Ghair Muqallideen ke Aqaid

 

Ghair Muqallideen ke Khateeb wa Shaykh, Shaykh Tausuf ur Rehman Likhte hai ke

Kisi Giro ke Aqaid Uske Giro ke Ulama wa Akaabir Tai Karte hai. (Kya Ulama e Deoband Ahle Sunnat hai: Safa 8)

Scan Page :

Kaya Ulma e Deoband AhleSuunat hain_Page11

Aaye Dekhte, Ghair Muqallideen wa Ahlehadees Ulama ne Apni Maslak ke liye kya Aqaid Tai Kare hai.

Aqeeda No 1 : (Allah Ke Liye Makaan Aur Jagah Mutaiyyin Karna)

Ghair Muqallideen Ke Mujadid Nawaab Siddiq Hasan Khan Sahaab Likhte Hai :

Khuda Arsh Par Baitha Hai Aur Arsh Uska Makaan Hai Aur Dono Qadam Apni Kursi Par Rakhe Hai Aur Kursi Us Ke Qadam Rakhne Ki Jagah Hai Aur Zaat E Khuda Ki Jehat Fauq(Upar)  Aur Tarf Uluu (Bulandi) Me Hai Aur Usko Fauqiyyat , Jehat Ki Hai Aur Wo Arsh Par Rehta Hai Aur Utarta Hai Har Shab Ko Taraf Aasmaan E Dunya Ke Aur Uske Liye Daahina Baaya Haat Aur Qadam Aur Hateli Aur Ungliyaa Aur 2 Aankhe Aur Mu Aur Pindli Wagaira Sab Cheese Bilaa Kaif(Kaifiyat) Saabit Hai Aur Jo Aayaate Is Bare Me Hai Sab Mukahmaat Hai Aayaat E Mutashaabiyyat Nahi.

(Risaalatul Ahtewaah Ala Masala Til Istewaa , Musanaffa Nawab Siddiq Hasan Khan – Mabu’aa Gulshan Ood , Lucknow)

Scan Page :

5(1)

Aqeeda No 2 : (Allah Tala Har Shakal Me Zaahir Hosakta Hai)

Ghair Muqallideen Ke Allama Waheed Uz Zama Sahaab Likhte Hai Ke

Allah Tala Jis Surat Me Chaahe Zaahir Hosakta Hai.

(Hadiyatul Mehdi : Safa 7 , 9)

Scan Page :

Hadiyatul Mehdi Page no 9

Yaani Jis Tarah Isaayi Kehte Hai Ke Allah Tala Nauzbillah Isa As Ki Shakal Me Zaahir Huwa Aur Hindu Kehte Hai Ke Krishn Aur Ram Chandr Ki Shakal Me Zaahir Huwa.

Saamri Kehta Tha Ke Bachede Ki Shakal Me Zaahir Huwa.

Ghair Muqallideen Ke Nazdeek Yeh Aqeede Durust Huwe.

Aqeeda No 3 : (Mazaaq Aur That-Ta Karna Allah Ki Sifat Hai)

Waheed Uz Zaman Sahaab Likhte Hai Ke

“Aur Allah Taka Ke Sifat E Faaliya Haadisa Me Se Mazaaq Aur That-Ta Karna Aur Makr Karna Aur Dhoka Dena , Dau Lagaana Hai”. (Hadiyatul Mehdi : Safa 7)

Scan Page :

Final

Nauzbillah Aisi Ghatiya Cheezo Ko Allah Tala Ki Sifat Qaraar Diya Hai Aur Yeh Aqeeda Ghair Muqallideen Ke Usi Buzurg Ka Hai Jisa Ta’aruf Aqeeda No 2 Me Guzar Chuka Hai.

Aqeeda No 4 : (Huzur Saw Ki Sab Baatein Aur Sab Kaam Ache Nahi) Ma’azallah

Mashoor Ghair Muqallid Abu Abdullah Qusuri Sahaab Likhte Hai :

Sab Af’aal Aur Aqwal E Anhazrat Saw Ke Tashri’e Aur Mehmood Hai Aur Ismat E Mutlaqa (Masoom Hona) Aap Ke Waste Saabit Nahi Hai Warna Sahaba  Aap Ke Baaz Khataao Par Aiteraaz Na Karte.

(Tehqeequl Kalaam Fii Masalatil Bai’ati Wal Ilhaam Bahawala Ghair Muqallideen Ke Mutalliq Arab Wa Ajab Ke Fatwe : Safa 24)

Scan Page :

GM ke Fatwe

Aqeeda No 5 : (Nabi E Karim Saw Ki Raaaye Koi Motabar Nahi)Nauzbillah Billahi Tala

Ghair Muqallideen Ke Mashoor Aalim Muhammed Junagadi Sahaab Likhte Hai :

Suniye Janaab ! Buzurgo Ki Mujtahido Aur Imamo Ki Raaye , Qiyaas ,Ijtehaad Wa Istambaat Aur Unke Aqwaal Toh Kaha ?

Shariyat E Islaam Me Toh Khud Paighambar Saw Bhi Apni Taraf Se Be-Ghair Wahi Ke Kuch Farmaaye Toh Hujjat Nahi.

(Tareeq E Muhammedi : Safa 70)

Scan Page :

Raah e Aietdaal1_0003

Aqeeda No 6 : (Ambiya As Masoom Nahi) Nauzbillah

Ghair Muqallid Aalim Hussain Khan Sahaab Likhte Hai :

Ambiya As Se Ahkaam E Deeni Me Bhool Chook Hosakti Hai.

(Radd E Taqleed Bii Kitaabil Majeed : Muallafa Maulana Hussain Khan , Matbu’a Farooqi Delhi Bahawala Jamiush Shawaaid : Safa 14)

Note : Is Kitaab Par Maulwi Nazeer Hussain Dehelwi Aur Janaab Hussain Dehelwi Wagaira Akaabir E Ghair Muqallideen Ki Muhare Aur Dastakht Bhi Hai.

Aqeeda No 7 : (12 Imam Aur Hazrat Fatima Rdh Masoom Hai)

Mashoor Aalim Mulla Moin Tahtahwi Sindhi Sahaab Likhte Hai Ke

12 Imam Aur Hazrat Fatima Tuz Zehra Masoom Hai . Yaani Unse Khata Hona Muhaal Hai.

Neez Ismat E Anhazrat Saw Ki Aqli Hai Aur Ismat E Imam Mehdi Ki Naql Se Saabit Hai.

(Diraasaatul Labeeb : Safa 229 , 239)

Scan Page :

scan0019

Aqeeda No 8 : (Ghair Muqallideen Ke Ambiya Me Ram Chandr Aur Laxman Bhi Hai)

Ghair Muqallideen Ke Allama Waheed Uz Zama Sahaab Likhte Hai Ke Hamaare Liye Jaayez Nahi Hai Ke Hum Degar Ambiya Ki Nabuwat Ka Inkaar Kare Jinka Zikr Allah Tala Ne Quraan Me Nahi Kiya Aur Kaafiro Me Tawaatur Ke Saat Wo Ma’aroof Hai.

Isme Koi Shak Nahi Ke Wo Naik Ambiya The Jaisa Ram Chandr , Laxman Kirshn Ji Jo Hinduo Me Hai Aur Zorasht Jo Farsiyo Me Hai Aur Confuse Aur Mahatma Buddh Jo Cheen Aur Japan Me Hai Aur Soqraat Aur Faisa Ghoris Jo Unaan Me Hai

Hum Par Waajib Hai Ke Hum Yu Kahe Hum Un Tamaam Ambiya Wa Rusol Par Imaan Laaye Aur In Me Se Kisi Ek Me Bhi Farq Nahi Karte Aur Hum In Sab Ke Farmaabardaar Hai.

(Hadiyatul Mehdi : Safa 85)

Scan Page :

Hadiyatul Mehdi no 85

Aqeeda No 9 : (Nabi Aur Wali Baik Waqt Zameen Wa Aasmaan Ki Tamaam Baatein Jaan Sakta Hai)

Waheed Uz Zama Sahaab Likhte Hai :

Agar Koi Yeh Aqeeda Rakhe Ke Nabi Saw Ya Hazrat Ali Rdh. Ya Koi  Aur Auliya Allah Me Se Aam Logo Se Zyaada Sun Sakta Hai  Hatta Ke Tamaam Dunya Aur Zameen Ke Kinaare Dur Wa Nazdeek Se Sun Lete Hai Toh Yeh Shirk Nah Hai. (Hadiyatul Mehdi : Safa 25)

Scan Page :

Hadiyatul Mehdi no 25 f

Aqeeda No 10 : (Ya Rasoolullah , Ya Ali , Ya Ghouse Kehna Saheeh Hai)

Waheed Uz Zaman Mazdeek Ghair Muqallideen Ke Aqaid Ko Bayaan Karte Huwe Likhte Hai  Ke

Isse Yeh Baat Zaahir Hogayi Ke Aam Log Jo Ya Rasoolullah Aur Ya Ali Ya Ya Ghouse Pukaar Ne Se Hum Shirk Ka Hokum Nahi Lagaayege.

(Hadiyatul Mehdi : Safa 24)

Scan Page :

Hadiyatul Mehdi no 24 f Ghair Muqallideen ke Aqaid

Aqeeda No 11 : (Nabi E Karim Saw Har Jagah Haazir Wa Naazir Hai)

Nabi E Karim Saw Har Din Aur Har Haal Me Momineen Ke Markaz Nigah Aur Aabideen Ki Aankho Ki Thandak Hai.

Qususan Ibaadat Ki Halaat Me Kyunke Is Halaat Me Inkeshaaf Aur Nuraaniyat Zyaada Qawi Aur Shaheed Hoti Hai.

Baaz Aarifeen Ka Qaul Hai Ke Tashahud Me Aaiyuhan Nabiyyu Ka Yeh Khitaab Mumkinaat Aur Maujoodaat Ki Zaat Me Haqiqat E Muhammadia Ke Saraa-At (Daaqil)  Karne Ke Aitebaar Se Hai.

Chunaanche Huzur E Akram Saw Namaz Padhne Waalo Ki Zaat Me Maujood Aur Haazir Hote Hai Aur Isliye Namaz Padhne Waale Ko Chahiye Ke Is Baat Ka Qususiyyat Ke Saat Qiyaal Rakhe Aur Aap Saw Ki Is Haaziri Se Ghaafil Na Ho.Taake Fareeb Wa Ma’a-E-Yat Ke Anwaaraat Aur Marifat Ke Asraar Haasil Karne Me Kaamiyaab Rahe.

(Miskul Qitaam Fii Sharaahi Bughul Maraam : Safa 259-260)

Scan Page :

mish

Aqeeda No 12 : (Hazrat Isa As Beghair Baap Ke Paida Nahi Huwe) Nauzbillah

Mashoor Ghair Muqallid Aalim Inaayat Ullah Asri Sahaab Likhte Hai :

Isa As Ki Waalda E Maajida Toh Apna Shauhar Bataa Rahi Hai ……………..Aur Baap Beta Bhi Dono Use Tasleem Farmaa Rahe Hai.

Magar Sadiyo Baad Logo Ne Unhe Bepidar (Beghair Baap) Bataaya Aur Aap Ki Waalda Ko Be-Shauhar Bataaya…Kya Khoob Hai.

(Oyoon E Zamzam Fii Milad E Isa Ibn Mariyam : Safa 40)

Scan Page :

scan0013

Aqeeda No 13 : (Hazrat Isa As Ko Suli Par Chada Diya Gaya) Nauzbillah

Ghair Muqallideen Ke Munaazir Abu Kaleem Ashraf Saleem Sahaab Likhte Hai :

Har Nabi Ko Allah Ne Uski Shaan Wa Martabe Ke Mutaabiq Meraaj Karaayi,

Hazrat Aadam As Ko Jungle Me Maqaam Tauba Par Meraaj Karaayi,

Hazrat Nuh As Ko Jabal E Judi Ke Maqaam Par Meraaj Karaayi,

Hazrat Ibrahim As Ko Aag Me Par Meraaj Karaayi,

Ismail As Ko Churi Ke Neeche Meraah Karaayi, Aur

Hazrat Isa As Ko Saleeb (+ Mark) Par Meraaj Karaayi.

(Mizaan Ul Mutakallimeen : Safa 36 , Bahawala Hadees Aur Ahle Hadees : Safa 38)

Scan Page :

Hadis aur Ahle Hadis_Page20

Aqeeda No 14 : (Faut Shuda Se Madad Talab Karna)

Ghair Muqallideen Ke Baani Nawab Siddiq Hasan Khan Sahaab Ko Jab Koi Mushkil Pesh Aati Toh Is Tarah Madad Maagna Karte The.

“ Aye Mere Deen Ke Qibla Madad Lar , Aye Ka’aba E Imaan Madad Kar

Aye Ibn Qayyim Madad Kar , Aye Qazi Shaukaani Madad Kar”

(Hadiyatul Mehdi : Jild 1 : Safa 23 , Matbu’a Shaukatul Islaam Banglore , Nafhut Taeeb : Safa 47 , 57))

Scan Page : Hadiyatul Mehdi

Hadiyatul Mehdi no 23

Yeh Ibn Qayyim Aur Qazi Shaukaani Nawaab Sahaab Se Dur Bhi The Aur Faut Bhi Hochuke The.

Lekin Phir Bhi Unse Madad Ki Jaarahi Hai.

Aqeeda No 15 : (Nabi E Karim Saw Ki Qabr Par Madad Maagna)

Ghair Muqallideen Ke Baani Nawaab Siddiq Hasan Khan Sahaab Nabi E Karim Saw Se Madad Talab Karte Huwe Yeh Sha’ar Kehte Hai :

Aye Mere Aaqa , Aye Mere Sahaare Aur Aye Mere Waseele Aur Aye Khushaali Wa Badhaali Me Meri Mata’a  (Naafa Pahuchane waali cheez) meRota Girdh Gidaata Aur Thandi Aahe Bharta Aap Ke Darpe Aaya Hu , Aap Ke Alaawa Mera Koi Fareed Ras Nahi.Siwaaye Rahmatullil Alameen Meri Giraya Wa Zaari Par Rahem Farmaa.

(Hadiyatul Mehdi Haashiya : Safa 20 , Ma’asir Siddiqui : Safa 30-31)

Scan Page : Hadiyatul Mehdi

Hadiyatul Mehdi no 20

Nawab siddiq Hasan Khan sahaab ke Ek Qaseeda se Hadiyatul Mehdi ke Haashiya me Likha hai

: ke Tafseer e Jamiul Bayaan ke Musannif ne bhi apni tafseer ki ibtedaa me Nabi e Karim SAW se Madad Talab Ki thi ,Agar Ghair Allah se Mutalliqan Madad Talab Karna Shirk hai toh Musannaf e Jamia ul Bayaan ka Mushrik Hona Laazim Aayega.

Toh Phir unki Tafseer par Kaise Aitemaad Kiya jaasakega Jabke Tamaam Ahle hadees unki tafseer ko maante hai.

(Haashiya Hadiyatul Mehdi : Safa 20)

Scan Page :

Hadiyatul Mehdi no 20

Aur Mashoor Ghair Muqallid Aalim Ghulam Rasool Sahaab Apne se Nabi e Karim SAW ko mukhaatib karke Sha-ar Padhte hai :

Aye Mehboob e Rabbaani Meri Taraf Dekho Aap ke Judaayi se Meri Jaan Nikalne Waali hai

Aur dard aur gham ne Mera Dil chur kardiya hai , Ab Aap Rahem Kijiye , Rahem Kijiye.

(Sawaaneh e Hayaat Maulwi Ghulam Rasool : Safa 161)

Scan Page :

159963296-moulana-ghulam-rasool-qalawi-swan-i-سوانح-حیات-مولنا-غلام-رسول-قلعویؒhayat-سوانح-حیات-pdf_Page92

Note : Maujuda Ghair Muqallideen se Sawaal jo ke Ghair Allah se Madad ko Shirk Qaraar Dete hai , Apne Is Buzurg par Fatwa Hoga.

Aqeeda No 16 : (Qabro Ka Tawaaf Aur Sajda Karna Koi Shirk Nahi)

Waheed Uz Zama Sahaab Likhte Hai :

Pas Agar Yeh Af’aal Ta’azimiya Jaise Tawaaf Karna Ya Bosa Dena Ya Qiyaam Karna Jhukna Ya Ruku Karna Ya Sajda Nabi E Karim Saw Ya Kisi Wali Ki Qabar Ke Saamne Ho.

Maqsad Qabr Waale Ko Salaam Ho Ibaadat Na Ho Toh Shirk Nahi Hai.

Ha Sirf Gunaahgaar Hoga. (Hadiyatul Mehdi : Safa 15)

Scan Page :

Hadiyatul Mehdi no 15 f

Aqeeda No 17 : (Qabro Se Faiz Haasil Karna)

Nawaab Siddiq Hasan Sahaab Qabro Se Faiz aur Ijma Zikr Karte Huwe Likhte Hai

Nawaab Sahaab Ke Farzand Ali Hasan Sahaab Uska Tarjuma Yu Karta Hai.

Is Masle Me Aur Is Amr Me Ke Irbaab E Sahaab E Dil Wa Auliya Wa Ambiya As Ki Arwaahe Muqaddasa Be-Ghair Rusoom Aur Bid’aat Ke Pabandi Ke Jo Asal Zalaalat Ka Shewa Hai Apne Munaasib E Haal Faiz Utaaye Toh Is Me Ulama Ka Koi Ikhtelaaf Nahi Hai.

(Ma’asir E Siddiqui : Jild 4 : Safa 128)

Scan Page :

Maasir

Neez Nawab Sahaab Apne Waalid Ke Qabar Ke Bare Me Likhte Hai Ke

Aap Ki Qabr Shareef Par Hamesha Nur Rehta Hai Aur Log Usse Tabbaruk Haasil Karte The. (At Tajal Mukallal : Safa 298 , Matbu-a’a Maktaba Darul Islaam)

Scan Page :

scan0006

Mazeed Maulwi Waheed Uz Zama Sahab Likhte Hai Ke

Mai Kehta Hu Ke Isse Wo Shuba Dur Hota Hai Ko Baaz Kam Aql Hazraat Ki Taraf Se Saamne Aata Hai Ke Sulahaa Ki Quboor Ki Ziyaaraat Karke Unki Ruho Se Faiz Aur Baraakaat Aur Anwaar Ka Husool Kaise Mumkin Ho .

(Hadiyatul Mehdi : Safa 63)

Scan Page :

Hadiyatul Mehdi no 63

Note : Ilzaaman Isliye Likha Gaya Hai Ke Maujuda Ghair Muqallideen Ke Nazdeek Qabro Se Faiz Ka Aqeeda Kufriya Aur Shirkiya Hai , Isliye Unke (Maujuda Ghair Muqallideen Ke) Mazhab Ke Mutaabiq Unke Bado Ka Yeh Aqeeda Kufriya Aur Shirkiya Hoga.

Aqeeda No 18 : (Wahjatul Wujood)

Nawaan Siddiq Hasan Khan Sahaab Likhte Hai :

Masla E Wahtade Wujood Wa Shuhood Jisse Muraad Hasti E Haq Aur Naisti E Khalq Yaani (Sirf Allah Tala Ka Hona Aur Maqlooq Ka Na Hona) Hai Aur Aiteqaad Is Masle Ka Ruh Ur Ruh Hai.Ke Mai Masle Wahdate Wujood Ko Aqli Wa Naqli Dalail Se Saabit Karta Lekin Masla Yeh Hai Ke Koi Samjh Nahi Sakega , Aakhir Me Likhte Hai Ke Wagar Na Agar Haqiqatan Dekha Jaaye Toh Isme Koi Mabihin Niza (Jhangde Ki) Baat Nahi Hai Aur Kullu Shai-In Maa-Khallaahu-Baatilun (Isse Bardkar Nadaani Kya Hosakti Hai Ke Aadmi Har Martabe Aur Har Haal Me Ahkaam E Wujood Ka Munkir Ho) Aur Himmat E Ust Ke Maane Nauzbillah Shariyat Se Aazaad Hona Samjhe.

(Ma’asir E Siddiqui : Jild 4 : Safa 40)

Scan Page :

Maasir e Siddiqui

Note : Ghair Muqallideen Wahjatul Wujood Ko Sufiya Ki Ek Istelaah Ke Bajaaye Aqeede Ka Unwaan Dete Hai Aur Phir Usko Kufriya Aur Shirkiya Aqeeda Kehte Hai.

Lehaaza Yeh Log Ghaur Kare Ke Unke Mazhab Ke Mutaabiq Unke Bade Is Aqeede Ke Qaayil Hone Ki Wajeh Se Kaafir Aur Mushrik Toh Nahi Huwe ?

Aqeeda No 19 : (Hazrat Mehdi Ke Zamaane Me Raj’at Hogi)

Ghair Muqallid Aalim Mulla Moin Sahaab Likhte Hai :

Ke Jo Shaks Hazrat Imam Mehdi As Ki Sach-Chi Muhabbat Par Faut Hogayi Aur Wo Imam Ka Zamaana Na Paasaka Toh Allah Tala Ijaazat Denge Yeh Ke (Hazrat Mehdi) Usko Zinda Kare Phir Wo Aapke Huzur Badi Kamiyaabi Payega Unke Nur Ke DhoniSe.Aur Yeh Rujat Unke Zamaane Me Hogi.

(Diraasatul Labeeb : Safa 251)

Scan Page :

Diraastul

Note : Yeh Aqeeda Rujat Shiyo Ka Aqeeda Hai Jo Ke Baatil Aur Mardood Hai.Lekin Ghair Muqallideen Ko Bhi Yeh Aqeeda Pasand Aagaya Isliye Inhone Bhi Ikhtiyaar Karliya Hai.

Aqeeda No 20 : (Shaik Abdul Qader Jilaani Rh. Makaan Wa Maa-Yakoon Jaante Hai)

Mashoor Ghair Muqallid Aalim Muhammed Yusuf Jaipuri Sahaab Ahnaaf Muqallideen Me Auliya Allah Na Hone Par Daleel Dete Hai Ke

“ Tabqaat E Ibn Rajab : Safa 202 : Jild 1  me Hai Ke Hazrat Peeraane Peer Se Pucha Gaya Hanbali Mazhab Waalo Ke Siwa Aur Mazhab Me Kuch Wali Huwi Hai Ya Nahi Farmaaya Ke Na Toh Huwe Aur Na Hi Hoge.”

(Haqiqatul Fiqa : Safa 183)

Scan Page :

Haqeeqat-ul-Fiqh_Page183

Aqeeda No 21 : (Zinda Aur Murda Ko Ilm E Ghaib)

Mashoor Ghair Muqallid Aalim Abdul Majeed Sohadrawi Sahaab Qazi Muhammed Sulaiman Mansoorpuri Ghair Muqallid Ka Waqia Bayaan Karte Huwe Likhte Hai Ke

Hazrat Qazi Sahaab Jab Bhi Lahore Tashreef Laate Toh Maal Road Par Hayaat Brothers Ke Ha Qiyaam Farmaaya Karte The Fazl Kareem Bin Haaji Hayaat Muhammed Maalik Khurram Ka Bayaan Hai Ke Jis Makaan Par Tehra Karte The Uske Qareeb Ek Khanqah Thi Jo Ujdi Huwi Thi.

Ek Din Aapne Mujh Se Pucha Ke Kya Yaha Koi Qabar Hai Maine Arz Kiya “Ji Ha “

Aap Ne Kaha Aaj Raat Khaab Me Hume Wo Buzurg Mile Aur Kaha Ke Qazi Ji Aap Itni Baar Yaha Tashreef Laaye Magar Hume Ek Baar Bhi Nahi Mile.

Qazi Sahaab Ne Yeh Bhi Farmaaya Wo Bahut Naik Aur Saaleh Aadmi The Falah Jagah Ke Rehne Waale The.Edhar Se Guzar Rahe The Ke Inteqaal Hogaya.

Miya Fazl Kareem Kehte Hai Ke Uske Baad Jab Maine Uski Tehqeeq Ki Toh Wo Baatein  Waisi Hi Saabit Huwe Jo Qazi Sahaab Ne Bayaan Farmaayi Thi Yaha Tak Ke Unka Naam Aur Pata Bhi Qazi Sahaab Ne Bata Diya Tha. (Karaamaat E Ahlehadees : Safa 83-84)

Scan Page :

KaramatEAhlehadith_Page42

Mashoor Ghair Muqallid Aalim Ghulam Rasool Ka Waqia Likha Hai :

Haji Karamilaahi Miya Singh Ne Bayaan Kiya Ke Meri Shaadi Ke Mauqe Par Meri Walida Ka Zaiwer Ghum Hogaya Tha. Jis Jagah Rakha Tha Bahut Hi Dafa Waha Dekha Lekin Kuch Pata Na Chala Aur Jagah Bhi Talaash Kiya Lekin Be-Faida , Meri Waalida Maulwi Sahaab Ke Khidmat Me Haazir Huwi Aur Zaiwer Gum Hoone Ka Zikr Kiya Aap Ne Farmaaya : Jao Jis Jagah Rakha Tha Wahi Pada Huwa Hai Meri Waalida Ne Phir Aakar Dekha Toh Zaiwer Ussi Jagah Par Pada Tha.

(Sawaaneh Hayaat Maulana Ghulam Rasool : Safa 104-105)

Scan Page :

pic

Dusra Waqia : Ek Hajjaam Aap (Maulana Ghulam Rasool) Ki Hajaamat Kar Raha Tha. Usne Kaha

Hazrat Mere Beta Kai Saal Se Bahar Gaya Huwa Hai Maloom Nahi Wo Kis Jagah Hai Zinda Hai Ya Margaya.Ek Hi Beta Hai  Bahu Jawaan Hai Dua Farmaade Ya Mujhko Padhne Ke Waste Bataade Ke Aajaye , Aap Khamosh Rahe Hajjam Kehta Hai Ke Mujhe Aisa Maloom Huwa Ke Maulwi Sahaab Kuch Padhte Hai Jab Hajaamat Karaa Chuke Toh Maine Phir Arz Ki Aap Ne Farmaaya Wo Toh Ghar Roti Namkeen Na Khoot Ke Saat Kha Raha Hai , Jaakar Dekho.

Hajjam Kehta Hai Ke Mai Aap Ka Yeh Farmaan Sunkar Hairaan Reh Gaya Kyunke Mai Aapki Karaamaat Bahut Si Sun Chukka Tha Lehaaza Mere Dil Me Qiyaal Paida Hogaya Ke Shayad Mere Beta Aagaya Ho , Jab Mai Ghar Gaya Toh Mere Beta Na Khoot Ki Roti Kha Raha Tha Usne Kaha Mai Sukhr Mulk Sindh Me Aata Goond Raha Tha Paani Lene Ke Waste Baher Nikla Hu.Maloom Nahi Kya Huwa Mujhe Kisi Ne Utaaya Palak Jhapak Ne Me Yaha Apne Gau Me Pahuch Gaya Hu Aur Mera Kul Samaan Aur Auzaar Waghaira Sukr Me Padhe Huwe Hai.

(Sawaaneh Hayaat Maulana Ghulam Rasool : Safa 107-108)

Scan Page :

Picture 017

Aqeeda No 22 : (Insaan Kutta Bangaya Hai)

Ke Mauza Maraaliwa Me Hamaara Ek Rishte Daar Sultan Ahmed Naami Rehta Tha , Bada Muttamawwil (Maaldaar) Aadmi Tha Unka Ham Saaya Ek Lohaar Tha Jo Naami(Mashoor) Chor Tha.

Bewa Sultan Ahmed Sahaab Ne Mere Saamne Bayaan Kiya Ke Maine Maulwi Sahaab Kea Age Arz Ke Mere Bach-Che Yateem Hai Raat Bhar Hamaare Hum-Saaya Lohaar Sone Nahi Deta Wo Har Waqt Isi Koshish Me Rehta Hai Ke Mauqa Bane Toh Sab Kuch Lut Lu Aapne Kuch Padhne Ke Liye Farmaaya , Aur Kaha Ke Padhkar Be-Fikar Hokar Soraha Karo  , Insha Allah Wo Kutta Bhok Bhok Kar Khud Hi Chala Jaaya Karega Toh Aisa Hi Hota Raha ,

Uske Baad Maulwi Ghulam Rasool Sahaab Jald Hi Faut Hogaye , Wo Lohaar Khud Bayaan Karta Hai Ke Maine Maulwi Sultan Ahmed Ke Ghar Jaakar 4 Dafa Naqab Lagayi Jab Andar Jaata Toh Kutte Ki Shakal Hojaati Aur Kutte Hi Ki Tarah Bhokta Huwa Baher Nikalta Ek Dafa Naqab Lagaakar Ander Biwi Saheba Jag Rahe The Meri Surat Maskh Hoti Dekh Kar Kaha Bhai Teri Surat Maskh Hone Se Ta-Ajjub Bhi Aata Hai Lekin Jiski Zubaan Se Yeh Kalimaat Nikle Hai Uski Zubaan Bhi Saif Ur Rehmaan Thi Jo Kuch Unhone Kaha Wo Zaroor Huwa Aur Aainda Bhi Inshallah Hota Rahega.

(Sawaaneh Hayaat Maulana Ghulam Rasool : Safa 137-138)

Scan Page :

Picture 014

Aqeeda No 23 : (Ghair Muqallideen ke Akaabir ko bhi Ilm e Ghaib hai)

Mashoor Ghair Muqallid Aalim Ghulam Rasool Qilewaali rh. Ka Waqia Naql Karte Hai.

Hafiz Ghulam Rasool Muhammed Sahaab Saakin Sidha Zilaa Shahpur , Ek Din Maulwi Sahaab Ki Khidmat Me Haazir Huwe Aur Maulwi Sahaab Ko Dekh Kar Bahut Rooye Maulwi Sahaab Ne Roone Ka Sabab Daryaaft Farmaaya Hafiz Sahaab Ne Bayaan Kiya Keg Au Ka Nabardaar Mujhe Saqt Saza Ezaa Deta Hai Yaha Tak Ke Mujhe Gau Se Baher Nikaal Diya

Aur Nabardaari adaawat ki wajeh sharii umoor Hai Maulwi Sahaab Sunkar Khamosh Hogaye.

Hafiz Sahaab Farmaate Hai Ke Mai 3 Din Aap Ki Khidmat Me Raha Maulwi Sahaab Apni Juti Subah Ke Baad Zameen Par 5 Dafa’a Zoor Se Maarte , Teesre Rooz Mujhe Farmaaya Ke Hafiz Jao Pahunchna taaKe Us Nabardaar Ka Janaaza Tum Hi Padhaao Taake Dushmann Se Bhi Kuch Miljaaye Hafiz Sahaab Ka Bayaan Hai Ke Jab Mai Gau Ke Qareeb Pahuncha Toh Dekha Ke Log Us Naardaarka Janaaza Le Jaarahe Hai Hasb E Farmaan Maulwi Sahaab Uska Janaaza Maine Jaakar Padhaaya.

(Sawaaneh Hayaat Maulana Ghulam Rasool : Safa 102-103)

Scan Page :

29

Aqeeda No 24 : (Akaabir ki Ajeeb Karaamaat)

Muhammed Ishaq Bhatti Sahaab Likhte Hai Mere Faisalabad Ke Ek Dost Maulwi Muhammed Ramzaan Yusuf Salafi Ne Bataaya Ke Sufi (Muhammed Abdullah) Sahaab Kisi Gau Me Gaye Aur Ek Shaks Unhe Apne Ghar Legaaye Aur Kaha Ke Meri Bhains Har Saal kata [Male] Janti Hai Dua Farmaaye Yeh Katti Jane Sufi Sahaab Ne (Bajaaye Dua Ke ) Bhains Ki Dum Pakdi Aur Use 3 Dafa’a Kheech Kar Kaha …….De Katti………….De Katti………De Katti…..Iske Baad Usne Mutawaatir 3 Kattiyaa Di.

(Sufi Muhammed Abdullah Halaat , Khidmaat , Aasaar : Safa 361, Shakireen Sheesh Mahel Road, Lahore)

Scan Page :

Sufi Abdullah

Aqeeda No 25 : (Jume ki Raat Ruhoo Ka Gharo Me Aana)

Lakhi Khandaan Ka Mashoor Ghair Muqallid Hafiz Muhammed Lakhwi Sahaab Likhte Hai :

Ek Hadees Me Aata Hai Ke Jume Ki Raat Ko Maghrib Ke Baad Ruh Apne Rishte Daaro Ke Gharo Me Ya Jaha Uski Waaqifuyyat Hoti Hai Waha Aati Hai.

(Ahwaal E Akhirat : Safa 17, Lahore Edition)

Scan Page :

Ahwaal e Akhirat f

Note : Ab Ghair Muqallid Talib Ur Rehman Aur Zubair Ali Zai Kazzab Wagaira Ke Zimme Hai Ke Wo Is Hadees Ki Nishaandawi Karke Sehat Saabit Kare Warna Seedha Saadhe Musalmaano Ko Apne Bado Ki Tarah Hadees Ke Naam Par Dhoke Dekar Gumrah Karna Chor De.

Aqeeda No 26 : (Baaz Sahaba (Rdh.) Faasiq Hai)

Mashoor Ghair Muqallid Aalim Waheed Uz Zamaa Sahaab Likhte Hai : Ke Kya Pas Wo Shaks Jo Momin Ho Faasiq Ki Tarah Hai Aur Isi Se Maloom Huwa Kar Beshak Sahaba Rdh. Se Baaz Wo Hai Jo Faasiq Hai.Jaise Waalid (Bin Uqba Rdh.) Aur Isi Tarah Kaha Jayega.

Muawiya (Bin Abu Sufiyan Rdh.) Ke Haq Me Aur Amr (Bin A’as Rdh.) Aur Mughira (Bin Shoba Rdh.) Aur Samrah (Bin Jundub Rdh.) Ke Haq Me Aur Sahaba Ke Aadil Hone Ka Matlab Yeh Hai Ke Wo (Nabi Saw) Ki Baat Naql Karne Me Saadiq Hai Na Yeh Ke Wo Ma’asoom Hai.

(Nuzulul Abrar : Jild 3 : Safa 94)

Scan Page :

Nuzulul f

Ghair Muqallideen Ka Sahaba Rdh. Ke Mutalliq Yeh Aqeeda Quraan Ul Kareem Aur Ahadees Mutawaatir Ke Saraahatan Khilaaf Hai. Aur Shiyat Ki Waazeh Tarjumaani Hai.

Aqeeda No 27 : (Sahaba Rdh. Musht Zaani Karte The) Nauzbillah

Mashoor Ghair Muqallid Aalim Nawaab Siddiq Hasan Khan Ke Bête Nawab Nurul Hasan Khan Likhte Hai :

Aur Apne Haat Se Mani Nikalne Se Mani Ki Ahadees Saheehh Aur Saabit Nahi Hai Balke Baaz Ahle Ilm Ne Naql Kiya Hai Ke Sahaba Bhi Apne Gharo Se Dur Rehne Ke Waqt Apne Haatho Se Mani Nikalte The. (Nauzbillah) Aur Is Kaam Me Koi Harj Bhi Nahi Hai. (Arful Jaadi : Safa 207)

Scan Page :

Arful Jaadi F

Aqeeda No 28 : (Hazrat Umar Rdh. Ki Samajh Motabar Nahi) Nauzbillah

Mashoor Ghair Muqallid Aalim Muhammed Junagadi Ek Unwaan Qayaam Karta Hai :

Hazrat Farooq Rdh. Ki Samajh Motabar Na Hone. (Nauzbillah)

Aage Phir Unwaan Qaayim Karte Hai

Sahaba Rdh. Diraayat Motabar Nahi

(Shama E Muhammedi : Safa 19)

Scan Page :

sh

Aur Ghair Muqallid Sanaullah Amritsari Sahaab Muhammed Junagadi Ke Hawaale Se Hazrat Umar Rdh. Ke 3 Talaaqo Ke 3 Hone Waale Fatwe Ke Mutalliq Likhte Hai :

“Dosto Agar Isi Par Israar Hai Ke Nahi Hazrat Umar Rdh. Yeh fatwa Abadul Aabaad [Hamesha] ke liye Shar’ii Taur Par Hi Diya Hai Toh Hum Kehte Hai Phir Aap Aur Hum Use Kyun Maane Hum Farooqi Toh Nahi Muhammedi Hai.

Hum Ne Unka Kalima Toh Nahi Padha Anhazrat Saw Ka Kalima Padha Hai.

(Fatawa Sanaaiya : Jild 2 : Safa 252 , Matbu’aa Maktaba Sanaaiya , Sargodha)

Scan Page :

Fatawa Sanaaiya

Aqeeda No 29 : (Sahaba Rdh. Ki Baat Koi Hujjat Nahi) Nauzbillah

Ghair Muqallideen Ke Shaik Ul Kulli Fil Kul Miya Nazeer Hussain Dehelwi Sahaab Likhte Hai :

…Toh Yeh Hazrat Ayesha Rdh. Apne Fahem Se Farmaati Hai .Aur Fahem E Sahaba Rdh. Hujjat Sharii Nahi Hai…

(Fatawa Naziriya : Jild 1 : Safa 622)

Aur Mashoor Ghair Muqallid Nawab Nurul Hasan Khansahaab Likhte Hai :

Ke Usool Me Yeh Baat Taishuda Hai Ke Sahabi Ka Qaul Hujjat Nahi Hai.(Arful Jaadi : Safa 101)

Scan Page :

Arful Jaadi 1

Aqeeda No 30 : (Hazrat Ali Rdh. Ki Khilaafat Khudsaakta Aur Azab E Khudawandi Tha)

Mashoor Ghairmuqallid Hakeem Faizan Aalim Siddiqui Sahaab Likhte Hai :

Aap (Hazrat Ali Rdh.) Ko Ummat Ne Apna Khalifa Muntakhab Nahi Kiya Tha Aap Dunya E Asbaabiyaat Ke Muntakhab Khalifa The.

Isliye Aapki Khudsaakhta Khilaafat Ka 4 Ya 5 Salaa Daur Ummat Ke Liye Ek Azab E Khudwandi Tha…………Aap Ki Shaadat Aalam E Islam Ke Liye Ek Ayat E Rehmat Saabit Huwi.

(Siddiq E Kainaat : Safa 237)

Aqeeda No 31 : (Hazrat Ayesha Rdh. Beghair Tauba Ke Mari Toh Murtad Mari). (Nauzbillah)

Hazrat Maulana Qari Abdur Rehman Paanipatti Rh. Farmaate Hai Ke Maulwi Abdul Haq Banaarsi (Ghair Muqallid) Ka Fatwa Jawaaz E Muta Mere Paas Maujood Hai.

Aur Maulwi Abdulhaq Ne bar-mala [Spot par] Kaha Ke Ayesha Ali Se Ladi Agar Tauba Na Ki Hogi  Murtad Mari Aur Yeh Bhi Dusri Majlis Me Kaha Ke Sahaba Ka Ilm Hum Se Kam Tha.

Unko Har Ek Ko 5 5 Hadees Yaad Thi Hum Ko Un Sab Ki Hadeese Yaad Hai. (Kashf ul Hijaab : 42)

Note :

Aaj kal ke Jo Muta’asib Ghair muqallideen Akaabir e Ahle sunnat ke Ibaarat pesh karke, Unke Gumraah aur Yaha tak ke Kaafir bhi Kehne se Guraiz (Paraiz) Nahi karte, Unhi ke Ulama ne Aisi Ibaarte aur Aqaid Likhe hai.

Ab Kya Aaj kal ke Ghair Muqallideen Insaaf Karte huwe Jo Fatwe (Hasad ki Wajeh se) Akaabir e Ahle Sunnat par Lagaaye hai, wahi Apne Ulama par bhi Lagaa sakte hai ?

Allah tala Inke Fitne se Saari Ummat ki Hifazat Farmaaye…..Ameen.

by : Maulana Ansaar Bajwa DB.

Izaafa : Maulana Nazeeruddin Qasmi DB.

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads