Eidain ki Namaz me 6 Takbeere Sunnat hai Part 2 [Eidain me 12 Takbeere Huzur SAW se Saabit NAHI hai]

Ghair Muqallideen Hazraat Eidain me 12 Takbeero ke qaayil hai, Is Masle par Unke Dalaail ka Tarteebwaar Jawaab pesh e Khidmat hai :

Hadees no 1 :

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرٍ قَالَ: حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، قَالَ: حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ يَعْلَى الطَّائِفِيُّ، عَنْ عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ، «أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَبَّرَ فِي عِيدٍ ثِنْتَيْ عَشْرَةَ تَكْبِيرَةً، سَبْعًا فِي الْأُولَى، وَخَمْسًا فِي الْآخِرَةِ»

Sanad :

Imam Abu bakr Ibn Abi Shaiba Rh. — > Wakii Rh. — >Abdullah bin Abdur Rehman bin Ya’ala At-taa-efi — > Amr bin Shoaib Rh. AN— > Unke Waalid [Shoaib Rh.] AN — > Abdullah bin Amr bin Aaas Rdh. — > Huzur SAW.

(Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 4 : Safa 212-213)

Scan Page :

musnfsh04_Page201 - Copy

Al – Jawaab no 1 :

Is riwayat me Amr bin Shoaib Rh. aur Unke Waalid Shoaib Rh. Dono MUDALLIS hai.

(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 35)

(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 34)

Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 35

تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page32

Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 34

تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page31

Aur Mudalliseen ki AN Waali riwayaat Ghair Muqallideen ke Nazdeek Zaeef hoti hai. (Nurul Aainain :507)

Scan Page :

Nurul Aainain_Page510

Algarz Hazraat, Jis riwayat me 2 2 Raaviyo ke Mudallis hone ke Alaawa Ek aur Raavi Zaeef ho, pata Nahi uski riwayat ko ghair Muqallideen kis Muh se Istedlaal Karte hai ?

Al – Jawaab no 2 :

Is riwayat me Ek aur Raavi : Abdullah bin Abdur Rehman At-Taa-ei Rh. Maujood hai :

Unke bare me Imam Ibn Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij.Farmaate hai ke Zaeef hai.

Imam Abu Haatim Rh. Al Mutawaffa 277 Hij. Farmaate hai ke Yeh raavi Qawi nahi hai, Imam Nasaai Rh. Al Mutawaffa 303 Hij. Bhi Yahi Farmaate hai ke wo Qawi nahi hai.

Imam Bukhari Rh. Al Mutawaffa 256 Hij. Farmaate hai ke Feehi Nazar [Uski Hadeese Qaabil e Ghaur hai]

(Taarekh e Yahiya Bin Maeen : Jild 1 : Safa 167)

(Zuaafa wal Matrookin Lin Nasaai : Raqm no 320)

(Al Mughni Fiz Zuaafa : Jild 1 : Safa 490)

(Al Kaamil Li Ibn A’adi : Jild 5 : Safa 276)

Scan Page : Zuaafa wal Matrookin Lin Nasaai

Zuaafa e Sagheer , Zuaafa Wal Matrookin_Page198

Scan Page : Al Mughni Fiz Zuaafa

01_1609_Page490

Scan Page : Al Kaamil Li Ibn A’adi

kdra5_Page276

Imam Bukhari Rh. ki Feehi Nazar ke bare me Ghair Muqallid Aalim Abdul Manna Noorpuri Sahaab Farmaate hai ke

Jis Raavi ke Mutalliq Imam Bukhari Rh. ka Yeh [Feehi Nazar ki Jarah ka] Faisla De, Uski riwayat NA QAABIL e AITEJAAJ, NA QAABIL E ISTESH-HAAD aur NA HI QAABIL E AITEBAAR.

(Mukallamaat e Noorpuri : Safa 378)

Scan Page :

Mukalimat e Noorpoori_Page374

Yaani Noorpuri Sahaab ki baat ka Khulaasa yeh hai ke Jis Raavi par Imam Bukhari Rh. Feehi Nazar ki Jarah Karde, Uski riwayat se na Aite-jaaj Durust hai aur NA USKI MUTA’ABIYAAT ME PESH KI JAASAKTI HAI.

Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij.Farmaate hai ke Sadooq Khata kaar aur Wahem Khaana waala Raavi hai.

Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. bhi Imam Abu Haatim Rh. ke Faisle se Raazi hai.

(Taqreeb : Raqm no 3438)

(Al Kaashif : Jild 1 : Safa 568)

Scan Page : Taqreeb

1531_Page311

Scan Page : Al Kaashif

kashif1_Page568

Aur Yahi Wajeh ke

Imam Nasaai Rh. Al Mutawaffa 303 Hij.,

Imam Ibn Shaheen Rh. Al Mutawaffa 385 Hij.,

Imam Uqaili Rh. Al Mutawaffa 322 Hij.,

Imam Ibn ul Jauzi Rh. Al Mutawaffa 597 Hij.,

Imam Zehbi Rh. Waghairah ne Is Raavi ko Zuaafa me Shumaar Farmaaya hai, Jisse Maloom hota hai ke Unke nazdeek bhi Yeh Raavi Zaeef hai.

(Zuaafa wal Matrookin Lin Nasaai : Raqm no 320)

(Taarekh e Asma uz Zuaafa Li Ibn Shaheen : Jild 1 : Safa 117)

(Zuaafa e Kabeer Lil Uqaili : Jild 2 : Safa 670)                

(Zuaafa wal Matrookin Li Ibn ul Jauzi : Jild 2 : Safa 130)

(Al Mughni Fiz Zuaafa : Jild 1 : Safa 344)

Scan Page : Zuaafa wal Matrookin Lin Nasaai

Zuaafa e Sagheer , Zuaafa Wal Matrookin_Page198

Scan Page : Taarekh e Asma uz Zuaafa Li Ibn Shaheen

17600_Page117

Scan Page : Zuaafa e Kabeer Lil Uqaili

dufaao_Page670

Scan Page : Zuaafa wal Matrookin Li Ibn ul Jauzi

dmga2_Page130

Scan Page : Al Mughni Fiz Zuaafa

01_1609_Page490

Lehaaza Ghair Muqallideen ke Nazdeek Yeh raavi Saqt Zaeef hai, Jiski riwayat Muta’abiyaat me pesh Karne ki bhi Laa-iq Nahi hai.

Al – Jawaab no 3 :

Ghair Muqallid Ahle Hadees Aalim Khwaja Muhammed Qaasim Sahaab Jinko Hafiz Zubair Ali zai Sahaab Azeem Muballigh e Ahlehadees Qaraar dete hai (Maqaalaat : Jild 4 : Safa 398)

Scan Page :

Maqalat-Tehqiqi-Islahi-Aur-Ilmi-4_Page398

Wo Ek Dusri riwayat, Magar Isi Sanad [عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ ] par Kalaam Karte huwe Farmaate hai ke Imam Tirmizi Rh. Dusre Maqam par Likhte hai :

Muhaddiseen ne Amr bin Shoaib ki riwayat ko Zaeef Isliye Kaha hai, wo Apne Dada ke Sahife se bayaan Karta tha, Khud Uska Dada se Sima’a Saabit nahi, Yahiya bin Saeed Kehte hai ke Amr bin Shoaib ki riwayat Hamaare Nazdeek Bekaar hai.

(Taweez aur Dam : Safa 10)

Scan Page :

Taweez aor damm_Page11

Maloom huwa ke Ghair Muqallideen ke Nazdeek bhi Amr bin Shoaib Rh. ki riwayat [عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ ] ke Sanad ke saat se Zaeef wa Bekaar hai.

Aur Yeh Eidain ki Takbeeraat waali riwayat bhi isi Sanad [عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ ] se Marwi hai, Lehaaza Saabit huwa ke Ahlehadees Hazraat ke nazdeek bhi Yeh riwayat Zaeef hai.

Phir Istedlaal Kaise Saheeh Hoga ?

Hadees no 2 :

حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ، حَدَّثَنَا ابْنُ لَهِيعَةَ، عَنْ عُقَيْلٍ، عَنِ ابْنِ شِهَابٍ، عَنْ عُرْوَةَ، عَنْ عَائِشَةَ، «أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يُكَبِّرُ فِي الْفِطْرِ وَالْأَضْحَى، فِي الْأُولَى سَبْعَ تَكْبِيرَاتٍ، وَفِي الثَّانِيَةِ خَمْسًا»

Sanad :

Imam Abu Dawud Rh. — > Qutaiba Rh. — > Ibn Lahiya Rh. AN— > Uqail Rh. — > Ibn Shihaab Rh. AN — > Urwa Rh. — > Ayesha Rdh. — > Huzur SAW.

(Sunan e Abi Dawud : Hadees no 1149)

Scan Page :

malims1_Page475

Al – Jawaab :

Is riwayat me Ibn Lahiya Rh. aur Ibn Shihaab Rh. MUDALLIS hai.

(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 54)

(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 45)

Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 54

تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page51

Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 45

تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page42

Aur Mudalliseen ki AN Waali riwayaat Ghair Muqallideen ke Nazdeek Zaeef hoti hai, Jaisa ke Tafseek Guzar chuki.

Hadees no 3 :

أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللهِ الْحَافِظُ، ثنا أَبُو بَكْرِ بْنُ إِسْحَاقَ الْفَقِيهُ، أنبأ الْحَسَنُ بْنُ عَلِيِّ بْنِ زِيَادٍ، ثنا ابْنُ أَبِي أُوَيْسٍ , ثنا كَثِيرُ بْنُ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرِو بْنِ عَوْفٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ، ” أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يُكَبِّرُ فِي الْعِيدَيْنِ فِي الرَّكْعَةِ الْأُولَى بِسَبْعِ تَكْبِيرَاتٍ , وَفِي الثَّانِيَةِ خَمْسَ تَكْبِيرَاتٍ قَبْلَ الْقِرَاءَةِ “

Sanad :

Imam Behaiqi Rh. — > Imam Abu Abdullah al Hafiz Rh. — > Abu bakr bin Ishaq Al Faqi Rh. — > Hasan bin Ali bin bin Ziyaad Rh. — > Ibn Abi Owais Rh.   — > Kaseer bin Abdullah Rh. — > Abdullah bin Amr bin Aauf Rh.    — > Aauf Rdh. — > Rasoolullah SAW.

(Sunan e Kubra Lil Behaiqi : Jild 3 : Safa 404)

Scan Page :

skb03_Page404

Al – Jawaab :

Is riwayat me Ek Raavi Kaseer bin Abdullah Rh. jo ke Zaeef hai, Balke Unke upar Kazzaab ki Jarah bhi Maujood hai.

(Taqreeb : Raqm no 5617)

Scan Page :

1531_Page460

Isi Tarah Abdullah bin Amr bin Aauf Rh. bhi Majhool hai.

Lehaaza Yeh riwayat bhi Zaeef wa Mardood hai.

Hadees no 4 :

أَخْبَرَنَا أَبُو الْحُسَيْنِ بْنُ الْفَضْلِ الْقَطَّانُ، ثنا عَبْدُ اللهِ بْنُ جَعْفَرٍ، ثنا يَعْقُوبُ بْنُ سُفْيَانَ، حَدَّثَنِي حَيْوَةُ بْنُ شُرَيْحٍ، ثنا بَقِيَّةُ، عَنِ الزُّبَيْدِيِّ، عَنِ الزُّهْرِيِّ، عَنْ حَفْصِ بْنِ عُمَرَ بْنِ سَعْدِ بْنِ قَرَظٍ، أَنَّ أَبَاهُ، وَعُمُومَتَهُ أَخْبَرُوهُ , عَنْ أَبِيهِمْ سَعْدِ بْنِ قَرَظٍ: ” أَنَّ السُّنَّةَ فِي صَلَاةِ الْأَضْحَى وَالْفِطْرِ أَنْ يُكَبِّرَ الْإِمَامُ فِي الرَّكْعَةِ الْأُولَى سَبْعَ تَكْبِيرَاتٍ قَبْلَ الْقِرَاءَةِ، وَيُكَبِّرَ فِي الرَّكْعَةِ الثَّانِيَةِ خَمْسَ تَكْبِيرَاتٍ قَبْلَ الْقِرَاءَةِ “

Sanad :

Imam Behaiqi Rh. — > Abul Hussain bin Fazl Rh. — > Abdullah bin Jafer Rh. — > Yaqub bin Sufiyan Rh. — > Haiwa bin Shurai Rh. — > Baqiya Rh. AN — > Zubaidi Rh. — > Zuhri Rh. AN — >Hafs bin umar bin Sa’ad Rh. — > Umar bin Sa’ad Rh.– > Sa’ad Rdh.

(Sunan e Kubra Lil Behaiqi : Jild 3 : Safa 405)

Scan Page :

skb03_Page405

Al – Jawaab no 1 :

Is riwayat me Baqiya Rh. aur Zuhri Rh., Yeh Dono Mudallis hai.

(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 49)

(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 45)

Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 49

تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page46

Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 45

تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page42

Aur Mudalliseen ki AN Waali riwayaat Ghair Muqallideen ke Nazdeek Zaeef hoti hai, Jaisa ke Tafseek upar Guzar chuki.

Al – Jawaab no 2 :

Is riwayat me Baqiya Rh. ke Ustaad Zubaidi Rh. aur Hafs bin Umar bin Sa’ad Rh., Yeh Dono Majhool hai.

Lehaaza Is riwayat me 2 2 Mudalliseen ke Alaawa 2 2 Raavi Majhool ho, Toh yeh riwayat se Kaise Istedlaal Kiya Jaasakta hai.

Hadees no 5:

وَحَدَّثَنَا أَبُو مُحَمَّدِ بْنُ يُوسُفَ الْأَصْبَهَانِيُّ، أنبأ أَبُو مُحَمَّدٍ عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ يَحْيَى الزُّهْرِيُّ بِمَكَّةَ , ثنا أَبُو عَبْدِ اللهِ مُحَمَّدُ بْنُ عَلِيِّ بْنِ زَيْدٍ , ثنا إِبْرَاهِيمُ بْنُ الْمُنْذِرِ، ثنا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ سَعْدٍ الْمُؤَذِّنُ، حَدَّثَنِي عَبْدُ اللهِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ عَمَّارِ بْنِ سَعْدٍ، وَعُمَرُ بْنُ حَفْصِ بْنِ عُمَرَ بْنِ سَعْدٍ، عَنْ آبَائِهِمْ، عَنْ أَجْدَادِهِمْ، ” أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَبَّرَ فِي الْعِيدَيْنِ فِي الْأُولَى سَبْعًا، وَفِي الْآخِرَةِ خَمْسًا، وَكَانَ يُكَبِّرُ قَبْلَ الْقِرَاءَةِ , وَذَهَبَ مَاشِيًا وَرَجَعَ مَاشِيًا “

Sanad :

Imam Behaiqi Rh. — > Abu Muhammed bin Yusuf Rh. — > Abu Muhammed Abdur Rehman bin Yahiya Rh. — > Abu Abdullah Muhammed bin Ali bin Zaid Rh. — > Ibrahim bin Munzir Rh. — > Abdur Rehman bin Sa’ad Al Mu-azzan Rh. — > Abdullah bin Muhammed bin Ammaar bin Sa’ad Rh. wa Umar bin Hafs bin Umar bin Sa’ad Rh. — > Muhammed bin Ammaar Rh. bin Sa’ad Rh. wa Hafs bin Umar bin Sa’ad Rh. — > Sa’ad Rh. — > Huzur SAW.

(Sunan e Kubra Lil Behaiqi : Jild 3 : Safa 406)

Scan Page :

skb03_Page406

Al – Jawaab no 1 :

Is riwayat me Ek Raavi Abdur Rehman bin Sa’ad Al Mu-azzan Rh. hai, Jinke bare me Imam ul Jarah wa Ta’adeel Imam Yahiya bin Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. Farmaate hai ke Zaeef hai.

Imam Bukhari Rh. Al Mutawaffa 256 Hij. Farmaate hai ke Uski Hadeese Qaabil e Ghaur hai.

Imam Abu Ahmed Al Haakim Rh. Al Mutawaffa 378 Hij.Farmaate hai ke Uski Hadeese Hujjat Qaayim Karne ke Laa-iq Nahi hai.

(Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 6 : Safa 183)

Scan Page :

06_1515_Page183

Hafiz Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij.Farmaate hai ke Yeh Raavi Zaeef hai. (Taqreeb : Raqm no 3873)

Scan Page :

1531_Page341

Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. bhi Farmaate hai ke Usko Imam ibn Maeen Rh. ne Zaeef Qaraar diya hai. (Al Kaashif : Jild 1 : Safa 629)

Scan Page :

kashif1_Page629

Maloom huwa ke Abdur Rehman bin Sa’ad Al Mu-azzan Rh. Zaeef hai.

Al – Jawaab no 2 :

Isi Tarah Isme Ek aur Raavi Umar bin Hafs bin Umar bin Sa’ad Rh. Maujood hai aur Inke bare Imam Ibn Maeen Rh. Farmaate hai Yeh Kuch bhi nahi hai.

(Al Jarah Wa Ta’adeel Li Ibn Abi Haatim : Jild 6 : Safa 103)

Scan Page :

06_1552_Page103

Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Farmaate hai ke Usme Kamzoori hai.

(Taqreeb : Raqm no 4878)

Scan Page :

1531_Page411

Mazeed Imam Zehbi Rh. ne Deewan e Zuaafa me bhi Is raavi Shumaar karke Zaeef qaraar diya hai.

(Deewan e Zuaafa wal Matrookin : Jild 1 : Safa 291)

Scan Page :

Dewaan e Zuaafa By Imam Zehbi Rh_Page291

Ek aur raavi Abdullah bin Muhammed bin Ammaar bin Sa’ad Rh. hai, Unko Imam Ibn Maeen Rh. ne Zaeef Kaha hai

(Mizaan ul Aitedaal : Jild 2 : Safa 490)

Scan Page :

02_15345_Page490

Aur Is raavi ko Imam Zehbi Rh. ne Deewaan e Zuaafa me Shumaar Farmaake Zaeef Qaraar diya hai.

(Deewan e Zuaafa wal Matrookin : Jild 1 : Safa 226)

Scan Page :

Dewaan e Zuaafa By Imam Zehbi Rh_Page226

Tambeeh :

Chunke 12 Takbeeraat ki Saari Hadeese Zaeef wa MARDOOD hai, Ghaliban Yahi wajeh hai : ke Jab Hafiz Zubair Ali zai Sahaab se Takbeeraat e Eidain ke Mutalliq Sawaal kiya gaya, Toh Unhone Ba-jaaye Koi Marfu Hadees pesh karne ke, Hazrat Abu Hurairah Rdh. ka Amal pesh kiya hai. (Maqaalaat : Jild 3 : Safa 197)

Jabke Eidain ke Masle par Fuqaaha e Kiraam ka Ikhtelaaf hai.

Aur ghair Muqallideen ke Muhaddis Yahiya Gondalwi Sahaab Farmaate hai ke “aur Taba-in ke Aqwaal Balke Sahaba ke Aqwaal Ikhtelaafi Umoor me Hujjat nahi hote.”

(Khair ul Kalaam : Safa 249)

Scan Page :

Khairul-Kalam-Fi-Wajob-e-ilfatihat-Khal-Falimam_Page255

Ahlehadeeso ke Jadaad Muhaqiq Maulana Dawud Arshad Tehreer Karte hai ke

Mazeed yeh ke Jis Masle me Sahaba Kiraam Rdh. me Ikhtelaaf ho, Toh waha bhi unke Aqwaal na-Qaabil e Amal huwa karte hai.

(Hadees aur Ahle-Taqleed : Jild 1 : Safa 224)

Scan Page :

Hadees aur Ahletaqleed Part 1_Page225

Isi Tarah Ek aur Ahlehadees Hazraat ke Aalim Razaullah Abdul Kareem Madani Sahaab bhi yahi Farmaate hai.

(12 Masaail ka Haqeeqat Pasandaana Jayeza : Safa 337)

Lehaaza Ghair Muqallideen ke Nazdeek Sahaba Rdh. ke Aqwaal Qususan Ikhtelaafi Umoor me Toh Hujjat hi nahi hai,

Toh Zubair Ali zai Sahaab ka Hazrat Abu Hurairah Rdh. ka qaul Pesh karna, Khud Ahlehadees Hazraat ke Usool ki Rooshni me BAATIL wa MARDOOD hai.

Khulaasa Yeh ke Huzur SAW se Eidain ki Namaz me 12 Takbeere Kehna Kisi Saheeh Hadees se Saabit nahi hai.

Balke 6 Takbeere hi Huzur SAW se Saabit hai.

Eidain ki Namaz me 6 Takbeere Sunnat hai Part 1 [Ahadees wa Aasaar se Saboot]

Ahle Sunnat wal Jamaat Ahnaaf Kehte hai ke Eidain ki Namaz me 6 Takbeere Sunnat hai, aur Unki Baat Hadees se Saabit hai aur wo Ahadees wa Aasaar Darj e Zail hai :

Hadees no 1 :

عَلِيُّ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ وَيَحْيَى بْنُ عُثْمَانَ قَدْ حَدَّثَانَا , قَالَا: ثنا عَبْدُ اللهِ بْنُ يُوسُفَ عَنْ يَحْيَى بْنِ حَمْزَةَ قَالَ: حَدَّثَنِي الْوَضِينُ بْنُ عَطَاءٍ أَنَّ الْقَاسِمَ أَبَا عَبْدِ الرَّحْمَنِ حَدَّثَهُ , قَالَ: حَدَّثَنِي بَعْضُ أَصْحَابِ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: صَلَّى بِنَا , النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَوْمَ عِيدٍ , فَكَبَّرَ أَرْبَعًا , وَأَرْبَعًا , ثُمَّ أَقْبَلَ عَلَيْنَا بِوَجْهِهِ حِينَ انْصَرَفَ , قَالَ: «لَا تَنْسَوْا , كَتَكْبِيرِ الْجَنَائِزِ , وَأَشَارَ بِأَصَابِعِهِ , وَقَبَضَ إِبْهَامَهُ» فَهَذَا حَدِيثٌ , حَسَنُ الْإِسْنَادِ

Sanad :

Imam Tahaawi Rh. — > Ali bin Abdur Rehman Rh., Yahiya bin Usmaan Rh. — > Abdullah bin Yusuf Rh. — > Yahiya bin Hamza Rh. — > Wazeen bin Aata Rh. — > Qaasim Rh. — > Ashaab e Rasool Rdh. — > Rasoolullah SAW.

Matan :

Abu Abdur Rehman Qaasim Rh. Farmaate hai ke Mujhe Ashaab e Rasool SAW me se Baaz Sahaba Rdh. ne Bataaya ke Hume Rasoolullah Saw ne Namaz e Eid Pardhaayi.

Pas Aap Saw ne 4, 4 Takbeere Kahi [Yaani 3 Takbeer Eidain ki aur 1 Ruku ki].Phir namaz se Faarigh hokar Rukh-e-Anwar Hamaare taraf karke Farmaaya :

Bhul na Jaana, Eidain ki Takbeere Janaaze ki Takbeero ki Tarah 4 hai.

(Sharah Ma’ani ul Aasaar Lit Tahawi : Jild 4 : Safa 345,Hasan)

Scan Page :

04_15713_Page345 - Copy

Sanad ke Raaviyo ki Tauseeq Darj e zail hai :

1 – Imam Tahaawi Rh. Al Mutawaffa 321 Hij. Mashoor Muhaddis, Hafiz aur Siqa hai. (Taarekh ul Islaam : Jild 7: Safa 439)

2 – Ali bin Abdur Rehman Rh. Al Mutawaffa 272 Hij. Sunan e Nasaai ke Raavi hai aur Sadooq hai. (Taqreeb : Raqm no 4765)

Scan Page :

1531_Page403

3 – Imam Abdullah bin Yusuf Rh. Al Mutawaffa 218 Hij.Saheeh Bukhari ke Raavi hai aur Siqa, Muttaqin hai. (Taqreeb : Raqm no 3721)

Scan Page :

1531_Page330

4 – Yahiya bin Hamza Rh. Al Mutawaffa 183 Hij. Saheehain ke Raavi hone ke saat Saat Siqa hai. (Taqreeb : Raqm no 7536)

Scan Page :

1531_Page589

5 – Wazeen bin Aata Rh. Al Mutawaffa 149 Hij. Sunan e Abi Dawud, Nasaai aur Ibn Majaah ke Raavi hai.

Imam Yahiya bin Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij., Imam Ahmed bin Hanbal Rh. Al Mutawaffa 241 Hij., Imam Duhaim Rh. Al Mutawaffa 245 Hij. ne Unhe Siqa Qaraar diya hai.

Imam Ahmed bin Hanbal Rh., Imam Ibn A’adi Rh. Al Mutawaffa 365 Hij. aur Imam Ibn Maeen Rh. Yeh bhi Farmaate hai ke unme Koi Kharaabi nahi hai.

Imam Ibn Hibban Rh. Al Mutawaffa 354 Hij., Imam Ibn Shaheen Rh. Al Mutawaffa 385 Hij. ne bhi Siqa Qaraar diya hai.

Imam Abu Dawud Rh. Al Mutawaffa 275 Hij. Saaleh ul Hadees Farmaate hai.

Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. Farmaate hai ke Siqa hai aur Baaz Logo ne Zaeef kaha hai.

(Tehzeeb ul Kamaal : Jild 30 : Safa 450-452)

(Taarekh e Asma us Siqaat Li Ibn Shaheen : Jild 1 : Safa 248)

(Al Kaashif : Raqm no 6048)

Scan Page : Tehzeeb ul Kamaal

tkar30_Page452

Scan Page : Taarekh e Asma us Siqaat

25736_Page248

Scan Page : Al Kaashif

kashif2_Page349

Aur Zubair Ali zai sahaab Jarah wa Ta’adeel ke usool ke bare me Likhte hai ke Har haal me Jamhoor Muhaddiseen ko Tarjeeh Haasil hai aur isi par Hamaara Amal hai. (Maqalaat : Jild 6 : Safa 534)

Scan Page :

Maqalat-Tehqiqi-Islahi-Aur-Ilmi-6_Page536

Aur Qaari-een Aap ne Dekha ! ke Jamhoor ke qaul me Wazeen bin Aata Rh. Siqa wa Sadooq Raavi hai.

Lehaaza Khud Ghair Muqallideen ke usool ki Rooshni me yeh Raavi Siqa hai.

6 – Abu Abdur Rehman Qaasim Rh. Al Mutawaffa 112 Hij.Sunan e Arba ke Raavi hai.

Imam Ibn Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij.

Imam Tirmizi Rh. Al Mutawaffa 279 Hij.

Imam Yaqub bin Sufiyan Al Faarsi Rh. Al Mutawaffa 277 Hij.

Imam Ijli Rh. Al Mutawaffa 261 Hij.

Imam Yaqub bin Shaiba As-Sadusi Rh. Al Mutawaffa 262 Hij.

Imam Abu Ishaq Al Harbi Rh. Al Mutawaffa 285 Hij.

Imam Ibn Shaheen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij.

Imam Haismi Rh. Al Mutawaffa 807 Hij.

Yeh Sab Hazraat Farmaate hai Abu Abdur Rehman Siqa hai.

Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. Farmaate hai ke Sadooq hai, Imam Ibrahim bin Yaqub ne bhi Unki Tauseeq ki hai.

(Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 8 : Safa 324)

(Taarekh e Asma us Siqaat Li Ibn Shaheen: Jild 1 : Safa 189)

(Majmua az Zawaaid : Jild 2 : Safa 112)

(Al Kaashif : Raqm no 4517)

Scan Page : Tehzeeb ut Tehzeeb

08_1517_Page324

Scan Page : Taarekh e Asma us Siqaat

25736_Page189

Scan Page : Majmua az Zawaaid

02_73922_Page112

Scan Page : Al Kaashif

kashif2_Page129

Algarz Yeh Raavi bhi Motabar hai.

Aur Yahi Wajeh hai ke Imam Tahaawi Rh. ne is riwayat ko Hasan Qaraar diya hai. (Sharah Ma’ani ul Aasaar : Jild 4 : Safa 345)

Scan Page :

04_15713_Page345

Hadees no 2 :

حَدَّثَنَا زَيْدُ بْنُ حُبَابٍ، قَالَ: حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ ثَوْبَانَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ مَكْحُولٍ، قَالَ: حَدَّثَنِي أَبُو عَائِشَةَ، وَكَانَ جَلِيسًا لِأَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ: شَهِدْتُ سَعِيدَ بْنَ الْعَاصِي وَدَعَا أَبَا مُوسَى الْأَشْعَرِيَّ، وَحُذَيْفَةَ، فَسَأَلَهُمَا عَنِ التَّكْبِيرِ فِي الْعِيدَيْنِ، فَقَالَ أَبُو مُوسَى: «كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُكَبِّرُ فِي الْعِيدِ، كَمَا يُكَبِّرُ عَلَى الْجِنَازَةِ» قَالَ: وَصَدَّقَهُ حُذَيْفَةُ، قَالَ: فَقَالَ أَبُو مُوسَى: «وَكَذَلِكَ كُنْتُ أُصَلِّي بِأَهْلِ الْبَصْرَةِ وَأَنَا عَلَيْهَا» قَالَ أَبُوعَائِشَةَ: «وَأَنَا حَاضِرٌ ذَلِكَ، فَمَا شِئْتُ قَوْلَهُ أَرْبَعًا، كَالتَّكْبِيرِ عَلَى الْجِنَازَةِ»

Sanad :

Imam Abubakr Ibn Abi Shaiba Rh. — > Abdur rehman bin Saabit bin Saubaan Rh. — > Saabit Rh. — > Makhool Rh. — > Abu Ayesha Rdh. — > Saeed Ibn ul A’aas Rdh., Abu Musa Ashari Rdh., Huzaifa Rdh.– > Rasoolullah SAW.

Matan :

Hazrat Ayesha Rh. Farmaate hai ke Saeed Ibn ul A’aas Rdh. ne Hazrat Abu Musa Ashari Rdh. aur Hazrat Huzaifa Rdh. se Daryaaft kiya ke Rasoolullah SAW Eidain me Takbeere Kaise Kehte the ?

Hazrat Abu Musa Ashari Rdh. ne Farmaaya ke Rasoolullah SAW Namaz e Eidain me Is tarah Takbeere Kehte the, Jaise Namaz e Janaaza me Takbeere Kahi Jaati hai (Yaani Har Rakaat me 4,4 Takbeere, Jisme Ruku ki Takbeer Shaamil hoti thi)

Hazrat Huzaifa Rdh. ne Farmaaya : Abu Musa Rdh. ne Sach kaha, Phir Hazrat Abu Musa Ashari Rdh. ne Farmaaya : Jab mai Basra me Haakim tha, Toh Isi Tarah Takbeere Kehta tha.

Abu Ayesha Rh. Farmaate hai ke Mai Hazrat Abu Musa Ashari Rdh. ki yeh baat Nahi Bhula ke [Eidain ki] 4 Takbeere hai, Takbeeraat e Janaaze ki Tarah.

(Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 4 : Safa 213)

Scan Page :

musnfsh04_Page201

Sanad ke Raaviyo ki Tauseeq Darj e zail hai :

1 – Imam Abubakr Ibn Abi Shaiba Rh. Al Mutawaffa 235 Hij.Saheehain ke Raavi hai aur Siqa, Hafiz hai. (Taqreeb : Raqm no 3575)

2 – Zaid Ibn ul Hubaab Rh. Saheeh Muslim wa Sunan e Arba ke Raavi hai aur Siqa wa Sadooq hai.

(Taqreeb : Raqm no 2124)

(Seer Alamun Nubula : Jild 9 : Safa 393)

Scan Page : Taqreeb

1531_Page222

3 – Abdur Rehman bin Saabit bin Saubaan Rh. Al Mutawaffa 165 Hij. Sunan e Arba ke Raavi hai.

Imam Yahiya bin Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij.,

Imam Ali Ibn ul Madeeni Rh. Al Mutawaffa 234 Hij.,

Imam Ijli Rh. Al Mutawaffa 261 Hij.,

Imam Abu Zura’a Rh. Al Mutawaffa 281 Hij. aur

Imam Abu Dawud Rh. Al Mutawaffa 275 Hij., Yeh sab Hazraat Farmaate hai ke Abdur Rehman bin Saabit bin Saubaan Rh. me koi Kharaabi nahi hai.

Imam Ibn Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. Yeh bhi Farmaate hai ke wo Saaleh hai.

Imam Yaqub bin Shaiba Rh. Al Mutawaffa 262 Hij.Farmaate hai ke Ibn Saubaan Rh. Sach-che Aadmi hai aur Unme Koi Kharaabi nahi hai.

Imam Duhaim Rh. Al Mutawaffa 245 Hij., Imam Ibn Hibban Rh. Al Mutawaffa 354 Hij.aur Imam Abu Haatim Rh. Al Mutawaffa 277 Hij. Farmaate hai ke Siqa hai.

Imam Ibn A’adi Rh. Al Mutawaffa 365 Hij. Farmaate hai ke uski Ahadees Saaleh hai.

Imam Abubakr Khateeb al Baghdadi Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. Farmaate hai ke Riwayat me Sach-che hai.

(Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 6 : Safa 151)

(Tehzeeb ul Kamaal : Jild 17 : Safa 15)         

Scan Page : Tehzeeb ut Tehzeeb

06_1515_Page151

Scan Page : Tehzeeb ul Kamaal

tkar17_Page15

4 – Saabit Rh. bhi Siqa hai. (Taqreeb : Raqm no 811)

Scan Page :

1531_Page132

5 – Makhool Rh. Al Mutawaffa 100 Hij. Saheeh Muslim ke Raavi hai aur Siqa Faqi hai. (Taqreeb : Raqm no 6875)

Scan Page :

1531_Page545

6 – Abu Ayesha Rh. ke bare me Tafseel Darj e zail hai :

Lehaaza Aap bhi Motabar Raavi hai.

7 – Saeed Ibn ul A’aas Rdh. Al Mutawaffa 58 Hij. Sahabi e Rasool hai. (Taqreeb : Raqm no 2337)

Lehaaza Yeh riwayat bhi Motabar hai.

Note :

Imam Abu Dawud Rh. aur Imam Munziri Rh. ne is riwayat par Sukoot ikhtiyaar karke is riwayat ko Motabar qaraar diya hai, Kyunke Unka Sukoot Ghair Muqallideen ke nazdeek Hujjat hai.

Aur Allama Albaani Rh. ne bhi is Hadees ko HASAN SAHEEHqaraar diya hai. (Sunan e Abi Dawud Ba-Tehqeeq Albaani : Hadees no 1153)

Scan Page :

سنن أبي داود بأحكام الألباني_Page197

Hadees no 3 :

عَبْدُ الرَّزَّاقِ، عَنْ مَعْمَرٍ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ، عَنْ عَلْقَمَةَ، وَالْأَسْوَدِ بْنِ يَزِيدَ قَالَ: كَانَ ابْنُ مَسْعُودٍ جَالِسًا وَعِنْدَهُ حُذَيْفَةُ وَأَبُو مُوسَى الْأَشْعَرِيُّ، فَسَأَلَهُمَا سَعِيدُ بْنُ الْعَاصِ عَنِ التَّكْبِيرِ فِي الصَّلَاةِ يَوْمَ الْفِطْرِ وَالْأَضْحَى فَجَعَلَ هَذَا يَقُولُ: سَلْ هَذَا، وَهَذَا يَقُولُ: سَلْ هَذَا، فَقَالَ لَهُ حُذَيْفَةُ: سَلْ هَذَا ـ لِعَبْدِ اللَّهِ بْنِ مَسْعُودٍ ـ فَسَأَلَهُ، فَقَالَ ابْنُ مَسْعُودٍ: «يُكَبِّرُ أَرْبَعًا ثُمَّ يَقْرَأُ، ثُمَّ يُكَبِّرُ فَيَرْكَعُ، ثُمَّ يَقُومُ فِي الثَّانِيَةِ فَيَقْرَأُ، ثُمَّ يُكَبِّرُ أَرْبَعًا بَعْدَ الْقِرَاءَةِ»

Sanad :

Imam Abdur Razzak Rh. — > Ma’amar Rh. — > Abi Ishaq Rh. — > Alqama Rh. wa Aswad Rh. — > Ibn Masood Rdh., Abu Musa Ashari Rdh., Huzaifa Rdh.

Matan :

Hazrat Alqama Rh. Farmaate hai ke Hazrat Ibn Masood Rdh. Baithe huwe the, Aap ke paas Hazrat Huzaifa Rdh. aur hazrat Abu Musa Ashari Rdh. bhi Maujood the.

Saeed Ibn ul A’aas Rdh. ne Takbeeraat e Eidain ke Mutalliq Pucha, Toh Hazrat Huzaifa Rdh. ne Kaha ke Hazrat Abu Musa Rdh. se Puche, Hazrat Abu Musa Rdh. ne Kaha, Hazrat Ibn Masood Rdh. se Puche (Kyunke wo Hum me se Rasoolullah SAW ke Zyaada paas Rehne waale aur Zyaada Ilm Waale hai)

Chunaanche Hazrat Saeed Rdh. ne Ibn Masood Rdh. se Pucha.

So Aap ne Farmaaya : 4 Takbeer (Takbeer e Tehrima aur 3 Takbeeraat e Eidain) Kahe, Phir Qirat Kare aur Takbeer Kehkar Ruku kare, Phir Dusri Rakaat me Khade hokar Qirat kare.

Qirat ke baad 4 Takbeere Kahe. (Yaani 3 Takbeeraat e Eidain aur 1 Ruku ki Takbeer)

(Musannaf Abdur Razzak : Hadees no 5687)

Scan Page :

miar03_Page294

Is Hadees ke Tamaam Raavi SIQA hai.

Muhaddis Mulla Ali qari Rh. Al Mutawaffa 1014 Hij. ne is riwayat ko SAHEEH aur Imam Haismi Rh. Al Mutawaffa 807 Hij. isi riwayat ki Dusri Sanad ke bare me Farmaaya ke Iske rijaal Motabar hai.

Isi Tarah Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij.ne is riwayat ko SAHEEH qaraar diya hai.

(Mirqaat Sharah Mishkaat : Jild 3 : Safa 1070)

(Majmu az Zawaaid : Jild 2 : Safa 204)

(Ad-Diraaya : Jild 1 : Safa 220)

Scan Page : Mirqaat Sharah Mishkaat

03_67438_Page546

Scan Page : Majmu az Zawaaid

02_73922_Page367

Scan Page : Ad-Diraaya

Diraaya_Page220 - Copy

Note :

Agarche Is hadees me Abu Ishaq Sabi’ee Rh. Mudallis hai, Lekin Sunan e Kubra Lil Behaiqi : Jild 3 : Safa 410 par is riwayat ke Muta’abiyat Maujood hai.

أَخْبَرَنَا أَبُو زَكَرِيَّا بْنُ أَبِي إِسْحَاقَ الْمُزَكِّي، أنبأ أَبُو عَبْدِ اللهِ مُحَمَّدُ بْنُ يَعْقُوبَ , ثنا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ الْوَهَّابِ، أنبأ جَعْفَرُ بْنُ عَوْنٍ، أنبأ مِسْعَرٌ، عَنْ مَعْبَدِ بْنِ خَالِدٍ، عَنْ كُرْدُوسٍ قَالَ: قَدِمَ سَعِيدُ بْنُ الْعَاصِ قَبْلَ الْأَضْحَى فَأَرْسَلَ إِلَى عَبْدِ اللهِ بْنِ مَسْعُودٍ وَإِلَى أَبِي مُوسَى وَإِلَى أَبِي مَسْعُودٍ الْأَنْصَارِيِّ، فَسَأَلَهُمْ عَنِ التَّكْبِيرِ، قَالَ: فَقَذَفُوا بِالْمَقَالِيدِ إِلَى عَبْدِ اللهِ، فَقَالَ عَبْدُ اللهِ: ” تَقُومُ فَتُكَبِّرُ أَرْبَعَ تَكْبِيرَاتٍ، ثُمَّ تَقْرَأُ، ثُمَّ تَرْكَعُ فِي الْخَامِسَةِ، ثُمَّ تَقُومُ فَتَقْرَأُ، ثُمَّ تُكَبِّرُ أَرْبَعَ تَكْبِيرَاتٍ فَتَرْكَعُ بِالرَّابِعَةِ “

Scan Page :

skb03_Page410

Aur Is riwayat ke bhi Tamaam Raavi Motabar hai.

Lehaaza is riwayat me Abu Ishaq Rh. par Tadlees ka Ilzaam BAATIL wa MARDOOD hai.

Hadees no 4 :

Imam Abubakr Ibn Abi Shaiba Rh. Farmaate hai ke

حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنْ مُحَلٍّ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ، وَعَنْ إِسْمَاعِيلَ، عَنِ الشَّعْبِيِّ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ ” أَنَّهُ كَانَ يُكَبِّرُ فِي الْفِطْرِ وَالْأَضْحَى تِسْعًا تِسْعًا: خَمْسًا فِي الْأُولَى، وَأَرْبَعًا فِي الْآخِرَةِ، وَيُوَالِي بَيْنَ الْقِرَاءَتَيْنِ “

Sanad :

Imam Abubakr Ibn Abi Shaiba Rh. — > Wakii Rh. — > Ismaail Rh. — > Shabii Rh. — > Abdullah bin Masood Rdh.

Matan :

Imam Sha’abii Rh. Farmaate hai ke Hazrat Abdullah bin Masood Rdh. Eidain me 9, 9 Takbeeraat Kehte the.

Pehli Rakaat me 5 Takbeere [Jisme 1 Takbeere Tehrima, 3 Takbeeraat e Eidain aur 1 Ruku ki hoti]

Aur Dusri Rakaat me 4 Takbeere [Jisme 3 Takbeeraat e Eidain aur 1 Ruku ki]

Kehte the.

(Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 4 : Safa 214, Hadees no 5747, 5746)

Scan Page :

musnfsh04_Page202

Is riwayat ke bhi Tamaam SIQA hai aur Imam Haismi Rh. Al Mutawaffa 807 Hij. ne Isi riwayat ki Ek Dusri Sanad ke bare me Farmaaya ke Iske Rijaal SIQA hai.

(Majmu az Zawaaid : Jild 2 : Safa 205)

Scan Page :

02_739221_Page368

Hadees no 5 :

عَبْدُ الرَّزَّاقِ، قَالَ: أَخْبَرَنَا إِسْمَاعِيلُ بْنُ أَبِي الْوَلِيدِ قَالَ: حَدَّثَنَا خَالِدٌ الْحَذَّاءُ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ الْحَارِثِ قَالَ: شَهِدْتُ ابْنَ عَبَّاسٍ «كَبَّرَ فِي صَلَاةِ الْعِيدِ بِالْبَصْرَةِ تِسْعَ تَكْبِيرَاتٍ، وَالَى بَيْنَ الْقِرَاءَتَيْنِ» قَالَ: وَشَهِدْتُ الْمُغِيرَةَ بْنَ شُعْبَةَ فَعَلَ ذَلِكَ أَيْضًا. فَسَأَلْتُ خَالِدًا كَيْفَ فَعَلَ ابْنُ عَبَّاسٍ؟ فَفَسَّرَ لَنَا كَمَا صَنَعَ ابْنُ مَسْعُودٍ فِي حَدِيثِ مَعْمَرٍ وَالثَّوْرِيِّ عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ سَوَاءً

Sanad :

Imam Abdur Razzak Rh. — > Ismaail bin Abul Waleed Rh. — > Khaalid Rh. — > Abdullah Ibn ul Haaris Rh. — > Ibn Abbas Rdh.

Matan :

Hazrat Abdullah Ibn ul Haaris rh. Farmaate hai ke Mai Basra me Abdullah bin Abbas Rdh. ke paas [Eid ke Mauqe] par Haazir huwa, Aap Rdh. ne Namaz e Eid me 9 Takbeere [Pehli Rakaat me Takbeer e Tehrima ki Ek, 3 Takbeeraat e Eidain aur Phir 1 Ruku ki Takbeer, Isi Tarah Dusri Rakaat me 3 Takbeeraat e Eidain aur 1 Ruku ki Takbeer] Kahi hai.

Aage Farmaate hai ke Hazrat Mughera bin Shoba Rdh. ne bhi Aise hi Takbeerat Kahi hai.

Ismaail Rh. Farmaate hai ke Maine Khaalid Rh. se Pucha : Ibn Abbas Rdh. ne (Takbeeraat) Kaise Kiya ?

Toh Unhone Wahi Tafseel Bayaan Bataayi Jaisa Abdullah bin Masood Rdh. ki Hadees me hai. [Jiski Tafseel HADEES NO 3 me Maujood hai]

(Musannaf Abdur Razzak : Hadees no 5689)

Scan Page :

miar03_Page295

Is riwayat ke bhi Tamaam Raavi Siqa wa Sadooq hai.

Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. aur Imam Mardeeni Rh. Al Mutawaffa 750 Hij. Iski Sanad koSAHEEH Qaraar diya hai.

(Ad-Diraaya : Jild 1 : Safa 220)

(Al Johar un Naqi : Jild 3 : Safa 287)

Scan Page : Ad-Diraaya

Diraaya_Page220

Scan Page : Al Johar un Naqi

03_3228_Page287

Hadees no 6 :

Imam Abubakr Ibn Abi Shaiba Rh. Farmaate hai ke

حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ ، عَنْ أَشْعَثَ ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ سِيرِينَ ، عَنْ أَنَسٍ ؛ أَنَّهُ كَانَ يُكَبِّرُ فِي الْعِيدِ تِسْعًا . فَذَكَرَ مِثْلَ حَدِيثِ عَبْدِ اللهِ.

Sanad :

Imam Abubakr Ibn Abi Shaiba Rh. — > Yahiya bin Saeed Rh.[SIQA, Taqreeb : Raqm no 7557]— > As’as Rh. [SIQA, Taqreeb : Raqm no 531]— > Muhammed bin Sireen Rh.[SIQA, Taqreeb : Raqm no 5947] — > Anas Rdh. [Mashoor Sahabi, Taqreeb : Raqm no 565]

Matan :

Muhammed bin Sireen Rh. Farmaate hai ke Hazrat Anas Rdh. Eid me 9 Takbeere Kehte the, aur In 9 Takbeero ki Tafseel Muhammed bin Sireen Rh. [ne] Aise Zikr ki, Jaisa ke Hazrat Abdullah bin Masoos Rdh. ki Hadees me hai.

(Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 4 : Safa 217)

Scan Page :

musnfsh04_Page205

Is Hadees ke Tamaam Rijaal SIQA hai, Jaisa ke Tafseel Guzar chuki.Lehaaza Yeh Sanad SAHEEH hai.

Hadees no 7 :

حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ عُثْمَانَ قَالَ: حَدَّثَنَا الْعَبَّاسُ بْنُ طَالِبٍ قَالَ: ثنا عَبْدُ الْوَاحِدِ بْنُ زِيَادٍ عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ الشَّيْبَانِيِّ عَنْ عَامِرٍ «أَنَّ عُمَرَ وَعَبْدَ اللهِ رَضِيَ اللهُ عَنْهُمَا , اجْتَمَعَ رَأْيُهُمَا فِي تَكْبِيرِ الْعِيدَيْنِ عَلَى تِسْعِ تَكْبِيرَاتٍ , خَمْسٌ فِي الْأُولَى , وَأَرْبَعٌ فِي الْآخِرَةِ , وَيُوَالِي بَيْنَ الْقِرَاءَتَيْنِ.»

Sanad :

Imam Tahawi Rh. — > Yahiya bin Usmaan Rh. — > Abbas bin Taalib Rh. — > Abdul Waahid bin Ziyaad Rh. — > Abi Ishaq Shaibaani Rh. — >Aamir Shaibii Rh. — > Umar Rdh.

Matan :

Imam Sha’abii Rh. Farmaate hai ke Hazrat Umar Farooq Rdh. aur Hazrat Ibn Masood Rdh. is baat par Muttafiq the, [Eid ki Namaz me] Takbeeraat Pehli Rakaat me 5 aur Dusri Rakaat me 4 hai.

(Sharah Ma’ani ul Aasaar : Jild 4 : Safa 347)

Scan Page :

04_Page347

Note :

Yeh riwayat MURSAL hai. Aur Mursal riwayat Jamhoor ke Nazdeek Hujjat hai.

https://ulamaehaqulamaedeoband.wordpress.com/2014/06/09/mursal-riwayat-jamhoor-fuqaaha-wa-muhaddiseen-ke-nazdeek-hujjat-hai/

Mazeed Is riwayat ke bhi Tamaam Rijaal SIQA hai.

Isi Tarah, Hazrat Ali Rdh.

(Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 4 : Safa 215)

(Musnad e Zaid : Safa 127)

Scan Page : Musannaf Ibn Abi Shaiba

musnfsh04_Page203

Scan Page : Musnad e Zaid

msnd-alamam-zed-zed-ar_ptiff_Page131

Jabir bin Abdullah Rdh.

(Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 4 : Safa 216)

(Musannaf Abdur Razzak : Jild 3 : Safa 296)

Scan Page : Musannaf Ibn Abi Shaiba

musnfsh04_Page204

Scan Page : Musannaf Abdur Razzak

miar03_Page296

Abdullah bin Zubair Rdh. (Sharah Ma’ani ul Aasaar : Jild 4 : Safa 348) Wagairah Sahaba Rdh. se bhi Yahi Marwi hai ke wo bhi Eidain me 6 Takbeero ke Qaayil the.

Scan Page : Sharah Ma’ani ul Aasaar

04_Page348

Imam Tirmizi Rh. Al Mutawaffa 279 Hij. Farmaate hai ke Yeh [6 Takbeeraat ka] Tariqa Ashaab e Rasool SAW me se Kisi Ek se nahi, Balke Muta’adid Hazraat se marwi hai aur Tamaam Ahle Kufa ka yahi Mazhab hai.

(Sunan e Tirmizi : Jild 2 : Safa 416)

Scan Page :

suntrmsh2_Page417

Algarz Hazraat Takbeeraat e Eidain ke masle me Raajeh aur Saheeh Raaye Yahi hai ke Takbeeraat ki Ta’adaad 6 hai.

Aur Yahi Huzur SAW aur Unke Ashaab Masalan :

1 – Abdullah bin Masood Rdh.

2 – Abdullah bin Abbas Rdh.

3 – Abdullah bin Zubair Rdh.

4 – Huzaifa Rdh.

5 – Abu Musa Ashari Rdh.

6 – Saeed Ibn ul A’aas Rdh.

7 – Anas Rdh.

8 – Hazrat Ali Rdh.

9 – Hazrat Umar bin Khattab Rdh.

10 – Jabir bin Abdullah Rdh.

11 – Mughera bin Shoba Rdh.

12 – Abu Masood Ansaari Rdh. Wagairah Hazraat se Marwi hai, Jaisa ke Tafseel upar Guzar chuki.

Aur In Ahadees wa Aasaar e Sahaba Rdh. ki Wajeh se Imam Abu Hanifa Rh. ki bhi yahi Raaye hai ke Eidain me 6 Takbeere Sunnat hai. (Kitaab ul Aasaar : Jild 1 : Safa 212-215)

Scan Page :

athar_alshibany_Page215

Abu Ayesha Al Qurshi Rh. Jamhoor Muhaddiseen ki Nazar me.

Eidain ki Takbeeraat ke Mutalliq Abu Dawud me Maujood riwayat, Jisme hai ke Huzur SAW Eid ki Namaz 6 Takbeer Kehte the, Us riwayat me Ek Raavi Abu Ayesha Al Qurshi Rh. Maujood hai, Jispar Ghair Muqallideen ne Aiteraaz kiya hai.

Aiteraaz :

Ghair Muqallideen ke Muhaddis Abdur Rehman Mubarakpuri Rh. [Abu Dawud ki riwayat par] Aiteraaz Karte hai ke [Isme Ek Raavi] Abu Ayesha Rh. Majhool hai. (Al Qaul us Sadeed : Safa 45)

Al – Jawaab no 1 :

Imam Mizzi Rh. Al Mutawaffa 742 Hij. Farmaate hai ke Abu Ayesha Rh. se Makhool Rh. aur Khaalid bin Ma’ad Rh. ne riwayat ki hai.

(Tehzeeb ul Kamaal : Jild 34 : Safa 17)

Scan Page :

tkar34_Page17

aur Makhool Rh. (Taqreeb : Raqm no 6875)

Scan Page :

1531_Page545

aur Khaalid bin Ma’ad Rh. (Taqreeb : Raqm no 1678) Dono Siqa hai.

Scan Page :

1531_Page190

Aur Ghair Muqallideen ke Shaykh ul Hadees Maulana Rayees Nadwi Salafi Sahaab ek Raavi ko Siqa Saabit Karne ke liye :

Magar Mausoof (Yeh Raavi) Hafiz Ibn Hibban aur In Jaise Logo ke Usool ke Mutaabiq Siqa hai, Kyunke Unka yeh Usool hai ke Jis Raavi par Jarah Qadaah na Saabit ho aur Usse Ek ya 2 Siqa Ruwaat riwayat e Hadees Karte ho, wo SIQA hai.

(Namaaz e Janaaza aur Uske Masaail : Safa 63)

Scan Page :

21

Maloom huwa Ahlehadees Hazraat ke Nazdeek Jis Raavi se 2 Siqa Raavi riwayat kare, Toh wo Siqa hota hai.

Aur Abu Ayesha Rh. se Makhool Rh. [SIQA] aur Khaalid bin Ma’ad Rh. [SIQA] ne riwayat ki hai.

Jab Ghair Muqallideen ke Usool hi ke Rooshni me Yeh Raavi SIQA hai, Toh Ispar Raavi par Ghair Muqallideen Kis Muh se Aiteraaz Karte hai ?

Al – Jawaab no 2 :

Ghair Muqallideen ke Muhaddis Maulana Abdur Rehman Mubarakpuri Rh. Farmaate hai ke (Abu Dawud ki Is Hadees par Khud) Imam Abu Dawud Rh. aur Imam Munziri Rh. ne Sukut Ikhtiyaar kiya hai. (Tohfatul Ahwazi : Jild 3 : Safa 71)

Scan Page :

03_23887_Page71

Aur Ghair Muqallideen ke Nazdeek Imam Abu Dawud Rh. aur Imam Munziri Rh. ka Sukoot hujjat hai.

 

Balke Maulana Shams ul Haq Azeembadi Rh. ne Ek Hadees ko Saabit Karne ke liye, Imam Abu Dawud Rh. aur Imam Munziri Rh. Wagaira ka Sukoot pesh karke us riwayat ko Hasan Saabit kiya, Jabke Allama Albaani Rh. ne Usi Hadees ko Zaeef Kaha hai. (Zaeef Abi Dawud : Safa 97)

Scan Page :

dsunnd_Page97

Qaari-een ! Aap Andaaza Lagaasakte hai ke Imam Abu Dawud Rh. aur Imam Munziri Rh. ka qaul Ghair Muqallideen ke Nazdeek Kitna Ahmiyat Rakhta hai.

Algarz Abu Ayesha Rh. ki riwayat par bhi Imam Abu Dawud Rh. aur Imam Munziri Rh. ne Sukoot kiya hai, Jo ke khud Ghair Muqallideen Ahlehadees Hazraat ke Usool ki Rooshni me is riwayat ke Saheeh aur Abu Ayesha Rh. ke Siqa hone ki Daleel hai.

Aur Hafiz Zubair Ali zai Sahaab Kehte hai ke

Muhaddiseen ka Kisi Hadees ka Tehseen wa Taseeh Karna, us Hadees ke Raaviyo ki Tauseeq hoti hai.

Lehaaza Ghair Muqallideen ke Is usool ke Rooshni me Imam Abu Dawud Rh. aur Imam Munziri Rh. Abu Ayesha Rh. riwayat par Sukoot Karke, Unhe siqa Qaraar diya hai.

Lehaaza Unhe Majhool Kehna BAATIL wa MARDOOD hai.

Al – Jawaab no 3 :

Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. Abu Ayesha Rh. ke bare me Farmaate hai ke Maqbool hai. (Taqreeb :Raqm no 8202)

Scan Page :

1531_Page654

Aur ‘Maqbool’ Hafiz Ibn Hajar Rh. ki Ek Khaas Istelaah hai.AgarHafiz Ibn Hajar Rh. Kisi ko Maqbool Kahe, Toh Uska Yeh hota hai ke Aisa Sirf Muta’abiyaat wa Shawaahid ki Binaa par Maqbool hota hai.

(Namaz e Janaaza aur Uske Masaail : Safa 67)

Aur Abu Ayesha Rh. ki is riwayat ka Shaahid Hazrat Abu Abdur Rehman Qaasim Rh. ki riwayat hai, jo ke Sharah Ma’ani ul Aasaar Lit Tahawi : Jild 4 : Safa 345, aur Qaasim Rh. ki riwayat ko Naql karne ke Fauraan Baad Imam Tahawi Rh. ki Yeh riwayat HASAN hai.

Scan Page :

04_15713_Page345

Algarz Is Lehaaz se bhi Abu Ayesha Rh. ki riwayat Qaabil e Istedlaal Saabit huwi hai.

Al – Jawaab no 4 :

Ba-qaul e ghair Muqallideen Agar Abu Ayesha Rh. ko Majhool Maan liye Jaaye [Halaanke wo Majhool nahi hai], Toh unki riwayat Ahnaaf ke Nazdeek Qaabil e Qubool hai.

Kyunke Ahnaaf ke Nazdeek Khair ul Quroon ke Majhool ki riwayat Motabar hai.

Chunaanche Imam Abdul Aziz bin Ahmed Al Bukhari Rh. Al Hanafi Farmaate hai ke

وَعِنْدَنَا خَبَرُ الْمَجْهُولِ مِنْ الْقُرُونِ الثَّلَاثَةِ مَقْبُولٌ؛ لِأَنَّ الْعَدَالَةَ كَانَتْ أَصْلًا فِي ذَلِكَ الزَّمَانِ

Hamaare Nazdeek  Khair ul Quroon ke Majhool ki Khabar Maqbool hai.Kyunke Us Zamaana me Adaalat Asal hai. (Kashf ul Asraar : Jild 2 : Safa 386)

Al – Jawaab no 5 :

Abu Ayesha Rh. Jinki Kuniyat Abu Abu Muhammed bin Abi Ayesha Rh. hai.

Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. ne Unko Al Esaaba fee Talmeezus Sahaba me Shumaar kiya hai, aur Yeh Kitaab me Unhone Sirf Tamaam Sahaba Rdh. ko Jama’a Farmaaya hai.

(Al Esaaba : Jild 7 : Safa 253)

Mazeed,

Imam Abu Nuaim Rh. Al Mutawaffa 430 Hij.,

Imam Abubakr Ibn Abi Aasim Rh. Al Mutawaffa 287 Hij.,

Imam Ibn ul Aseer Jazri Rh. Al Mutawaffa 635 Hij.,

Imam Hasan bin Sufiyan Rh. Al Mutawaffa 303 Hij.,

Imam Abul Fatah Al Azdi Rh. Al Mutawaffa 374 Hij.,

Imam Dulaabi Rh. Al Mutawaffa 310 Hij. aur

Imam Baghwi Rh. Al Mutawaffa 317 Hij. Wagairah

Yeh Sab Hazraat ne unhe Sahaba Rdh. me Shumaar Farmaaya hai.

(Maarifat us Sahaba : Jild 5 : Safa 2981)

(Al Esaaba : Jild 7 : Safa 253)

(Al – Ahaad Li Ibn Abi Aasim : Jild 5 : Safa 258)

(Usdul Ghaaba : Jild 6 : Safa 188)

(Kitaab ul Kunaa Lil Al Azdi : Jild 1 : Safa 44)

(Al Esaaba : Jild 7 : Safa 213)

Scan Page : Maarifat us Sahaba

37408_Page2536

Scan Page : Al Esaaba : Jild 7 : Safa 253

22232_Page254

Scan Page : Al – Ahaad Li Ibn Abi Aasim

05_3982_Page258

Scan Page : Usdul Ghaaba

06_74426_Page189

Scan Page : Kitaab ul Kunaa Lil Al Azdi

42442_Page44

Scan Page : Al Esaaba : Jild 7 : Safa 213

22232_Page213

Tambeeh :

Hafiz Ibn Hajar Asqalaani Rh. ne Imam Abu Ahmed Al Haakim Rh. ka Tafseeli Qaul naql kiya aur Aakheer me Unhone Abu Ayesha Rh. ko Tabi’i kaha hai, Lekin Imam Abu Ahmed al Haakim Rh. ka yeh Qaul Hume Sanad ke Saat nahi mila.

Lehaaza Besanad hai.

Neez Taarekh e Dimishq Li Ibn Asaakir : Jild 67 : Safa 28, par Imam Abu Ahmed Al Haakim Rh. ka yahi qaul Maujood hai, Lekin Aakheer me Jo Unhone usko Tab’ii Kaha hai, wo Lafz Maujood nahi hai.

Algarz Tabii waala qaul Qaabil e Ghaur hai.

Mazeed Hum Arz karde ke Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. ne bhi Ashaab e Rasool SAW me Shumaar Farmaaya hai.

(Tajreed Asma us Sahaba : Safa 182)

Scan Page :

tas2_Page182

Aur Hafiz Zubair ali Zai Sahaab Usool Bataate hai ke

Jiske Sahaabi Hone ke bare me Ikhtelaaf ho aur Jarah Musaffar Saabit na ho. Wo Hasan ul Hadees hota hai. (Fataawa Ilmiya : Jild 1 : Safa 484)

Scan Page :

Fatawa Ilmiya Jild 1_Page477

Qaari-een !

Aap Dekh rahe hai ke Abu Ayesha Rh. ke bare me Muhaddiseen aur Huffaaz e Hadees Wagaira ki Kya Faisla hai, ke wo Sahaba Rdh. hai.

Mumkin hai ke Yahi Wajeh se Allama Albaani ne Is riwayat ko toh, HASAN SAHEEH Kaha hai.

(Sunan e Abi Dawud Ba-Tehqeeq Albaani : Hadees no 1153)

Scan Page :

سنن أبي داود بأحكام الألباني_Page197

Lehaaza Ghair Muqallideen ka Apne hi Usool ki Rooshni me Yeh Aiteraaz Har Lehaaz se BAATIL wa MARDOOD hai aur Yeh riwayat Tehqeeq aur Yaqeen ke Saat HASAN SAHEEH hai.


Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads