Shab-e-Baraat: Ek Mukhtasar Aadelana wa Tehqeeqi Jaiza

Bismillahir Rahmanir Raheem15 Shab’aan jo aw’aam ke nazdeek Shab-e-Baraat  ke Naam se Maroof wa Mash’oor hai. B’aaz Jahil Kism ke Ghairmuqallideen apne Jahalat ko apne Aql per Ghalib karke sire se is Raat ki Fazilat ka inkar dete hai aur Is silsile ki sari Ahadees ko apne Aqal ki tar’ha Za’eef aur Mauz’oo karar dete hai. Allah ki Panah!. Isi silsile se ek mukhtasar wa jame kuch baat’ien arz karne ka irada hai.

Bar’aat ke laghwi maine “Bari” hone ke hain. Is raat me Gunahgaaro ki Maghfirat aur Mujrimo ki Bar’aat hoti hai islye is ko Shab-e-Ba’raat kehte hai. Ye SHABAN ki 15th raat hai yani 14th Shaban ki Shaam se Shuru hoti hai.

SHAB-E-BARAAT MAIN MUSHRIK WA KEENA RAKHNE WALON KI MAGHFIRAT NAHI HOGI

عن أبي موسى الأشعري عن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال إن الله ليطلع في ليلة النصف من شعبان فيغفر لجميع خلقه إلا لمشرك أو مشاحن

Tarjuma: Hazrat Abu Moosa Ash’ari (Razi Allahu anhu) se riwayat hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

“Allah Ta’ala Nisf Shaban ki Raat ko Mutawajjeh hote hai aur har ek ki MAGHFIRAT Farmate hain siwaye aise Shaqs ke jo MUSHRIK ho ya jiske DIL me KEENA (Bugz) ho.” [Ibne Majah]

Ghair Muqallideen Ke Ek Bade Muhaddis Jin Ki Tehqeeq per Ghair Muqallideen Ko Naaz Hai Yani Sheikh Nasiruddin Albani ne ise Hasan Kaha aur Sahih bhi Kaha. [Sahih Ibne Maja Safha 414]

Scan Page:

Shab-E-Baraat Main Mushrik Wa Keena Rakhne Walon Ki Maghfirat Nahi Hogi. Baki Samajhdaar ke liye Ish’ara kafi hai!

Shir’k Wa Bughz Itna Ba’da Gunha hai Ke Aise Logo’n Ki Maghfirat Aise Azeem Rato’n mai Bhi Nahi Hoti.

Jo log Hadees per Amal ke Mud’dai’i hai, Unko to isme aur Zyda Haq-parasti aur Hadees se Dilchaspi ka Muz’ahera karte hue Isko Qub’ool karna chaiye. Na’ke Munkireen-e-Hadees ka Rawai’ya Ikhtiyar karna chaiye.

Mazeed Dekhye:

Albani Sahab Sanad ke Mua’mle main bade shakt hai lekin iske bawajood unhone Shab-e-Baraat  ke silsile se  kayi Ahadees ko Sahih aur Hasan kaha hai.

1. Silsilah Al-Ahadith Al-Sahihah p.135/3, Raqam # 1144

2. Kitabus Sunnah p.222, Raqam # 509

3. Kitabus Sunnah p.223, Raqam # 510

4. Kitabus Sunnah p.224, Raqam # 511

5. Kitabus Sunnah p.224, Raqam # 512

Sheikh Albani ki  Shahadat Tabqa (Naam Nihaad) Ahle Hadees ke Liye Hujjat hai, Isiliye humne Inki Teqeeq ka hawala diya. Iske baad kisi ki Inkar ka majal na hona chaiye, Il’la ke dalail ki Roshni main koi iska Ghalat hona Sabit Karde.

15 SHABAN YANI SHAB-E-BARAAT KI FAZEELAT SABIT HAI

Ghair Muqallideen Ke ek aur bade Muhaddis  Allama Abdur Rahman Mubarakpuri Sahab ne Tohfatul Ahwazi mai  15 Shabaan  ke faza’el ki Ahadees zikr kia aur unme

1. Hazrat Ayesha (Radiallahu Anha )

2. Muaz Bin Jabal (Radiallahu Anhu )

3. Abdullah Bin Umer  (Radiallahu Anhu)

4. Kaseer bin Murra  (Radiallahu Anhu)

5. Hazrat Ali (Radiallahu Anhu)

ki Ahaadees ko jama kiya mukhtalif hadees ki kitabon se phir Aakhir me  Apna Faisla sunaya ke

“To Ye Ahaadees Majmooi taur par HUJJAT hain Un logo ke KHILAAF jo ye dawa karte hain ke koi baat 15 Shaban ki fazeelat me Saabit nahi, Wallahu Ta’ala Alam.” [Tohfatul Ahwazi P.441-442/3]

Scan Page: 

Shab-E-Bar'aat Ke Mutalliq Ahaadees Majmooi taur par HUJJAT

Ahaadees Majmooi taur par HUJJAT hai Unlogo’n Ke Khilaaf Jo Is Raat Ki Fazeelat Ka inkar Karte hai.

Ghaur farmaya jaye ke Allama Abdur Rahman Mubarakpuri Sahab kis Qadr wajahat farmate hai ke jolog ye Guman kar baithe hai ke Shab-e-Baraat ki Fazilat sabit nahi, unper ye Ahadees Hujjat hai, agar fir bhi unko koi na-ma’ane to kya Ilaj hai?

SHABE BARAAT DEGAR AUR RATO’N KI TARHA NAHI

Ghairmuqallid Muahqqiq Obaidullah Mubarakpuri Sahab Mishkaat ki Sharah mai Shabaan ki darmiyani Shab (Shab-e-Baraat) ki Fazilaat ke silsile se warid Ahadees ka zikr karne ke baad likhte hai:

“Ye Saari Hadees’en  Shabaan ki Darmiyaani Shab ki Azmat aur uski Shaan-e-Jalalat per Dalalat karti hai aur usper bhi ke ye Raat DEGAR AUR RATO’N KI TARHA NAHIhai. Lihaza Isse ghaflat baratna Munasib Nahi, balke Ibadat aur Dua aur Zikr aur Fikr ke Zariye Isme Jaagna MUSTAHAB hai.” [Miraat Sarha Misqaat p.341-342/4]

Scan Page:

Shab-e-Baraat Degar Aur Rato'n Ki Tarha Nahi. Isme Raat Jaagkar Ibadat Karna MUSTAHAB hai.

Shab-e-Baraat Degar Aur Rato’n Ki Tarha Nahi. Isme Raat Jaagkar Ibadat Karna MUSTAHAB hai.

B’aaz log apne ilm (?) ko  aqal per fauqiat dete hue kehte hai’ Allah Ta’ala Har Raat Ko Asmaane Dunya Par Nuz’ool Farmate Hai, lihaza ye Raat mai koi khas baat nahi. Aise logo’n se hum sawal karte hai ke fir Nabi Kareem Alaihis-Salat Was-Salam ne Kyu phir Is Raat ko Maks’oos taurper  Irshad farmaya? Jawab iska wahi hai jo Maulana Obaidullah Sahab ne farmaya ke ye Raat Degar Aur Rato’n Ki Tarha Nahi!

TEESRI SADI HIJRI ME AHLE MAKKAH KA SHAB-E-BARAAT ME IBADAT KARNA

Teesri Sadi Ke Mashhoor Muarrikh Imam Abu Abdullah Muhammad Bin Ishaaq bin Abbas Faakihi Makki  (d. 275 Hijri) ne Apni Tareekh ki Kitab “Akhbaar-e-Makkah” mai ek  BAAB (heading) baandha hai:

“Ahle Makkah Ka Amal 15 Shaban Aur Unka Mujaheda Us Raat Me Uski Fazeelat Ki Wajeh Se”

Fir likhte hain:

“Aur Ahle Makka Zamana-e-Maazi se us din tak jab bhi pandhrawi (15) raat ati Shabaan ki tamam Mard aur Aurat Masjid (Haram) Jate, Phir Namaz padhte aur Taw’aaf karte aur sari Raat Ibadat karte (zinda rakhte) Subah tak tilawat karte Masjid-e-Haram mein. Yahan tak k pura Quran Mukammal karte aur Namaz padhte. Aur unme se Baaz us Raat 100 Rakat Namaz padhte is tarah ke har Rakaat me Alhamd ke baad Surah Ikhlaas 10 Martaba padhte, aur Zam-Zam ka paani lete aur us raat peete aur usse Ghusul karte …… is ke zarye is raat ki Barkat talash karte, aur is mamle me bohot si Ahadees marwi hain.” [Akhbaar-e-Makkah p.84/3]

Scan Page:

Teesri Sadi Hijri Mai Ahle Makkah Ka Amal 15 Shaban Ki Raat Ibadat

Teesri Sadi Hijri Mai Ahle Makkah Ka Amal 15 Shaban Ki Raat Ibadat

Mal’oom hua Salaf  Ye Raat Yuhi Na Gawa dete thay aur Na Koi Maks’oos Ibadat Kia karte thay balke  Is Raat  Jaag Kar Naf’l Ibadat Masgh’ool hote. Jo Nafs-parast log Khud ko “Salafi” kehte hai ya Apne Naam Ke saath “Salafi” laf’z  ka Istimal karte hai unki (Naam Nihaad) Salafiyat Aag Kyu Lag gayi?

KHULASAH: In Hawalajaat aur Tafseelaat se Wajeh hogaya ke “Shab-e-Baraat” ki Fazilaat sabit hai aur khud Ghairmuqallid Ulema Iske Qaeel hai aur Raat main jagne aur Ibadat karne ko Mustahab karar dete hai. Magar afs’os Aajke (Naam Nihaad) Ahle Hadees logo’n ka Aam Nuqt’a-Nazariya hogaya hai ke “Shab-e-Baraat” koi cheez nahi. Dua hai ke Allah Rabbul Izzat sachi Fahem aur achi Nazar ata farmaye aur har  Ek ko Qub’ool-e-Haq Ki Taufique ata farmaye. Aameen
.

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads