~~~
1. Namaz e Janaza me 4 Takbeeren Hain-
~~~
· Hazrat Abu Huraira Razi Allahu anhu se riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Najashi ki Wafaat ki Khabar di jis Din woh Faut hue the(inteqal hua). Aap sallallahu alaihi wasallam Sahaba Ikraam razi Allahu anhum ko lekar Eid Gaah pohanche unki Saff bandi ki aur Ap sallallahu alaihi wasallam ne 4 Takbeeren kahin..
[SAHEEH BUKHARI JIld 1,Safa 178] ~~~
Mashhoor Tabaee Imam Sha’bi(rah) farmate hain: “Mayyit ke Janaze par Pehli Takbeer ke baad SANAA, doosri Takbeer ke Baad Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam par DAROOD jab ke Teesri Takbeer ke baad Mayyit ke liye Dua aur Chauthi
takbeer ke baad Salaam phera
jata hai.”
[MUSANNAF ABDUR RAZZAQ,JILD 3 SAFA 316] ~~~
2.SANAA:
~~~
Hazrat Abu Sayeed Khudri Razi Allahu anhu farmate hain ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam Jab Namaz Shuru farmate toh
~~~
ﺳﺒﺤﺎﻧﻚ ﺍﻟﻠﻬﻢ ﻭ ﺑﺤﻤﺪﻙ ﻭ ﺗﺒﺎﺭﻙ ﺍﺳﻤﻚ ﻭ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﺟﺪﻙ ﻭﻻ ﺍﻟﻪ ﻏﻴﺮﻙ
~~~
SUBHANAKALLAHUMMA WABIHAMDIKA WA TABARAKAS MUKA WA TA’AALA JADDUKA WALAA ILAAHA GHAIRUK.
[SUNAN NASAI JILD 1 Safha:143] ~~~
Hazrat Abdullah Bin MAsood Razi ALlahuanu ki riwayat me ﻭ ﺟﻞ ﺛﻨﺎﺅﻙ ke alfaaz bhi aye hain yani
~~~
ﺳﺒﺤﺎﻧﻚ ﺍﻟﻠﻬﻢ ﻭ ﺑﺤﻤﺪﻙ ﻭ ﺗﺒﺎﺭﻙ ﺍﺳﻤﻚ ﻭ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﺟﺪﻙ ﻭ ﺟﻞ ﺛﻨﺎﺅﻙ ﻭﻻ ﺍﻟﻪ ﻏﻴﺮﻙ
~~~~
Transliteration :
SUBHANAKALLAHUMMA WABIHAMDIKA WA TABARAKAS MUKA WA TA’AALA JADDUKA WA JALLA SANAA’UKA WALAA ILAAHA
GHAIRUK.
[Musnad Firdaus Jild 1 safa: 204 Hd.no: 819] ~~~
3. Mayyit ke liye Dua:
~~~
(TEESRI TAKBEER KE BAAD YEH DUA PADHEN)
~~~
ﺍﻟﻠﻬﻢ ﺍﻏﻔﺮ ﻟﺤﻴﻨﺎ ﻭ ﻣﻴﺘﻨﺎ ﻭ ﺷﺎﻫﺪﻧﺎ ﻭ ﻏﺎﺋﺒﻨﺎ ﻭ ﺻﻐﻴﺮﻧﺎ ﻭ ﻛﺒﻴﺮﻧﺎ ﻭ ﺫﻛﺮﻧﺎ ﻭ ﺍﻧﺜﺎﻧﺎ، ﺍﻟﻠﻬﻢ ﻣﻦ ﺍﺣﻴﻴﺘﻪ ﻣﻨﻨﺎ ﻓﺎﺣﻴﻪ ﻋﻠﻰ ﺍﻻﺳﻼﻡ ﻭ ﻣﻦ ﺗﻮﻓﻴﺘﻪ ﻣﻨﻨﺎ ﻓﺘﻮﻓﻪ ﻋﻠﻰ ﺍﻻﻳﻤﺎﻥ
~~~
Transliteration :
AllahummaghFir Li Hayyinaa wa Mayyitinaa Wa Shaahidinaa wa Ghaa’ibinaa wa Sagheerinaa Wa kabeerinaa wa Zakarinaa Wa Unsaanaa, Allahumma Man Ahyaytahu Minnaa Fa Ahyihii alal Islaam wa Man Tawaffaitahu minnaa fa tawaffahu alal Imaan.
~~~
Tarjuma: Aye Allah! Hamare Zindon aur Murdon ki Bakhshde, Hamare Haazir aur ghaaib ko Bakhsh de, Hamare Choton aur Badon ko Bakhsh dey, Hamare Mardon aur
Aurton ko Bakhsh de. Aye Allah ! Humme se jisko tu Zinda rakhe toh Islaam par Zindaa Rakh aur Jisko Tu Maut de to imaan ki haalat me Maut
de…
~~~
Na Baaligh Mayyit ke liye Dua:
~~~
Hadees me aya hai :“Na Baaligh ki Namaz e Janaza ada ki jaye aur uske Walidain ke liye Maghfirat aur
Rahmat ki Dua ki jaye.
[Sunan Abu Dawood Jild 2,Safha 97] ~~~
Chaunke Hadees me koi Khaas Dua Muqarrar nahi ki gayi aur Hazraat e Salaf Saaliheen se bhi Mukhtalif Alfaaz marwi hai isi liye FUQAHA ne tamam Riwayat ke pesh nazar ek
jaame’ Dua zikr farmayi hai:
~~~
ﺍﻟﻠﻬﻢ ﺍﺟﻌﻠﻪ ﻟﻨﺎ ﻓﺆﻃﺎ ﻭ ﺍﺟﻌﻠﻪ ﻟﻨﺎ ﺍﺟﺮﺍ ﻭﺫﺧﺮﺍ ﻭﺍﺟﻌﻠﻪ ﻟﻨﺎ ﺷﺎﻓﻌﺎ ﻭ ﻣﺸﻔﻌﺎ
~~~
Transliteration : Allahummaj ‘alhuu lanaa Faratan waj’alhu lanaa Ajran wa zukhran waj’alhu lana Shaafi’an wa Mushaffa’an.
[Hidaya Ma’aa nasbur Raaya,jild 2 safha 279] ~~~
Tarjuma: Aye Allah! Is Bache ko Hamara peshruu banaa de aur isse Hamare liye Baa’s e Ajr bana, isey Hamare liye Sifarish karne wala banaa aur iski Sifaarish Qabool farma..
~~~
Agar Nabaaligh Bachi ka Janaza ho to isi Dua me ﺍﺟﻌﻠﻪ ki jagah ﺍﺟﻌﻠﻬﺎ aur ﺷﺎﻓﻌﺎ ﻭ ﻣﺸﻔﻌﺎ ki jagah ﺷﺎﻓﻌﺔ ﻭ ﻣﺸﻔﻌﺔ padhen. Yani Dua kuch is tarah hogi..
~~~
Transliteration : Allahummaj ‘alhaa lanaa Faratan waj’alhaa lanaa Ajran wa zukhran waj’alhu lana Shaafi’atan wa Mushaffa’atan..
~~~
Note: Ahaadis me Chaunke Muktalif Duaen Marwi hain is liye Fuqaha ne Tasreeh ki hai ke Agar ye Duaen Yaad nah o to jo chahe Dua karlen..
~~~
4.Salaam:
~~~
Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke “Najashi par Namaz padho. Ap sallallahu alaihi wasallam
ne Janaze ko Namaz kaha jisme Rukoo’ hai na Sajdah aur na hi Guftgu ki jati hai. isme toh Takbeeraat aur Salaam pherna hota hai.
[Saheeh Bukhari jild 1,safa 176] ~~~
EK BIDDAT:
~~~
Namaz e Janaza ke Muttasil Baad Ijtemai Duwaa sabit nahi:
~~~
Namaz e Janaza Bazaate Khud Dua hai iske Muttasil Baad Ijtemaai Dua karna Sabit nahi. Is liye Fuqahaa o
Muhaddiseen ne isse Mana farmaya hai…
~~~
Chunanche Shaarih e Mishkaat Sultaanul Muhaddiseen Mulla Ali Qaari Al-Hanafi (rah) farmate hain:
“Namaz e Janaza ke Baad Mayyit ke liye Dua Naa maange is liye ke ye Namaz e Janaza me Ziyadti ke
Mushabeh hai”
[MIRQAAT SHARAH MISHKAAT JILD 4, SAFA 149] ….
MIN JANIB: FARHAN BAJRAI SHAFII

Shab e Baraat ki Fazilat me 1000 Sadi ke Salaf, Fuqaaha wa Muhaddiseen ke Irshaadaat.

 

Shab e Baraat ki Fazilat par 1000 sadi ke Salaf, Fuqaaha wa Muhaddiseen ke Irshaadaat, Darj e Zail Maujood hai :
~~~
Pehli Sadi (1-100 Hij.)
~~~
أَخْبَرَنَا الْقَاضِي أَبُو الْقَاسِمِ الْحَسَنُ بْنُ مُحَمَّدٍ الْأَنْبَارِيُّ أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللَّهِ مُحَمَّدُ بْنُ أَحْمَدَ بْنُ الْبَلْخِيِّ حَدَّثَنَا أَبُو مُحَمَّدُ نَافِعُ بْنُ مُحَمَّدٍ الْخُزَاعِيُّ حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهِيبٍ حَدَّثَنَا مُورِعُ بْنُ جُبَيْرٍ حَدَّثَنَا الْمُعَافَى ابْن مُطَهَّرٍ عَنْ حُصَيْنٍ عَنْ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ عَنْ عَلِيِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ (مَنْ أَحْيَا أَرْبَعَ لَيَالٍ أَحْيَاهُ اللَّهُ مَا شَاءَ لَيْلَتَيِ الْعِيدَيْنِ وَلَيْلَةِ عَاشُورَاءَ وَلَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ أَحْيَاهُ اللَّهُ مَا شَاءَ)
~~~
Sanad :
~~~
Imam Abi Taahir Rh. — > Qazu Abul Qaasim Hussain bin Muhammed Rh. — > Abu Abdullah Muhammed al Balkhi Rh. — > Abu Muhammed Naafe Al Khuzaayi Rh. — > Abdullah bin waheeb Rh. — > Maurii bin Jubair Rh. — > Mu’aafi bin Muttahar Rh. — > Hussain Rh. — > Abi Abdur Rehman Rh. — > Ali bin Abi Taalib Rdh. — > Huzur Saw.
~~~
Matan :
~~~
Hazrat Ali Rdh. Se Riwayat Hai Ke Nabi SAW Ne Irshaad Farmaaya Ke Jo Shaks 4 Raato Me Ibaadat Karega Allah Tala Usko (Behtar) Zindagi Aata Karega Jaise Allah Chaahe , (Wo Raatein ) Eidain Ki 2 Raat , Aashura (10 Muharram ) Ki Raat Aur 15vi Shabaan Ki Raat.
~~~
(Mashikhatu Ibn Taahir Ibn Abi Safar : Safa 127)

Scan Page :

image

Hadees No 2 :
~~~
نا عَلِيٌّ، نا يَحْيَى بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ بُكَيْرٍ، حَدَّثَنِي الْمُفَضَّلُ بْنُ فَضَالَةَ، عَنْ عِيسَى بْنِ إِبْرَاهِيمَ، عَنْ سَلَمَةَ بْنِ سُلَيْمَانَ الْجَزَرِيِّ، عَنْ مَرْوَانَ بْنِ سَالِمٍ، عَنِ ابْنِ كُرْدُوسٍ، عَنْ أَبِيهِ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ أَحْيَا لَيْلَةَ الْعِيدِ، وَلَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ لَمْ يَمُتْ قَلْبُهُ يَوْمَ تَمُوتُ الْقُلُوبُ
~~~
Sanad :
~~~
Imam Ibn ul arabi Rh. — > Ali Rh. — > Yahiya bin Abdullah bin Bukair Rh. — > Al Mufazzal bin Fuzaala Rh. — > Isaa bin Ibrahim Rh. — > Salama bin sulaimaan al Jazari Rh. — > Marwaan bin Saalim Rh. — > Ibn Kurdoos Rh. — > Kurdoos — > Huzur SAW.
~~~
Matan :
~~~
Hazrat Ibn Kurdoos Apne Waalid Se Riwayat Karte Hai Ke Nabi E Karim SAW Ne Irshaad Farmaaya Ke Jo Shaks Eid Aur 15vi Shabaan Ki Raat Ko Jaage Toh Uska Dil Us Din Nahi Marega Jis Din Sabke Dil Marjaate Hai. [Mujjam Ibn ul Arabi : Hadees No 2252 , Safa 1047] ~~~
Scan Page :

image

Hadees no 3 :
~~~
أخبرنا أبو الفتح نصر الله بن محمد حدثنا نصر بن إبراهيم أنبأنا أبو سعيد بندار بن عمر الروياني أنبأنا أبو محمد عبد الله بن جعفر الخبازي أنبأ أبو علي الحسن بن علي بن محمد بن بشار الزاهد بهمذان قراءة عليه من أصل سماعه أنبأنا علي بن محمد القزويني حدثنا إبراهيم بن محمد بن برة الصنعاني حدثنا عبد القدوس حدثنا إبراهيم بن أبي يحيى عن أبي قعنب عن ابي أمامة الباهلي قال قال رسول الله (صلى الله عليه وسلم) خمس ليال لا تر فيهن الدعوة أول ليلة من رجب وليلة النصف من شعبان وليلة الجمعة وليلة الفطر وليلة النحر
~~~
Sanad :
~~~
Imam Ibn Asaakir Rh. — > Abul Fatah Nasrullah bin Muhammed Rh. — > Abu Saeed Bindaar bin Umar Rh. — > Abu Muhammed Abdullah bin Jafer Rh. — > Abu ali Al Hasan bin Ali Rh. — > Ali bin Muhammed Rh. — > Ibrahim bin Muhammed Rh. — > Abdul Quddus Rh. — > Ibrahim bin Abi Yahiya Rh. — >Abi Qa’anab Rh. — > Abu Umaamah Rdh. — > Huzur Saw.
~~~
Matan :
~~~
Hazrat Abu Umaama Baheli Rdh. Farmaate hai ke Rasoolullah ne Farmaaya : In Raato me Dua Radd nahi ki jaati hai : Rajab ki Pehli raat, Nisf e Shabaan ki raat, Jume ki raat aur Eidain ki Raat.
~~~
(Taarikh Ibn Asaakir : Jild 10 : Safa 408)

Scan Page :

image

Yeh Teeno Hadeese Alag Alag Sanadein Hone ki Wajeh se Hasan Lighairihi ke Darje ki Hojaayegi.
~~~
4 – Hazrat Abdullah Ibn Omer Rdh. Al Mutawaffa 74 Hij. Se Riwayat Hai Ke Aap Ne Farmaaya 5 Raatein Aisi Hai Jinme Dua Radd Nahi Hoti Aur Wo Juma’a Ki Raat , Rajab Ki Pehli Raat , Shabaan Ki 15vi Raat Aur Eidain Ki Dono Raatein Hai. (Musannaf Abdur Razzak : Hadees No 7927)

Scan Page :

image

5 – Hazrat Umar Bin Abdul Aziz Rh. Al Mutawaffa 100 Hij. Basre Ke Aamil (Governor) Ko Khaqt Me Farmaate Hai Ke Tujh Par 4 Masnoon Raato Me Ibaadat Karna Laazim Hai , Kyunke Allah Tala Faraaghat Ke Saat Unme Rehmat Nuzool Farmaate Hai.
~~~
1 – Rajab Ki Pehli Raat.
~~~
2 – Shabaan Ki 15vi Raat.
~~~
3 – Eid Ul Fitr Ki Raat.
~~~
4 – Eid Ul Azha Ki Raat.
~~~
Is Hadees se Imam Ibn ul Mulaqqan Rh. Al Mutawaffa 804 Hij aur Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. ne Istedlaal kiya hai, Jisse Maloom hota hai ke Yeh Hadees Unke Nazdeek SAHEEH hai.
~~~
(Badr ul Muneer : Jild 5 : safa 40, Talkhees ul Habeer : Jild 2 : Safa 191, At-Targheeb wat-Tarheeb Lil Abul Qaasim Asbahaani : Jild 2 : Safa 393)

Scan Page : Badr ul Muneer

image

Scan Page : Talkhees ul Habeer

image

Scan Page : At-Targheeb wat-Tarheeb

image

6 – Hazrat Makhool Rh. Al Mutawaffa 100 Hij.  bhi Shab e Baraat ki Fazilat ke Qaayil hai.
~~~
(15 Shabaan ki Haqiqat : Safa 20)

Scan Page :

image

Dusri Sadi 101-200 Hij. :
~~~
1 – Hazrat Khalid Bin Ma’ad Rh. Al Mutawaffa 103 Hij.
~~~
2 – Luqmaan Bin Aamir Rh.
~~~
3 – Imam Auzaayi Rh. Al Mutawaffa 157 Hij.
~~~
bhi Shab e Baraat ki Fazilat ke Qaayil hai Jisko Khud Ahlehadees Muballigh Abu zaid Zameer Sahaab ne Tasleem kiya hai.
~~~
(15 Shabaan ki Haqiqat : Safa 20-21)

Scan Page :

image

Teesri Sadi [201-300 Hij.] :
~~~
1 – Imam Shafa’i Rh. Al Mutawaffa 204 Hij. Farmaate Hai Ke Dua 5 Raato Me Qubool Hoti Hai.
~~~
1 – Juma Ki Raat.
~~~
2 – Eid Ul Azha Ki Raat.
~~~
3 – Eid Ul Fitr Ki Raat.
~~~
4 – Rajab Ki Pehli Raat.
~~~
5 – 15vi Shabaan Ki Raat.
~~~
(Kitaab Ul Umm : : Jild 2 : Safa 485 , Hadees No 492 ,: Safa 264)

Scan Page : Kitaab Ul Umm

image

2 – Imam Abu Abdullah Muhammad Bin Ishaaq Bin Abbas Faakihi Makki  275 Hijri Ne Apni Tareekh Ki Kitab “Akhbaar-E-Makkah” Mai Ek  BAAB (Heading) Baandha Hai:
~~~
“Ahle Makkah Ka Amal 15 Shaban Aur Unka Mujaheda Us Raat Me Uski Fazeelat Ki Wajeh Se”
~~~
Fir Likhte Hain:
~~~
Aur Ahle Makka Zamana-E-Maazi Se Aaj Tak Jab Bhi 15vi Shabaan Ki Raat Hoti Toh Tamaam (Ahle Makkah Ke) Mard Aur Aurat Masjid E (Haram) Jaate, Phir Namaz Padhte Aur Taw’aaf Karte Aur Sari Raat Ibaadat Karte , Subah Tak Tilawat Karte Masjid-E-Haram Mein. Yahan Tak Ke Pura Quran Mukammal Karte Aur Namaz Padhte.
~~~
(Akhbaar E Makkah Fii Qadaamin Dahri Wa Hadeesihi : Safa 84)

Scan Page :

image

3 – Imam Ishaq Bin Rahaawe Rh. Al Mutawaffa 235 bhi Shab e Baraat ki Fazilat ke Qaayil hai.

(15 Shabaan ki Haqiqat : Safa 21)

Scan Page :

image

Chou-thi Sadi (301-400 Hij.) :
~~~
Shaykh Abu Taalib Al Makki Rh. Al Mutawaffa 386 Hij. bhi Shab e Baraat me Ibaadat ko Mustahab Kehte hai.

(Qootul Quloob : Jild 1 : Safa 189)

Scan Page :

image

5wi Sadi (401-500Hij.) :
~~~
Imam Behaiqi Rh. Al Mutawaffa 458 Hij. Imam Shafii Rh. Ka Yeh Qaul (Jo ke 300 Hij. Ke Zail me Guzar chukka, Usse) Muta’adidi Maqaamaat Par Naql Karke Istedlaal Kiya hai Jisse Maloom Hota Hai Ke Wo Bhi 15vi Shabaan Ki Fazilat Ke Qaayil Hai.
~~~
(Sunan E Kubra Lil Behaiqi : Jild 3 : Safa 319)
~~~
(Maarifatus Sunan Wal Aasaar Lil Behaiqi : Jild 5 : Safa 118 , Raqm No 7028)
~~~
(Shoaib Ul Imaan : Jild 5 : Safa 287 , Hadees No 3438)

Scan Page : Sunan E Kubra Lil Behaiqi

image

Scan Page : Maarifatus Sunan Wal Aasaar Lil Behaiqi

image

Scan Page : Shoaib Ul Imaan

image

6twi Sadi (501-600 Hij.) :
~~~
1 – Imam Ghazali Rh. Al Mutawaffa 505 Hij. Bhi Shab e Baraat ki Fazilat ke Qaayil hai.
~~~
(15 Shabaan ki Haqiqat : safa 21)

Scan Page :

image

2 – Shaik Abdul Qadar Jilaani Rh. Al Mutawaffa 561 Hij. Bhi Shab E Baraat Ki Fazilat Ka Zikr Apne Kitaab Karte Hai.
~~~
Lehaaza Maloom Huwa Ke Wo Bhi Is Raat Ke Fazilat Ke Qaayil Hai. (Ghunayatut Taalibeen Mutarjim : Safa 368)

Scan Page :

image

7wi Sadi (601-700 Hij.) :
~~~
1 – Imam Ibn Salaah Rh. Al Mutawaffa 643 Hij. Bhi Shab e Baraat ki Fazilat ke Qaayil hai.

(Shab e Baraat ki Haqiqat : safa 21)

Scan Page :

image

2 – Imam Nawawi Rh. Al Mutawaffa 676 Hij. Istedlaal Karte huwe Farmaate Hai Ke Imam Shafa’i Rh. Ne Kitaab Ul Umm Me Farmaaya Hai Ke Dua 5 Raato Me Qubool Hoti Hai.
~~~
1 – Juma Ki Raat.
~~~
2 – Eid Ul Azha Ki Raat.
~~~
3 – Eid Ul Fitr Ki Raat.
~~~
4 – Rajab Ki Pehli Raat.
~~~
5 – 15vi Shabaan Ki Raat. (Al Majmu Lin Nawawi : Jild 5 : Safa 50)

Scan Page :

image

8wi Sadi 701-800 Hij. :
~~~
1 – Imam Ibn Taimiya Rh. Al Mutawaffa 728 Hij. Farmaate Hai Ke Barhaal 15vi Shabaan Ki Raat Uski Fazilat Hai Aur Salaf Me Se Log Usme Namaaz Padha Karte The.
~~~
Lekin Ijtemaayi Taur Ibaadat Karna Bidat Hai.(Mustadrak Alaa Majmua Al Fatawaa : Jild 3 : Safa 112)

Scan Page :

image

2 – Imam Ibn Ul Haaj Al Maaliki Rh. Al Mutawaffa 737 Hij. Shab E Baraat Ke Mutalliq Aslaaf Ka Nazariya Aur Is Raat Me Unka Ma’amool Bayaan Karte Huwe Farmaate Hai Ke
~~~
“Aur Koi Shak Nahi Ke Yeh Raat Badi Barkat Aur Allah Tala Ke Yaha Badi Azmat Waali Hai , Hamaare Aslaaf Uski Badi Ta’azeem Karte The Aur Uske Aane Se Pehle Hi Us(Ki Barkat Ke Liye ) Taiyaari Karte The , Jab Yeh Raat Aati Thi Toh Wo Uski Mulaaqaat Aur Uski Hurmat Wa Azmat Ba-Jalaane Ke Liye Muta’adid Rehte The Aur…… Yahi Is Raat Ki Ta’azeem Hai. (Al Mudkhal : Jild 1 : Safa 299)

Scan Page :

image

3 – Imam Ibn Rajab Rh. Al Mutawaffa 795 Hij. Farmaate Hai Ke
~~~
فينبغي للمؤمن أن يتفرغ في تلك الليلة لذكر الله تعالى ودعائه بغفران الذنوب وستر العيوب وتفريج الكروب
~~~
Momin Ke Liye Munaasib Yeh Hai Ke Is Raat M Faarigh Hojaaye , Allah Rabbul Izzat Ke Zikr Ke Liye Aur Apne Rab Apni Maghfirat Ki Dua Kare Aur Apne Uyoob (Aaib Ki Jama) Par Parda Dalwaale Aur Apne Liye Kushaadgi Ki Dua Kare. (Lataa-E-Ful Ma’arif : Safa 365)

Scan Page :

image

9wi Sadi (801-900 Hij.) :
~~~
Imam Abu Ishaq Ibn Muflih Rh. Al Mutawaffa 884 Hij Farmaate Hai Ke
~~~
Masghrib Aur Ishaa Ke Darmiyaan Bedaar Rehkar Ibaadat Me Mashgool Hona Mustahab Hai Hadees Ki Wajeh Se (Yaani Uske Mutalliq Hadees Waarid Huwi Hai) Ek Jamaat Ne Farmaaya (Ke) Aashura Ki Raat , Rajjab Ki Pehli Raat Aur Nisf E Shabaan Ki Raat Ibaadat Karna Mustahab Hai. (Al Mubdi : Jild 2 : Safa 33)

Scan Page :

image

10wi Sadi (901-1000 Hij.) :
~~~
Imam Suyuti Rh. Al Mutawaffa 911 Hij. Farmaate Hai Ke 15vi Raat Fazilat Ki Raat Hai Aur Usme Ibaadat Karna Mustahab Hai. (Haqiqatus Sunnah Wal Bidaah : Safa 54)

Scan Page :

image

Lehaaza 1000 Sadi ke Salaf, Fuqaaha wa Muhaddiseen ke Irshaadaat ke Khilaaf Maujuda Daur ke Ahlehadees Ghair Muqallid Hazraat ka Yeh Kehna ke Shab e Baraat me Ibaadat Karna Saabit Nahi, BAATIL wa MARDOOD hai

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads