Ek Aiteraz Ka Jawab (Muqallid Ke Liye Hujjat Sirf Uske IMAM Ka Qaul Hey; Naa Ki Quran, Hadees, Ijmaa Aur Qiyas)

 

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Hazraat Aapne Ghair MuqaLLideen ke Munh se Ek Baat Aamtaur par Suni hogi aur Wo Ye ke ” MuqaLLid KeLiye Hujjat Uske Imam Ka QauL hai , Arbae AdaLa ( Qur’aan aur Sunnat , Ijma’a , Qayas ) Nahi ” …. Iske Tahat Wo Hamare AaLim ki Ibarat bhi Pesh Karte hain jisme Ye Bat Kahi Gayi hai Ke ” MuqaLLid KeLiye Arbae AdaLa nahi Imam Ka QauL Hujjat hai ” ….. Sabse Pehle Jane ke Is QauL ke 2 Hisse hain ” MuqaLLid keLiye Arbae AdaLa ka Hujjat Na hona ” aur ” Imam Ka QauL Hujjat hona ” , Ab Is Bat ko Samjhne ki Zaroorat hai ke MuqaLLideen KeLiye Arbae AdaLa ke Hujjat Na hone aur Imam Ke QauL ke Hujjat hone ka Kya MatLab hai…. aur Is Ibarat par ham Ghair MuqaLLideen se Itna Hi Kahenge ke Agar Ibarat Hanfi MuqaLLid ki Pesh Kari hai To Uski Wazahat bhi Hanfi MuqaLLid ki Hi Manni Paregi , Kyonki Aisa Nahi Hoga Ki Bat Hanfi ki Pesh Karo Aur Wazahat Kisi Ghair MuqaLLid ki , Isko Is Tarah Samjhen ke Agar Ham Kisi Munazre Wagherah me Agar Koi Qur’aan ki Aayat Ya Hadees Pesh Karenge , To Uski Tafseer Ya Sharah bhi Kisi AhLe Sunnat WaL Jama’at AaLim ki hi Pesh Kari Jayegi Kisi Qadiyani Ya Shia ki nahi , Kuch Usi Tarah Agar Yahan Bat Hanfi ki Pesh Kari Hai To Uski MatLab aur Murad bhi Hanfi ka Liya Jayega , Ghair MuqaLLid ka nahi….

Kya MuqaLLid KeLiye Arbae AdaLa nahi Imam Ka QauL Hujjat hai?

Khair Ab Aate hain AsaL Mas’aLe par ke Is Ibarat ” MuqaLLid KeLiye Arbae AdaLa nahi Imam Ka QauL Hujjat hai ” Isse Murad kya hai ? aur Kya Waqai MuqaLLid KeLiye Sirf Imam Ka QauL Hujjat hai Arbae AdaLa nahi …..

To Sabse pehle Samjhen Ke Bat Kin HaLat ke hone par kahi Gayi hai , Aur Ye Kab Lagoo hogi aur Kab Nahi …. To PehLe Ye Samajh Len ke Is Ibarat se Murad Ye hai Ke Agar Koi Aami Jisko Qur’aan Hadees Ijma’a Qayas ka ILm nahi , Wo Deen Ka Mahir nahi , Use Mas’aLe ki Poori Jankari nahi , Na Use Pata Kis ILLat ke hone par Kya Qayas Kya Jayega aur Kab Kara Jayega , To Aisi HaLat me Ab Wo Insan Arabe AdaLa se nahi , BaLki Imam Ke QauL se Mas’aLe ko Samjhe….. Ab Behtar Aur uske Haq me Sahih Yahi hai Wo Qur’aan aur Sunnat Ijma’a Qayas se Mas’aLa HaL karne ke Bajaye Imam Ki Tehqeeq se Fayda Uthaye , Kyonki kisi Ghair AaLim ka Qur’aan Aur Sunnat se Khud Mas’aLa NikaLna aisa hi Khatarnak hai Jaisa kisi Anari ka Aag se KheLna , , Aag se Na Sirf Apna Nuqsan Karega BaLki Doosron ke Nuqsan ka bhi Sabab banega…. Aur Wese bhi Ahadees me Kisi Ghair AaLim ka Qur’aan aur Sunnat me Apni taraf se Kuch Kehne par Wa’eed Aayi hain …. IsLiye Jo Insan AhL nahi Uske Liye Jayaz nahi Wo Khud Qur’aan aur Sunnat se Mas’aLa NiKaLe , BaLke Uske Liye Qur’aan me Hukm hai Wo AhL ( Mahir ) ki Taraf Ruju kare…..

IsLiye Farmaya gaya ke Arbae AdaLa uske Hujjat nahi yani Usko Ijazat nahi Ke Wo Arbae AdaLa se Bazaat e Khud Mas’aLa NikaLe , Use Chahiye ke Wo Imam Ke QauL ( Uski Tehqeeq ) se Fayda Uthaye , Jaisa ke Qur’aan me Hukm hai….

Tum Mujtahid Bankar bat Karoge ya MuqaLLid Bankar

Ab Aate hain Doosre Aham Mas’aLe par Jab Kisi Hanfi ki Ghair MuqaLLid se Bat Hoti hai ( Munazara ya Muzakara Wagherah ) To Ghair MuqaLLid Poochte hain ke Tum Mujtahid Bankar bat Karoge ya MuqaLLid Bankar… Zahir hai Ham Mujtahid nahi BaLki MuqaLLid hain To Ghair MuqaLLid kehte hain ke Arbae AdaLa se Mas’aLa NikaLna Mujtahid ka kaam hai MuqaLLid ka nahi , IsLiye MuqaLLid keliye Arbae AdaLa nahi BaLki Imam Ka QauL Hujjat hai….Aur MuqaLLid Qur’aan Hadees se DaLiL Pesh nahi Kar Sakta…

Ab Yahan bhi Bat Ko Samjhen Ke Jab Ham Kisi Ghair MuqaLLid ( ya kisi aur ) se Bat Karte hain To Goya Ham Apni Jama’at ke WakiL , Uske Numa’inde ( representative ) ki tarah hote hain , Jahan Hamara Kaam Apni Jama’at Ke Mauqaf aur AmaL par Arbae AdaLa se DaLaiL Pesh karna Hota , Kisi Mas’aLe ko Akhaz Karna Hamara kaam nahi hota ke Ham Qur’aan aur Sunnat se DaLiL pesh nahi Kar Sakte…. Doosri Bat Ghair MuqaLLideen Hamare Paas Aitraaz Lekar aate hain , Mas’aLa Lekar nahi , IsLiye Hamara Kaam Qur’aan aur Sunnat Ki Roshni me Us Aitraaz ko door karna hota hai , Kisi Naye Mas’aLe ko Akhaz Karna Hamara Kaam nahi ….

Kyonki Jaisa Ke Upar Bataya Gaya Ke Hanfi Apni Jama’at ke WaKiL ki Haisiyat se Bat Karta hai , Agarche wo MuqaLLid hi kyon Na ho , isko Is Tarah Samjhen ke Agar Ham Kisi Qadiyani se Munazara Karen To Ham AhLe Sunnat WaL Jama’at ke WakiL se Barkar MusaLmano ke WakiL ki Haisiyat se Qadiyani se Bat Karte hain , Agarche Ham ALhamduLiLLaah AhLe Sunnat WaL Jama’at hain hi , Lekin Ham Numa’indagi MusaLmano ki karte hain….

Kuch Isi Tarah Jab Ham Ghair MuqaLLid se Bat Karte hain Chahe Munazara ho ya Muzakara Usme Hamari Haisiyat Apne MasLak ke WakiL ki hoti hai , Aur WakiL ka Kaam Apne MasLak ya Apne Imam ke Difa’a me Qur’aan aur Sunnat se DaLaiL Pesh Karna hota hai …. TaqLeed Apne Liye hai Yani Jahan Qur’aan aur Sunnat se Wazeh DaLiL Mojood Na ho ya Use Itna Faham aur ILm Na ho Ke wo Bazaat e Khud Mas’aLa Akhaz Kar sake to Ab Wo Apne Imam Ki Perwi Karega , Lekin Jahan TaqLeed nahi Wahan DaLaiL Qur’aan aur Sunnat se hi diye Jayenge…. aur Usse bhi Aham bat Jab 2 Fareeq me Munazara hoga To Dono Fareeq ke MusaLLima UsooL ki Roshni me Munazara hoga , Joki Arbae AdaLa hai Na Ke Imam Ka QauL … To MuqaLLid KeLiye Apne Imam ka QauL Wahan Hujjat hoga Jahan Nas se Wazeh DaLiL Mojood Na ho , Jahan TaqLeed ki Zaroorat nahi Wahan MuqaLLid Qur’aan aur Sunnat se hi DaLiL Pesh Karega Wahan Imam Ke QauL Pesh Karne Ki Zaroorat nahi….

Lekin Agar Koi Ziddi Ghair MuqaLLid phir bhi kahe ke nahi Aapke Liye Apne Imam Ka hi QauL Hujjat hai , To Ham Kahenge Ke Agar Aapko Yahi Bat Manni to koi Bat Nahi , Kyonki Imam Abu Hanifa r.a ka UsooL bhi Yahi hai Ke kisi Mas’aLe ke HaL KeLiye Wo Sabse Pehle Qur’aan ko Lete hain , Phir Sunnat e RasooLALLaah a.s ko , Phir Sahaba r.a ( Ijma’a ) , Phir Qayas …. Agar Imam Ke UsooL Uski Perwi Karne WaLon ke UsooL hote hain to Imam Ki DaLiL bhi MuqaLLid ki DaLiL hogi , Kyonki Mubasharatan ( Directly ) DaLiL Imam Ka QauL hai Lekin Zimnan ( Indirectly ) Imam Ki DaLiL Hamari DaLiL ho gayi , Kyonki Ham Uski DaLaiL ki Perwi karne wale hain , Ham TaqLeed Qur’aan aur Hadees ko Samjhane KeLiye kar rahe hain , Sirf aur Sirf Imam Ki Bat Manne KeLiye nahi….

To Agarche Ham MuqaLLid Imam Abu Hanifa r.a ke hain Lekin Munazre ke Waqt Hamari Haisiyat MuqaLLid se Barkar Apni Jama’at Ke Numa’inde aur WaKiL ki hoti hai , MisaL se Bat Ko Samjhen : Zaid se Baqar ne Poocha Tum Namazi ho ya nahi , Zaid ne Socha Shayad ye Janna Chahta hai ke main Namaz Parta hoon Ya nahi…. Zaid ne Kaha Haan Main Namazi hoon , Ispar Baqar ne Kaha ke Agar Namazi ho Phir Baat kaise kar rahe ho , Namaz me Batcheet Mana hai… To Zaid ne Kaha Bhai Main Is Waqt BiL FeL Namazi nahi hoon , Maine Apne Aapko Namazi Kaha Kyonki Main Namaz Parta hoon jab Waqt aata hai , Yani BiL FeL main Namazi hoon Jab main Namaz parta hoon , Aur Abhi Jo Maine Apne ko Namazi Kaha ke Majazan hai…. Isi Tarah Ham MuqaLLid hain Jab TaqLeed ki Zaroorat hoti hai , Jab Ham MasaiL ka Istambat nahi kar pate , Jab Ham Imam Abu Hanifa r.a ki TaqLeed karte hain Aur Tab hi Hamare Liye Imam Abu Hanifa r.a ka QauL Hujjat hai… Aur Jahan Hame TaqLeed ki Hajat nahi Wahan Hamare Liye AsaL Hujjat Qur’aan aur Sunnat hi hain….

Aur wese bhi Doran e Guftagu Mujhe Koi Mas’aLa HaL nahi karna Mujhe HaL Ho Chuke MasaiL par DaLaiL Pesh karne hain , Yani Apne ULama ki Tehqeeq Pesh karni hai , Jabki Ghair MuqaLLideen ko Apni Tehqeeq pesh karni hoti hai Kyonki Wo MuqaLLid nahi Ghair MuqaLLid hain…

Ummeed hai Aap Logon ko Bat Samajh aa gayi hogi ke ” MuqaLLid Ke Liye Arabe AdaLa Kab Hujjat nahi ( Yani Use Ijazat nahi ) aur Kab Imam Ka QauL Hujjat hai….. Yani Jab khud Mas’aLa Istambat karne ki bat Aayegi to tab Aami Insan Ya MuqaLLid ko Ijazat nahi ke Wo Khud MasaiL ka Istambat kare , IsLiye Kaha Gaya ke Arbae AdaLa Hujjat nahi ( yani Use Ijazat nahi ke Khud Ijtihad kare ) , MatLab use Khud Inse MasaiL NikaLne ki Ijazat nahi us Waqt Uske Liye Imam Ka QauL Hujjat hai , Kyonki Mujtahid MasaiL ko Arbae AdaLa se Istambat karne ki SaLahiyat rakhta hai ….. Lekin Jahan Qur’aan aur Sunnat me Bat Wazeh ALfaz me Mojood hai aur Jahan Hame TaqLeed ki Zaroorat nahi , Wahan Imam Ka QauL Hujjat hone WaLi bat nahi Kyonki Wahan main MuqaLLid nahi hoon…. Wahan Hamare Liye Hujjat Qur’aan aur Sunnat hain…..

ALLaah Se Dua Hai Ke Wo Hame Deen ki Sahih Samajh Ata Kare aur Deen Ko Kisi Mahir ki Rahnumai me Samjhne aur AmaL Karne Ki Taufeeq de…. Aameen Ya RabbaL A’aLmeen


Ghair Muqallideen Ka Dhoka Ke Aimmah E Arba Rha Ne Apni Taqleed Se Mana Farmaya Hai.

Qaaraeen kiraam! Ek ghair ka muqallid (victorian ahle hadees) apni ek post me muqallideen aimma Arab (rh) ko mukhaatab karte huwe likhta hai:

~
“I AM 💯 percent HANFI
I AM 💯 percent MALILKI
I AM 💯 percent SHAFA’I
I AM 💯 percent HAMBALI
~
KYA JO APNE AAP KO HANFI; MALIKI; SHAFA’I; HAMABALI KAHTE HEI..
~
WAH IN BAAT PAR W KARTE HEI….”
~
Phir iske aage aimma arba (rh) ke qaul naqal karke mughaalta dene KI naa kaam koshish ki hai ke aimma arba (rh) taqleed ke khilaaf the.
~
Al-Jawab: Jee haan hain, aur hum in bato’n per amal karte hain.
aap in batao per amal karte hain ya nahi?
~

Jab sahi hadees mil jaye to wahi mera mazhab hai

Gm saaheb Aapne likha:
“IMAM ABU ‪#‎HANIFA‬ RAHMAULLAH NE FARMAYA
~
Jab sahi hadees mil jaye to wahi mera majhab hei. ( ‪#‎raddul‬ mukhtar-hawala-h.fiqah-safa#92)”
~
Aap iske do jawaab mulaaheza farmaayen

Jawaab no: 1

aap is baat ko nahi mante kya?
Kia Imam abu hanfia (rh) ka mazhab zaeef aur mozoo hadees ya sirf qiyas per mubni hai?
Pyaare isse to Imam Abu Hanifa (rh) Farma rahe hain mera mazhab sahih hadees ki bunyaad per hai. Agar himmat hai to zaef sabit karke dikhao

Jawab no:2

Firqa Ahl-e-Hadees A’imma-e-Mujtahideen ka Mash’hoor Maqoolah
(إذا صح الحديث فهو مذهبي)
“Jab Hadees Sahih saabit ho jaaye to wo Mera Mazhab hai” se logo’n ko Dhoka wa Fareib dete nazar aate hain. Aur Kehte hain ke Agar A’imma-e-Mujtahideen ka koi Qoul Sahih Hadees ke khilaaf nazar aaye to Us ko Tark kar (chhor) dena chahye aur Hadees per amal karna chahye.
~
Lekin Ye baat Kayi wujoohaat ki bina per Sahih nahi hai Kyonke A’immah ne Hadees milne ke ba-wajood bhi ba’z Wujoohaat ki bina per Unko Tark kar diya hai.
~

Shaikhul Islam Ibne Taimia Rahimahullah

Chunanchah Allamah Ibn Taymiyah (rahimahullah) likhte hain:
ﻭﺟﻤﻴﻊ ﺍﻷﻋﺬﺍﺭ ﺛﻼﺛﺔ ﺃﺻﻨﺎﻑ
ﺃﺣﺪﻫﺎ ﻋﺪﻡ ﺍﻋﺘﻘﺎﺩﻩ ﺃﻥ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗﺎﻟﻪ .
ﻭﺍﻟﺜﺎﻧﻲ : ﻋﺪﻡ ﺍﻋﺘﻘﺎﺩﻩ ﺇﺭﺍﺩﺓ ﺗﻠﻚ ﺍﻟﻤﺴﺄﻟﺔ ﺫﻟﻚ ﺍﻟﻘﻮﻝ .
ﻭﺍﻟﺜﺎﻟﺚ : ﺍﻋﺘﻘﺎﺩﻩ ﺃﻥ ﺫﻟﻚ ﺍﻟﺤﻜﻢ ﻣﻨﺴﻮﺥ .
Wo Tamaam A’zaar 3 Qism ke hain:
~
(1):.. Unko Yaqeen na ho ke Nabi (sallallaahu alaihi wa sallam) ne aisa kaha hoga.
~
(2):.. Unko Yaqeen na ho ke Nabi (sallallaahu alaihi wa sallam) ne us Qoul se wahi Mas’alah muraad liya ho.
~
(3):.. Unko Yaqeen ho ke Wo Hukm MANSOOKH hai. [Rafa’ Al-Malaam ‘Anil-A’immat Al-A’laam, p.9] ~~~
Scan page:

image

 

Allama Nawawi Rahimahullah

Aur (Shaarih Sahih Muslim) Allamah Nawawi Ash-Shaafa’i (rahmatullahi alaih) farmaate hain: “Imaam Shaafa’i (rahimahullah) ne un ke FATWA ke Khilaaf SAHEEH HADEES milne par HADEES per AMAL ki WASIYYAT farmaayi hai, iska Ye Matlab nahi ke koi bhi Shakhs Kisi SAHEEH HADEES ko dekh kar usey IMAAM SHAAFA’I ka Mazhab qaraar de aur us ke Zaahir par Amal kare, balke Is ka HAQQ usi ko hai jo (ILMI SALAHIYAT me Kamaal ki wajah se) IJTIHAD FIL-MAZHAB ke Rutbe tak ya uske Qareeb pohanch chuka ho. Neiz ye bhi SHART hai ke uska Ghaalib gumaan ye ho ke IMAAM SHAAFA’I ko us HADEES ka ya us ki SIHAT ka ILM na tha, aur ye baat IMAAM SHAAFA’I ki Tamaam kitabei’n aur Un ke Shaagirdo’n ki KITAABO ke Mutaalia (parhne) ke ba’d hi haasil hogi aur ye Shart kaafi Mushkil hai aur Kam hi Koi in Sharaa’it se Muttasif hoga, ULEMA ne ye Shart isliye lagaayi hai ke IMAAM SHAAFA’I ne Kaafi RIVAAYAAT se waaqfiyat ke ba-wajood unke Zaahir par Amal ko tark kiya (chhor diya), Kyonke unki TEHQEEQ me usme koi TA’N, NASKH, TAKHSEES YA TAWEEL wagherah ka SABOOT tha (jiski wajah se us zaahir par Amal Durust na tha).” [Kitaab Al-Majmoo’, p.105/1] ~~
Scan page:

image

~~~
Ab bataayei’n ke Kaun Shakhs hai Jo Itna ILM rakhta ho.? Agar hai to Batayei’n Ke unhei’n Tamaam Ahadees aur A’imma-e-Arba ki aur unke Shagirdo’n ki Tamaam Kitabo’n ka ILM hai ???
~
Pas Is Maqoolah ka Sahih matlab to Ye hai ke, “Agar Ye baat Saabit ho Jaaye ke A’immah ko Hadees-e-Saheeh nahi pohnchi aur unka Qoul us ke mutaabiq nahi to phir Unka Mazhab wo hai Jo Hadees me hai. Ye matlab hargiz nahi ke A’immah ka Hadees per mabni Qoul Kisi ki samajh me nahi aa raha hai aur us Qoul ke khilaaf Muta’riz Hadees ka Zaahir dekh kar Tark kar diya jaaye.”
~
Lehaaza isse tumhaare pesh karda imaam shaafai (rh) ke qaul KA jawab bhi ho gaya.
~

Allama Zahabi rahimahullah

*Imaam Maalik (rh) ke qaul KA jawaab* ~
Imam maalik imam Auzai k baare mei kehte hain…
~
“Auzai qaabile taqleed imaam hain..
(Seerul ailaaminnubala112/7)
~~
Scan page:

image

Lehaaza isse maloom huwa ke imaam maalik (rh) taqleed ke munkir nahi warna woh imaam auzaai (rh) ke baabat aisa kehte nahi

KYA IMAM AHMED (Rh) NE APNI TAQLEED SE ROKA HAI?

Baaz Hazraat ye farmate hain ke
IMAAM AHMAD BIN HANBAL ( RH) ne apni
TAQLEED se mana farmaya hai,,
~
Halaanke haqeeqat to yeh hai ke woh khud taqleed ke qaayel the chunaanche farmaate hain: “jo shakhs yeh zu’am (gumaan) kare ke taqleed koi cheez nahi ‘ to yeh qaul Allah wa Rasool sallallahu alaihi wa sallam ke nazdeek ek faasiq (na farmaan) ka qaul hai, woh shakhs apne is qaul ke zariya se asr (yani aqwaal wa ahaadees e sahaaba wa tabaeen rz) ko baatil karne ka iraadah rakhta hai, aur ilm wa sunnat ko mu’ttal karne ka iradah rakhta hai , aur apni raaye se tafarrud, kalaam, bid’at aur mukhaalifat karna chaaheta hai”
(tabqaatul hanaabilah 1/64)
~~
Scan page:

image

Isse saaf ma’loom huwa ke imaam Ahmed bin hambal (rh) taqleed ke qaayel hain.
Raha imaam ibne hanbal (rh) KA woh qaul Jisme apni taqleed karne ko mana farmaaya hai, to uska jawaab yeh hai ke unhone taqleed Karne se Mana apne Jaleel ul Qadr
Shagirdon ko kiya jo Khud ijtehad ki salahiat rakhte the aur aam Admi ko TAQLEED ka hukum dete the.
~
Chunanche
IMAM AHMED BIN HAMBAL
rahmatullahi alaih ke bare me
Allama Ibne Taimia
rahmatullahi alaih naqal
farmate hai
~
“Imam AHMED rahmatullahi
alaih Aam logo ko IMAM ISHAQ,
IMAM ABU UBAID, IMAM ABU
SAUR aur IMAM ABU MUS’AB
rahimahumullah se MASAEL
DARYAFT karne ka hukum dete
th aur apne ASHAAB me se jo
ULAMA the Maslan IMAM ABU
DAWOOD, OSMAN BIN SAYEED,
IBRAHIM AL HARBI, ABU
BAKR AL ASRAM, ABU ZAR’AA,
ABU HAATIM SAJASTANI AUR
IMAM MUSLIM
Rahimahumullah waghaira ko kisi ki TAQLEED karne se rokte the aur unse farmate the ke tum par Asal
Kitab o Sunnat ki taraf Rujoo karna
WAJIB hai”
[MAJMUA FATAWA IBNE
TAIMIA jild 20 padha 226] Scan:

image

Allama Ibne Taimia (rh) ki is
ibaarat ne Bilkul waazeh kardya
ke jin MUJTAHIDEEN ne TAQLEED
se mana kiya hai wo Apne Un
SHAGIRDON ko Mana kiya hai
jo Bazaat e khud Jaleelul Qadr
MUHADDISEEN aur MAHIR
FUQAHA the aur IJTEHAD ki
poori Salahiyat rakhte the.
Ghair Mujtahid AFRAAD ko
unho ne Na Sirf Ye ke Mana nahi
farmaya balke Khud MUJTAHIDEEN se istefta karke
unki TAQLEED ka hukum dya hai,
balke WAQIA ye hai ke GHAIR
MUJTAHID AFRAAD ke lye
TAQLEED Ka jawaz balke WUJOOB
aisa MUTTAFAQ masla tha ke
Siwaye MOTAZALA ke kisi se
isme IKHTELAF manqool nahi.

Allah ta’ala se dua hai ke Hamein Deen KI saheeh samajh ata farmaaye. (Aameen)

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads