Jamat Me Chilla (40 Days) Lagaane Ki Asliyat Qur’an Wa Hadees Se

 

Bismillahir Rahmaanir Raheem (Edited: 14-10-2014)

Aitraaz:-
TABLEEGH waale Chillah (40 days) lagaane par Zor dete hain, Jiski Koi ASAL Nahi hai.

Al-Jawaab:-
Aisa Kuch bhi Nahi hai ke Mehaz Wo Chillay par hi Zor dete hain balke Deen seekhne ke liye Wo Waqt lagaane par Zor dete hain. Jiske Paas Jitna Waqt ho Lagaaye, Isi liye 1 Din, 2 Din, 3 Din, 10 Din, 20 Din, 40 Din, 3 Maah, 4 Maah, 1 Saaal aur Poori Zindagi lagaane ki Guzarish karte hain.

Agar TABLEEGH waale Chillay par Zor dete hain to bhi Ye Koi BE-ASAL Cheez Nahi hai ke Aitraaz kiya Jaaye, balke HAALAAT ki TAGHAYYUR aur TABDEELI me Isko KHAAS dakhal hai, Na Sirf Is par Qur’ani Aayaat, Ahadees balke SALAF AS-SALIHEEN ka Tajrubah aur Mushahidah bhi Dalaalat karta hai Ya’ni 40 din Lagaataar Amal ki bohat BARKAT wa TAASEER hai. 40 Din Amal karne se ROOH aur BAATIN par Achha ASAR murattib hota hai.

Is article ko bhi Zaroor parhei’n.

CHILLAH KI ASAL QUR’AN SE:

Allah Subhana Wa Ta’ala ka irshaad hai:

ﻭَﻭَﺍﻋَﺪْﻧَﺎ ﻣُﻮﺳَﻰٰ ﺛَﻠَﺎﺛِﻴﻦَ ﻟَﻴْﻠَﺔً ﻭَﺃَﺗْﻤَﻤْﻨَﺎﻫَﺎ ﺑِﻌَﺸْﺮٍ ﻓَﺘَﻢَّ ﻣِﻴﻘَﺎﺕُ ﺭَﺑِّﻪِ ﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﻟَﻴْﻠَﺔً

“Aur Humne Moosa (alaihis salaam) se 30 Raat ka Wa’da kiya aur Humne iski TAKMEEL 10 Raat mila kar kar di. So Unke Rabb ki taraf se poora Waqt 40 Raat kar diya gaya.” [Surah A’raaf: 142]

Ya’ni 40 Raat (CHILLAH) ki muddat poora karne me Allah Ta’ala ki Koi Hikmat zaroor hai.

Maulana Ashraf Ali Thaanvi (rahmatullahi alaih) is aayat ke Tehat likhte hain: “Ye Aayat-e-Kareemah Mashaaikh ke nazdeek CHILLO’N (40 din) ki ASAL hai, Jis me Wo Hazraat Bohat se BARKAAT ka Mushaahedah karte hain.” [Tafseer Bayaan Al-Qur’an]

Hazrat Sheikhul Hind (rahimahullah) ke Tarjumah ke Fawaa’id me likha hai: “Jab Banu Israel ko tarah tarah ki Pareshaniyo se Itminaan Naseeb hua to Unhoney Hazrat Moosa (alaihis salaam) se darkhwast ki ke Ab Hamaare liye Koi Aasmani Shari’at laayei’n Jis par Hum Dil-Jam’i ke sath Amal Kar ke dikhlaayei’n. Hazrat Moosa (alaihis salaam) ne Unki darkhwaast ko Baargaah-e-Ilaahi me Peish kar diya. Allah ta’ala ne Un se Kam az Kam 30 din aur Zaayed 40 din ka Wa’da farmaaya, jab itni Muddat Tum Pe dar Pe Rozey rakhoge aur Koh-e-Toor par Mu’takaf rahoge to Tum ko TAURAAT SHAREEF inaayat ki Jaayegi. 40 din ki Mi’yaad Poori ho Jaane par Haqq Ta’ala Shaanahu ne Moosa (alaihis salaam) ko Kisi Makhsoos Wa Mumtaaz Rangg me Sharf-e-Mukaalmah bakhsha.”

Tambeeh: Mufassireen, Ulema’e Usool ka Muttafiqah Qa’idah hai: “Alfaaz ke Aam hone ka aitebaar kiya jaayega Na ke Kisi mauqa’ ki wajah se Khaas samjha jaayega.”

” ﺍﻟﻌﺒﺮﺓ ﺑﻌﻤﻮﻡ ﺍﻟﻠﻔﻆ ﻻ ﺑﺨﺼﻮﺹ ﺍﻟﺴﺒﺐ “

Ya’ni ke Ye nahi kaha jaayega ke Fala’n aayat Fala’n Shakhs Ya Qoum ke baare me naazil hui hai isliye Ye hukm us Shakhs aur Qoum ke baare me Khaas hai balke is ka Itlaaq (application) doosre Logo’n per bhi hoga.

CHILLAH KI ASAL HADEES SE:

(I):.. Abdullah bin Mas’ood (raziallahu ta’ala anhu) ki Mash’hoor Hadees hai, farmaate hain: “Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaaya: Aadmi ki Ibtidaayi Khalqat Maa ke Reham me 40 din to Nutfah rehti hai aur 40 din tak Khoon ka Luthra rehta hai, Phir 40 din tak Wo Boti bana rehta hai……” [Sahih Bukhaari, Kitaab: Al-Qadr; Sahih Muslim, Kitaab: Al-Qadr]

ﻋَﻦْ ﻋَﺒْﺪِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺭَﺳُﻮﻝُ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ، ﻭَﻫُﻮَ ﺍﻟﺼَّﺎﺩِﻕُ ﺍﻟْﻤَﺼْﺪُﻭﻕُ ، ﻗَﺎﻝَ : ” ﺇِﻥَّ ﺃَﺣَﺪَﻛُﻢْ ﻳُﺠْﻤَﻊُ ﻓِﻲ ﺑَﻄْﻦِ ﺃُﻣِّﻪِ ﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﻳَﻮْﻣًﺎ ، ﺛُﻢَّ ﻋَﻠَﻘَﺔً ﻣِﺜْﻞَ ﺫَﻟِﻚَ ، ﺛُﻢَّ ﻳَﻜُﻮﻥُ ﻣُﻀْﻐَﺔً ﻣِﺜْﻞَ ﺫَﻟِﻚَ

Is Hadees se saaf Zaahir hai ke Insaan ki Haalaat ki Tabdeeli me 40 din (Chillah) ko Khaas dakhal hai.

(II):.. Anas bin Maalik (raziallahu ta’ala anhu) ne farmaaya ke Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaaya: “Jo Shakhs 40 din tak Jama’t ke saath Allah Ta’ala ke liye Namaz parhe ke TAKBEER-E-OOLA bhi Faut na hui ho to Usko 2 Parwaane milte hain.
(i). Ek Parwanah Jahannam se Chutkaare ka,
(ii). Doosre Nifaaq se bari hone ka.” [Jaami’ Tirmizi; Kitaab: As-Salaah]

ﻋَﻦْ ﺃَﻧَﺲِ ﺑْﻦِ ﻣَﺎﻟِﻚٍ ، ﻗَﺎﻝَ : ﻗَﺎﻝَ ﺭَﺳُﻮﻝُ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ : ” ﻣَﻦْ ﺻَﻠَّﻰ ﻟِﻠَّﻪِ ﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﻳَﻮْﻣًﺎ ﻓِﻲ ﺟَﻤَﺎﻋَﺔٍ ﻳُﺪْﺭِﻙُ ﺍﻟﺘَّﻜْﺒِﻴﺮَﺓَ ﺍﻟْﺄُﻭﻟَﻰ ، ﻛُﺘِﺒَﺖْ ﻟَﻪُ ﺑَﺮَﺍﺀَﺗَﺎﻥِ ، ﺑَﺮَﺍﺀَﺓٌ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻨَّﺎﺭِ ، ﻭَﺑَﺮَﺍﺀَﺓٌ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻨِّﻔَﺎﻕِ ” .

Is Hadees se bhi ma’loom hua ke Shari’at me 40 Din (Chillah) ki Koi Ahmiyat zaroor hai.

Hamaare Ulema’e Kiraam agar Logo’n ko Chillah lagaane per Zor dete bhi hain to unka Maqsood Yehi hai ke Log is Hadees me mazkoor 2 PARWAANO ko haasil kar lei’n kyonke Jama’t me Jaane se TAKBEER-E-OOLA Ka FAUT hona NA ke baraabar hai.

(III):.. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: “Jo Shakhs Meri Masjid me 40 Namaazei’n Isi tarah Parhe ke Ek Namaaz bhi Uski Masjid se Faut na ho to Uske liye Aag se Baraa’t likhi jaati hai aur Azaab se bari hona likha jaata hai aur Wo Shakhs Nifaaq se bari ho jaata hai.” [Musnad Ahmed bin Hanbal] …
ﻋَﻦْ ﺃَﻧَﺲِ ﺑْﻦِ ﻣَﺎﻟِﻚٍ ، ﻋَﻦِ ﺍﻟﻨَّﺒِﻲِّ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ﺃَﻧَّﻪُ ﻗَﺎﻝَ : ” ﻣَﻦْ ﺻَﻠَّﻰ ﻓِﻲ ﻣَﺴْﺠِﺪِﻱ ﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﺻَﻠَﺎﺓً ، ﻟَﺎ ﻳَﻔُﻮﺗُﻪُ ﺻَﻠَﺎﺓٌ ، ﻛُﺘِﺒَﺖْ ﻟَﻪُ ﺑَﺮَﺍﺀَﺓٌ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻨَّﺎﺭِ ﻭَﻧَﺠَﺎﺓٌ ﻣِﻦَ ﺍﻟْﻌَﺬَﺍﺏِ ، ﻭَﺑَﺮِﺉَ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻨِّﻔَﺎﻕِ ”

(IV):.. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: “Jo Allah ke liye 40 din tak Ikhlaas kare (Ya’ni Ikhlas ke sath Aa’maal kare), Allah ta’la Uske Dil me HIKMAT ke CHASHME ubaal kar Uski Zuban se ada karaate hain.” [Musannaf Ibn Abi Shaibah, Kitaab: Az-Zuhad, Baab: Zikr Fee Zuhad Al-Anbiya’, Raqam# 73]

(V):.. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: “Jo Shakhs meri Ummat par 40 din tak Ghalla roke aur Sadqah kare to Uska Sadqah Maqbool na hoga.” aur Alfaz ke Ikhtilaaf ke saath ke Wo Allah se bari ho gaya aur Allah us se bari ho gaya. [Musnad Ahmed mae Tehqeeq Shuaib Arnaut, Raqam# 6893]

(VI):.. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: “Jo Shakhs Kisi Na-Beena ki 40 Qadam tak DASTGEERI kare Uski Maghfirat Kar di Jayegi.” aur Ek Hadees me hai ke Jannat Uske liye WAJIB ho Jayegi. [Musnad Abi Ya’la mae Tehqeeq Hussain Saleem As’ad, Raqam# 5613]

(VII):.. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: “Jisko Allah ta’ala Haalat-e-Islam me 40 Saal ki Umar de Us se Junoon, Jazm aur Bars ki balaa ko door kar dete hain.” [Musnad Ahmed mae Tehqeeq Shuaib Arnaut, Raqam# 13279]

(VIII):.. Hazrat Hakeem bin Juzaam (raziallahu ta’ala anhu) farmaate hain ke: “Maine Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) se kaha ke Zamana-e-Jihalat me 40 Ghulamo ko Aazad kiya to Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaya: Tu Apne Sabiqah Is Khair ki wajah se Islam laaya.” [Musnad Ahmed mae Tehqeeq Shuaib Arnaut, Raqam# 16675]

(IX):.. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: “Jo Shakhs Meri Ummat me se 40 Hadeeso’n ko HIFZ kare to Wo Ulema’ me se hai.” [Musnad Muwatta Lil Jauhari (rahimahullah)]

ﻋَﻦِ ﺍﺑْﻦِ ﻋَﺒَّﺎﺱٍ ، ﻋَﻦِ ﺍﻟﻨَّﺒِﻲِّ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ، ﻗَﺎﻝَ : ” ﻣَﻦْ ﺣَﻤَﻞَ ﻣِﻦْ ﺃُﻣَّﺘِﻲ ﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﺣَﺪِﻳﺜًﺎ ﻓَﻬُﻮَ ﻣِﻦَ ﺍﻟْﻌُﻠَﻤَﺎﺀِ “

(X):.. Hazrat Abdullah bin Abbas (raziallahu ta’ala anhu) ka Irshaad naqal hai ke, Unke Saahab zaade ka Intiqaal ho gaya to Unhoney Apne Aazaad kardah Ghulam Kureib se farmaaya ke, Dekh baahar Kitne Aadmi hain.? Unhoney aa kar Arz kiya ke bohat bada Majmua ho gaya. To Ibn Abbas (raziallahu ta’ala anhu) ne farmaaya ke 40 honge. Farmaya: Ji haan! To Ibn Abbas (raziallahu ta’ala anhu) ne farmaaya ke, Janaazah le chalo. Maine Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) se suna hai ke Jab Musalman ka Intiqaal ho Jaaye aur Uske Janazah ki Namaaz 40 Fard parhein, Jo Allah ke saath Kisi ko Na Shareek karei’n to Us Mayyat ke Haqq me Unki Shifa’at (Sifaarish) Qubool hoti hai. [Sahih Muslim, Kitaab: Al-Janaa’iz]

ﻋَﻦْ ﻛُﺮَﻳْﺐٍ ﻣَﻮْﻟَﻰ ﺍﺑْﻦِ ﻋَﺒَّﺎﺱٍ ، ﻋَﻦْ ﻋَﺒْﺪِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺑْﻦِ ﻋَﺒَّﺎﺱٍ ، ﺃَﻧَّﻪُ ﻣَﺎﺕَ ﺍﺑْﻦٌ ﻟَﻪُ ﺑِﻘُﺪَﻳْﺪٍ ﺃَﻭْ ﺑِﻌُﺴْﻔَﺎﻥَ ، ﻓَﻘَﺎﻝَ : ﻳَﺎ ﻛُﺮَﻳْﺐُ ﺍﻧْﻈُﺮْ ﻣَﺎ ﺍﺟْﺘَﻤَﻊَ ﻟَﻪُ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻨَّﺎﺱِ ، ﻗَﺎﻝَ : ﻓَﺨَﺮَﺟْﺖُ ﻓَﺈِﺫَﺍ ﻧَﺎﺱٌ ﻗَﺪِ ﺍﺟْﺘَﻤَﻌُﻮﺍ ﻟَﻪُ ، ﻓَﺄَﺧْﺒَﺮْﺗُﻪُ ﻓَﻘَﺎﻝَ : ﺗَﻘُﻮﻝُ ﻫُﻢْ ﺃَﺭْﺑَﻌُﻮﻥَ ، ﻗَﺎﻝَ : ﻧَﻌَﻢْ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺃَﺧْﺮِﺟُﻮﻩُ ﻓَﺈِﻧِّﻲ ﺳَﻤِﻌْﺖُ ﺭَﺳُﻮﻝَ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ، ﻳَﻘُﻮﻝُ : ” ﻣَﺎ ﻣِﻦْ ﺭَﺟُﻞٍ ﻣُﺴْﻠِﻢٍ ﻳَﻤُﻮﺕُ ، ﻓَﻴَﻘُﻮﻡُ ﻋَﻠَﻰ ﺟَﻨَﺎﺯَﺗِﻪِ ﺃَﺭْﺑَﻌُﻮﻥَ ﺭَﺟُﻠًﺎ ﻟَﺎ ﻳُﺸْﺮِﻛُﻮﻥَ ﺑِﺎﻟﻠَّﻪِ ﺷَﻴْﺌًﺎ ، ﺇِﻟَّﺎ ﺷَﻔَّﻌَﻬُﻢُ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻓِﻴﻪِ “
..
40 Din ki Asar Angeizi aur Haalaat ki Tabdeeli me Us ke Khaas Ahtimaam ka andaazah Is Waqeah se bhi Lagaaya Ja sakta hai, Jo Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ke Daur-e-Khilafat me Peish aaya tha..

(XI):.. Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ke Zamaane me Ek Shakhs, Ek Aurat par Aashiq ho gaya aur Uski Mohabbat me Deewana ho gaya, Wo Aurat badi PAAK DAAMAN Afeefah aur Samajhdaar thi, Usne Us Shakhs se Kehalwaaya ke 40 Din tak Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ke Peeche TAKBEER-E-OOLAA ke saath Namaaz parho, us ke ba’d Faislah hoga. Usne 40 Din tak Isi tarah Namaaz parhi to Uski Kaayah Palat gayi aur Uska ISHQ-E-MIJAAZI, ISHQ-E-HAQEEQI se badal gaya. Abhi tak wo Us Aurat ka Aashiq tha, Ab Allah ka Aashiq ho gaya aur Ishq bhi Aisa ke Allah ki Muhabbat Uske Rag-Rag me Siraayat kar gayi. Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ko Is waqeah ki Itlaa’ hui to farmaaya: “BE SHAKK! Allah aur Uske Rasool (sallallahu alaihi wa sallam) ne SACH kaha, Yaqeenan Namaz BE HAYAI aur BURAAYI ki baato’n se Rokti hai.” [Ba-Hawaala Fataawa Raheemiyah Jild: 6/ Safhah: 384]

Isi tarah Ibraheem (alaihis salaam) Ko Aag me daala gaya to Wo 40 Ya 50 din tak usme rahe aur wo Unki Zindagi ke behtareen dino me se the. [Tafseer Ibn Abi Haatim (rahimahullah)]

ﺍﺑﻦ ﺃﺑﻲ ﺣﺎﺗﻢ : ﺣﺪﺛﻨﺎ ﻋﻠﻲ ﺑﻦ ﺍﻟﺤﺴﻴﻦ ، ﺣﺪﺛﻨﺎ ﻳﻮﺳﻒ ﺑﻦ ﻣﻮﺳﻰ ، ﺣﺪﺛﻨﺎ ﻣﻬﺮﺍﻥ ، ﺣﺪﺛﻨﺎ ﺇﺳﻤﺎﻋﻴﻞ ﺑﻦ ﺃﺑﻲ ﺧﺎﻟﺪ ، ﻋﻦ ﺍﻟﻤﻨﻬﺎﻝ ﺑﻦ ﻋﻤﺮﻭ ﻗﺎﻝ : ﺃﺧﺒﺮﺕ ﺃﻥ ﺇﺑﺮﺍﻫﻴﻢ ﺃﻟﻘﻲ ﻓﻲ ﺍﻟﻨﺎﺭ ، ﻓﻘﺎﻝ : ﻛﺎﻥ ﻓﻴﻬﺎ ﺇﻣﺎ ﺧﻤﺴﻴﻦ ﻭﺇﻣﺎ ﺃﺭﺑﻌﻴﻦ ، ﻗﺎﻝ : ﻣﺎ ﻛﻨﺖ ﺃﻳﺎﻣﺎ ﻭﻟﻴﺎﻟﻲ ﻗﻂ ﺃﻃﻴﺐ ﻋﻴﺸﺎ ﺇﺫ ﻛﻨﺖ فيها ، ﻭﺩﺩﺕ ﺃﻥ ﻋﻴﺸﻲ ﻭﺣﻴﺎﺗﻲ ﻛﻠﻬﺎ ﻣﺜﻞ ﻋﻴﺸﻲ ﺇﺫ ﻛﻨﺖ ﻓﻴﻬﺎ .

Yunus (alahis salaam) ko Jab Machhli (Whale) ne ningla to Wo 40 din tak Uske Peit me rahe aur Aayat-e-Kareemah ka wird karte rahe. [Mustadrak Lil Haakim]

ﺃﺧﺒﺮﻧﻲ ﺃﺑﻮ ﺃﺣﻤﺪ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﺇﺳﺤﺎﻕ ﺍﻟﻌﺪﻝ ، ﺛﻨﺎ ﺃﺣﻤﺪ ﺑﻦ ﻧﺼﺮ ، ﺛﻨﺎ ﻋﻤﺮﻭ ﺑﻦ ﻃﻠﺤﺔ ، ﺛﻨﺎ ﺃﺳﺒﺎﻁ ﺑﻦ ﻧﺼﺮ ، ﻋﻦ ﺍﻟﺴﺪﻱ ، ﻋﻦ ﺃﺑﻲ ﻣﺎﻟﻚ ، ﻋﻦ ﺍﺑﻦ ﻋﺒﺎﺱ ، ﻗﺎﻝ : ” ﻣﻜﺚ ﻳﻮﻧﺲ ﻓﻲ ﺑﻄﻦ ﺍﻟﺤﻮﺕ ﺃﺭﺑﻌﻴﻦ ﻳﻮﻣﺎ .

Hazrat Nooh (alaihis salaam) Jab Kashti me Sawaar hue to 40 din aur raat tak Aasmano se Paani barasta raha.. [Tareekh Tabaari]

ﺣَﺪَّﺛَﻨِﻲ ﺍﻟْﺤَﺎﺭِﺙُ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺍﺑْﻦُ ﺳَﻌْﺪٍ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺃَﺧْﺒَﺮَﻧِﻲ ﻫِﺸَﺎﻡٌ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺃَﺧْﺒَﺮَﻧِﻲ ﺃَﺑِﻲ ، ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻲ ﺻَﺎﻟِﺢٍ ، ﻋَﻦِ ﺍﺑْﻦِ ﻋَﺒَّﺎﺱٍ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺃَﺭْﺳَﻞَ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﺍﻟْﻤَﻄَﺮَ ﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﻳَﻮْﻣًﺎ ﻭَﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﻟَﻴْﻠَﺔً

Is tarah ki be-shumaar Ahadees wa Waqeat se Chillah ki Ahmiyat ka pata chalta hai. Aur Chillah ki Asal Haqeeqat to Allah ta’ala hi behtar Jaante hain..

CHAAR (4) MAHEENE KI SHARA’I HAISIYAT:

Chaar Maheene agar Usool-e-Saheehah ke Mutaabiq Akaabir ki Hidaayat ki Roshni me lagaate hain to Is se Insaani Zindagi me Khaasi Tabdeeliya’n aati hain, Islaami Mizaaj banta hai..

Pehle Chillah se to ZANG door hota hai, Doosre Chillah se RANG aata hai aur Teesre Chillah se DHANG aata hai. 3 Chilley Ya’ni 4 Maheene ki Asar Angeizi..

Insaani Tabiyat par Iske Asraat ka Andaazah Is Aayat-e-Kareemah se bhi hota hai Jis me Insaan ki Ibtidaayi Khalqat ke baare me batlaaya gaya hai: “Dekhiye Jab Nutfah Reham Maadar me Qaraar Pakadta hai to Pehle Chillah me Wo Nutfah ALAQAH (Ya’ni Bandha hua Khoon) banta hai aur Doosre Chillah me MUZGHAH (Gosht ki Boti) aur Teesre Chillah me Is Muzghah ke ba’z Ijza’ ko Haddiyaa’n bana diya jata hai aur In Haddiyo’n par Gosht charhta hai, Phir Iske ba’d (Ya’ni 3 Chillo’n ke ba’d Jiske 4 Maah hote hain) Usme Jaan padti hai. [Tafseer Bayan Al-Qur’an, Surah Mu’minoon: 13-14]

To ma’loom hua ke 4 Maah me Jismaani Takmeel ki tarah agar Usool-e-Saheehah ka Lihaaz ho to Roohani Takmeel bhi hoti hai..

Chaar (4) Maheene ke Haalaat par Asar Andaaz hone ko Is Waqeah ke Zariye bhi Achha samjha ja sakta hai Jo Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ke Daur-e-Khilafat me Peish aaya tha..

Abdur Razzaq ne Ibn Juraij (rahimahullah) se Is Waqeah ko Naqal kiya hai ke farmaate hain ke Mujhe Ek ba-aitemaad Shakhs ne Ye batlaaya hai ke: “Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ko Dauran-e-Gasht Kisi Aurat ki Aawaaz sunaayi di Jo Is tarah Keh rahi thi.. “Raat Kaafi Lambi ho chuki hai, Is ke dono Ufaq bilkul SIYAAH ho gaye aur Is ne mujhe Beidaar kar diya hai. Mera Koi Mehboob Nahi hai ke Jis se Main Khilwaad karoon. Agar Allah ta’ala ka Khauff Daaman Geer Na hota, Is Jaisi Cheez Phir Koi Nahi hoti Phir Iski wajah se Is Taqt ke Chaaro Simt hil jaate.”
Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ne Us se Kaha: Tumhei’n Kya ho gaya hai.?
Usne kaha: Mera Shohar Kayi Maheeno se mere Paas maujood Nahi hai, Mujhe Uski Chaah ho rahi hai. Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ne Kaha: Kya Tum ne Bad-kaari ka Iraadah kiya hai.?
Usne Kaha: Allah ki Panah..!!
Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ne kaha: Apne ooper Qaaboo rakho, Daak Jaane hi waali hai..
Phir Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) Apni Sahabzaadi Ummul Mu’mineen Hazrat Hafsah (raziallahu ta’ala anha) ke Paas Tashreef laaye aur Unse Kehne lage: Main Tumse Apne Ek Aham muamle me Kuch poochna chaahta hoon, Tum Us ke baare me mujhe bataana. Kitni Muddat me Aurat ko Shouhar ki Khwaahish hoti hai.?
Unhoney Apna Sar Neeche Kar liya aur Sharma gayi.
Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anha) ne kaha: Allah ta’la Haqq baat Kehne se Nahi Haya karta.
Unhoney haath ke Ishaarah se 3 Ya 4 Maheene batlaya.
Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ne Ye Tehreer Ravaana ki ke Faujiyo’n ko 4 Maheene se Zyaadah Roke Na rakha Jaaye.” [Kaza Fil Kanz 8/308, Hayaat As-Sahaba, Jild: 1/ Safhah: 601]

Lekin Hairat hai Zakir Naik Jaise Logo’n par. Ek Na-Mahram Aurat ko Jawaab dete hue Maslaki Ta’ssub me Zakir Sahab ne Faislah de diya ke Chillah (40 din) aur (4 Maheene) ki Asal Qur’an wa Ahadees me Nahi hai. Mera Khiyaal hai ke Wo Aurat asal me Jama’t-e-TABLEEGH Jo Be-Deen Logo’n me Islaah ka kaam karti hai ko Badnaam karna chaahti thi..

1. Zakir Sahab! Hum Aap se poochte hain ke Aap Jo Da’wah Courses chalaate hain, Inki Jo Muddat (Time limit) muqarrar karte hain Kya Ye Muddat Qur’an wa Hadees me maujood hai.?

2. Aap Jo Bollywood Heroes ki tarah Apni Entry ke liye Lakho’n balke Croro’n Rupya Logo’n ki di hui Zakaat ke Maal me se Stages per Fuzool Kharch Karte hain. Kya Iski Ijaazat Qur’an wa Hadees me maujood hai.?

3. Kya Madaaris ka maujoodah Nizaam Jisme Waqt ki Paabandi, Imtihaanaat wagherah Jo Ilm-e-Deen ki Nashr ke liye bohat Zaroori samjhe jaate hain. Kya Qur’an wa Hadees me is baare me Koi Sareeh hukm dikha sakte hain.?

Filhaal, Main In 3 Sawaalaat par hi Iktifa karta hoon.

LAMHA-E-FIKRIYAH:

Aakhir me Kehna chahunga ke Aise Kayi Musalman Deihato’n (Villages) me maujood hain Jin ko KALIMAH tak Parhna Nahi aata hai. Balke Mera (Sameer) khud ka Tajrubah hai ke Jab Main pehli baar Jama’t me Nikla to Aise Musalmaan se mulaaqaat hui Jis ko Na to Taoz aur Tasmiyah aate the aur Na hi Kalimah. Jama’t ke saathiyo ne Us Shakhs ko Ilm-e-Deen sikhaane ki gharz se Jama’t me le aaye the.

YAHOOD WA NASAARAH ki MISSIONARIES chand Rupyo’n me aise Logo’n ka Eimaan Khareed rahi hain. Kya In logo’n ke EIMAAN ko bachaane ki MEHNAT ko Be-Jaa aur Jaahilaana Aitrazaat se Badnaam karna Kitna durust hai.?

Allah ta’ala se dua hai ke MASLAKI TA’SUB me doobe Logo’n ke FAREIB se Is Ummat ki Hifaazat farmaaye. Aur Jo Gumrah hain Unhei’n Hidaayat se Nawaaze aur Jo Haqq par hain, Unhei’n Hameisha Us par Qayem rakhe. (Aameen Summa Aameen)

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads