Milad un Nabi Kyun NAHI Manaana Chahiye (Barelwi Ulama ki Zubaani)

Hum Milad-un-Nabi Kyun Nahi Manaate (Ulama e Bralwi ki Zubaani)

Ulama e Bralwiya ko Baar Baar Yeh baat Kahi Jaati hai ke Milad ke Manaane aur Uske Juloos se Islaam ki Ibtedaayi 500 Sadi (500 years) Khaali rahi hai.

Lekin Ba-jaaye Samajhne ke, Yeh Hazraat Ulta Ulama e Ahle sunnat wal Jamaat ko Bhala Bura Kehte hai.

Par jo baat Ulama e Ahle Sunnat ne Kahi hai, wahi Bralwi Ulama ne bhi Kahi hai.

Pas, Ab Baat Hamaari hai, Zubaan Unki hai.

Bralwi Hazraat ke Hakeem ul Ummat, Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi Farmaate hai ke

“ Imam Sakhaawi Rh. ne Farmaaya ke Milad Shareef Teeno Zamaano me Kisi ne NA kiya, Baad me Ijaad huwa.”

(Jaal al Haq : Safa 236)

Scan Page :

JA AL HAQUE--PG--236-A

Bralwi Maulwi Faiz Ahmed Owaisi Likhte hai ke

‘Waqai Salaf-o-Saleheen ne yeh Amal Nahi kiya.’

(Gausul Ibaad : Safa 50)

Scan Page :

GAUSUL IBAD FI AHBSUL MILAD--PG--50-A

Ek aur Maqaam par Kehte hai ke

‘Chunke Salaf-o-Saleheen ke Zamaane me is Tareeq ka Dastoor Nahi tha.’ (Gausul Ibaad : Safa 51)

Scan Page :

GAUSUL IBAD FI AHBSUL MILAD--PG--51-B

Bralwi Allama Ghulam Rasool Saeedi Farmaate hai ke ‘Mehfil e Milaad ki Haiyyat e Istemaayi Har Chand ke BIDDAT hai.’

(Sharah Muslim : Jild 3 : Safa 185)

Scan Page :

SHARAH MUSLIM SHAREEF-JILD-3-PAGE-185

Aage Farmaate hai ke

“Khulaasa Yeh hai ke Eid e Milaad Bid’at (Naya Kaam) hai, Lekin Ach-chaiyyo Buraiyyo par Mushtamil hai.”

(Sharah Muslim : Jild 7 : Safa 1026)

Scan Page :

SHARAH MUSLIM SHAREEF-JILD-7-PAGE-1026

Bralwi Shaykh ul Islaam, Tahir ul Qadri ki Gawaahi :

Sarkaar e Do-Aalaam SAW Apne Khaliq Haqeeqi se Jaa-mile, Toh Sahaba Kiraam Rdh. par gum wa Aalam ka Ek Kohe giraa toot gaya.

Isliye Jab Inki zindagi me 12 Rabbi-ul-awwam ka din aata, Toh Wisaal ke Sadme tale Wilaadat ki Khushi dab jaati aur

Judai ka gham az-sarino taza hojaata.

Aaqa e do Jahaa SAW ki Zindagi ki Yadoon ke Jalwe me 12 Rabbi ul Awwaal ka din Aata toh Khushi wa Gum ki Kaifiyate mil Jaati aur Sahaba Kiraam Rdh. Wisaal e Mehboob SAW ko Yaad Karke Sadma Zadah dilo ke saat Khushi ka Izhaar na karsakte the.

(Milad un Nabi SAW : Safa 454)

Scan Page :

MILADUNNABI--PG--454

In Tamaam Bralwi Ulama ke Irshaadaat se Maloom huwa ke Sahaba Kiraam Rdh. Salaf-o-Saleheen aur Teeno Zamaano me Milad un Nabi MANAANE ka Riwaaj Nahi tha.

Mazeed Ghulam Rasool Saeedi ne Milad un Nabi ke Juloos ke Halaat yu Bayaan Karte hai ke

“Baaz Shehro me Eid e Milad un Nabi ke Juloos ke Taqdees ko Bilkul Pa’amaal kar diya gaya hai, Juloos Tang Raasto se Guzarta hai aur Makaano ki Khirdkiyo or Balconiyo se Naw-jawaan Lardkiya Aurtein Sharka Juloos par Phal waghairah Phaikti hai (Shayad Sawaab ki Niyyaat se, Al Eyaazubillaah)

Aubaash Nau-jawaan Fahesh Harkatein karte hai.

Juloos me Mukhtalif Gaadiyo par Filmi gaano ki Recording hoti hai aur Naujawaan Lardke Filmi Gaano ki Dhuno par Naach-te hai aur Namaaz ke Auqaat (Waqt) me Juloos Chalta rehta hai, Masaajid ke Aage se Guzarta hai aur Namaaz ka koi Ahtemaam nahi kiya jaata.

Is Qism ke Juloos MILAD UN NABI KE TAQDEES PAR BAD-NUMA DHAAG hai, Unki Agar Islaah na ho sake, TOH UNKO FAURAN BAND KARDENA CHAHIYE.

Kyunke Ek Amr Mustahsin ke naam par In Moharmaat ke Irtekaab ki Shariyat me Koi Asal nahi hai.

(Sharah Muslim : Jild 3 : Safa 170)

Scan Page :

SHARAH MUSLIM SHAREEF-JILD-3-PAGE-170

Ek aur Maulwi Sahaab, Abdul Ghafoor Sharqipuri Farmaate hai ke “Agar Mustahab Farz ke liye Rukaawat bane, Toh Mustahab ka Chor-na Zaroori hai.”

(Namaazi ke paas Ba-Awaaz Zikr karna Jayez hai ya Nahi : Safa 176)

Scan Page :

NAMAZI KE PAAS BA AWAZ ZIKR KARNA JAYAZ HAI YA NAI-PAGE-176

Aakheer me Ahmed Yaar Khan Naeemi Sahaab yu Likhte hai ke

“ Is aayaat se Chand Masaail Maloom hote hai, Ek Yeh ke Agar Ghair Zaroori Ibaadat Fasaad Zariya ban-jaaye, Jo Hum se Mit na Sake, Toh Isko Chor-diya Jaaye.”

(Tafseer e Nurul Irfan, Haashiya : Safa 224)

Scan Page :

TAFSEER-E-NURUL IRFAN--PG--224

Khulaasa e Kalaam :

Hamaari Sanjeeda Bralwi Hazraat se Guzaarish hai ke wo Bralwi Allama, Ghulam Rasool Saeedi Sahaab ki Ibaarat pe Ghaur kare.

Kya Aaya wo Tamaam Baatein Jo Saeedi Sahaab ne Zikr ki hai, Aaj kal ke Juloos me nahi horahi hai ?

Kya waqai Namaz ke Auqaat me Juloos ko Rok-kar Namaz Aada ki-jaati hai ?

Kya Waqai 12 Rabbi-ul-awwal ke din Masjido me Musalliyo ki Ta’adaad me Bhaari Izaafa hota hai ?

Kya Milad ke Julooso me Nau-jawaan Be-huda Harkatein Nahi Karte hai ?

Har Aankhe Rakhne waala Shaks Dekh raha hai ke Aaj Milad ke Julooso ke naam par kya kya Horaha hai ?

Pas, Hamaari yahi Guzaarish hai ke

Milad ke Naam par Croro ke paise Kharch-karne,

Namaze Chor-na aur Isme

Nau-jawaano ka Be-huda Kaam karna,

Naach-na Gaana,

Logo ko Takleef dena,

Raat Raat bhar aur Isi Tarah ROAD par speaker ka Full sound ke saat Chaalu rehna,

Motor cycle ke Silencer ki awaaz Badaakar Taiz chalaana aur

Ghair Muslimo ko Dekh-kar Naare Lagaana, Isse Kaunsa Deeni Fariza aada horaha hai, Isse Kaise Sach-cha Aashiq e Rasool hona Saabit horaha hai ?

Hum Kisi par Tanz nahi maar rahe hai, Balke Aaj ke Milad ke Naam Juloos ko Dekh-kar Har Saaheb e Basirat Shaks (Jisko ALLAH Tala ne Dil ki Aankhe di ho, Jo Waqai me Huzur SAW ka Sach-cha Ummati ho, Jisne Milaad ke Juloos me hone hone Badi Badi Ghalatiyo ko Mehsoos kiya hai, wo) yahi Kahege ke

‘AAJ ke Be-hayaai ke DAUR me Milad ke Naam par Juloos nikaalna aur Isko Manaane ki Koi Gunjaa-ish nahi hai.’

Wallahu’alam.

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads