Namaz Me Aahista Aameen Kehna

Huzur e Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshaad e Mubarak Hai Ke Yahudi Tum

Musalmaano Ke Ameen Kehne se Jitna Jalte Hai Utna Kisi Cheez se Nahi Jalte Lehaza Khoob Ameen Kaha Karo.(Ibn Majah: Safa 61 : Hadees
856)
.
Hazrat Imam e Azam Abu Hanifa Rh. aur Fuqaha
wa Muhaddiseen e Ahnaaf Rh. Farmate Hai ke Namaz me Aahista Ameen Kehna Chahiye ,
Kyunke Quran wa Hadees se Yahi saabit Hai.
.
1.Tafseer Khazin 306/2 me Ameen Ke Maani Likhe Hai ‘Aye ALLAH Qubul Farmaye ’
.
Maloom
Huva ke Ameen Dua Hai aur Jaleel ul Qadar Tabii Ataa Rh. Bhi Yahi Farmate Hai “ Ameen Dua Hai
(Bukhari: 107/1) aur Dua ke Mutaaliq ALLAH Tala ka Hukm Hai “Apne Rab se Dua Karo Aajizi ke Saat aur Aahista ( Surah Al Araaf : Ayat 205 ).
.
Jab Ameen Dua Hona Saabit Hogaya Toh Quraan e Kareem ke Hukum ke Mutabiq Ameen Aahista Kehna Chahiye .Isi Waje se Faqaruddin Raazi
Shafii Rh. Apni Tafseer me Tehreer Farmate Hai:Agar (Aahista Ameen Kehna Wajib na Bhi Ho Toh Kamaz Kam Mustaab aur Afzal Zaroor Hoga
aur hum Bhi Isi Baat Ke Qayal Hai.( Tafseer e Kaabir 131/3)
.
2. Hazrat Wayl Bin Hajr Rdh. Farmate Hai RasoolUllah ne Hume Namaz Padhayi Jab Aap
Sallallahu alaihi Wasallam ne Ghair Maghzoobi Alaihim Waladh-dhaaleen Padha Toh Aahista Awaaz se Ameen Kaha(Musnad e Ahmed 362/2 :
Hadees 19059 ).
.
3.Hazrat Wayl Bin Hajr Bayaan Karte Hai ke Inhone Rasool Ullah SAW ke Saat Namaz Padhi
Jab aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ghair Maghzoobi Alaihim Waladh-dhaaleen Padha Toh Ameen Kaha aur Ameen Kehte Huve Apni Awaaz
Past Ki .( Mustadrak Haakim Jild 2 Safa 181,Hadees No 2948)
.
Imam Hakim Rh. Farmate Hai :Is Hadees ki Sanad Bukhari wa Muslim ki Shart Ke Mutabiq Saheeh Hai.
.
3. Hazrat Samrah Bin Jundab Rdh aur Hazrat Imraan Bin Hussain Rdh. Ke Darmiyaan Namaz me Sakto ke Mutaaliq Muzakera Huva Toh Samrah Bin Jundab Rdh. ne Farmaya Maine Rasool Ullah SAW se Namaz me Do Sakto Ko
Yaad Kiya Ek Jab Takbeer e Tehrima Kehte aur Dusre Jab Ghair Maghzoobi Alaihim Waladh- dhaaleen ki Qirat Se Farigh Hote Toh Sakta Karte
( Yaani Khamosh Rehte Jis Tarah Takbeer e Tehrima ke Baad Sakta Sanah Padte Aise Hi
Dusre Sakte me Aahista Ameen Kehte ) Is Hadees Ki Sanad Hasan Balke Saheeh Hai.( Murqaah
502/2 , Zaad ul Ma-aad 52/1 )Is Hadees ki Sharah me Alama Tibii Rh. Farmate Hai ke Is
Hadees ka Waaze Tar Mafhoom Yahi Hai ke Aap SAW ki Pehli Khamoshi Sanah ke Liye aur Dusri Ameen ke Liye.
.
Ibn Jareer Tabri Shafii Rh. Farmate Hai ke Mai Ameen Aahista Awaaz se Kehne Ko Pasanad Karta Ho Kyunke Aksar Sahaba Rdh. Wa Tabien Rh. Isi Par The.
(Al Johar Naqi 85/2 ).

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads