Saudi Aalim Ka 20 Rakaat Taraveh Ke Sunnat Hone Ka Aailaan

Saudi Aalim ka 20 Rakaat Taraveh Ke Sunnat Hone ka Aailaan.

Makke Mukarramah Ki Mashhoor Darsgaah Jamia Umme Quraa Ke Shaikh Muhammad Ali Saabooni Farmate Hai :
Namaz E Taraweeh Ki Rak’aat Ki Ta’dad

Namaz E Taraweeh Sunnat E Muakkadah Hai Jaisa Ke Dalalat Karti Hain Pesh Ki Gayi Ahadees Shareefa Aur Wo 20 Rak’aat Hain Witr Ki Namaz Ke Ilawa, Aur Witr Ke Sath 23 Rak’aat Hojati Hain, Aur Isi Par Sunnat Naafiz Hui Aur Ummat Ka Ittefaq Hua Salaf Se Khalaf Tak, Khaleefa E Raashid Hazrat Umar Bin Khattab Razi Allahu Anhu Se Lekar Hamare Is Zamane Tak….. Is Me Kisi Faqeeh Ka Ikhtelaaf Nahi Hai Aimma Arba Mujtahideen Me Se Illa Jo Dar Ul Hijrat Ke Imam “Maalik Bin Anas”-Razi Alalhu Anhu- Se Is Mamle Me Ziada Rak’aat Ka Qaul Marwi Hai, 36 Rak’aat Tak Aur Doosri Riwayat Me -Jo Unse Marwi Hai- Ehtejaj Karte Hue Ahle Madina Ke Amal Se, Jo Nafe’ Rah Ne Riwayat Kiya Hai Ke Unho Ne Kaha:
“Maine Logo Ko Paaya Ramazan Me 39 Rakaat Padhte Hue ,Usme 3 Rakat Witr Padhte Hue” Baherhaal Un (Imam Maalik) Ki Mashhoor Riwayat , Wah Hai Jisme Wo Jamhoor “Shafiya, Hanabala Aur Ahnaaf ” Se Muwafaqat Karte Hain, Chunanche Wo 20 Rak’aat Hai Aur Isi Par Mazaahib E Arba’aa Ka Ittefaq Hai. Aur Ijmaa’ Mukammal Hua Hai. Aur Allah Kaafi Hai Momineen Qitaal Ke Shar Se.

(Al Hadyun Nabawis Saheeh Fii Salatit Taraweeh 52,53)

Khulasa:

1)Dekhye Shaikh Sahab Ne Likha Hai Ke Kisi Faqeeh Ne 20 Rakaat Taraweeh Se Inkaar Nahi Kiya Hai Ab Jo Inkar Karta Hai Kaun Hai Ap Khud Samajhlen.

2)Aur Shaikh Sahab Ne Ijmaa 20 Par Kaha Hai.

3) Salaf Se Khalaf Sab Ka Amal 20 Rakat Taraweeh Par Likha Hai.

Scan page

image

 


Taraveh ki 20 Rakaate Sunnat Hai

 

Mohtaram Islaami Bhaiyo ! Jab Ramzaan Ka Mubarak Mahina Shuru Hota Hai Toh Khush Naseeb Musalmaan Allah Tala Ki Zyada Se Zyada Ibaadat Karne Aur Uski Raza Wa Khushnudi Se Apne Daman Ko Khoob Bharne Ki Anthakh Koshish Karne Lagte Hai.Khud Sarkaar E Do Aalam Khataman Nabiyeen Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Bhi Yahi Haal Rehta Tha Ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ramzaan ul Mubarak Me Ibaadat Wa Riyaazat Me Itni Mehnat Farmaate The Jitni Dusre Mahino Me Nahi Farmaate The.
…..
Isi Waje Se Is Mahine Ke Andar Salaf-O-Saleheen Aur Buzurgaan E Deen Ki Tilawat E Quran , Namaz Aur Sadqaat Wa Khairaat Me Bahut Izafa Hojata Tha.Masalan Imam Bukhari Rh. Sirf Ramzaan Me 61 Quraan E Paak Padhte The.(Hadiul Saari ) Aur Naik Musalmaan Bhi Rozaana Ki Farz Wa Sunnat Aur Tahajjud Ke Alwa Mazeeb 20 Rakaat Taraveh Bade Zauq Aur Shauq Se Adaa Karte Hai.
…..
Lekin Afsoos Hai Ke Maujuda Daur Ke ghair Muqallideen Ahle Hadees Hazraat Is Maah E Mubarak Me Bhi Musalmaano Ko Ibaadat Ki Kasrat Se Rok Rahe Hai Aur Zyada Ibaadat Karne Ko Biddat Aur Gunah Ka Kaam Kehkar Khud Bhi Is Maah Ki Barkato Se Mehroom Ho Rahe Hai Aur Dusro Ko Bhi Mehroom Kar Rahe Hai.Ghair Muqallideen  Ka Yeh Dawa Hai Ke Taraveh Sirf 8 Rakaat Hi Sunnat Hai Aur Usse Zyada Padhna Ya 8 Rakaat Taraveh Ke Alawa Alag Tahajjud Padhna Biddat Hai.Maujuda Jamaat Ahle Hadees Ka Yeh Dawa Dalail Ke Roh Se Bilkul Galat Aur Haq Ke Khilaaf Hai , Kyunke 20 Rakaat Taraveh Hadees E Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam , Asaar E Sahaba Rdh. Aur Ijma E Ummat Se Saabit Hai.Ba-Taur E Namuna Kuch Mustanad Wa Motabar Rivayaat E Naqal Ki Jaati Hai.
…..
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Mubarak Amal
…..
Hazrat Abdullah Bin Abbas Rdh. Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramzaan Ke Mahine Me 20 Rakaat Taraveh Aur Witr Padhaa Karte The.(Musannaf Ibn Abi Shaiba 225/5 , Hadees : 7774)
….
Yeh Hadees Hasan Darje Ki Hai.(Tafseel Ke Liye Padhe : Ahsaanul Taqfeeh Lau Rakaatut Taraveh ).
….
Hazraat Khulfa E Rasheedin Rdh. Aur Sahaba Ikraam Rdh. Ka Amal
….
Yazeeb Bin Qaseefa Hazrat Saaeb Bin Yazeed Rdh. Se Rivayat Karte Hai Ke Aap Ne Farmaya: Hum Hazrat Umar Rdh. Ke Zamana E Khilaafat Me 20 Rakaat Taraveh Aur 3 Witr Ke Saat Qiyaam Karte The.(Marifa tul Sunanul Asaar 540/9).
….
Is Rivayat Ki Sanad Ko Imam Sabki Rh. Ne Sharah Minhaaj Me Aur Mulla Ali Qari Rh. Ne Sharah Muwatta Me Saheeh Qaraar Diya Hai.(Tohfatul Hauzi 75/2) Imam Ghazali Rh. Bhi Is Ki Sanad Ko Saheeh Kehte Hai.(Shara Al Taqreeb 97/3).
….
Hazrat Saaib Bin Yazeeb Rdh. Farmaate Hai Ke Hazrat Umar Rdh. Aur Hazrat Usmaan Rdh. Ke Zamane Me (Sahaba Rdh. Tabien Ba Jamaat) 20 Rakaat Taraveh Padhte The Aur (Qaari Saahibaan) 100 100 Ayaat Wali Surte Padhte The Aur Log Taweel Qiyaam Ke Waje Se Hazrat Usmaan Rdh. Ke Daur Me Laatiyo Ka Sahaara Lete The.(Sunan E Kubra 499/2 , Hadees No: 4617).
….
Alama Nawawi Rh. Ne “ Khulaasatul Ahkaam: 576/1 , Hadees: 1961 Me , Ibn Iraaqi Ne “Shara Al Taqreeb : 97/3 “ Me Aur Suyuti Rh. Ne “ Al Musaabeh “ Me Aur Muhaddis Nimawi Rh. Ne Asaar Ul Sunan 394/2 , Me Is Rivayat  Me Saheeh Qaraar Diya Hai. Maulvi Ayub Saabir Ahle Hadees Likhte Hai: Is Hadees Ki Sanad Bilaa Ghubaar Saheeh Hai.(Tehqeequt Taraveh: 51 , Ba-Hawala Rakaatut Taraveh Ek Tehqiqi Jayeza : 81).

4.Yahiya Bin Saeed Kehte Hai Ke Hazrat Umar Rdh. Ne Ek Aadmi Ko Hukum Diya Ke Wo Logo Ko 20 Rakaat Taraveh Padhaye.(Musannaf Ibn Abi Shaiba , Jild 5 , Safa 223).
….
Is Rivayat Ki Sanad Mursal E Saheeh Hai.(Asaar E Sunan: 396/2)
….
5.Yazeed Bin Romaan Kehte Hai Ke Log (Sahaba Wa Tabien) Hazrat Umar Rdh. Me Zamane Me 23 Rakaate Padhte The.(20 Rakaat Taraveh Aur 3 Rakaat Witr).(Muwatta Imam Malik 98).Yeh Rivayat Mursal Saheeh Hai.(Asaar E Sunan Jild 2 Safa 396).
….
6.Hazrat Hasan Rh. Se Rivayat Hai Ke Hazrat Umar Rdh. Ne Logo Ko Hazrat Ube Bin Kaab Rdh. Ki Imamat Par Jama Farmaya.Wo Logo Ko 20 Rakaat Namaz E Taraveh Padhate The.(Sunan Abu Dawud Safa: 211 , Hadees No: 1429).
….
Daur Hazrat Ali E Murtuza Rdh.
….
Hazrat Ali Rdh Ne Ramzaan Ul Mubarak Me Qariyo Ko Bulaaya Phir Unme Se Ek Qaari Ko Hukum Diya Ke Logo Me 20 Taraveh Padhaye Aur Hazrat Ali Rdh. Khud Unhe Witr Padhate The.(Sunan E Khubra Baihaqi Jild 2 Safa 699 , Hadees No: 462 ).
….
Imamul Fuqaha Imam Shafii Rh. Ka Aankho Dekha Haal Aur Imam Tirmizi Rh. Ka Muttafiqaana Faisla.

Aksar Ahle Ilm Ka Maslak Wahi Hai Jo Hazrat Ali Rdh. Aur Hazrat Umar Rdh.Wa Digar Sahaba Ikraam Rdh. Se Manqool Hai Ke Taraveh Ki 20 Rakaate Hai.Hazrat Sufiyaan Suri Rh. , Ibn Mubarak Rh. Aur Imam Shafii Rh Ka Yahi Maslak Hai Aur Imam Shafii Rh. Farmaate Hai Ke Maine Apne Watan Makkah Mukkaramah Ke Badshaaho Ko 20 Rakaat Taraveh Padhte Dekha Hai.(Tirmizi : 166/1 , Hadees No : 806 ).

Alhamdulillah Ibtedah Se Laikar Aaj tak Harmain Sharifain Makkah Mukkarmah Aur Madine Munawwarah Me Har Saal 20 Rakaat Taraveh Hi Padhai Jaarahi Hai.
….
Hazraat Khulfa E Rasheedin Rdh. Ke Alawa Degar Sahaba Rdh. Aur Tabien E Izaam Rh. Se Bhi Taraveh Ke 20 Rakaat Hi Manqool Hai.(Tafseel Ke Liye Padhe , Namaz E Paiyambar , Hadees Aur Ahle Hadees)
….
Aslaaf E Ummat Ka 20 Rakaat Taraveh Par Ittefaaq.
….
Imam Ibn Qudama Hambali Rh. Ki Tehqeeq E Sadeed.
….
Aur Imam Ahmed Bin Hambal Rh. Ke Yaha Pasandida Amal 20 Rakaat Ka Hai Aur Hazrat Sufiyaan Suri Rh. Bhi Yahi Kehte Hai Aur Unki Daleel Yeh Hai Ke Jab Hazrat Umar Rdh. Ne Sahaba Rdh. Ko Hazrat Ube Bin Kaab Ki Iqtedaa Me Jamaa Kiya Toh Wo 20 Rakaat Padhte The Neez Hazrat Imam Ahmed Bin Hambal Rh. Ka Istaid-Laal Hazrat Yazeeb Rdh. Wa Hazrat Ali Rdh. Ki Rivayat Se Hai.Imam Ahmed Rh. Farmate Hai Ke Yeh Ijma Ke Darje Me Hai Aur Jis Cheez Par Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sahaba Rdh. Amal Pai-raa rahe Ho Wahi Ittebaa Ke Zyada Laa-eq Hai.(Mukhlis Al Mughni : 139/2)
….
Shaarih E Saheeh Muslim , Alama Nawawi Shafii Rh. Ka Wazeeh Fatwa

Jaanlo Ke Namaz E Taraveh Ke Sunnat Hone Par Tamaam Ulama Ka Ijma Hai Aur Yeh 20 Rakaat Hai Jin Me 2 Rakaat Ke Baad Salaam Phairaa Jaata Hai.(Al Azkaar Safa No:242 )
….
Alama Ibn Taimiya Hambali Rh. Ka Dotook Ahlaan E Haq.
….
Yeh Baat Saabit Ho Chuki Hai Ke Hazrat Ube Bin Kaab Rdh. , Sahaba Rdh. Wa Tabien Rh. Ko Qiyaam E Ramzaan Me 20 Rakaat Taraveh Aur 3 Witr Padhate The.Isi Waje Se Aksar Ulama Ke Rai Yeh Hai Ke Yahi Sunnat Hai Kyunke Muhajireen Wa Ansaar Me Se Kisi Ne Bhi Is Par Aiteraaz Nahi Kiya.(Fatawa Ibn Taimiya 68/23).

Peeraane Peer Shaik Abdul Qadar Jilaani Hambali Rh. Ka Naara E Haq.
….
Namaz E Taraveh Huzur E Sarwar E Kaunain Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Hai Aur Wo 20 Rakaat Hai.(Ghaniyatut Taalibeen  :464).

Shaikul Islaam Muhammed Bin Abdul Wahaab Hambali Rh. Ka Naara E Haq.
….
Shaikul Islaam Muhammed Bin Abdul Wahaab Rh. Se Namaz E Taraveh Ki Tadaad Ke Bare Me Pucha Gaya Toh Shaik Ne Jawaab Diya: Ke Mere Nazdeek Pasanad Dida Aur Mustahab 20 Rakaat Taraveh Hai.(Taujihaat Fii Shaan Salatut Taraveh Wa Duaa Al Qunoot: Safa 20-21 , Majmua Mu-Allafaat Shaik Muhammed Bin Abdul Wahaab : 117/4 , Ba-Hawala Rakaatut Taraveh Ek Tehqiqi Jayeza).

8 Rakaat Taraveh Ke Dalail Ki Haqiqat.
….
Hazrat Ayesha Siddiqua Rdh. Se Rivayat Hai Ke “ Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam  Ramzaan Aur Ghair E Ramzaan Me 11 Rakaat Se Zyada Nahi Padhte The.(Saheeh Bukhari 269/1) Fuqaha Wa Muhaddiseen Ke Nazdeek Bukhari Shareef Ki Is Hadees Ka Taalluq Namaz E Tahajjud Se Hai Taraveh Se Nahi Hai.Jaisa Ke Shah Abdul Aziz Muhaddis Dehalwi Rh. Saaf Tehreer Farmate Hai: Jis Rivayat Me Yeh Bayaan Kiya Gaya Hai Ke Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ramzaan Aur Ghair Ramzaan Me 11 Rakaat Se Zaaid Na Padhte The Toh Issse Muraad Tahajjud Ki Namaz Hai Jo Ramzaan Aur Ghair Ramzaan Me Barabar Thi.(Fatawa Aziziya 119 , Ba-Hawala : Ahsaan Al Tanqeeh 175 ).
….
Kisi Saheeh Hadees Se Yeh Saabit Nahi Hai Ke Huzur E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ya Sahaba Ikraam Rdh. Ramzaan Me Hamesha Sirf 8 Rakaat Taraveh Padhte The. Aur Jitni Riwayaat Me 8 Rakaat Ka Zikr Aaya Hai , Wo Bahut Hi Zaeef Hai Kyunke Har Rivayat Me 2 Raavi Be-Had Zaeef Hai.Neez Muwatta Imam Malik Me Hazrat Umar Rdh. Se Ek Rivayat 11 Rakaat Ki Naqal Ki GayiHai.Lekin Raavi Ke Wahem Aur Muztiraab Hone Ki Waje Se Isko Zaeef Qaraar Diya Gaya Hai.(Tafseel Ke Liye Mutala Kijiye: Ahsaanul Tanfeeh Lau Rakaatut Taraveh , Namaz E Paiyambar , Rakaatut Taraveh , Ek Tehqiqi Jayeza).
….
Firqa E Ghair Muqallideen Hindustani Ahle Hadees Ke Maslak Ke Khilaaf Aaj Bhi Masjid E Haram Aur Masjid E Nabawi Madine Munawwarah Me Chaaro Maslako Aur Ijma E Ummat Ke Mutaabiq 20 Rakaat Taraveh , Jumma Ke Din 2 Azaane , Mimbar Par 2 Arabi Khutbe Hote Hai Aur Khutbe Me Chaaro Khulfa E Rasheedin Ke Naam Liye Jaate Hai Aur Waha ke Imaam aur Tamaam Ulama sar dhaak kar namaz padhte hai aur Hanafi Maslak Ke Mutabiq Namaz Ki Pehli Aur Teesri Rakaat Me Jalsa E Isterahaat Nahi Karte Balke Fauran Kadhe Hojaate Hai.
….
Sochiye ! Kis Ka Amal Makkah Madine Wale Deen Ke Mutabiq Hai Aur Kis Ka Amal Uske Khilaaf Hai.

 

 


Imam Malik Rh. ka Mazhab 36 Rakaat Taraveh Kyun hai ?

 

1 – Imam Ibn Qudaama Rh. Farmaate hai ke
…..
Baaz ahle Ilm ka Bayaan hai ke Ahle Madina ne Yeh (Mazeed 16 Rakaat ka) Amal Isliye Kiya ke Unhone Ahle Makkah ki Baraabari Karni Chah tha , Kyunke Ahle Makkah har Tarwihe ke Darmiyaan (Kaabe ke) 7 Chakkar (Yaani Tawaaf) Karte the , Pas Ahle Madina Har 7 Chakkar ki Jagah 4 Rakaat Nafil Padh Diya. (Al Mughni : Jild 2 : Safa 602)
…..
Scan Page :

image

2 – Imam Nawawi Rh. Farmaate hai ke
…..
سَبَبُهُ أَنَّ أَهْلَ مَكَّةَ كَانُوا يَطُوفُونَ بَيْنَ كُلِّ تَرْوِيحَتَيْنِ طَوَافًا وَيُصَلُّونَ رَكْعَتَيْنِ وَلَا يَطُوفُونَ بَعْدَ التَّرْوِيحَةِ الْخَامِسَةِ فَأَرَادَ أَهْلُ الْمَدِينَةِ مُسَاوَاتَهُمْ فَجَعَلُوا مَكَانَ كُلِّ طَوَافٍ أَرْبَعَ رَكَعَاتٍ فَزَادُوا سِتَّ عَشْرَةَ رَكْعَةً وَأَوْتَرُوا بِثَلَاثٍ فَصَارَ الْمَجْمُوعُ تِسْعًا وَثَلَاثِينَ وَاَللَّهُ أَعْلَمُ
…..
Imam Malik Rh. aur degar Ahle Madina Ka 36 Rakaat Padhne ka Sabab yeh hai ke Ahle Makkah har 2 Tarawiho ke Darmiyaan Yaani 4 Rakaat ke Baad Kabatullah ka Tawaaf Karte the aur 2 Rakaat Tawaaf ke Padhte the Jabke Panchve Tarwihe ke baad Tawaaf Nahi Karte the.Lehaaza ahle Madina Unke Saat Baraabari ke Liye Har Tawaaf ki Jagah 4 Rakaat (Nafil)  Zyaad Padhna Muqarar Karli aur 16 Rakaat ka Izaafa Kardiya aur 3 Rakaate Witr Padhte the.
….
Isi Tarah Unki Majmuyi Ta’adaad Witr Ke Saat 39 Rakaat Hogayi. (Al Majmu : Jild 3 : Safa 527)

Scan Page :

image

3 – Imam Aaini Rh. Farmaate hai ke
…..
وَالْجَوَاب عَمَّا قَالَه مَالك أَن أهل مَكَّة كَانُوا يطوفون بَين كل ترويحتين وَيصلونَ رَكْعَتي الطّواف وَلَا يطوفون بعد الترويحة الْخَامِسَة فَأَرَادَ أهل الْمَدِينَة مساواتهم فَجعلُوا مَكَان كل طواف أَربع رَكْعَات فزادوا سِتّ عشرَة رَكْعَة وَمَا كَانَ عَلَيْهِ أَصْحَاب رَسُول الله – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم َ – أَحَق وَأولى أَن يتبع
….
Imam Malik Rh. (ke 36 Rakaat) ka Jawaab yeh hai ke Ahle Makkah Har Tarwihe ke Darmiyaan Waqfe me Tawaaf Karte the aur 2 Rakaat Tawaaf ke Nafil bhi Padhte the Lekin Paanchwe Tarwihe ke Darmiyaan Tawaaf Wagaira nahi karte the , Pas Ahle Madina Unki Baraabari ke Khiyaal se Har Tawaaaf ki Jagah 4 Rakaat Rakh Diya.
….
Is Tarah Unhone 16 Rakaato ka Izaafa Kiya. (Umdatul Qaari : Jild 7 : Safa 178)

Scan Page :

image

4 – Imam Suyuti Rh. ne Muqtalif Alfaaz me Yahi Baat Bayaan ki hai. (Al Masaabih Fii Salatut Taraveh : Safa 32-33)

Scan Page :

image

5 – Imam Qastalaani Rh. Farmaate hai ke
….
Maalikiya Kehte hai ke Taraveh Witr ke Saat 23 Rakaat hi thi , Phir 16 Rakaat (Ba-taur e Nawaafil Badhaakar) 39 Rakaat (36 Rakaat Taraveh aur 3 Witr) Qaraar di Gayi.
….
(Irshaad us Saari Sharah Bukhari : Jild 3 : Safa 426)

Scan Page :

image

Iski Wajah Bayaan karte huwe Imam Qastalaani Rh. Farmaate hai ke
….
Makkah ke Log 2 Tarwihe ke Darmiyaan ke Darmiyaan Khaan e Kaba’a ka Tawaaf Kiya Karte the , Toh Ahle Madina ne Sawaab me Unki Baraabari Karne ke Khiyaal se Har Tawaaf ke badle me 4 Rakaato ka Izaafa Karliya, chunaanche Ahle Makkah Tawaaf Karte the, Toh Ahle Madina ne 16 Rakaato ka Izaafa Karliya. (Irshaad us Saari Sharah Bukhari : Jild 3 : Safa 426)

Scan Page :

image

Isse Chand Baatein Maloom Hoti hai Jo ke Darj e Zail hai :
….
1 – Ahle Madina sirf 20 Rakaat Taraveh Jamaat se Padhte the.
….
2 – aur Mazeed 16 Rakaat NAWAAFIL ki Niyaat se Padhte the.
…..
3 – 16 Rakaat Padhne ki Wajeh yeh hai ke Ahle Makkah se Naikiyo me Aage Pardne Ka Jazba , Jaisa ke Tafseel Upar Guzar chuki hai.
….
Aur Isi ko Ikhtiyaar Kiya Imam Malik Rh. ne.
….
Algarz Pata Chala ke Imam Malik Rh. ke Nazdeek Bhi Aimma e Salaasa(Imam Abu hanifa Rh.,Imam Muhammed Bin Idrees Ash-shafa’i Rh. aur Imam Ahmed Rh.) ki Tarah Asal Taraveh 20 Rakaat hi thi.
…..
Mazeed 16 Rakaat hai Uska Darja Nawaafil ka hai.
….
Wallahu’Alam.

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads