Namaz Me Aurton Ka Seene Par Haath Bandna

BismiLLahirRahmanirRaheem

AhLe Sunnat WaL Jama’at Ahnaaf aur Naam Nihad AhLe Hadees yani Ghair MuqaLLideen ke Beech Kai IkhtiLafi MasaiL me se ek Mas’aLa Mard aur Aurat ki Namaz ke Farq ka bhi hai….Yani Ham Mard aur Aurat ki Namaz me Farq ke QayaL hain ( Ahadees ki bina par ) aur Ghair MuqaLLideen is Farq ke QayaL nahi…In Ikhtilaf me se Ek Ikhtilaf Takbeer e Tehreema Ke Bad Hath Bandhne ko Lekar bhi hai…Ab HaLanki dekha Jaye to ye Koi IkhtiLafi Mas’aLa nahi hai Kyonki Ghair MuqaLLid Auraten bhi Seene par hi Hath Bandhti hain….Lekin Aadat se Majboor se Log IkhtiLaf aur Intishar ki ShakaL peda Kar hi Lete hain….

Aur Us Ki Wajah ye ke Ye Log Ahnaaf se Auraton ka Seene par Hath Bandhne ki DaLiL ka MutaLba karte hain , Ab HaLanki Insaf Pasandi ki Bat Ye Hai Jab Inki Auraton Ka AmaL bhi Wahi hai to Hamse DaLiL ka MutaLba kis Wajah se Karte hain….Kya Inki Auraten bhi BedaLiL Seene Par hath bandhti hain….Kyonki Auraton ka Seene par Hath Bandhne ki Koi Sareeh DaLiL nahi…aur agar Inka AmaL bedaLiL nahi to Hamse DaLiL ka MutaLba kyon…

Khair Insha ALLah Ham Koshish karenge Samjhane ki Auraten Seene par Hath Kis Wajah se Bandhti hain…ALLah hame Samajhne aur Samjhane ki Taufeeq Ata Kare…

Jahan Tak Namaz Shuru karte waqt Takbeer e Tehreema keliye Hath Uthane ki bat hai to is Mutalliq ALLah ke Rasool a.s ki ek Hadees Milti hai Jo Maujam Tabrani aur MajmauL Zawaid me hai :

Hazrat Wa’iL bin Hujar r.a Farmate hain ke Mujhe ALLah ke RasooL a.s ne Namaz ka Tariqa Sikhlaya to unse Farmaya ke Mard Namaz Shuru kare to Kano tak hath uthaye aur Aurat apne hath Chatiyon ( Seene ) tak uthaye… ( Maujam Tabrani 19/22 , MajmauL Zawaid 103/2 )

Dekhiye Scan :

image

Is Hadees se itna to Pata ChaLa ke Hath Kahan tak Uthaye Jayen Is bare me Mard aur Aurat me Farq hai….Aur Hath Bandhne ki Jahan tak bat hai to MaLoom ho ke Takbeer e Tehreema ke bad Hath Bandhna Sunnat hai… Mardon keLiye iska masnoon tariqa Fuqha e Hanfiya ke Nazdeek ye hai Mard Naaf ke Neeche Hath Bandhe aur Aurat Seene ke Upar rakhe…Aurat Takbeer Kehkar Hath Kahan Bandhe Is MutaLLiq bhi Aasar milte hain Jo Darj ZeL hain :

Hazrat Ibn Juraij r.a Farmate hain ke Maine Hazrat Ata r.a se poocha ke Takbeer ( Tehreema ) ke waqt kya Aurat bhi apne hathon se isi Tarah Ishara kare jaise Mard karte hain ? To unhone Farmaya nahi , Aurat Mardon ki Tarah Hath na uthaye…Inhone jab Ishare se is bat ko bataya to Hathon ko Kafi Past kiya aur un dono ko Achche tariqe se milaya aur Farmaya ke Namaz me Auraton ka tariqa Mardon ki tarah nahi hai….( Musannif Ibn Abi Shaiba 239/1 , Musannif Abdur Razzaq 137/3 )

Dekhiye Scan :

image

Hazrat Ata r.a Farmate hain ke ” Aurat Apne Qayam me Hathon ko Jitna Suker Sakti ho itna Sukere “…( Musannif Abdur Razzaq 137/2 )

Dekhiye Scan :

image

Hazrat Ata r.a ke In Dono Aasar se pata ChaLa ki Namaz me Auraton ke Hath Bandhne Ka Tareeqa Mardon ki Tarah nahi hai…kuch Umoor me Wo Mard se MukhtaLif hai…Kyonki Hazrat Ata r.a ne Bataya ke Aurat Hathon ko Suker kar rakhe aur Hath Sukre hue Seene par hi Reh Sakte hain Naaf ke Neeche bandhne ki Soorat me hath khuL jayenge…..

Rahi bat iski ki kya Sirf Yahi Wajah hai Auraton ke Seene par Hath Bandhne ki , to Arz karden ki Imam Abu Hanifa r.a ne dekha ki Is MasLe me Wazeh DaLiL Na Qur’aan me hai , Na Ahadees me , Na Sahabiyaat r.a Ka Koi AmaL is bare me MiLta hai….IsLiye phir Unhone dekha ki Aurat Keliye Parde ki Zyada Riaayat kis HaaLat me hai , To Unhone paya ke Seene par Hath Bandhna Aurat ke Haq me Behtar hai…Kyonki Auraton ke Haq me Parde ki Riaayat ki Ahmiyat Ta’azeem ki ziyadati ki Riaayat se zyada hai…

IsLiye Hazrat Shaikh Muhammad Hashim r.a Farmate hain :

Dono Qism ki Riwayaton me Jama karna Hamare Nazdeek Zyada Behtar hai , aur Jama karne ka mamLa hamare Imam A’azam Abu Hanifa r.a ki taraf se waqea hai…Is tor par ke Aapne Ek Tarah ki ( Naaf ke Mutalliq ) Riwayat Mardon ke sath Khas farmayin Kyonki inme Tawaze aur Ta’azeem zyada pai jati hai aur Doosri Riwayat ( Seene se Mutalliq ) Auraton ke Sath Khas Farmayin , Kyonki Auraton ke Haq me inme Zyada Parde ki Riaayat pai jati hai…Aur Imam Abu Hanifa r.a ne ye Dekha ke Auraton ke Haq me Parde ki Riaayat ki Ahmiyat Ta’azeem ki ziyadati ki Riaayat se zyada hai…

Aur Imam Abu Hanifa r.a ne yahi Tarz e AmaL Doosri Ahadees me bhi Ikhtiyar Farmaya…MasLan Takbeer e Tehreema Keliye Hath Uthaye Jane WaLi Ahadees Jo ke RasooLuLLah a.s aur Unke Ashaab se ManqooL hain ; Ba’az me Kano tak Hath Uthane ka Zikr hai aur Ba’az me Kaandhon tak…Kaandhon tak Hath Uthane ki Riwayaat me Parde ki Riaayat zyada hai inko Auraton ke sath Khas Farmaya aur Kano tak Hath Uthaye Jane waLi Riwayaat ko Mardon ke sath Khas Farmaya ( Is Tarah Sab tarah ki Riwayaat par amaL ho gaya koi bhi Bekar nahi gayi )….

( معيار النقاد فى تمييز المغشوش عن الجياد مشموله درهم الصرة 111,112 )

Dekhiye Scan :

image

Aur aage Safah 115 par Farmate hain ke ” aur Jahan tak Auraton ka mamLa hai to Imam Abu Hanifa r.a ne inke liye Jo soorat Zyada Satar aur Zyada Parde waLi thi uspar nazar ki aur ye dekha ke Auraton ke Haq me Parde ki Riaayat Ta’azeem ki Riaayat ke Muqable me Behtar hai aur Ispar AmaL karne me Dono qism ki Riwayaat par AmaL bhi ho jata hai…aur Dono Riwayaat par AmaL karna kisi ek ( ek qism ki riwayat ) ko Chor dene se Behtar hai…

Iski Wajah ye bhi Is Mutalliq Ahadees Mukhtalif aayi hain….Isliye Hamare Fuqaha ne is silsile me payi jane waLi Mukhtalif Ahadees wa Riwayaat ko Mumkina Had tak Qabil e AmaL banaya hai….Kyonki Hamare yahan aisi soorat me Ahadees me Tatbeeq ka tariqa Ikhtiyar kara jata hai , Kyonki Kuch Riwayaton par AmaL aur Kuch ko aise hi Chor dene se Behtar hai , Ke Unme Tatbeeq bithakar Mumkina had tak sabko QabiL E AmaL banaya jaye….

Isliye Yahi Wajah hai Ki Fuqaha ne Auraten ke Haq me Seene par Hath Bandhne ki Bat NaqaL Kari hai….Jiske Hawale Darj ZeL hain :

1:- Hazrat Ibn Nujaim r.a NaqaL karte hain : ” Aurat Apne Dayen Hath ki HatheLi Bayen Hath ki pusht par Seene ke Upar rakhe “…

( البحر الرائق 339/1 )

Ek Jagah Farmaya : ” Kyonki ye Aurat KeLiye Zyada Parde Ka Sabab hai , Lihaza Iske Haq me yahi Behtar hoga “…
( البحر الرائق 303/1 )

2 :- Hazrat Aini r.a Bhi Aurat KeLiye Seene par Hath Bandhne ki hi Bat NaqaL karte hain…
( البنايہ فی شرح ھدایہ 210 )

Dekhiye Scan :

image

3 :- Hazrat Zafar Ahmad Thanwi r.a bhi Auraton KeLiye Seene par Hath Bandhne Ki Bat NaqaL karte hain , Kyonki Aurat KeLiye Wahi HaaLat Zyada Pasandeeda hai Jo Zyada Parde WaLi ho aur Seene par Hath Rakhne me Parda Zyada hai….
( اعلاء السنن 199/1 )

Dekhiye Scan :

image

4:- Raha Hath rakhne ki Jagah Ka mamLa to Mard ke Haq Naaf Ke Neeche aur Aurat Ke Haq me Seene par hath rakhna hai…
( بدائع الصنائع )

5:- IsLiye Hazrat AbduL Hai Lakhnawi r.a Farmate hain :

ﺍﻣﺎ ﻓﻰ ﺣﻖ ﺍﻟﻨﺴﺎﺀ ﻓﺎﺗﻔﻘﻮﺍ ﻋﻠﻰ ﺍﻥ ﺍﻟﺴﻨﺔ ﻟﻬﻦﻭﺿﻊ اﻟﻴﺪﻳﻦ ﻋﻠﻰ ﺍﻟﺼﺪﺭ
Yani ” Auraton ke Haq me Sab ka Ittefaq hai ke inke liye Sunnat Seene par hath bandhna hai ” …
( السعايه 156/2 )

Dekhiye Scan :

image

Isi Tarah Hashiya Sharah Waqaya me bhi Hazrat AbduL Hai Lakhnawi r.a Farmate hain : ” Hamare Ahbaab ne Aurat KeLiye is bat ko Ikhtiyar kiya hai , Kyonki Hath Ka Seene par rakhna Aurat Ke Haq me Zyada Parde Ka Sabab hai “…
( عمدة الراية 144/1 )

Ek Aham Bat Jo QabiL e Ghaur hai aur wo ye Ki Auraton Ka Seene par Hath Bandhna BiLa Kisi Nakeer ke TasaLsuL wa Tawatur se ChaLa aa raha hai….Fuqaha aur Muhaddiseen ne Auraton ke Is AmaL par Nakeer nahi kari…Ye AmaL Tawatur ke sath Ummat me ChaLa aa raha hai Goya Ise TaLaqqi BiL QubooL HasiL hai…aur Mahireen Shar’iat ke Nazdeek agar koi AmaL Ummat me Tawatur se ChaLa aa raha ho to ye Uske Sahi Hone ki Apne Aap me Bohot Bari DaLiL hai….Jaisa ki Ameer UL Momineen FiL Hadees AbduLLah Ibn Mubarak r.a aur Imam MaLik r.a Ke AqwaL se pata ChaLta hai….

Ameer uL Momineen FiL Hadees Imam AbduLLah ibn Mubarak r.a Farmate hain ke Kisi Cheez par Logon ka (Amalan) Ittefaaq karlena Mere Nazdeek Is Baat se Zyada Qaabil e Wusooq (Bharose Mand) hai ke Wo Cheez Is Sanad se Saabit ho… ( AL Kifayah Safah 434 )

Imam MaLik r.a ka QauL Hazrat Ibn Hummam r.a ne Apni Kitab Fat’huL Qadeer ( Jild 3 Safah 476 ) me naqaL kara hai….

Imam MaLik r.a Farmate hain ke Madine ke Andar Kisi Hadees ka Mash’hoor wa Ma’aroof Hona Uski Sehat e Sanad se Be-niyaaz Kar deta hai

Imam Ibn Arabi r.a bhi Imam MaLik r.a ka QauL/UsooL naqal karte hain :

Imam MaLik r.a Farmate hain ke Madine ke Andar Kisi Hadees ka Mash’hoor wa Ma’aroof Hona Uski Sehat e Sanad se Be-niyaaz Kar deta hai…( AarizatuL Ahozi 87/1 )

In AqwaL se pata ChaLa ke Tawatur AmLi Apne Aap me Bohot bari DaLiL hai Jo Sanad ki Zaroorat se Beniyaz kar deti hai….Isliye Auraton ka Seene par Hath Bandhna bedaLiL nahi hai , BaLki iske Peeche ki DaLiL aur Wujuhat Upar Bayan ho Chuki….ALhamduLiLLah….

ALLah se Dua hai ki wo Hame Deen ki Sahi Samajh Ata Kare , aur Be MatLab ke Aitraazat aur Ikhtilafaat se Bachaye….Aameen


Aurto ki Behtirin Masjid aur Aurto ka Tariqa e Namaaz.

 

Aurto ki Behtirin Masjid aur       Aurto ka Tariqa e Namaaz
….
Hamara Maslak : Ahle Sunnat Wal Jamaat
Hamari Dawat : Itteba Kitab Wa Sunnat Bar Tariqa e Aslaaf E Ummat.
Hamara Nara : Ittehaad Ummat.
Hamari Koshish : Ahya e Tauhid Wa Sunnat Aur Khatma Shirk Wa Bidat.
Hamara Maqsad : Isha-at Maarofaat Wa Izaala-E-Munkiraat.
Minjaanib : Majlis Tahaffuz Sunnat Wa Difa E Sahaba Radiallah Tal’a Anhum
.
Mohtaram Baraadraan-E-Islam.! Deen-E-Islam Me Aurto’n Ko Pardah Nasheen Rehne Ka Hukm Diya Gaya Hai. Islam Ne Aurat Ko Ghar Ka Charaagh Banaya Hai.
.
Isi Wajah Se Aurto’n Ka Masjid Aa Kar Namaz Parhna Lazim Nahi Hai Balke Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Apne Mubarak Zamanah Ki Pakeezah Aurto’n Ko Bhi Ghar Me Namaz Parhne Ki Baar Baar Targheeb Di Hai Aur Is Par Zyadah Sawaab Ki Basharat Sunaayi Hai.
.
Mardo Se Toh Yeh Farmaaya Ke Agar Koi Aurat Tum Se Masjid Jaane Ki Ijaazat Maangne Toh Ijaazat De Toh Ma’na Mat Karo Lekin Kisi Bhi Khatoon Ko Aap Saw Ne Masjid Aakar Namaz Padhne Ka Hukum Nahi Diyaa Balke Uski Targheeb Bhi Nahi Di Aur Yahi Ahnaaf Wa Shwaafe Aur Puri Ummat Ka Hukum Hai ,
Lekin Is Sunnat E Nabawi Aur Ijma E Ummat Ke Barqilaaf Daur E Haazir Keg Hair Muqallideen Ahle Hadees Ahbaab Khwateen Ko Masjido Me Aakar Namaz Padhne Ka Hukum De Raha Hai Aur Ghair Muqallid Ahle Hadees Khwateen Bhi Poore Zauq Wa Shauq Ke Saat Sawaab Ka Kaam Samaj Kar Masjid Aakar Namaz Aada Karti Hai (Balke Toh Ghair Muqallideen Aurto Ko Maah E Ramzaan Me 10 Din Masjido Me Mardo Ke Saat Aitekaaf Bhi Karaane Ki Koshish Kar Rahe Hai , Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya ) ,
.
Lekin Dar Haqiqat Ghair Muqallideen Hazraat Yeh Fa’al Shariyat Ke Ahkaam Ke Khilaaf Hai.Kyunke Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Daur E Mubarak Me Fitna Ka Andesha Nahi Tha Aur Us Waqt Khwatein Sharii Usool Aur Chand Bandhiyo Aur Sharto Ke Saat Masjid Aakar Namaz Aada Karti Thi Lekin Hazrat Umar Farooq Rdh. Ke Zamana E Khilaafat Me Jab Aurto Ki Halat Me Kuch Tabdeeli Aane Lagi Toh Unko Masjid Me Aakar Padhne Se Rook Diya , Jaisa Ke Khud Hazrat Ayesha Siddiqua Rdh. Bayaan Farmaati Hai Ke :Aurto Ne Jo Nayi Cheeze Ijaad Ki Hai Agar Rasoolullah Saw Usko Dekh Lete Toh Unko(Apne Daur Me Hi)Masjid Aane Se Zaroor Ma’na Farmaa Dete Jaisa Ke Bani Israel Ki Aurto Ko Ma’na Kardiyaa Gaya Tha.
.
Huzoor E Akram Saw Ke Zamane Me Aurto Ko Din Ki Namazo Me Nahi Balke Raat Ki Namaz Me Masjid Me Haazir Hone Ki Ijaazat Thi Jaisa Kea Lama Kirmaani Rh. Farmaate Hai Ke Rasool Ullah Saw Ka Irshaad E Giraami “Aurto Ko Masjid Jaane Se Na Rooko “ Raat Ke Bare Me Hai.(Kiraamaani) Phir Huzur E Akram  Saw Ki Wafaat Ke Ba’ad Tabdeeli Ki Waje Se Sahaba Ikraam Rdh. Apni Khawateen Ko Masjid  Jaane Se Rokne Lage. “Hazrat Abdullah Bin Masood Rdh. Juma Ke Din Aurto Ko Yeh Kehte Huwe Masjid Se Nikaal Dete The Ke Apne Ghar Ko Jaao Wo Tumaare Liye Behtar Hai.(Tabraani E Kabeer) Alama Hishmo Rh. aur Alama Manzri Rh. Farmaate Hai Ke : Is Riwayat ke Tamaam Raavi Siqa Qabil e Aaitemaad hai aur Iski Sanad me Koi Aaib Nahi (Majmua Al Zawaid 35/2 , Targheeb 94/1).
.
Hazrat Abdullah Bin Omer Rdh. Masjid Aane Waali Kahwateen Ko Kankariyaan Maarkar Masjid Se Nikaalte The.(Umda Tul Qaari : 225/6)
.
Hazrat Ibn Omer Rdh. Ghar Ki Aurto Ko Dono Eido Me Eidgah Nahi Leejaate The.(Musannaf Ibn Abi Shaiba).
.
Phir Jamhoor Sahaba Rdh. Bhi Khawateen Ko Masjid Jaane Se Ma’na Karne Lage Jaisa Ke Hazrat Shah Wali Ullah Rh. Tehreer Farmaate Hai : Aksar Sahaba Ikraam Rdh. Ne Aurto Ko Masjid Jaane Se Ma’na Karne Ka Faisla Farmaya…Aur Fitna Ke Andesha Se Aurto Ko Roknaa Jayez Hai.(Hujjat Ul Baalegha).
.
Huzoor E Aqdas Ka Irshaad E Giraami Hai : Aurat Ka Ghar Me Namaz Adaa Karna Chahiye Mohalle Ki Masjid Me Namaz Padhne Se Behtar Hai.(Tabraani , Targheeb 93/1) Is Rivayaat Ki Sanad Jaiyad Hai.
.
Aurto Ko Masjid Jaane Se Mat Roko Lekin Unke Ghar Unke Liye Masjid Se Behtar Hai.Hazrat Abdullah Bin Masood Rdh Aur Abdullah Bin Abbas Rdh. Farmaaya Karte The “Aurat Ka Apne Ghar Ke Kamre Me Namaz Padhna Apne Mohalle Ki Masjid Me Namaz Padhne Se Afzal Hai “.(Tabraani Uski Raavi Saheeh Ke Raavi Hai , Majmua E Zawaid 35/2 , Musannaf Ibn Abi Shaiba 354/2 , Iski Rivayat Hasan Hai) Is Ke Alaawa Aur Kahi Riwaayate Hai Jin Se Waazeh Hota Hai Ke Shariyat Me Aurto Ka Qususan Jawaan Aurto Ka Masjid Me Aakar Namaz Padhna Harghiz Jayez Pasanad-Dida Kaam Nahi.(Tafseel Ke Liye Padhiye : Majmua Rasail Wa Maqaalaat : Jild 2)
……
   Aurto’n Ki Namaz Ka Islami

Tareeqah:
.
Mohtaram Baraadaraan-E-Islam.! Shari’at Islami Ke Ahkaam Par Amal Karna Jis Tarah Mardo’n Par Farz Hai Waise Hi Aurto’n Par Bhi Farz Hai. Insano Ki Ye Dono Sanafei’n Aksar Ahkaam Me Yaksaa’n Aur Barabar Hain Lekin Mard-O-Aurat Ke Darmyan Jo Khalqi, Jismani Wa Tib’i Farq Hai, Iska Lihaaz Rakhte Hue Islam Ne Apne Ba’z Ahkaam Me Mard-O-Aurat Ke Darmyan Kuch Farq Rakha Hai.
.
Isi Tarah Namaz Ke Bhi Aksar Ahkaam Me Mard-O-Aurat Dono Barabar Hain Lekin Kuch Ahkaam Me Dono Ke Darmiyaan Kuch Farq Hai, Jo Ahadees Rasool (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Aur Aasaar Sahaba (Raz.) Se Sabit Hai.
.
Imam Al- Azam Abu Haneefah, Imam Shafa’i, Imam Malik, Imam Ahmad (Rahmatullahi Alaihim) Aur Jamhoor Fuqaha’ Wa Muhaddiseen Ka Bhi Yehi Maslak Hai.
.
Aur To Aur Chand Dahay (Decades) Pehle Tak Maujoodah Hindustani Jama’t Ahle Hadees Ka Bhi Yehi Maslak Tha Jaisa Ke Unki Kitab Nuzlul Abraar, Risaalah Ta’leem As-Salaath Se Ma’loom Hota Hai Jisme Aurto’n Ko Mardo’n Ki Tarah Sajdah Karne Se Mana’ Kiya Gaya Hai. [Tafseel Ke Liye Dekhiye Majmua’ Rasaa’il Wa Maqaalaat Jild Duwwam] .
Lekin Aaj Ke Ghair Muqallideen Hazraat Bohat Saare Masaa’il Ki Tarah Is Masla’h Me Bhi Jam’hoor Ummat Aur Khud Apne Akabireen Buzrugo Ki Mukhalifat Kar Rahe Hain.
.
Maujuda Ghair Muqallideen Ek Hadees Shareef “Namaz Us Tarah Parho, Jis Tarah Mujhe Parhte Dekhte Ho.” [Sahih Bukhari] Ka Ghalat Matlab Nikaal Kar Ye Propaganda Kar Rahe Hain Ke Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Koi Farq Nahi Hai.
.
Sawaal Ye Hai Ke Agar Is Hadees  Se Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Koi Farq Nahi Hai To Phir Charo’n Maslako’n Me Farq Kyon Bayan Kiya Gaya Hai.?
.
Kya 14 vi Sadi Ke Ghair Muqallideen Hi Ko Is Hadis Ka Matlab Samajh Me Aaya Aur Inse Pehle Kisi Ko Hatta Ke Unki Hi Jama’t Ke Buzrugo’n Ko Bhi Sahih Matlab Ma’loom Nahi Hua.?
.
Sahih Bukhari Ki Mash’hoor Shuroohaat Ibne Hajar, Ibne Battal, Allamah Aini (Rah.) Waghera Ne Likhi Hain Par Kisi Ne Is Hadis Ka Ye Matlab Kyon Nahi Bayan Kiya.?
.
Dar Haqeeqat Sahih Baat Yehi Hai Ke Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Kuch Farq Hai Aur Mard-O-Aurat Ko Waisi Namaz Parhni Chahiye Jaisa Ke Unko Shari’at Me Bataya Gaya Hai.
.
Farq Ko Waazeh Karne Waali     Rivaayaat:
.
1. Jaleel ul Qadr Tabii Yazeed Bin Habeeb (Rah.) Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ka 2 Aurto par Guzar Huwa Jo Namaz Padh Rahi Thi , Aap SAW ne Farmaya : Jab Tum Sajda Karo Toh Jism ka Kuch Hissa Zameen se Chipka Diyaa Karo , Kyunke Aurat Is Masle me Mard ki Tarah Nahi hai.(Marasil e Abu Dawud : 8)
.
2. Hazrat Ali (Raz.) Ne Farmate hai ke Jab Aurat Sajda Kare Toh Samet Jaaye aur Apni Raano ko Milaale.(Musannaf Ibn Abi Shaiba : 504/2 ,Sunan e Kubra , Musannaf Abdur Razzak ] Muhaddis e Kabeer Alama Zafer Ahmed Usmani Rh. Farmaate Hai:Yeh Riwayat Hasan Darje ki Hai.(A’aa Al Sunan : 182/2).
.
3. Hazrat Umm Darda Rdh. Apne Kaandho Tak Uthaati Thi.(Juz e Rafedain : Safa 66 , Musannaf Ibn Abi Shaiba) Fuqaha wa Muhaddiseen Rehmaullah ke Nazdeek Is Riwayat ki rooshni me Aurat ke Liye Kaandho tak Haat Utaana Behtar Kyunke isme Satar aur Parda Zyada Paaya Jaata hai aur Muslim Shareef ki Hadees ki bunyaad par mardo ke liye kaano tak haat utaana sunnat hai.
.
4. Hazrat Ibn Umar Rdh. Farmaate hai ke : Rasoolullah SAW ke Mubarak Zamaane me Aurto ko Hukum Diya Gaya ke Wo (Namaz me) Sareen ke Bal Zameen par Baithe(Mardo ki Tarah Pairo par Na Baithe).(Jaami Al Saaneed : 400/1) Yeh hadees imam e azam abu hanifa rh. ki musnad me saheeh sanad ke saat hai aur musaaneed imam e azam ummat ke nazdeek qaabil e aaitemaad hai.(Tafseel ke Liye Dekhiye A’aalaa ul Sunan).
.
5. Ibne Umar (Raz.) Se Marfooan Naqal Kiya Gaya Hai Ke Aurat Jab Sajdah Kare To Apne Peit Ko Raano Se Chipka Le. [Ibne A’adi] .
6. Jaleel ul Qadr Tabii Hazrat Ata’ (Rah.) Farmate Hain: Rukoo’ Karte Waqt Aurat Sukad Kar Rahe, Apne Hatho’n Ko Dauran Rukoo’ Peit Tak Uthaaye Rakhe Jitna Ho Sakta Hai Apne Badan Ke Aizaa Ko Ek Doosre Se Chimtaaye Rakhe Aur Jab Sajdah Kare To Apne Hath Peit Se Mila Kar Rakhe. [Musannaf Abdur Razzaq] .
Inke Alawah Mujahid, Hasan Basri, Qatadah, Ibrahim Naqa’i Waghera Jaleelo Qadar Taba’een Rehmaullah Se Bhi Mardo’n Aur Aurto’n Ki Namaz Me Farq Bataane Wali Rivayat Naqal Ki Gayi Hain.
.
In Rivaayaat Se Saaf Waazeh Hua Ke Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Kuch Farq Hai Aur Aurto’n Ko Namaz Ke Dauraan e Satar Aur Pardah Ka Ahtemaam Karte Hue Simat Kar Namaz Ke Arkaan Bajaa Laane Chahiye. Aurto’n Ki Namaz Ka Tareeqah Batlaane Wali In Mazkoorah Baala Rivaayaat Par Chand Tarah Ke Aaitrazaat Karte Hain. Lekin Usool Hadis Ki Roshni Me Wo Aaiterazaat Durust Nahi Hain.
.
[Aaiterazaat Ki Tafseel Ke Liye Dekhei’n: Nafa-e-sul , Daleel-E-Namaz; Masnoon Namaz; Allah Ta’la Ki Pasandeedah Namaz Aur Majmua Rasaa’il Wa Maqaalaat: Jild Duwam].

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads