Kya Imam Abu Hanifa Rha.Sayyiul Hifz ( Kharab Hafze Wale) The ?

 

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Hazrat Imam Abu Hanifa r.a Ek Aisi Shakhsiyat Jo kisi Pehchan ki Mohtaj nahi , Ek Aisi Shakhsiyat Jispar Wo Aitraaz Kare gaye Jinse Wo Bari Zimma hain , Unhi Aitraazaat me se Ek Aitraaz SayyiuL Hifz ( Kharab Hafze WaLa ) ki bhi hai… Jise Buniyad Banakar Unki Shakhsiyat ko Majrooh karne ki Koshish Kari Jati hai … Aaj ki Post me Ham Is Aitraaz Ka Insha ALLaah Jayza Lenge aur Dekhenge Ke Kya Waqai Ye Aitraaz Sahih hai , Ya Doosre Aitraazaat ki tarah Mardood hai….

SayyiuL Hifz ki Jirah Imam Abu Hanifa r.a ki zaat par ye Aisi Jirah hai jise Karne WaLe ne Koi MaqooL Wajah Nahi Batai ke Ye Kis Buniyad par Sahih hai , Aur Jirah wa Ta’adeeL ka Mash’hoor UsooL hai Ke Ghair Mufassar Jirah QubooL nahi Hoti ( Aur Wo bhi Ek Aise Imam Par Jiski JaLaLat e Shan ki Duniya QayaL hai , Kahan Se MaqbooL ho Sakti hai ) ….

Khair Aage Barne se PehLe Bata den ke Ye Jirah Imam Nisai r.a aur Imam Ibn Adi r.a ne Imam Abu Hanifa r.a par Kari hai , Aur Bata den Ke Ye Dono Hazraat Mutashaddid hain , jirah me Tashaddud se Kaam Lete hain , IsLiye PehLi bat to ye In Dono ki Jirah QabiL e QubooL nahi , Kyonki UsooL hai ke Mutashaddid ki Jirah QubooL nahi hoti…Doosri bat Dono ke Jirah ghair Mufassar hai , Dono ne Apni Jirah ki MaqooL Wajah nahi Batayi aur Upar Aap par chuke ke Ghair Mufassar Jirah QabiL e QubooL nahi Hoti…

Teesri Wajah ye ke Imam Abu Hanifa r.a Na Sirf Achche Hafze WaLe hain BaLki BaqauL Imam Zehbi r.a Unse Fuqaha aur Muhaddiseen ki itni Bari Jama’at ne Riwayat e Hadees kara hai ke jinka Shumar MushkiL hai … ( Ab Jo Shakhs SayyiuL Hifz ho usse Muhaddiseen aur Fuqaha ki Ek Bari Jama’at Kyon kar Riwayat Legi )

Iske ALawa Mash’hoor Naqqad aur Jirah wa Ta’adeeL ke Imam Hazrat Shauba bin Hajjaj r.a Imam Abu Hanifa r.a Ko Na Sirf Jaid Hafze WaLa Kehte hain BaLki Unko Hadees Bayan Karne ka bhi Hukm dete hain ( Hazrat Shauba r.a Jaise Muhaddis ka Imam Abu Hanifa r.a Ko Hadees Bayan Karne ka Hukm dena aur Unhe Qawi Hafze WaLa Kehna Apne Aap Me Imam Abu Hanifa r.a ki Bohot Bari Tauseeq hai , Kyonki Imam Shauba r.a Imam Abu Hanifa r.a Ke Ham’asar ( Unke Waqt ) hain , Aur Kisi Insan Ko Usse Qarib tar Logon se Behtar Kaun Jaan Sakta hai …

Iske ALawa Imam Bukhari r.a ke Ustad aur Namoor Muhaddis Hazrat Makki Bin Ibrahim r.a Imam Abu Hanifa r.a Ko Apne Waqt Ka Sabse Bara AaLim Kehte hain …( Tareekh Baghdad 473/15)

Dekhiye Scan :

image

Hazrat Hafs bin SaLm r.a Farmate hain ” Imam Abu Hanifa r.a Apne Zamane me Fiqah wa Hadees aur Parhezgari me Imam UL Duniya the , Inki Zaat Aazmaish thi Jisse AhLe Sunnat WaL Jama’at aur AhLe Bid’at me Farq aur Imtiyaz hota tha , Unhe Korhon ( Chabuk ) se Mara gaya ke Duniya Daron ke sath Duniya me ShamiL ho Jayen Magar ( Unhone ) DukhooL Duniya ko QubooL nahi kiya ” … ( AL Intiqa Safah 319 )

Dekhiye Scan :

image

Kya Ek SayyiuL Hifz Insan Duniya Ka Sabse Bara AaLim ho Sakta hai , Jabki Us Waqt Duniya me Imam MaLik r.a , Imam Sufiyan Sauri r.a , Imam Sufiyan Bin Uyyaina r.a , Imam Shauba Bin Hajjaj r.a , Imam Mis’ar Bin Kiddam r.a , Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a Jaise JaLiL uL Qadr Muhaddiseen aur Fuqaha Duniya me Mojood hon…. Hazrat Makki bin Ibrahim r.a Aise Muhaddiseen ke Hote hue Imam Abu Hanifa r.a Ko Sabse Bara AaLim Kehte hain Ye Imam Abu Hanifa r.a Ki na sirf Zabardast Muhaddisana Haisiyat Ki Gawahi hai BaLki Is bat ki bhi Tasdeeq hai Ke Imam Abu Hanifa r.a Qawi UL Zabt hain…

Hazrat AbduLLaah Ibn Mubarak r.a Farmate hain ” Hadees wa Asar Lena tumpar Lazim hai , Lekin Asar Keliye Imam Abu Hanifa r.a ki Zaroorat hai taki Unki Wajah se Hadees Ki Tafseer aur uska Mayne Samjha Ja Sake ” … ( Manaqib Kurduri Safah 53 )

Imam Sadar UL A’imah Hazrat Maufiq r.a Tehreer Farmate hain ” Imam Abu Abdur Rahmaan Muqri r.a Jo Khud bhi As’hab Hadees ke Huffaz aur Bare A’imah me the Imam Abu Hanifa r.a se Bohot si Riwayaten Li hain ” ( Manaqib Maufiq 32/2 )

Ab Aate hain AsLaaf ke Un AqwaL par Jo Imam Abu Hanifa r.a ke Zabardast Hafze par DaLaLat Karte hain :

1:- Namoor Naqqad aur Jirah wa Ta’adeeL ke Mash’hoor Imam Shauba bin Hajjaj r.a Imam Abu Hanifa r.a ke bare me Farmate hain ” ” Wo ALLaah ki Qasam Hasan uL Faham Aur Jaid uL Hifz ( Mazboot Hafze WaLe ) the ” …. ( AL KhairatuL Hisan Safah 36 )

Dekhiye Scan :

image

2:- Mash’hoor Muhaddis IsraiL r.a Farmate hain ” Imam Abu Hanifa r.a Kya hi khoob Mard the ke Unhone Har Aisi Hadees ko Kya hi Achchi tarah Yaad kiya jisse koi Fiqhi Mas’aLa Mustambit ( HaL ) ho Sakta hai aur Wo Hadees ke bare me Bari Bahas Karne WaLe aur Hadees me Fiqhi MasaiL ko Bohot Zyada Janne WaLe the ” .. ( Tareekh Baghdad 464 , TabyizuL Sahifah Safah 27 )

Dekhiye Scan :

image

3:- Mash’hoor Muhaddis Hazrat Mis’ar Bin Kiddam r.a Farmate hain ” Maine Imam Abu Hanifa r.a ke sath Hadees ki TehseeL ( HasiL karna ) ki Lekin wo Hampar GhaLib rahe , aur Zohad me MashghooL hue to wo isme bhi Hampar Faiq ( Bartar ) rahe aur Hamne Inke Sath Fiqah TaLab Kari to isme Unka KamaL tumse Chupa nahi hai ” … ( Manaqib Abi Hanifa r.a Safah 43 )

Dekhiye Scan :

image

( Ye Mis’ar Bin Kiddam r.a Wo Shakhs hain ke Jab Imam Shauba r.a Aur Imam Sufiyan Sauri r.a ke Beech Kisi Hadees ke MamLe me Ikhtilaf hota to Dono Kaha Karte ” Ham Dono ko Mis’ar r.a ke Paas Le ChaLo Jo Fan e Hadees ke Meezan e ILm hain ” Zara Ghaur Karen Imam Shauba r.a Aur Imam Sufiyan r.a Dono Ameer uL Momineen FiL Hadees hain , Jab In Buzurgon ki Meezan ( Imam Mis’ar r.a ) Jis Zaat ( Imam Abu Hanifa r.a ) ke Bare me ye Shahadat de ke wo ILm e Hadees me Hampar Foqiat rakhti hai , Us Shakhs Ka ILm e Hadees me Kya Maqam hoga…. Kya SayyiuL Hifz Shakhs In Shakhsiyaton se Behtar ho Sakta hai )

4:- Hazrat Yazeed Bin Haroon r.a Farmate hain ” Imam Abu Hanifa r.a Muttaqi , Paakbaaz , AaLim , Sadaqat aur Apne AhLe Zamana me ( Apne Waqt me ) Sabse Bare Hafiz e Hadees the ” … ( Akhbar Abi Hanifa r.a Safah 48 )

Dekhiye Scan :

image

5:- Hazrat Muhammad bin Yusuf SaLhi r.a Farmate hain ” MaLoom Hona Chahiye ke Imam Abu Hanifa r.a Kabaar Huffaz e Hadees me se hain , aur AgLe Safhon me ye Bat Guzar Chuki ke Imam Sahab r.a Chaar Hazaar Shuyookh Taba’ieen Wagherah se TehseeL ILm Kiya hai aur Hafiz Naqid Imam Zehbi r.a ne Apni Mufeed Tareen Kitab TazkiratuL Huffaz me Huffaz e Muhaddiseen me Imam Sahab r.a ka bhi Zikr kiya hai ” ( Jo Imam Abu Hanifa r.a ke Hafiz e Hadees hone ki Bari Pukhta DaLiL hai ) ( Uqood uL Jam’aan Safah 294 )

Dekhiye Scan :

image

( Is TafseeL se pata ChaLta hai Imam Zehbi r.a ki Nigah me Imam Abu Hanifa r.a Muhaddis , Hafiz , Imam uL Hadees , Kaseer uL Riwayataat , Sabt , Hujjat hone ke Sath HamiL uL ILm bhi the )

6:- Hazrat Yahya Ibn Maeen r.a Farmate hain ” Imam Abu Hanifa r.a Hadees me Siqah the ” ( Tehzeeb uL KamaaL 424/29 )

Dekhiye Scan :

image

7:- Hazrat ALi Bin Madeeni r.a Farmate Hain ” Imam Abu Hanifa r.a se Sufiyan Sauri r.a , AbduLLaah Ibn Mubarak r.a , Hammad Bin Zaid r.a , Hasheem r.a , Waki’i Bin Jarrah r.a , Ubaad Bin Awaam r.a , J’afar Bin Aon r.a Riwayat Karte hain , Wo Siqah the aur Unme Koi Kharabi nahi thi ” ( Jam’e Bayan uL ILm Safah 1083/1 )

Dekhiye Scan :

image

In Do Imamom ki Tauseeq ke bad Goya kisi Ki Tauseeq ki Zaroorat nahi , Kyonki Ye Dono Jirah wa Ta’adeeL ke Mash’hoor Imam hain…Aur Dono ke AqwaL se Imam Abu Hanifa r.a ki Na Sirf Zabardast Muhaddisana Haisiyat Pata ChaLti hai , BaLki Ahadees ke MamLe me Unme Koi Kami nahi Iska bhi pata ChaLta hai….

Iske ALawa Asma wa RijaL ke Mash’hoor aur Azeem Imam Ibn Hajar AsqaLani r.a ne Imam Nisai r.a ki Jirah ka MaqooL Jawab diya hai , Poora Jawab NaqaL karna MushkiL hai Mukhtasran Jawab NaqaL Karte hain :
Hazrat Ibn Hajar AsqaLani r.a ne Jawab diya ” Imam Nisai r.a A’imah Hadees me se hain Inhone Imam E A’azam r.a ke bare me Jo Bat Kahi hai Wo Apne ILm aur Ijtihad ke Mutabiq kahi hai… Aur Har Shakhs ki Har Baat Laiq e QubooL nahi hoti… ( Aage Farmate hain ) Inka ( Imam Abu Hanifa r.a ) ka MasLak ye tha ke Usi Hadees Ko NaqaL Karna Durust hai Jo Sunne ke Waqt se Bayan Karne ke Waqt tak ( MusaLsiL ) Yaad Ho , Baab Riwayat me Isi Karhi Shart ki Bina Par Inse ManqooL Riwayaten kam ho gayi hain Warna Wo Nafsihi Kaseer uL Riwayat hain ….. BaharhaaL ( Imam A’azam r.a ke MutaLLiq ) is Tarah Ki Baaton me na Parhna hi Behtar hai Kyonki Imam Abu Hanifa r.a aur In Jaise A’imah e Deen In logon me hain Jo is PuL ( Jirah wa Ta’adeeL ) ko Paar kar Chuke hain , Lihaza In me se Kisi ki Jirah Mausar ( QubooL ) nahi hogi ” …

Dekhiye Scan :

image

Iske ALawa HaaL ke Mash’hoor SaLfi AaLim aur Muhaqqiq Hazrat Shoaib Arnaut ki Tehqeeq se Chapi Imam Zehbi r.a Ki ” Ser A’aLam un NubLa ” ke Hashiye me Bhi Imam Nisai r.a aur Ibn Adi r.a ki Jirah ka MaqooL Jawab diya gaya hai , Farmate hain :
” Imam Nisai r.a Aur Ibn Adi r.a se Hifz ke Aitbaar se Jo Imam Abu Hanifa r.a ki T’azeef ManqooL hai , Bas wo Mardood hai MaqbooL nahi , Imam Jirah wa Ta’adeeL ALi Bin Madeeni r.a , Yahya Ibn Maeen r.a , Shauba r.a , IsraiL r.a , Yahya bin Aadam r.a , Ibn Dawood Khuraibi r.a , Hasan bin SaLeh r.a Wagherah ki Tauseeq ke MuqabLe me Iska ( Jirah ) koi Aitbaar nahi… Ye Tamam Imam Abu Hanifa r.a ke Mu’asireen ( Unke Waqt ke ) ya Unse Qareeb hain aur Ye Tamam Log Imam Nisai r.a aur Imam Ibn Adi r.a se Zyada Imam Abu Hanifa r.a se Waaqif the , Kyonki Ye Imam Abu Hanifa r.a se Mutakhireen ( Bad ke Waqt ke ) hain …. ( Kuch Aage Likhte hain ) Imam Ibn Hajar Makki r.a ne AL KhairatuL Hisan me Imam Shauba r.a ka QauL Imam Abu Hanifa r.a ke Bare me NaqaL kara hai Ke ” Wo ALLaah ki Qasam Hasan uL Faham Aur Jaid uL Hifz the ” , Ye Ek Sarih Nas hai Imam Abu Hanifa r.a ke Quwwat e Hifz ke bare me ”
Is QauL e Rasheed se Saqit ho Jate hain Wo Tamam Dawe ko Hasideen , Mut’asibeen ne Kare hain Jo PehLe guzre (ya) Bad me guzre hain ke Is Imam e Azeem ka Hafiza Kamzor hai ” … ( Ser A’aLam un NubLa 394/7 )

Dekhiye Scan :

image

Is QauL se Wo Sari Jirah Radd ho jati hai Jo Imam Sahab ke Quwwat e Hifz ke bare me Kari gayi hai , Aur Aap Logon ne bhi MuLa’ehza Kara hai Imam Abu Hanifa r.a par Doosri Jirahon Ki Tarah Ye Bhi Mardood Jirah Hai….

ALLaah Imam Abu Hanifa r.a ke Darjaat ko BuLand Kare aur Hasidon ke Hasad se Unki Zaat ko Mahfooz rakhe… Aameen Ya RabbaL A’aLmeen
….


Gunyatul Talibeen Aur Imam Abu Haneefa (Rh) Par Murji Honeka Ilzam Ka Jawab

 

Ghair Muqallideen Naam Nihad Ahle Hadees “AHNAF” Par Aiterazz Ke Taur Pe Shaikh Abdur Qadeer Jeelani (Rh) Ki Gunyatul Talibeen Se Ek Ibarat Ko “HANFIYO” Ke Khilaf Pesh Kar Ke “AHNAF” Ko Gumrah Aur Biddati Firqah Kehte Hain…

Chunanche Ghair Muqallideen Kehte Hain Sheikh Abdur Jeelani (Rh) Ne Hanfio Aur Unke Imam Abu Hanifa Nauman Bin Sabit (Rh) Ko Murjiya Firqah Me Shumar Kiya Hai Aur Inko Ghair Najji (Jo Firqa Nijat Pane Wala Nahi) Batlaya Hai..

[Gunyatul Talibeen Lil Sheikh Abdur Qadir Jeelani (Rh), Safa: 222, Mutarjim: Hafiz Mubassir Hussain Lahori, Darul Ilm Mumbai]

Scan Page: Gunyatul Talibeen

image

Hazarat Aaiyeh Iss Ibarat Ka Tafseelan Jawab Mulaihza Karte Hain….

《 Al-Jawab No: 1 》

Gunyatul Talibeen Kitab Ke Bareme Imam Ibn Hajar Haismi (Rh) Ne Apni Kitab Me Farmaya Hai Ke-“Baad Me Logo Ne Aise Bohot Sari Cheeze Dal Di Hain Jo Pehle Nahi Thi”

Chunanche Imam Ibn Hajar Haismi (Rh) Farmatey Hain:

ﻭَﺇِﻳَّﺎﻙ ﺃَﻥ ﺗﻐﺘﺮ ﺃَﻳْﻀﺎ ﺑِﻤَﺎ ﻭَﻗﻊ ﻓِﻲ ‏[ ﺍﻟﻐُﻨْﻴﺔ ‏] ﻹِﻣَﺎﻡ ﺍﻟﻌﺎﺭﻓﻴﻦ ﻭﻗﻄﺐ ﺍﻟْﺈِﺳْﻠَﺎﻡ ﻭَﺍﻟْﻤُﺴْﻠِﻤﻴﻦ ﺍﻟْﺄُﺳْﺘَﺎﺫ ﻋﺒﺪ ﺍﻟْﻘَﺎﺩِﺭ ﺍﻟﺠﻴﻼﻧﻲ، ﻓَﺈِﻧَّﻪُ ﺩﺳَّﻪ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻓِﻴﻬَﺎ ﻣَﻦْ ﺳﻴﻨﺘﻘﻢ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻣِﻨْﻪُ ﻭَﺇِﻟَّﺎ ﻓَﻬُﻮَ ﺑﺮﻯﺀ ﻣﻦ ﺫَﻟِﻚ ﻭَﻛَﻴﻒ ﺗُﺮﻭَّﺝ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻫَﺬِﻩ ﺍﻟْﻤَﺴْﺄَﻟَﺔ ﺍﻟْﻮَﺍﻫِﻴَﺔ ﻣَﻊَ ﺗﻀَّﻠُﻌﻪ ﻣﻦ ﺍﻟْﻜﺘﺎﺏ ﻭَﺍﻟﺴّﻨﺔ ﻭَﻓﻘﻪ ﺍﻟﺸَّﺎﻓِﻌِﻴَّﺔ ﻭﺍﻟﺤﻨﺎﺑﻠﺔ ﺣَﺘَّﻰ ﻛَﺎﻥَ ﻳُﻔْﺘِﻲ ﻋﻠﻰ ﺍﻟﻤﺬﻫﺒﻴﻦ،

Tarjama: Tum par lazim hai ke tum dhoka mat khaao jo Imamul Arifeen aur Qutbul Islam wal Muslimeen Al Ustaz Abdul Qadir jeelani (rh) ki “Ghuniya” me waqeh hua hai. PAS BESHAQ WOH USME DALAA GAYA HAI” Allah Ta’ala use inteqam lenge warna wo Bari hai use. Aur kaise mubham raha ye wahiyaat masla un par Uske Kitab-o-Sunnat aur fiqh-e-Shafai o Hanabal se Sair hone ke bawajood yahan tak ke woh un dono mazhab par fatwa dete the…

[Fatawa Hadasiyah Lil Ibn Hajr Haismi (Rh), Jild: 2, Safa: 280]

Scan Page: Fatawa Hadasiyah

image

Tambeeh: “Gunyatul Talibeen Me Bohot Sari Jagah Tehreef Ki Gayi Hai Jese Ibn Hajr Haismi (Rh) Ka Kehna Hai…”
Chunanche Uss Kitab Se Ibarat Pesh Karke Hanfiyon Ko Gumrah Kehna Jisme Tehrif Hui Ho Bilkul Haddharmi Aur Dhokha Hai..

《 Al-Jawab No: 2 》

Khud Gair Muqallid Naam Nihad Ahle Hadees Ke Hafiz Mubassir Hussain Lahori Sb Ne GUNYATUL TALIBEEN (JO MUMBAI DARUL ILM, MUMBAI SE SHAYYA HUI HAI) USSKE HASSIYAH NIGAR ME Shaikhul Islaam Ibn Taymiyyah (Rh) Ke Hawale Se Imam Abu Hanifa (Rh) Ka Murjiya Honeka RADD KIYA HAI..

Cover Page Scan: Mutarjim Hafiz Mubassir Hussain Lahori Maqtaba Darul Ilm Mumbai..

image

Hafiz Mubassir Hussain Lahori Sb Hashiya Me Likhte Hain: “Gunyatul Talibeen Ke Baaz Nushqoon Me Yahan Hanafiya Ke Jagah GHASSANIYA HAI. Bataure Misaal Dekhiye Al-Gunyat Ma-Ta’aliq Wa Takhreej Iza Abu Abdur Rahman Saleeh Bin Muhammad Bin Owaizi Jild: 1, Safa: 185…
Nez (Murjiya Ka Radd Karte Huwe) Likhte Hain-“Bakki Rahi Yeh Baat Ke Agar Bil Farz Yeh Hanafiya He Hai Toh Shaikh Abdul Qadeer Jeelani Marhoom (Rh) Ne Hanafi Ko Nurjiya Ki Shaakh Kyun Qarar Diya?
Toh Iska Sabab Yeh Maloom Hota Hai Ke Imam Abu Hanifa (Rh) Par “IRJA” KA ILZAM THA! Albatta Iss Ilzam Kiya Aap Ki Jin Aqwal Se Irja Ka Nazariya Kaseed Kiya Jata Hai, Inki Kya Haqeeqat! Woh Toh Zahir Hai Toh Iske Bareme Aqeeda Tahawiyah Shareh (Ibn Abi Al-Izz) Ne Kayi Wazahatein Pesh Ki Hain (Sharah Aqeedah Tahawiyah, Safa: 232-234). Wazeh Rahe SHAIKHUL ISLAAM IBN TAYMIYYAH (Rh) Ne Imam Abu Hanifa (Rh) Ke Bareme Bohot Se Tauseefi Kalmaat Bayaan Farmaye Hain Aur Aap (Rh) Par Lagaye Jane Wale Bohot Se Ilzamaat Rafa Karneke Sath Aap (Rh) Ko Aimma-E-Salaf Me Shumaar Kiya Hai. Bataur Misaal Dekhein Minhaj Al-Sunnah Jild: 1, Safa: 259 wa Jild: 2, Safa: 333.

[Gunyatul Talibeen, Mutarjim: Hafiz Mubassir Hussain Lahori, Safa: 222,223, Darul Ilm Mumbai]

Scan Page: Gunyatul Talibeen Mutarjim: Hafiz Mubassir Lahori

image

Tabsirah: Ghair Muqallid Hafiz Mubassir Hussain Lahori Ke Hashiya Se Do Baatein Wazeh Hoti Hai…

1.Tehreef Karne Walo Ne Ghassaniyah Ke Jagah Hanfiya Se Badal Diya…

2.Imam Ibn Taymiyyah (rh) Ne Imam Sahab Ke Murjiya Hone Ka Radd Kardiya Hai..

《 Al-Jawab No: 3 》

Ghair Muqallideen Ke Mayanaz Alim Wa Imaam, Shaykh Zubair Ali Zai (Rh) Ke Nazdeeq “GUNYATUL TALIBEEN” Ke Nushqhe Sahih Sanad Se Sabit Nahi Hain….

Chunanche Allama Zubair Ali Zai (Rh) Ek Sawal Ke Jawab Me Tambeeh Karte Huwe Farmatey Hain-“MARWAJ (ASLI) GUNYATUL TALIBEEN KE NUSKHE KI SAHIH WA MUTTASIL SANAD MERE ILM ME NAHI HAI-WALLAHU’ALLAM”

[Fatawa Ilmiyyah, Jild: 2, Safa: 421]

Scan Page: Fatawa Ilmiyyah

image

Lehaza Woh Kitab Jo Ghair Muqallideen Ke Imaam Wa Shaykh Ke Nazdeeq Sabit Nahi Hai Uss Kitab Ka Hawala Dena Batil Wa Fareeb Hai….

《 Al-Jawab No: 4 》

Khud Ghair Muqallideen Naam Nihad Ahle Hadeeso Ke Allama Ne Iss Ilzam Ya Bohtan Ka Radd Kiya Hai Apni Kitab Taarekh Ahle Hadees Me….

Maulana Ibrahim Sialkoti Sahaab Apne Mashoor Kitaab Taarekh e Ahle Hadees me Likhte hai-“Beshak Baaz Musannifeen ne (Khuda Unpar Rahem Kare) Imam Abu Hanifa (Rh.), Imam Muhammed (Rh.), Imam Abu Yusuf (Rh.), Ko Rijaal-E-Murjiya Me Shumaar Kiya Hai..
Aage Jawaab Dete Huwe Kehte Hai Ke Yeh Aap Par BHOTAAN Hai..

[Tareekh E Ahle Hadees, Safa: 56]

Scan Page:Tareekh Ahle Hadees

image

《 Al-Jawab No: 5 》

Jamhoor Muhaddiseen Wa Ulama-E-Deen Ne Imam Abu Hanifah (Rh) Ke Murjiya Honeka Radd Kiya Hai Bataur-E-Misaal..

1. Imam Muhammad (Rh) Likhte Hain Ke Kisi Bhi “SALAF” Ko Murjiya Kehna “KUFR” Hai..
[Kitab Jadd Us-Sunnah]

2. Imam Abu Bakr Ibn Abdul Barr Maliki (Rh) Ne Bhi Imam Abu Hanifah (Rh) Ka Murjiya Honeka Radd Kiya Hai..
[At-Tamheed, Jild: 9, Safa: 247]

3. Imam Ibn Qayyim (Rh) Farmatey Hain Ke Kisi Bhi Salaf Ko Murjiya Kehna Apna Imaan Kharab Karna Hai..

4. Imam Ibn Rajab (Rh) Aur

5.Shaykh Abdul Aziz Bin Bazz (Rh) Likhtey Hain Salaf Aur Chaar (4) Imamo Ko Murjiya Ke Sath Jodna KUFR Hai..
[Mukhtasar Jadul Maad]

6.Imam Ibn Taymiyyah (Rh) Farmatey Hain-“Chaar (4) Imaam Ko Murjiya Kehna BIDATUL AKHBAR HAI.”
[Fatawa Ibn Taymiyyah, Jild: 4, Safa: 46]

7. Shaykh Saleeh Al-Fauzaan (Rh) Ne Bhi Imam Abu Haneefa (Rh) Ka Murjiya (Firqa) Honeka Radd Kiya Hai..
[Lu’mat Ul-I’tiqaad, Safa: 312]

8. Imam Ali Ibn Abi Al-Izz Hanafi (Rh) (Wafat 792 Hijri) Bhi Imam Abu Hanifa (Rh) Ka Murjiya Honeka Radd Kiya Hai..
[Sharah Aqeedah Tahawiyah, Safa: 283,284]

9.Allama Anwar Shah Kashmiri (Rh) Ne Imam Abu Hanifa (Rh) Ka Murjiya Honeka Radd Kiya Hai…
[Faizul Ba’ari, Jild: 1, Safa: 61]

Lehaza Meri Guzarish Hai Ghair Muqallideen Naam Nihad Ahle Hadeeso Se Ke Hamari Nahi Toh Apne “SALAF KI BAAT MANLO, WARNA APNE APKO SALAFI KEHNA CHORDH DO…”

《 Tambeeh 》

Ghair Muqallido Ke Mashoor Wa Ma’roof Alim Ibrahim Sialkoti (Rh) Jinhone “Salaatur Rasool” Jessi Kitab Likhi Farmate Hain-

“JO SHAKS AIMMA-E-DEEN KE HAQQ ME BE-AADBI KARE WO NEEM RAAFZI HAI”

[Taarekh E Ahle Hadees, Safa: 73]

Scan Page: Tarikh Ahle Hadees

image

Chunanche Jo Shakhs Imam-E-Azam Abu Haneefa (Rh) Par Tanna Kasse Woh Khud Ghair Muqallideen Ke Nazdeeq Neem Rawafiz (Shia) Hai..

Wallahu’Allam…


Imaam Abu Hanifa Rha Ki Sahaba R.a Se Riwayat

 

BismiLLaahirRahmaanirRaheem
~~
AssaLamu ALaekum
~~
Imam A’azam Abu Hanifa r.a Jo ke A’imah Arbah me se Sabse PehLe aur Fiqah ke Sabse Mahir Imam hain…Jinke bare me Imam Shafaii r.a bhi Farmate hain Ke Log Fiqah me Imam Abu Hanifa r.a ki AyaL ( Bachche/ Mohtaj ) hain… Unki Kai Khususiyat me ek Khoobi ye bhi Ke A’imah Arbah me se Sirf Wahi Taba’i hain….Kyonki Imam Abu Hanifa r.a ki Sahaba r.a se MuLaqat Sabit hai aur Jiske Bare me Shayad hi Kisi ko Shubah ya IshkaL ho….Rahi Bat Sahaba r.a Se Riwayat ke MamLe me To Isme Zara IkhtiLaf hai….Ke Aap ki Sahaba r.a Se Riwayat Sabit bhi hai ya nahi , Kuch ise Sabit shuda mante hain to kuch is bat se inkar karte hain…
~~~
Lekin Imam Abu Hanifa r.a Par Muhaddiseen aur Maurikheen ki Kitaben Parkar MaLoom hota ke Imam Abu Hanifa r.a ki Sahaba r.a se na Sirf MuLaqat Sabit hai BaLki Sahaba r.a se Aapki Riwayat bhi Sabit hai….Isi bat ko Maddenazar Rakhte hue Aapki Khidmat me Muhaddiseen aur ULama ki Tasreehat Insha ALLaah pesh ki jayengi Jisse MaLoom ho Sake ke Imam Abu Hanifa r.a ki Sahaba r.a se Riwayat Sabit hain ya nahi….IsLiye Aaj Sabse PehLe Yahya Ibn Mueen r.a Jo Imam Abu Hanifa r.a ke Shagirdon ke Shagird hain Unki Tasreeh Pesh Khidmat hai , Ke Unke Mutabiq Imam Abu Hanifa r.a Ki ALLaah ke RasooL a.s ki Sahabia Hazrat Aisha bint Ajrad r.a se Hadees ManqooL hai….
~~~
Hazrat Yahya Ibn Mueen r.a Farmate hain Ke Imam Abu Hanifa r.a Sahib uL Rai ne Hazrat Aisha bint Ajrad r.a se Sima’at ( Hadees ) ki hai… ( Tareekh Ibn Mueen )
~~~
Ye to Bat Hui Hazrat Yahya Ibn Mueen r.a Ki Sarahat ki , Ab Wo Hadees Bhi MuLaehza Karen Jo Hazrat Aisha bint Ajrad r.a se ManqooL hai :
~~~
Imam Abu Hanifa r.a Ne Hazrat Aisha bint Ajrad r.a ko ye Farmate hue Suna ke Maine Huzoor SaLLaLLaahu ALaihi WasaLLam se Suna Ke Roe Zameen me ALLaah ka Sabse Kaseer uL Tadad Lashkar Tiddiyan hain Jinko Main na Khata hoon aur Na Haram kehta hoon…

( ﻻﻧﺘﺼﺎﺭ ﻭﺍﻟﺘﺮﺟﻴﺢ ﻟﻠﻤﺬﻫﺐ ﺍﻟﺼﺤﻴﺢ ص-15 )
~~~
Dekhiye Scan :

image

Hazrat Ibn Hajar AsqaLani r.a ne Lisan uL Meezan me Sarahat ki hai ke ye Riwayat isi tarah hai…
~~~
Hazrat Imam Abu Hanifa r.a ki is Hadees me Hazrat Aisha bint Ajrad r.a ki Huzoor a.s se Sima ( sunne ) ki Sarahat mojood hai….Jisme Wo Farmati hain ke Maine RasooLaLLaah a.s se Suna Aap a.s Farma rahe the….Jisse Pata ChaLa ke Hazrat Aisha Bint Ajrad r.a Sahabia hain….Aur Hazrat Ibn Mueen r.a Ka QauL bhi Hazrat Zehbi r.a ne Apni Kitab ” Tajreed Asma Sahaba r.a ” me Hazrat Aisha bint Ajrad r.a ke Sahabia hona NaqaL kara hai….
~~~
Iske ALawa Hazrat Zehbi r.a Bhi Apni Kitab me NaqaL karte hain ke Hazrat Abu M’ashar AbduL Kareem bin AbduL Samad Tabri muqri Shafaii r.a ne Ek RisaLah Likha Jisme Unhone Hazrat Imam Abu Hanifa r.a ki MukhaLif Sahaba r.a se Riwayat NaqaL ki hain , isme Unhone Farmaya hai ke ” Imam Abu Hanifa r.a ne Farmaya Maine Huzoor a.s ke 7 Sahaba r.a se MuLaqat ki hai :
1: Hazrat Anas bin MaLik r.a , 2: Hazrat AbduLLaah bin Haris Zubaidi r.a , 3: Hazrat Jabir bin AbduLLaah r.a , 4: Hazrat M’aqaL bin Yasaar r.a , 5: Hazrat WasiLa bin Asq’a r.a , 6: Hazrat Aisha bint Ajrad r.a …
~~~
Phir Unhone 3 Hadees Hazrat Anas Bin MaLik r.a , Hazrat AbduLLaah bin Haris Zubaidi r.a se 1 , Hazrat WasiLa r.a se 2 , Hazrat Jabir se 1 , Hazrat Ibn Unais r.a se 1 , Hazrat Aisha bint Ajrad r.a se 1 , isi tarah Hazrat AbduLLaah ibn Abi Aufa r.a se 1 Hadees Riwayat ki hai….

( تبييض الصحيفة ص – 33 )

Dekhiye Scan :

image

Pata ChaLa ke Hazrat Aisha bint Ajrad r.a Sahabia hain , Kyonki Yahya Ibn Mueen r.a Jo ke Namoor Muhaddis aur Asma RijaL ke Mash’hoor Imam hain Unhone Sarahat Kardi ke Hazrat Aisha bint Ajrad r.a Sahabia hain….Aur Hazrat Ibn Mueen r.a Ki Sarahat ke Bad Ab Kisi ki Tasdeeq ki Zaroorat nahi Kyonki Hazrat Ibn Mueen r.a Is Fan ke Namoor AaLim hain….Iske ALawa Hazrat Imam Abu Hanifa r.a Ki Wazahat Hazrat Zehbi r.a ke HawaLe se guzri jisme Wo Farmate hain ke Maine 7 Sahaba r.a se MuLaqat Kari hai….Bas Sabit hua ke Wo Sahabia hain Kyonki Ibn Mueen r.a Jaise BuLand Paya Muhaddis ne inki is Hadees ka Aitbar Kara hai….aur Shayad IsLiye Hazrat Imam Abu Hanifa r.a ka Sima Inse mana hai…Kyonki Ye agar Sahabia na hoti to Ibn Mueen r.a ko Imam Sahab r.a ka Inse Hadees Riwayat karne ki Wazahat ki Zaroorat kyon hoti , Kyonki Taba’ieen se Imam Abu Hanifa r.a ka Riwayat karna to BiL Ittefaq Sabit hai….
~~~
Hazrat Abu Yusuf r.a Farmate hain ke Maine Hazrat Imam Abu Hanifa r.a ko Farmate hue Suna ke main 96 Hijri me jabke meri Umar 16 SaaL thi Apne WaLid ke sath Haj kiya , to kya dekhta hoon ke ek Buzurg ke gird ( Aas Paas ) Majma ( bheer ) Jama hai….Maine Apne WaLid se Poocha ke ye Kaun Shakhs hain ? .. Unhone Farmaya ke ye Wo Shakhs hain Jinhone RasooLALLaah SaLLaLLaahu ALaihi WasaLLam ki Sauhbat Uthai hai , Inka Naam AbduLLaah bin Haris Zubaidi r.a hai…Maine Apne WaLid Se Poocha Inke Paas Kya Hai , Unhone Farmaya Ahadees hain Jo Inhone Huzoor a.s se Suna hai….Maine Kaha Mujhe inke paas Le ChaLiye taki Main inse Hadeesen Sunoo , Chunanche Wo mere ( sath ) Aage ho Liye aur mere Liye Rasta Saaf karne Lage… Yahan tak main unke Qareeb ho gaya aur Maine Unhe Ye Kehte hue Suna ” RasooLALLaah SaLLaLLaahu ALaihi WasaLLam ne Farmaya Jisne ALLaah ke Deen me Tafaqqauh HasiL kiya , ALLaah Tamam MamLat me uske Liye Kafi hoga aur Usko Wahan se Rizq dega , Jahan se isko Waham wa Guman bhi na hoga ” …..
( Musnad Imam Abu Hanifa Safah 25 )
~~~
Isi Hadees ko Taqreeban isi Sanad Se Hazrat Ibn AbduL Barr r.a ne Apni Kitab ” Jame Bayan UL ILm ” me JiLd 1 Safah 45 par NaqaL kara hai…

Dekhiye Scan :

image

Ye to ho gayi Hadees ki bat Ab is Hadees ki Tehqeeq bhi MaLoom ho jaye ke ye Sanadan Sahih bhi hai ya nahi….
~~~
Is Hadees ko Riwayat Karne WaLe Hazrat Abu Nuem As’bahani r.a BiL ittefaq Siqah Muhaddis aur Shaikh uL IsLam hain…aur Jinse Hazrat Abu Nuem r.a ne Riwayat NaqaL Kari yani Hafiz Abu Bakar r.a – Ye Hazrat Abu Nuem As’fahani r.a , Imam Hakim r.a , Aur Hazrat Darqutni r.a ke Shaikh aur Mash’hoor Huffaz Hadees me se hain… Hazrat Zehbi r.a ne Apni Kitab “Tazkirat uL Huffaz” me inka TafseeLan Tazkira Likha hai..
( Tazkirat uL Huffaz )
~~~
Sanad Ki Tehqeeq :-

1 : Hazrat Abu ALi UbaidULLaah J’afar bin Razi r.a – Ye Ibn Razi r.a ke naam se Mash’hoor hain , Hazrat Khateeb Baghdadi r.a ne Apni Kitab “Tareekh Baghdad” me Inka MufassaL Tazkira Likha hai aur Inhe Siqah Likha hai…
( Tareekh Baghdad 351/1 )
~~~
2 : Hazrat J’afar bin Muhammad AbuL FazaL AL Abdi AL Razi r.a – Ye Hazrat UbaidULLaah J’afar bin Razi r.a ke WaLid aur Hazrat Ibn Abi Hatim Sahib e Kitab “Jirah wa T’adeeL” ke Shaikh hain , Hazrat Ibn Abi Hatim r.a ne Inhe Suqooq Kaha hai …
( Kitab Jirah Wa T’adeeL 488/1 )
~~~
3 : Muhammad ibn Sima’ah r.a – Ye Bhi Mash’hoor A’imah Siqahat me se hain , aur Hazrat Ibn Hajar AsqaLani r.a ne Taqreeb uL Tehzeeb me inhe Sudooq Kaha hai…
( Taqreeb uL Tehzeeb Safah 537 )
~~~
4 : Hazrat Imam Abu Yusuf r.a : Ye Kisi Pehchan ki Zaroorat nahi , Kyonki Ye Mash’hoor Siqah Muhaddis aur Imam Abu Hanifa r.a ke Shagird hain…Hazrat Imam Ahmad bin HanbaL r.a , Imam Yahya ibn Mueen r.a , Imam Nisai r.a Wagherah ke Nazdeek Aap Siqah , Muhaddis aur Mujtahid hain….
~~~
Pata ChaLa Ke Hazrat AbduLLaah bin Haris Zubaidi r.a se Imam Abu Hanifa r.a ka Riwayat Karna Sahih Sanad se Sabit hai…
~~~
ALLaah se Dua hai ke Wo Hazrat Imam Abu Hanifa r.a ke Darjaat BuLand kare aur Ummat-e-MusLimah ki Hasidon ke Hasad se Hifazat Kare…
~~~
Aameen Ya RabbaL A’aLmeen
….


Imam Abu Haneefa Rahimahullah Aur Unpar Quran Ke Makhlooq Honeka Ilzaam

 

Imam Abu Haneefa Rah Par Yeh Ilzam Hai Ke Unka Aqeedah Tha Ke Quran Makhlook Hai, Allah Ka Kalam Nahi Hai Lehaza Imam Abu Haneefa Rah Jahmi The…
(Nauzu Billah Min Zalik)

Jehmi Firqah Woh Hain Jo Quran Ko Makhlooq Samajhte The..

Bhaiyo Dekho Aise Ilzam Toh Imaam Bukhari Rah Par Bhi Lagaye Gaye Hain Dekhiye Al-Jirah Wa Tadeel 32/191, Magar Sabit Nahi He, Kyuki Akshirat (ijma) Ke Khilaff He Aur Jo Jirah Ijma Ke Khilaf Ho Vo Jirah Baatil Hota He Lehaza Imaam Abu Haneefa Rah Par Bhi Yeh Jirah Hai Magar Ijma Ke Khilaff Hai Aur Khud Unke Farman Ke Khilaf Bhi Jo Batil Hai..
Imam Bukhari Rah Par bhi Jirah Quran Ke Maqhlook Honeka hai Jisko Imam Ibn Hajar Ne Radd Kardiya Ke Yeh Aqeeda Imam Bukhari Rah Ka Nahi Tha Bulke Akeela Imam Musallama Bin Qasim Rah Ne Aisa Kaha Jo Akshariyat Ya Ijma Ke Khilaff Hai..
(Tehzeeb Ut-Tehzeeb 9/36)

♥ IMAM ABU HANEEFA RAHIMAHULLAH KA AQEEDA KYA THA??

[Imam E Azam Abu Haneefa Rah Ka Aqeeda Tha Ke Quran Allah Ka Kalaam Hai Jo Nazil Hua Akhiri Nabi Salalallahu Alaihi Wasallam Par Wahi Ke Zariye.]

1)ﺇﻥ ﺍﻷﺋﻤﺔ ﺍﻟﻤﺸﻬﻮﺭﻳﻦ ﻛﻠﻬﻢ ﻳﺜﺒﺘﻮﻥ ﺍﻟﺼﻔﺎﺕ ﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻭﻳﻘﻮﻟﻦ : ﺇﻥ ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ ﻛﻼﻡ ﺍﻟﻠﻪ ﻟﻴﺲ ﺑﻤﺨﻠﻮﻕ , ﻭﻳﻘﻮﻟﻮﻥ : ﺇﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻳُﺮﻯ ﻓﻲ ﺍﻵﺧﺮﺓ , ﻫﺬﺍ ﻣﺬﻫﺐ
ﺍﻟﺼﺤﺎﺑﺔ ﻭﺍﻟﺘﺎﺑﻌﻴﻦ ﻟﻬﻢ ﺑﺈﺣﺴﺎﻥ ﻣﻦ ﺃﻫﻞ ﺍﻟﺒﻴﺖ ﻭﻏﻴﺮﻫﻢ ﻭﻫﺬﺍ ﻣﺬﻫﺐ ﺍﻷﺋﻤﺔ ﺍﻟﻤﺘﺒﻮﻋﻴﻦ ﻣﺜﻞ ﻣﺎﻟﻚ ﺑﻦ ﺃﻧﺲ ﻭﺍﻟﺜﻮﺭﻱ ﻭﺍﻟﻠﻴﺚ ﺑﻦ ﺳﻌﺪ , ﻭﺍﻷﻭﺯﺍﻋﻲ , ﻭﺃﺑﻲ ﺣﻨﻴﻔﺔ , ﻭﺍﻟﺸﺎﻓﻌﻲ , ﻭﺃﺣﻤﺪ

Tarjuma-Shaikhul Islam Ibn Taymiyyah Rah Farmatey Hain-”Beshak! Sare Imaamo Ka Aqeeda Tha Ke QURAN ALLAH TA’ALLA KA KALAAM HAI,AUR MAKHLOOQ NAHI HAI”
Yahi Aqeeda Sahaba Raziallahu Tala Anhuma, Ahle Bait, Imam Malik,Imam Sufyaan Sauri, Imam Lais Bin Ibn Sa’d, Imam Auzai,Imam Abu Haneefa,Imam Shafi Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Rahimahullah Ka Hai..
(Minhaajus-Sunnah Lil Ibn Taymiyyah 2/106)

Scan Page
Minhaajus Sunnah
image

2) Imam Tahawi Rah Farmate Hain-Aqeeda Tahawiyah Me Jo Aqeeda Murattab Huye Hain Sab Aqeede Ahle Sunnat Wal Jammat Ke Aqeede He Aur Imam Abu Hanifa,Abu Yusuf Aur Imam Muhammad Ke aqeede Hain..
(Muqaddammah Aqeedah At-Tahawiyah Safa 1)

Phir Aghe Issi Kitab Me Imam Abu Haneefa Ka Quran Ke Mutalliq Aqeeda Likhte He Ke
“Quran Allah Ka Kalaam Hai”
(Aqeedah at-Tahawiyah, Aqeedah No-36)

Imam Ibn Abi Al-Izz Hanafi Rah Iss Aqeeda No-36 Ke Tafsil Bayan Karte He Ke-”Quran Allah Ka Kalaam Hai,Aur Makhlooq Nahi. Jo Koi Quran Sune Aur Soche Ke Yeh(quran) Makhlooq Ka Kalaam Hai Toh Woh Musalman Aur Ijma Ka Munkar He..
(Sharah Aqeedah At-Tahawiyah Safa 96)

Shaikh Amr Abdul Muneem Saleem Kehte He-Imam Abu Jafar At-tahavi Rah Ke Aqeede Ke Kitab”Aqeeda Tahawiyah” Vo Kitab Hai Jisme Imam Abu Haneefah Rah Ke Sab Aqeedah Murattab Hai..
(Al-Imam Abu Haneefah Safa 38)

3) Imam Zehbi Apni Sanad Se Bayan Karte He Ke..

ﺍﺧﺮﺝ ﺍﺑﻮ ﺣﺎﺗﻢ ﻓﻰ ﺍﻟﺴﻨﻪ ﻗﺎﻝ ﺣﺪﺛﻨﺎ ﺍﺣﻤﺪ ﺑﻦ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﻣﺴﻠﻢ ﺣﺪﺛﻨﺎ ﻋﻠﻰ ﺑﻦ ﺍﻟﺤﺴﻦ ﺍﻟﻜﺮﺍﻋﻲ ﻗﺎﻝ ﻗﺎﻝ ﺍﺑﻮ ﻳﻮﺳﻒ ﻧﺎﻇﺮﺕ ﺍﺑﺎ ﺣﻨﻴﻔﻪ ﺳﺘﺔ ﺍﺷﻬﺮ ﻓﺎﺗﻔﻖ ﺭﺍﻳﻨﺎ ﻋﻠﻰ ﺍﻥ ﻣﻦ ﻗﺎﻝ ﺃﻥ ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ ﻣﺨﻠﻮﻕ ﻓﻬﻮ ﻛﺎﻓﺮ

Tarjuma- Abu Yusuf Rah Ne Imam Abu Haneefa Rah Se 6 Mah(Months) Mashwara Kiya Aur Phir Iss Baat Pe Qayem Hogaye Ke-”Jo Shakhs Yeh Kehta Hai Ke Quran Makhlooq Hai Vo Kafir Hai”
(Al-Uluw Lil Zehbi Safa 152)

*Iski Sanad Ko Ghair Muqallid Naseeruddin Albani Rah Ne Sahih Kaha..
(Mukhtasar Al-Uluw Safa 155)

Scan Page
Mukhtasar Al Uluw
Kya Imam Abu Hanifa Sayyiul Hifz the?

Iski Sanad Ko Marhoom Zubair Ali Zai Sab Ne Bhi Sahih Kaha Hai..
(Majallah Al Hadees no 19 Safa 55)

4) Imam Baihaqi Rah Apni Sanad Se Naqal Karte Hain Ke

ﻭﻗﺮﺃﺕ ﻓﻲ ﻛﺘﺎﺏ ﺃﺑﻲ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻠﻪ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﻳﻮﺳﻒ ﺑﻦ ﺇﺑﺮﺍﻫﻴﻢ ﺍﻟﺪﻗﺎﻕ ﺑﺮﻭﺍﻳﺘﻪ ﻋﻦ ﺍﻟﻘﺎﺳﻢ ﺑﻦ ﺃﺑﻲ ﺻﺎﻟﺢ ﺍﻟﻬﻤﺬﺍﻧﻲ ، ﻋﻦ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﺃﻳﻮﺏ ﺍﻟﺮﺍﺯﻱ ، ﻗﺎﻝ : ﺳﻤﻌﺖ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﺳﺎﺑﻖ ، ﻳﻘﻮﻝ : ﺳﺄﻟﺖ ﺃﺑﺎ ﻳﻮﺳﻒ ، ﻓﻘﻠﺖ : ﺃﻛﺎﻥ ﺃﺑﻮ ﺣﻨﻴﻔﺔ ﻳﻘﻮﻝ ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ ﻣﺨﻠﻮﻕ ؟ ، ﻗﺎﻝ :ﻣﻌﺎﺫ ﺍﻟﻠﻪ ، ﻭﻻ ﺃﻧﺎ ﺃﻗﻮﻟﻪ ، ﻓﻘﻠﺖ : ﺃﻛﺎﻥ ﻳﺮﻯ ﺭﺃﻱ ﺟﻬﻢ ؟ ﻓﻘﺎﻝ : ﻣﻌﺎﺫ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﻻ ﺃﻧﺎ
ﺃﻗﻮﻟﻪ ﺭﻭﺍﺗﻪ ﺛﻘﺎﺕ

Tarjuma- Muhammad Bin Sabiq Ne Kaha Mene Abu Yusuf Se Pucha Ke Kya Imam Abu Haneefa Ne Kaha He Quran Makhlooq Hai?
Toh Unhone(abu Yusuf) ne kaha Mazzallah! Na Woh(abu hanifa) na me aisa kehte Hain, Phir Mene(muhammad bin Sabiq) ne sawal kiya ke Kya Imam Abu Haneefa Ka Aqeedah Jahmiyo Ki Tarah Tha?
Toh Unhone Farmaya-Mazzallah! Na Unka Na Mera Aisa Aqeeda Hai..
(Asma Was-Siffat Lil Baihaqi Hd.no-561)
Imam Baihaqi Rah Ne Rijal Ko Siqah Kaha..

5) Imam Abu Yusuf Rah Kehte He Ke Abu Haneefa Rah Na Farmaya-”Khurasaan Me Do Tarah Ke Shaitaani Log Hain.. Ek Jahmiyyah Dusre Mushabbiha..
(Tareekh Baghdad 13/382)
*Iski Sanad Ko Shaikh Amr Abdul Muneem Saleem Ne Sahih Kaha Hai
(Al-Imam Abu Haneefa Safa 24)

6) Imam Abdul Barr Maliki Rah Apni Sanad Se Naqal Karte He Ke

ﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮ ﻳﻌﻘﻮﺏ ﻧﺎ ﺃﺑﻮ ﺣﺎﻣﺪ ﺃﺣﻤﺪ ﺑﻦ ﺇﺑﺮﺍﻫﻴﻢ ﻗﺎﻝ ﻧﺎ ﺳﻬﻴﻞ ﺑﻦ ﻋﺎﻣﺮ ﻗﺎﻝ ﺳﻤﻌﺖ ﺑﺸﺮ ﺑﻦ ﺍﻟﻮﻟﻴﺪ ﻳﻘﻮﻝ : ﻛﻨﺎ ﻋﻨﺪ ﺃﻣﻴﺮ ﺍﻟﻤﺆﻣﻨﻴﻦ ﺍﻟﻤﺄﻣﻮﻥ ﻓﻘﺎﻝ ﺇﺳﻤﺎﻋﻴﻞ ﺑﻦ
ﺃﺑﻲ ﺣﻨﻴﻔﺔ ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ ﻣﺨﻠﻮﻕ ﻭﻫﻮ ﺭﺃﻳﻲ ﻭﺭﺃﻱ ﺁﺑﺎﺋﻲ ﻗﺎﻝ ﺑﺸﺮ ﺑﻦ ﺍﻟﻮﻟﻴﺪ : ﺃﻣﺎ ﺭﺃﻳﻚ ﻓﻨﻌﻢ ﻭﺃﻣﺎ ﺭﺃﻱ ﺁﺑﺎﺋﻚ ﻓﻼ

Tarjumah- Bashr Bin Waleed Ne Kaha Ke Ismail Bin Hammad Bin Abu Haneefa Rah Farmaya Ke-”Quran Makhlooq Hai Mere Aur Mere Walid Ke Nazdeek”
Toh Bishr Bin Waleed Ne Usse Kaha Ke-Hosakta Hai Yeh Tera Aqeeda Ho Magar Tere Walid Ka Yeh Aqeeda Na Tha..
(Al-Inteqaa Safa 166)

Note-Bishr Bin Waleed Qazi Abu Yusuf Aur Imam Malik Rah Ke Shagird The
(Seeyar Alam Nubula Bishar Bin Waleed Ki Zindage)

Chunanche Bishar Bin Waleed Ne Saaf Inkar Kardiya He Ke Ismail Ke Purwaj Yani Hammad Aur Imaam Abu Haneefa Rah Ka Jahmiyo Wala Aqeeda Na Tha..

6) ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﻨﺨﻌﻲ ﺣﺪﺛﻨﺎ ﺃﺑﻮ ﺑﻜﺮ ﺍﻟﻤﺮﻭﺫﻱ ﻗﺎﻝ : ﺳﻤﻌﺖ ﺃﺑﺎ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻠﻪ ﺃﺣﻤﺪ ﺑﻦ ﺣﻨﺒﻞ ﻳﻘﻮﻝ ﻟﻢ ﻳﺼﺢ ﻋﻨﺪﻧﺎ ﺃﻥ ﺃﺑﺎ ﺣﻨﻴﻔﺔ ﻛﺎﻥ ﻳﻘﻮﻝ ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ ﻣﺨﻠﻮﻕ

Tarjuma- Imam Ahmad Bin Hanbal Rahimahullah Farmate Hain-”Mere Nazdeek Yeh Baat Jhooti Hai Ke Imam Abu Haneefa Rah Ka Aqeedah Tha Ke Quran Makhlooq Hai”
(Tareekh Baghdad 13/384)
* Shaikh Ali Bin Rasheed Al-Urfee Ne Sanad Ko Sahih Kaha He..

7) Shaikh Muhammad Ibn Abdur Rahman Al-Khumayyis Farmate He Ke-”Imam Abu Haneefa Rah Ka Aqeedah Tha Ke Quran (Aap Salallahu Alaihi Wasallam) Par Nazil Hui Hai Aur Quran Makhlooq Nahi Bulke Quran Allah Baari Talla Ka Kalaam Hai..
(Aqeedah Lil Imam Abu Haneefa,Malik,Shafi Aur Hanbal)

8) Ishaaq Bin Behlool Kehte He Mene Yazeed Bin Haroon Rah Se Sawal Kiya Jahmiyyah Ke Piche Namaz Parhne Ke Muttaliq..
Toh Unhone(Yazeed Bin Haroon Rah) Ne Jawab Me Kaha-Nahi!! Woh Khabees Hain..
(Kitab Al-Sunnah No-55)

Yani Yazeed Bin Haroon Rah Ke Nazdeek Jahmi Shakhs Khabis Hota He…

Yehi Yazeed Bin Haroon Rah Ne Imaam Abu Haneefa Rah Ke Mutaliq Kehte He-”Meine Kayi Logo Ko Dekha He, Magar Abu Haneefa Jaisa Aqalmand,Accha Aur Taqwa Parezhgar Jaisa Na Dekha..
(Tareekh Baghdad Jild 13 Safa 364,
Zubair Ali Zai Marhoom Ne Sanad Ko Sahih Kaha)

Tambeeh- Yani Yazeed Bin Haroon Ke Nazdeek Imam Abu Haneefa Rah Jahmi Na The Warna Unki Tarif Na Karte…

9) ﻗﺎﻝ ﺍﻟﻨﺨﻌﻲ: ﺣﺪﺛﻨﺎ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﺷﺎﺫﺍﻥ ﺍﻟﺠﻮﻫﺮﻱ ﻗﺎﻝ: ﺳﻤﻌﺖ ﺃﺑﺎ ﺳﻠﻴﻤﺎﻥ ﺍﻟﺠﻮﺯﺟﺎﻧﻲ، ﻭﻣﻌﻠﻰ ﺑﻦ ﻣﻨﺼﻮﺭ ﺍﻟﺮﺍﺯﻱ ﻳﻘﻮﻻﻥ: ﻣﺎ ﺗﻜﻠﻢ ﺃﺑﻮ ﺣﻨﻴﻔﺔ ﻭﻻ ﺃﺑﻮ ﻳﻮﺳﻒ، ﻭﻻ ﺯﻓﺮ، ﻭﻻ ﻣﺤﻤﺪ، ﻭﻻ ﺃﺣﺪ ﻣﻦ ﺃﺻﺤﺎﺑﻬﻢ ﻓﻲ ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ، ﻭﺇﻧﻤﺎ ﺗﻜﻠﻢ ﻓﻲ ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ ﺑﺸﺮ ﺍﻟﻤﺮﻳﺴﻲ، ﻭﺍﺑﻦ ﺃﺑﻲ ﺩﺅﺍﺩ، ﻓﻬﺆﻻﺀ ﺷﺎﻧﻮﺍ ﺃﺻﺤﺎﺏ ﺃﺑﻲ ﺣﻨﻴﻔﺔ

Tarjuma-Muhammad Bin Shazaan Al-Johri Kehte He Mene Abu Suleman Jozhani Aur Ma’li Bin Mansoor Al-Razi Ko Kehte Suna Ke Imam Abu Haneefa,Imam Abu Yusuf,Imam Zafar,Imam Muhammad Aur Imam Abu Haneefa Rah Ke Tamam Ashaab Ka Yehi Aqeedah Tha Ke Quraan Allah Ka Kalaam Hai..
Wahin Bashar al Maraisi Aur Ibn Abi Dawood Ka Inke Khilaf Wala Aqeedah Tha..
(Tareekh Baghdad 13/384)
*Shaikh Amr Abdul Muneem Saleem Ne Iski Sanad Ko Sahih Kaha..
(Al-Imam Abu Haneefah Safa 45)

KUCH GALAT FEHMI KA IZALA

Imam Abu Yusuf Rah Kehte He Ke Imam Abu Haneefa Rah Ka Iss Halat Me Maut Hui Ke Unka Yakeen Tha Ke Quran Makhlooq Hai
(Tareekh Baghdad 13/379)

Iska Radd Ghair Muqallid Shaik Naseeruddin Albani Na Kiya He Farmate He..

ﻭﺃﻣﺎ ﻣﺎ ﺭﻭﻯ ﺍﻟﺨﻄﻴﺐ ‏( 13/379 ‏) ﻣﻦ ﻃﺮﻳﻖ ﺳﻌﻴﺪ ﺑﻦ ﻣﺴﻠﻢ ﺍﻟﺒﺎﻫﻠﻲ ﻗﺎﻝ: ﻗﻠﻨﺎ ﻷﺑﻲ ﻳﻮﺳﻒ: ﻟﻤﺎ ﻟﻢ ﺗﺤﺪﺛﻨﺎ ﻋﻦ ﺃﺑﻲ ﺣﻨﻴﻔﺔ؟ ﻗﺎﻝ: ﻣﺎ ﺗﺼﻨﻌﻮﻥ ﺑﻪ؟ ﻣﺎﺕ ﻳﻮﻡ ﻣﺎﺕ ﻳﻘﻮﻝ: ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ ﻣﺨﻠﻮﻕ . ﻗﻠﺖ: ﻓﻔﻲ ﺛﺒﻮﺗﻪ ﻋﻦ ﺃﺑﻲ ﻳﻮﺳﻒ ﻧﻈﺮ؛ ﻷﻥ ﺍﻟﺒﺎﻫﻠﻲ ﻫﺬﺍ، ﻻ ﻳﻌﺮﻑ ﺑﺎﻟﺮﻭﺍﻳﺔ، ﻭﻟﺬﻟﻚ ﺃﻏﻔﻠﻮﻩ، ﻭﻟﻢ ﻳﺘﺮﺟﻤﻮﻩ ﻓﻲ ﻛﺘﺐ ﺍﻟﺮﺟﺎﻝ، ﺣﺘﻰ ﺍﺑﻦ ﺃﺑﻲ ﺣﺎﺗﻢ ﻟﻢ ﻳﺬﻛﺮﻩ ﻓﻲ “ﻛﺘﺎﺑﻪ” ﻣﻊ ﺳﻌﺘﻪ ﻭﺃﺣﺎﻃﺘﻪ، ﻭﻟﻌﻞ
ﺍﻟﺴﺒﺐ ﻓﻲ ﺫﻟﻚ ﻣﺎ ﺃﺷﺎﺭ ﺇﻟﻴﻪ ﺍﻟﺨﻄﻴﺐ ﻓﻲ ﺁﺧﺮ ﺗﺮﺟﻤﺘﻪ ‏( 9/74 ):” ﺑﺼﺮﻱ ﺍﻷﺻﻞ، ﻭﻛﺎﻥ ﻗﺪ ﺳﻜﻦ ﺧﺮﺍﺳﺎﻥ، ﻭﻭﻻﻩ ﺍﻟﺴﻠﻄﺎﻥ ﺑﻌﺾ ﺍﻷﻋﻤﺎﻝ ﺑﻤﺮﻭ، ﻭﻗﺪﻡ ﺑﻐﺪﺍﺩ ﻭﺣﺪﺙ ﺑﻬﺎ، ﻓﺮﻭﻯ ﻋﻦ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﺯﻳﺎﺩ ﺑﻦ ﺍﻷﻋﺮﺍﺑﻲ، ﺻﺎﺣﺐ ﺍﻟﻠﻐﺔ . ﻭﻛﺎﻥ ﻋﺎﻟﻤﺎً ﺑﺎﻟﺤﺪﻳﺚ ﻭﺍﻟﻌﺮﺑﻴﺔ، ﺇﻻ ﺃﻧﻪ ﻛﺎﻥ ﻻ ﻳﺒﺬﻝ ﻧﻔﺴﻪ ﻟﻠﻨﺎﺱ “. ﻟﻜﻦ ﻫﻨﺎ ﻓﻲ “ﺍﻟﺘﺎﺭﻳﺦ ” ﺭﻭﺍﻳﺎﺕ ﺃﺧﺮﻯ ﻋﺪﺓ ﺃﻥ ﺃﺑﺎ ﺣﻨﻴﻔﺔ ﻛﺎﻥ ﻳﻘﻮﻝ : “ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ ﻣﺨﻠﻮﻕ” ، ﺇﻻ ﺃﻧﻨﻲ ﺩﻗﻘﺖ ﺍﻟﻨﻈﺮ ﻓﻲ ﺑﻌﻀﻬﺎ ﻓﻮﺟﺪﺗﻪ ﻻ ﻳﺨﻠﻮ ﻣﻦ ﻗﺎﺩﺡ، ﻭﻟﻌﻞ ﺳﺎﺋﺮﻫﺎ ﻛﺬﻟﻚ، ﻻﺳﻴﻤﺎ ﻭﻗﺪ ﺭﻭﻯ ﺍﻟﺨﻄﻴﺐ ﻋﻦ ﺍﻹﻣﺎﻡ ﺃﺣﻤﺪ ﺃﻧﻪ ﻗﺎﻝ: ﻟﻢ ﻳﺼﺢ ﻋﻨﺪﻧﺎ
ﺃﻥ ﺃﺑﺎ ﺣﻨﻴﻔﺔ ﻛﺎﻥ ﻳﻘﻮﻝ : “ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ ﻣﺨﻠﻮﻕ “.ﻗﻠﺖ: ﻭﻫﺬﺍ ﻫﻮ ﺍﻟﻈﻦ ﺑﺎﻹﻣﺎﻡ ﺃﺑﻲ ﺣﻨﻴﻔﺔ – ﺭﺣﻤﻪ ﺍﻟﻠﻪ – ﻭﻋﻠﻤﻪ، ﻓﺈﻥ ﺻﺢ ﻋﻨﻪ ﺧﻼﻓﻪ، ﻓﻠﻌﻞ ﺫﻟﻚ ﻛﺎﻥ ﻗﺒﻞ ﺃﻥ ﻳﻨﺎﻇﺮﻩ ﺃﺑﻮ ﻳﻮﺳﻒ، ﻛﻤﺎ ﻓﻲ ﺍﻟﺮﻭﺍﻳﺔ ﺍﻟﺜﺎﺑﺘﺔ ﻋﻨﻪ ﻓﻲ ﺍﻟﻜﺘﺎﺏ، ﻓﻠﻤﺎ ﻧﺎﻇﺮﻩ، ﻭﻷﻣﺮ ﻣﺎ ﺍﺳﺘﻤﺮ ﻓﻲ ﻣﻨﺎﻇﺮﺗﻪ ﺳﺘﺔ ﺃﺷﻬﺮ، ﺍﺗﻔﻖ ﻣﻌﻪ ﺃﺧﻴﺮﺍً ﻋﻠﻰ ﺃﻥ ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ ﻏﻴﺮ ﻣﺨﻠﻮﻕ، ﻭﺃﻥ ﻣﻦ ﻗﺎﻝ: ” ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ ﻣﺨﻠﻮﻕ ” ﻓﻬﻮ ﻛﺎﻓﺮ .ﻭﻫﺬﺍ ﻓﻲ ﺍﻟﻮﺍﻗﻊ ﻣﻦ ﺍﻷﺩﻟﺔ ﺍﻟﻜﺜﻴﺮﺓ ﻋﻠﻰ ﻓﻀﻞ ﺃﺑﻲ ﺣﻨﻴﻔﺔ، ﻓﺈﻧﻪ ﻟﻢ ﺗﺄﺧﺬﻩ ﺍﻟﻌﺰﺓ، ﻭﻟﻢ ﻳﺴﺘﻜﺒﺮ ﻋﻦ ﻣﺘﺎﺑﻌﺔ ﺗﻠﻤﻴﺬﻩ ﺃﺑﻲ ﻳﻮﺳﻒ ﺣﻴﻦ ﺗﺒﻴﻦ ﻟﻪ ﺃﻥ ﺍﻟﺤﻖ ﻣﻌﻪ، ﻓﺮﺣﻤﻪ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻭﺭﺿﻲ ﻋﻨﻪ
(Mukhtasar al Uluw page 156)

Yani-Wohi Dalil Jo Humne Upar Pesh Kiye He Ilzam Ke Radd Me..

Chunanche Hasil Yeh Hua Ke Imam Abu Haneefah Rah Ka Aqeeda Tha Ke Quran Allah Ka Kalaam Hai Aur Yehi Aqeedah Hamara Bhi Hai Alhamdulillah…

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads