MAULANA TARIQ JAMEEL SAHAB AUR GUSTAKHE SAHABA AUR GHAIR MUQALLIDEEN

 

MAULANA TARIQ JAMEEL SAHAB AUR GUSTAKHE SAHABA AUR GHAIR MUQALLIDEEN
…..
Bismillahir Rahmaanir Raheem!
…..
Assalamu Alaikum.
…..
Qaraeen! Allah Ta’ala ne Quran e Majeed me farmaya:
…..
“Aye Iman Walo ! Agar koi FASIQ tumhare pass koi Khabar lekar aye to Khoob Tehqeeq kar lya karo, aisa na ho ke kisi Qaum ko nadani se Nuqsan pohanchado, phir tumko apne kiye par Sharminda hona pade.”(49:6)
….
Aur Ap Sallallahu alaihi wasallam ka Irshad hai
….
وحدثنا عبيد الله بن معاذ العنبري، حدثنا أبي، ح وحدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبد الرحمن بن مهدي قالا: حدثنا شعبة، عن خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن أبي هريرة قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «كفى بالمرء كذبا أن يحدث بكل ما سمع»
….

“Admi ke Jhoota hone ke lye yahi kafi hai k suni sunai baat (bagair tehqeeq) ke doosro tak pohanchaye.”
….
(MUQADMA SAHEEH MUSLIM BAAB NAHI ANIL HADEES BI-KULLI MAA SAMI’AA.)
….
Ghair Muqallideen ka ek Mashhoor Mashghala hai ke wo chahte hain ke Logon ko Maulana Tariq Jameel sahab damat barakatuhum se mutanaffar karden.
….
Sunan Tirmizi ki ek Hadees me Ap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
….
حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ، قَالَ: حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الحَسَنِ بْنِ أَبِي يَزِيدَ الهَمْدَانِيُّ، عَنْ ثَوْرِ بْنِ يَزِيدَ، عَنْ خَالِدِ بْنِ مَعْدَانَ، عَنْ مُعَاذِ بْنِ جَبَلٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ عَيَّرَ أَخَاهُ بِذَنْبٍ لَمْ يَمُتْ حَتَّى يَعْمَلَهُ قَالَ أَحْمَدُ: قَالُوا: مِنْ ذَنْبٍ قَدْ تَابَ مِنْهُ.

هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ
….
“Jo Apne Bhai ko kisi Gunah par Aar dilaye wo nahi marega jab tak ke wo us gunah me Mubtala na hojaye. Ahmad Bin Munee’ rah ne farmaya :”Aisa Gunah jise wo Tauba karchuka tha.”(Sunan Tirmizi 2505, Shobul Imaan 6271)
….
Imam Tirmizi ne is Hadees ko Hasan kaha hai aur isi Baat Ko Hafiz Ibne Hajar Asqalani rahmatullahi aliah ne me hadees 1529 ke zail me Zikr farmaya hai.
….
Isi baat ko Tafseer e Samarqandi me Abul Lais Samarqandi rahmatullahi aliah (mutawaffa 373 Hijri) ne Surah Nisa ayat no 18 ki Tafseer me hazrat Hasan Basari rahmatullahi se naqal kiya hai.
….
قال: حدثنا محمد بن الفضل، قال: حدثنا محمد بن جعفر، قال: حدثنا إبراهيم بن يوسف، قال: حدثنا أبو حفص، عن صالح المري، عن الحسن قال: مَنْ عيّر أخاه بذنب قد تاب إلى الله منه ابتلاه الله به.
….
Neez Allama Qurtubi rah (M 671 Hijri) ne bhi Hazrat Hasan rah se yahi naqal kiya hai Tafseer Qurtubi me.
….
Hafiz Ibne Abi Dunya rah(Mutawafa 281 Hijri) ne bhi Sanad ke Sath apni kitab AL-SUMT  me ye Hadees Marfoo naqal ki hai.
….
288 – حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْحَسَنِ بْنِ أَبِي يَزِيدَ الْهَمْدَانِيُّ، عَنْ ثَوْرِ بْنِ يَزِيدَ، عَنْ خَالِدِ بْنِ مَعْدَانَ، عَنْ مُعَاذِ بْنِ جَبَلٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” مَنْ عَيَّرَ أَخَاهُ بِذَنْبٍ – قَالَ ابْنُ مَنِيعٍ: قَالَ أَصْحَابُنَا: قَدْ تَابَ إِلَى اللَّهِ مِنْهُ – لَمْ يَمُتْ حَتَّى يَعْمَلَهُ
….
Neez Muhammad Bin Saleh Uthaymin ne Riyazus Saaliheen ki Sharah me is hadees ko Support me liya hai.(6/263)
….
Mukhtasar Is Hadees ko Imam Tirmizi ne Munqate kaha hai aur sath me iski Tehseen bhi ki hai ke Ye Hadees HASAN hai aur is ko hi Hafiz e Dunya Ibne Hajar Asqalani ne apni Bulooghul Maram me naqal kiya hai. Baaz ne Zaeef aur Baaz ne Mauzoo bhi kaha hai.
….
Ab Aayye Ghair Muqallideen ki taraf nazar daalte hain wo log Maulana ke Ek bayan ko istemal karte hue kehte hain ke Maulana ne kaha Sahaba ko kaafir kehne wala kaafir nahi hota , aur phir Maulana par Aetrazaat karte hain unme se Aksar ko Ilm hai ke Maulana ne is baat se Rujoo karliya hai aur Bazabta Aelan bhi kiya Aur Bayan bhi diya lekin ye log Bus Maulana aur Ulama e deoband se bughz me andhe hokar Maulana par keechad uchalne ki koshish kar ke khud ruswa horahe hain.
….
Ab Chand Maulana ke Clips ki link ap khud sunlen aur Ghair Muqallideen ka fareb dekhlen.
….
Neez wo Ghair Muqallid jin ko Maulana ka Rujoo ka Ilm nahi wo Bhi Gunah gaar hain Oopar Ki Ayat par amal nahi karne ki wajeh se aur doosra Tehqeeq ka dawa kar ke Taqleed ka rad karne wale Khud Bughz me Andhe Muqallid ban kar.
….
Tableeghi kaam  aur Aalimana  Kaam me Farq hai:-
….

…..

2.Shia ke Mera Aqeeda ab ye hai aur pehle wale se Mai Rujoo kar chuka hun: Maulan Tariq Jameel Sahab
….

….
Amma Jaan Ayesha Razi Allahu anhu ki Shan aur Unka Gustakh Kaafir hai:

….

Sahaba Ka Gustakh kaafir hai Mai Aetraf karta hun Maulana Tariq Jameel sahab:

…..

Sahaba par Tanqeed karna Mana hai aur Takfeer to kufr hai : Maulana Tariq Jameel Sahab

….

6.Sahaba Par JARAH  karne wala Bad Bakht hai chahe wo Mai hun ya Maudoodi ho ya Shia h: Maulana Tariq Jameel sahab
….

….
Sahaba Par Jarah HARAAM aur TANQEED Haram Takfeer karne wala Kaafir hai

….
Sahaba par Jarah Haram hai wo Sab JANNATI hain:
“Mujhe Tareekh ka bada shauk tha. SAhaba ko parakhne ka Miyaar Tareekh nahi, balke Quran o Hadees hai. Maulana Tariq jameel sahab”
….

….

9.Abu Bakr o Omer Razi Allahu anhu ka Gustakh kaafir Maulana Tariq Jameel sahab:
…..

…..
Ab Maulana ka Bil Aelaan Rujoo ke baad Maulana ko Us par Aar dilane wale ka kya haal hoga.
…..
Hadees me to ye bhi Hai ke “Har Bani Aadam Khata kar hai behtreen Khata kaar wo hai jo TAUBA karle.”(Sunan Ibne Majah 4251)
….
حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ قَالَ: حَدَّثَنَا زَيْدُ بْنُ الْحُبَابِ قَالَ: حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ مَسْعَدَةَ، عَنْ قَتَادَةَ، عَنْ أَنَسٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «كُلُّ بَنِي آدَمَ خَطَّاءٌ، وَخَيْرُ الْخَطَّائِينَ التَّوَّابُونَ»

….

Note: Ghair Muqallideen ke har Aetraz me Fareb isi tarah chupa hota hai, to koi baat in Fasiqon ki sune to pehle tehqeeq karlen.
…..
Allah paak Maulana Tariq Jameel sahab ki Umar me Ilm me barkat den aur Ghair Muqallideen( Naam Nihaad) Ahle Hadees ko Hidayat de, khud to Deen ka Kaam karte nahi aur karne walon ki tang kheenchte hain.


Ghair Muqallideen ka fareb

 

Ghair Muqallideen ka fareb
….
Ghair Muqallideen kehte hen k aurat aur mard ki namaz me koi faraq nahi aur daleel me bukhari shareef ki hadees
صلوا کما رایتمونی اصلی
Pesh karte hen yani tum is tarah namaz padho jis tarah tum ne mujhe namaz padhte huwe dekha hai
….
Ghair Muqallideen adhuri hadees pesh kar k dhoka dete hen puri hadees is tarah hai
صلوا کما رایتمونی اصلی .فاذا حضرت الصلوۃ فلیوذن لکم احدکم ولیومکم اکبرکم
Is tarah namaz padho jis tarah tum ne mujhe namaz padhte huwe dekha hai aur jab namaz ka waqt ajae to tum me se ek Azan de
Aur jo tum me se bada ho woh namaz padhae
(BUKHARI JILD AWWAL PAGE 603 MUSAFIR KE LIYE AZAN KA BAAB)
….
Is hadees me 3 hukum hen
1~Tum aise namaz padhna jaise tum ne mujhe namaz padhte huwe dekha hai
2~Tum me se ek Azan de
3~ Tum me se ek Imaam bane
….
Agar yeh hadees mard aur aurat dono k liye hai to Ghair Muqallideen ki aurten Azan kyun nahi deti? ???
….
Ghair Muqallideen ki aurten imam kyun nahi banti? ???
….
Maloom huwa k Ghair Muqallideen is Hadees par amal karte hi nahi

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads