Jalsa Isteraahat aur Ghair Muqallideen ki Daleel ka Jayeza

 

Jalsa e Isteraahat Saabit karne ke Liye Ghair Muqallid Zubair Ali zai ne Saheeh Bukhari ke Hawaale se  Malik Bin Huweris Rdh. Se Marwi hadees pesh ki hai.

(Namaz e Nabawi : Ba-Tehqeeq wa Takhreej Zubair Ali zai)

Al – Jawaab no 1 :

Is Hadees ka Pehla Jawaab toh yeh hai ke Is Hadees ko Malik Bin huweris rdh. Se riwayat karne waale raavi Abu Qilaaba Al Basri hai.

Yeh Raavi agarche siqa hai lekin Imam Ibn Hajar Rh. ne Likha hai ke yeh Naasibeet ki Taraf Maayil the. (Taqreeb)

Scan Page :

تقريب التهذيب_Page508

Yaani yeh nasibi the.aur naasibi wo log hai jo hazrat ali rdh. , aur degar sahaba rdh. Ko bura bhala kehte hai.

Chunaanche Qazi mazhar hussain sahaab likhte hai ke “Naasibi un logo ko kaha jaata hai jo hazrat ali rdh. , Imam Hasan Rdh. , Imam Hussain Rdh. Aur Hazrat Fatiha Rdh. Yaani Ahle Bait ki Tauheen Karte hai. (Khaarji Fitnah : Hissa Awwal : safa 69)

Lehaaza Is Baat ko Zahen me rakhte hai huwe Zubair Ali Zai Sahaab ne Apni Kitaab (Ameen Safder ka Ta’aqub : Safa 65) me Ek Raavi Imam Ibnul Ja’ad jo ke (Bukhari shareef) ka raavi hai aur Imam Bukhari rh. ke ustaad hai aur imam Bukhari rh. ne ba-qaida unse 13 riwayate apni saheeh me naql ki hai , unki (Imam Ibnul Ja’ad ki) hadees ka radd kardiya hai aur us raavi ki bayaan karda hadees ko radd karne ki wajeh yeh hai ke wo sahaba ikraam rdh. Ki shaan me gustaaqi karta tha , biddati tha.

Chunaanche Zubair sahaab ne likha hai ke

Ali Ibn ul Ja’ad Mukhtallif fiya raavi hai ,jamhoor ne uski tauseeq ki hai magar yeh bhi marwi hai ke wo Abdullah bin omer , muawiya balke hazrat rdh. Par saqt tanqeed karta tha.sayyidina hazrat usmaan rdh. Ke bare me uska yeh aqeeda tha ke inhone nauzbillah bait ul maal se ek lakh dirham na haq le liye the.sayyidina muawiya rdh. Ki wo takfeer ka qaayiltha.wo kehta tha ke mujhe yeh bura nahi lagta ke allah tala muawiya ko azaab de. (Ameen Safder ka Ta’aqub : Safa 65)

Scan Page :

Ameen

Lehaaza Zubair Sahaab Agar Shareef ke Kisi raavi ki bayaan karda kisi riwayat ko is wajeh se radd karsakte hai ke wo sahaba ikraam rdh. Par saqt tanqeed karta hai biddati hai toh hum bhi abu qilaaba ki bayaan karda riwayat ko (Khud Ali Zai Sahaab ki Bayaan Karda Zaabte wa Usool ki Roshni me) Isliye Radd karte hai ke Abu Qilaaba Naasibi tha aur naasibi log Hazraat e Sahaba Rdh. Aur Ahle Bait Rdh. Par Tanqeed karte hai.

Algarz Phir Ghair Muqallid Zubair Ali Zai ka Is hadees Istedlaal Kaise Durust Hosakta hai ?

Al – Jawaab no 2 :

Is Riwayat me Jalsa e Isteraahat ka Zikr Saheeh nahi hai,

Kyunke Is riwayat ko Naql karne ke Fauraan Baad Imam Bukhari Rh. Naql Karte hai ke  Imam Ayub Rh. ne Farmaaya

قَالَ أَيُّوبُ كَانَ يَفْعَلُ شَيْئًا لَمْ أَرَهُمْ يَفْعَلُونَهُ كَانَ يَقْعُدُ فِي الثَّالِثَةِ وَالرَّابِعَة

Ke Malik Bin Huweris Rdh. Ne Amr Bin Salma ki tarah Namaz Padhi aur Maine Is Budhe Amr bin Salma ki Tarah Kisi aur ko Jalsa e Isteraahat Karte Huwe Nahi Dekha. (Saheeh Bukhari : Jild 1 : Safa 113)

Scan Page :

mhsks_Page65

Aur Yaad Rahe ke Hazrat Ayub Sakhtalaani Rh. 66 Hijri me Paida huwe aur 131 Hijri me Faut huwe hai aur Sighaar e Taabain me Shumaar hai.

Isse Maloom Hota hai ke Khair ul Quroon me Aam Halaat me Jalsa e Isteraahat ka Mamool nahi tha.

Al – Jawaab no 3 :

Zubair Ali Zai Sahaab ne Ek Usool Bayaan Karte huwe Likhte hai ke “Jis Tarah Quran e Majeed Apni Tasreeh Khud Karta hai Isi Tarah Hadees , Hadees ki Tasreeh Karti hai. (Nurul Aainain : Safa 125 , 2012 Edition)

Scan Page :

Nor ul ainain fi isbat rafe yadain_Page128

Lehaaza Ali Zai Sahaab ki Usool ki Rooshni me Is ( Malik Bin Huweris Rdh.) Ki hadees ki tashreeh Hadees se Suniye !

Saheeh Bukhari me hai ke Hazrat Abu Hurairah Rdh. Se Marwi hai ke Rasoolullah SAW ne Farmaaya

ثُمَّ اسْجُدْ حَتَّى تَطْمَئِنَّ سَاجِدًا ثُمَّ ارْفَعْ حَتَّى تَسْتَوِيَ وَتَطْمَئِنَّ جَالِسًا ثُمَّ اسْجُدْ حَتَّى تَطْمَئِنَّ سَاجِدًا ثُمَّ ارْفَعْ حَتَّى تَسْتَوِيَ قَائِمًا

ke Phir Itminaan ke Saat Sajda Karo , Phir Sajde se sar Utaao aur Itminaan ke Saat Bait Jao Phir Dusra Sajda Karo Itminaan ke Saat Phir SEEDHE KHADE HOJAO.

(Saheeh Bukhari : Jild 2 : Safa 986)

Scan Page :

mhsks_Page527

Is Hadees se Maloom Huwa ke Aam Halaat me Jalsa e Isteraahat ka Mamool Nahi Hai.

Wo Sirf Hajat ke liye tha nake Ibaadat Thi.

Yahi Wajeh hai ke Khud Ghair muqallideen ke Mashoor Aalim Shaik Nasiruddin Rh. Likhte hai ke

“Jalsa e Isteraahat Masru’u Nahi Sirf Hajat ke Liye hai”. (Erwa ul Ghaleel : Jild 2 : Safa 83)

Scan Page :

erwaa2_Page83

Algarz Ulama e Ahnaaf ka bhi Yahi Kehna hai ke Jalsa e Isteraahat Hajaat ke Liye hai Yeh Aap SAW ka Mamool nahi tha aur na hi Yeh Ibaadat hai.

Chand Sawaalaat :

1 – Ghair Muqallideen Hazraat se Guzarish hai ke Wo Quran ya Saheeh Hadees Pesh kare Jisme Jalsa e Isteraahat Ta-hayaat Karna ka Zikr ho ?

2 – Jalsa e Isteraahat ka Hukum Kya hai ? Kya yeh Farz , Waajib , Sunnat e Mokida , Mustahab ya Mubah hai ? Jawaab Saheeh , Sarheeh Hadees se De ?

3 – Upar Mazkoor Saheeh Bukhari me Abu Hurairah Rdh. Se Marwi Hadees par Amal Kyun nahi hai ?

4 – Allama Albaani Sahaab Kehte hai ke Jalsa e Isteraahat Masru’u Nahi Sirf Hajat ke Liye hai (Erwa ul Ghaleel : Jild 2 : Safa 83 , Hadees no 362)

Ab Allama Sahaab par Kya Fatwa Lagega ?

5 – Hazrat Abu Maalik Ashari Rdh. Ne Apni Qaum ko Jab Aap SAW ki Namaz ka Tariqa Sikhaaya toh Inhone Takbeer e Tehrima ke Baad na Rafe-yadain aur na Jalsa e Isteraahat Sikhaaya. (Musnad e Ahmed : Jild 5 : Safa 434 , Majmua az Zawaid : Jild 2 : Safa 262 , Hadees no : 2788)

Scan Page : Majmua az Zawaid

02_73922_Page262 - Copy

Lehaaza Ab is Sahabi par Kya Fatwa hoga aur Kya Inhone Apni Qaum ko Khilaaf e Sunnat Namaz Sikhaayi(Nauzbillah) ?

Note : Jawaab Quran aur Saheeh Hadees se de , Qiyaas Karke Shaitaan Aur Taqleed Karke Mushrik Na Bane.

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads