Daleel-E-Namaz Ahle Sunnat Wal Jamaat Ahnaf
SUNNAT NAMAAZ
Masnoon Namaz,Ba-Dalail,Part#01
-> Hazrat Umar Farooq (r.a) Ki Marfo Hadees He,Rasool Akram (S.A.W.W) Ka Irshad He K Amaal Ka Daromadar Niyyato Pe He.
Ref:Bukhari Sharif, J#01, P#02.
…
-> Niyyat Dil k irade ka Naam He, Dil Se Jaan Aur Soch Le, (Masalan) Zuhr k Farz Parhta Hu,Zubaan Se Niyyat K Alfaz Kehna Zarori Nai,Haa Qalbi Niyyat k Istehzaar k Liay Zubaan Se Niyyat Karna Mustahsan He.
…
Ref:*Fatawa Alamgiri,J#01, p#65.*Fath-ul-
Qadeer,j#01, p#232
Masnoon Namaz,Ba-Dalail,Part#02:
Istiqbaal-E-Qibla :
-> Hazrat Abu Huraira (r.a) Se Riwayat He k Rasool Pak (S.A.W.W) Ne irshad Farmaya Jab Tu Namaz k Kiay Kara Ho To Achi Tara Wuzu Kar Aur Pir Qibla Ki Taraf Mou Kar.
Ref:*Saheh Bukhari,J#02, p#286.*Saheh Muslim,J#01, p#170.
…
** Qayaam Karna :Hazrat Imran Bin Husain (r.a) Farmaate He,Me Ne Rasool Pak (S.A.W.W) Se Namaz k Baare Me Poocha To Aap
(S.A.W.W) Ne Farmaya k Kare Ho Kar Parho.
Ref:*Saheh Bukhari,J#01, p#150.*Sunan Abi Daud,J#01, p#144.
…
** Qiyam Me Nigaahe Sajde ki Jaga Rakhna:
Hazrat Anas (r.a) Se Riwayat He k Rasool Paak (S.A.W.W) Ne Farmaya, Aye Anas (r.a) . . !Apni Nazar Sajde ki Jaga Par Rakho.
Ref:Mishkaat-Ul-Masabeeh, j#01,P#91.
…
Masnoon Namaz,Ba-Dalail,Part#03:
Takbeer Tehreema Kehna:->
Hazrat Ali (r.a) Se Riwayat He k Rasool Paak (S.A.W.W) Ne Farmaya,Namaz Ki Kunji Taharat He,is ki Tehreem “ALLAH-o-Akbar” Kehna He Aur is ki Tehleel Salaam Pherna He.
Ref:*Sunan Abi Daud,J#01, p#98.*Jamia Tirmizi, j#01,p#06.
Shuru Namaz Me Haath Othaana :
-> Hazrat Ibne Umar (r.a) Aur Hazrat Ibne Abbas (r.a) Se Marwi He k Nabi (S.A.W.W) Ne irshaad Farmaya 7 Maqamaat Pe Haatho Ko 0thaya Jata He.(in Me Se Aik) Shoru Namaz Me (Yani Takbeer Tehreema k Wakt).
Ref:Sharah Ma’ani Al Asaar, j#01, p#416.
…
-> Hazrat Wail Bin Hujar (r.a) Farmaate He k Me Ne Rasoolullah (S.A.W.W) Ko Dekha k Jab Namaz Shoru ki Toapne Haath Othaae.
Ref:Sunan Abu Daud,j#01, p#112.
…
Masnoon Namaz,Ba-dalail,Part#04:
Haath Othaane ki Kaifiyat:
-> Hazrat Abu Huraira (r.a) Farmaate He k Rasool Paak (S.A.W.W) Jab Namaz k Liay Takbeer Kehte To Apni Unglio Ko Kularakhte.
Ref: * Jamia Tirmizi, j #01, p#56.* Saheh Ibne Khuzaima, j#01, p#263.
…
** Takbeer Tehreema k Wakt Haath Kaha Tak Otaaye Jaye ?
-> Hazrat Wail Bin Hujar (r.a) Farmaate He k Me Ne Nabi Akram (S.A.W.W) Ko Dekha k Jab Namaz Shuru Farmaate To Apne Haath Othaya karte Yaha Tak k Aap (S.A.W.W) K Dono Angothe Aap (S.A.W.W) k Kaano ki Lau k Barabar Ho Jate.
Ref:* Sunan Nasai, j#01,P#141.* Sunan Abi Daud, j#01, p#112.* Musannaf Ibne Abi Shaiba, j#02, p#406.
-> Hazrat Malik bin Huwairas (r.a) Farmate He,Aap (A.s) Jab Takbeer Kehte To Dono Haatho ko Othaate Te,Yaha Tak k Inhe Kaano k Kareeb Karlete,Aik Riwayat Me He k Kaano ki Lo’ k Barabar Karlete Te.
Ref:Ibne-Abi-Shaiba, j#02, p#407.
…
Masnoon Namaz,Ba-Dalail Part#05:
Haath Othaate Wakt Hathelio ka Qibla Rukh Hona :-
> Hazrat Abdullah Bin Umar (r.a) se Riwayat He k Rasool Paak (S.A.W.W) Ne Farmaya Jab Tum Me Se Koi Namaz Shoru Kare To Dono Haatho ko Othaae Aur Hathelio ko Qibla Rukh Kare Q k ALLAH Ta’ala is k Saamne Hota He.
Ref:*Al-Sunan Al Kubra Lil Behqi, j#02,.p#27.*Mujma Uz-Zawaid, j#02, p#270.
…
** Daae Haath Se Baae Haath ko Pakarna:
-> Hazrat Ibne Abbas (r.a) se Riwayat He k Rasool Paak (S.A.W.W) Ne Farmaya,Hum Ambia (A.s) ki jamaat Ko Ye Hukam Dia Gaya He k Sehri Takheer Se Kare, Iftar Jaldi Kare, Aur Namaz Me Apne Daae Haath Se Baae Haath Par Rakh Kar Pakre.
Ref:*Saheh Ibne Habba’an, p#554, 555 , Hadith#1770.*Al Muajjam Al-kabeer Tibrani,J#05, p#233,Hadith#10693.*Al-
Muajjam Al-ost, j#03, p#179, Hadith#4249.
…
Masnoon Namaz,Ba-dalail,Part#06:
…
Daae Haath ko Baae Haath k Gitte (Kalai) Par Rakhna:
-> Hazrat Wail Bin Hujar (r.a) Farmaate He k Aik Baar Me Ne Kaha k Daiku Aap (S.A.W.W) Kaise Namaz Parhte Te? To Me Ne Daika k Aap (S.A.W.W) Namaz k Liay Karhe Hue, Takbeer Kahi Or Apne Dono Haath Othaae Yaha Tak k Kaano k Kareeb Karliay, Pir Apna Daaya Haath Baae Haath Ki Pusht, Gitte Or Kalai Par Rakha.
Ref:*Saheh Ibne Habban, p#577,
Hadith#1860.*Sunan Nisai, j#01,
p#141.*Sunan Abi Daud, j#01, p#112.
-> Hazrat Sehal Bin Saad (r.a) se Riwayat He k Logo (Yani Sahaba R.a) Ko Hukam Dia Jata k Namaz k Wakt Apne Daae Haath ko Baae Kalai Par Rakhe.
Ref:Sahi Bukhari, j#01, p#102.
…
Masnoon Namaz,Ba-dalail,Part#07:
Naaf k Neeche Haath Baandhna:
-> Hazrat Wail Bin Hujar (r.a) Farmaate He k Me Ne Nabi Akram (S.A.W.W) Ko Deka k Aap (S.A.W.W) Ne Namaz Me Daae Haath Ko Baae Haath Par Naaf k Neeche Rakha Hua te.
Ref:Ibne Abi Shaiba, j#03, p#321, 322,Hadith#3959.
-> Hazrat Ali (r.a) farmaate he k Namaz me Sunnat Ye He k Apne (Daae) Haath ko (Baae) Haath Par Naaf k Neeche Raka Jae.
Ref:Ibne Abi Shaiba, j#03, p#324,
Hadith#3966.
-> Hazrat Anas (r.a) farmaate He k 3 Cheeze Nabuwwat k ikhlaq me Se He,Roza jaldi iftar karna, Sehri Dair Se khaana, Namaz Ne Daae Haath ko Baae Par Naaf k Neeche Rakhna.
Ref:Al-johr ul Naqi , j#02, p#32.
Note*:Hazrat Ali (r.a) Ne Namaz Me Haath ko Naaf k Neeche Baandhne ko Sunnat Jabke Hazrat Anas (r.a) Ne ise Nabuwwat k Ikhlaq Me Se Qaraar Dia.
Sana Padhna :
-> Hazrat Abu Saeed Khudri (r.a) farmaate He k Rasool Paak (S.A.W.W) Jab Namaz Shoru farmaate To Sana Aakhir Tak Parhte The.
Ref:Sunan Nasai, j#01,P#143.
…
Sana Aahista Parhna :
Hazrat Ibrahim Nukhi’e (rh.a) farmaate He k 4 Cheeze He Jinhe Imam Aahista Parhe in Me
Pehli “Sana” He.
Ref:*Kitaab-ul-Asaar, j#01,
p#108.*Musannaf Abdul Razaq, j#02, p#57,hadith#2599.
Imam Wa Munfarid ka Fatiha k Sath Surat Milana :
Hazrat Ubada Bin Saamt (r.a) Nabi Akram (S.A.W.W) Se Riwayat Karte He k Aap (S.A.W.W) Ne Farmaya jo Sora Fatiha Or is Se Zaayid (Yani Aik Or Surat) Na Parhe To is ki Namaz Nai
Hoti. Is Hadith k Rawi Sufyan (r.a) farmaate He k Ye Hukam 0s Shakhs k Liay He jo Akele Namaz Parh Raha Ho…
Ref:*Sunan Abi Daud, j#01, p#119, Darul Isha’at Karachi.*Sahi Muslim, j#01,P#169,
Al-Meezan Karachi.*Sunan Nisai, j#01,p#145, Darul Isha’at Karachi.
…
Qira’at k Wakt Muktadio ka Khamosh Rehna :
Hazrat Abu Huraira (r.a) Farmate He k Huz0or Pak (S.A.W.W) Ne Farmaya “Imam is Liay Banaya Jata He k is ki Aitiba’a Ki Jae, jab Wo Takbir Kahe To Tum b Takbir Kaho, jab Wo Qira’at Kare To Tum Khamosh Raho.
Ref:*Sunan Ibne Maja, j#01, p#165, Maktaba Rehmania.*Ibne Abi Shaiba, j#03,p#282, Hadith#3820.*Sunan Nisai,j#01,P#146.
Imaam ki Qira’at he Muktadi ki Qira’at He:
-> Hazrat Jabir (r.a) Se Marwi He k Rasool Paak (S.A.W.W) Ne Farmaya, Jo Imam k Peeche Namaz Parh Raha Ho To Imam ki Qira’at He Os Ki Qira’at He.
Ref:*Athaaf-ul-kheratul Muhra, j#02,
p#216, hadith#1832.*Sharah Ma’ani Al Asaar, j#01, p#142, Maktaba: Rehmania.
-> Hazrat Abdullah Bin Umar (r.a) Se jab Ye Sawal Kia Jata k Agar Koi Imaam k Peeche Ho To Kia Qira’at Kare? To Aap (R.a) Ye Farmaate Te
k Jab Koi Imam k Peeche Namaz Parh Raha Ho To Ose Imaam ki Qira’at He Kaafi He Or Agar Akela Parh Raha Ho To Pir Qira’at Kare, Or Hazrat Abdullah Bin Umar (r.a) Khud b Imam.k Peeche Qira’at Nai Karte Te.
Ref:* Mouta Imam Malik, p#68,Al-
Meezan.*Musanif Abdulrazaq, j#02, p#91,hadith#2818, 2817.*Sharah Ma’ani Al-asaar,j#01, p#144, Maktaba: Rehmania
Imam, Muqtadi Or Munfarid ka Aameen Aahista Kehna:
-> Hazrat Wail Bin Hujar (r.a) Farmaate He k Me Ne Rasool Paak (S.A.W.W) k Sath Namaz Parhi, jab Aap (S.A.W.W) Ne “Ghairil Maghdoobe Alaihem Wallad Dwaalleen” KahaTo Aameen Aahista Awaz Se Kaha.
Ref:*Musnad Abi Daud, j#01, p#577,
hadith#1117.*Musnad Ahmed, j#14, p#285, hadith#18756.
-> Hazrat Wail Bin Hujar (r.a) farmaate He k Hazrat Umar (r.a) Or Hazrat Ali (r.a) Bismillah, Ta’ooz, Or Aameen 0onchi Awaaz Me Nai Kehte Te.
Ref:Sharah Ma’ani Al-asaar, j#01, p#134, Maktaba: Rehmania.
Takbeer Kehte Hue Ruku Karna:
Hazrat Abu Huraira (r.a) Farmaate He k Rasool Pak (S.A.W.W) Jab Namaz k Liay Karhe Hote To Qayam Ki Halat Me Takbeer Kehte, Pir Jab Roku Me Jaate Takbeer kehte…
Ref:*Saheh Bukhari, j#01, p#109,
Qadeemi.*Saheh Muslim, j#01, p#169,Al-Meezaan.
Kaifiat-E-Ruku:
Hazrat Anas (r.a) Se Riwayat
He k Aap (S.A.W.W) Ne In Se Farmaya,Ae Maire.Baite,Jab Tum Roku Karo To Dono Hathelio Ko Apne Gutno Par Rakho Or Unglia Kushada Rakho Or Apne Bazo’o ko Pehlo Se Juda Rako.
Ref:*Al-Muajjam Al-0st Tibrani, j#04,p#281, hadith#5991.*Al-Muajjam Al-sagheer Tibrani, j#02, p#32.
Qouma karna:
-> Hazrat Abu Huraira (r.a) ki Riwayat He k Aap (S.A.W.W) Ne Aik Aadmi ko Namaz ka Tareeka Sikhaate Hue Farmaya,Pir Roku Karo Yaha Tak k itminan Se Ruku Karlo,Pir Ruku Se 0tho Yaha Tak k Aitidaal (itminan) Se Kare Ho jao.
Ref:*Saheh Bukhari, j#01, p#109, Qadeemi kutab khana.*Saheh Muslim, j#01, p#170,Al-Meezan.
Roku Me Jaate Or 0thte Wakt Rafa Yadein Na Karna:
-> Hazrat Abdullah Bin Maso′od (r.a) Farmaate He k Aap (S.A.W.W) karhe Hue Or Pehli Martaba (Takbeer Tehreema) Rafa Yadein Kia Pir Dobara (Pori Namaz Me) Nai Kia.
Ref:*Sunan Nisai, j#01,P#158, Qadeemi.*Sunan Abi Daud, j#01, p#118, Rehmania.*Jamia Tirmizi, j#01,P#59,Qadeemi.
-> Hazrat Abdullah Bin Maso′od (r.a) Farmaate He k Me Ne RasoolUllah (S.A.W.W),Hazrat AbuBakar (R.a) Or Hazrat Umar (r.a) k Peeche Namaze Parhi He,Wo Sub Shoru Namaz k ilawa Apne Haatho Ko Nai Othaate Te.
Ref:*Sunan Abi Daud Haashya#03,j#01, p#118, Rehmania.*Musnad Abi Ya’ala Aimoosli, j#08, p#453,hadith#5039.*Muajjam Al-shuyookh, j#01,p#693, Hadith#318.
-> Hazrat Abdullah Bin Umar (r.a) Farmate He k Hum Rasolullah (S.A.W.W) K Sath (Hijrat Se Pehle) Makkah Me Hote Te To Shoru Namaz Me Or Roku k Wakt Rafa Yadein Karte Te. Jab Nabi (S.A.W.W) Ne Madina Ki Taraf Hijrt Farmai To Roku Wala Rafa Yadein Tark Kardia Or Sirf Shoru Namaz Wale Rafa Yadein Pe Qaim Rahe.
Ref:Akhbar-ul-fuqha wal Muhadisseen,p#214, Hadith#378.
Sajde Me Jana:
-> Hazrat Wail Bin Hujar (R.a) Se Marwi He k Rasool Pak (S.A.W.W) Jab Sajda karte To Hatho Se Pehle Apne Gutne Zamin Pe Rakte Te.
Ref:Sahe Ibne Khuzema, j#01, p#342,Hadith#626.
-> Hazrat Anas (r.a) Se Riwayat He k Me Ne Rasool Paak (S.A.W.W) Ko Dekha k Aap Ne Roku Farmaya Yaha Tak k Aap (A.s) Ka Har Jor Apni Jaga Pe Drust Hogaya. Pir Aap Takbir Khte Hue Juke Yaha Tak k Aap k Gutne Hatho Se Pehle Zamin Pe Lage.
Ref:Mustadrik Haakim, j#01, p#493,Hadith#822.
Sajda 7 Aza’a pe karna:
-> Hazrat Ibne Abbas (r.a) Farmate He k Nabi Akram (SalLalahu Alaihe Wasallam) ko Hukam Dia gaya Ta k 7 Aazaa’ Pe Sajda Kare Or Apne Baalo Or kapro ko Teh Na Kare, Peshaani, Dono Haath,Dono Gutne,Or Dono Paao.
Ref:*Saheh Bukhari,j#01, p#112, Qadeemi Kutab Khaana KHI.*Saheh Muslim, j#01,p#193, AL Meezan Khi.
Sajdo k Darmyan Jalsa Karna:->
Hazrat Abu Huraira (R.a) Se Riwayat He k Nabi Akram (SalLalahu Alaihe Wasallam) Ne Aik Aadmi Ko Namaz Ka Tareeka Sikhaate Hue Farmaya, Pir Sajda Karo Itmenan k Sath Pir Sajde Se Sir Othao Yaha Tak k itmenan Se Beth Jao.
Ref:Saheh Bukhari,j#01, p#109, Qadeemi Kutab khana.
Sajde Me Chehra Hatho k Darmyan Ho:
-> Hazrat Wail bin Hujar (r.a) Farmate He k Me Ne Rasoolullah k Peche Namaz Parhi,Jab Aap Sajda karte Te To Apna Chehra Dono Hathelio k Darmyan Rakhte.
Ref:Sharah Ma’ani Al-Asaar, j#01, p#182, Haqania.
Haatho Ki Unglio Ko Milana:
-> Hazrat Wail bin Hujar (r.a) Se Marwi He k Nabi (Alaihe Salam) jab Sajda Karte To Apni Unglio Ko Mila Laite Te.
Ref:Saheh Ibne Khuzaimaj#01,p#347, Hadith#642.
Sajdo k Doran Unglio Ka Qibla Rukh Hona:
-> Hazrat Abu Hameed Sa’adi (r.a) farmate He k Rasool Pak ki Namaz Tum Se Ziada janta Hu, Me Ne Aap (Alaihe Salam) Ko Daika Jab
Takbir Kehte To Apne Hatho Ko Kandho k Barabar Karlete, Pir Jab Sajda Karte To Apne Hatho Ko is Tara Zamin Pe Rakh Daite k Na
inhe Khoob Phelaateor Na He in Ko Sukerhte, Or Unglio Ko Qibla Ki Janib Kardaite te.
Ref:Ibne-khuzaima, j#01, p#347,
Hadith#643.
Paao Ki Unglio Ka Qibla Rukh Hona:
-> Hazrat Abu Hameed (r.a) Farmaate He k Me Rasoolullah ki Namaz Tum Se Ziada Janta Hu.Jab Aap (Alaihe Salaam) Sajda Karte To Apne Haatho Ko is Tara Zameen Par Rakhte k Na inhe Phelaate, Na Sukerhte Or Paao Ki Unglio Ko Qibla ki Janib Kardaite Te.
Ref:Saheh Bukhari, j#01, p#114, Qadeemi Kutab khana.
Sajde k Doraan Kuhnia Pehlo Se Juda Rakhna:
-> Hazrat Abdullah bin Malik (r.a) se Riwayat He,Nabi (Alaihe Salam) Jab Namaz Parhte To Apne Baazo Kushada Rakhte Hata k Aap Ki Baghlo ki Safedi Zahir Hoti ti Or Aik Riwayat Me He k Apne Baazo Pehlo Se Juda Rakhte Te.
Ref:*Saheh Bukhari, j#01, p#112, Qadeemi Kutab khana.* Saheh Ibne Khuzaima, j#01, p#349, Hadith#648.
Sajde Me Kuhnia Zameen Pe Na Phelaana:
Hazrat Bara’a bin Aazib (r.a) Farmaate He k Rasool Paak (S.A.W.W) Ne Farmaya, jab Tum Sajda Karo To Apne Haatho Ko (Zameen) Par Rakho, Or Apni Kuhnio ko Ooper Othalia Karo.
Ref:Saheh Muslim, j#01, p#194, AL Meezan.
…
Hazrat Anas Bin Maalik (r.a) Se Riwayat He k Nabi (S.A.W.W) Ne Farmaya, Sajdo Me aitidal ikhtiyar Karo, Or Koi Apne Baazo Kutte ki Tara Zameen Par Na Bichae.
Ref:*Saheh Bukhari,j#01, p#113,
Qadeemi.*Jamia Tirmizi, j#01, p#37,
Maktaba: Sheikh bhadrabad KHI.
Sajdo k Darmyan Rafa Yadein Na karna:
Hazrat Abdullah Bin Umar (r.a) Se Riwayat He, Farmaate He,Me Ne Rasool (S.A.W.W) ko Daika,
jab Namaz Shoru karte To Rafa Yadein karte Or Jab Roku Ka irada Karte To Roku Se Sir Othaane k Baad RafaYadein Na Karte Te Or Na He Sajdo k Darmyan Rafa Yadein karte Te.
Ref:Saheh Ibne Awwana, j#01, p#334,Hadith#1251.
Jalsa Istirahat Na karna:
Namaz Main Pehli Aor 3esri Rakat Main 2sray Sajday k Baad Bethna Nahi Chahiye Bal K Seedhay Kharay Ho Jana Chahiye Yani Jalsa
e isterahat Nahi Krna Chahiye, Hadees: Nabi Alaihe Salam Ne 1 Admi Ko Namaz Sekhai Aor Farmaya Phir Tou itminan Se Sajda kr Phir (2sray) Sajda Se uth kr Seedha Khara Ho Ja.
Ref:Bukhari j#2 p#986, Hadees 6667, Kitab uL Aaiman, Baab: Jab koi Shakhs Bhol kr Qasam k Khilaf karay, Ravi: Abu Huraira Rz.A,
Qadeemi Kutab khana.
Namaz Main Pehli Aur Teesri Rakat Main Doosre Sajday k Baad Bethnay Ki Bajaye Seedhay Kharay Ho Jana Chahiye
> Hadees: Nabi Alaihe Salam Ne (2sra) Sajda Kia Phir Takbeer Kahi to Aap (2sray Sajday k Baad) Seedhay Kharay Ho Gaye, Bethay Nahi
(Abu Dawood, Hadees 733, Kitab us Salat, Baab: iftitah’is Salat, Ravi: Abo Humaid Rz.A) Yeh Hadees Sahi Hay. Ref:Aasar us Sunan, Page 152, Hadees # 449,
Maktaba: imdadia Multan.
*Abu Malik Ashari Rz.A Ne 1 Martaba Apne Qabila k Logon ko Nabi Alaihe Salam ki Namaz Parh k Dekhai Aur Es Main Jalsa E isterahat Nahi Kia,Hadees k Alfaz Yeh Hain,
-> Phir ALLAH o Akbar kaha Phir Sajda Kia Phir ALLAH o Akbar Kaha Aur Kharay Ho Gaye (Yani Jalsa e isterahat Nahi Kia).
Ref:Musnad Ahmed, Hadees 23294, Musnad uL Ansaar.
-> Yeh Hadees Hasan Hay.
Ref:Aasar us Sunan, Page 152, Hadees 450,Maktaba: imdadia Multan.
2 Raka’ato k Darmyan Rafa Yadein Na Karna:
-> Hazrat Abdullah Bin Umar (r.a) ki Riwayat Me Ye Alfaz Aate he:
Aap (S.A.W.W) Jab Sajda Karte Or Sajdo Se Sir Othaate To Rafa Yadein Nai Karte Te.
Ref:Saheh Bukhari,j#01, p#102, Qadeemi Kutab Khaana KHI)
-> Is se Saabit Hua k Namazi (Do Raka’ato k Darmyan) Jab Dosri Or Choothi (4th) Raka’at k
Liay Sajde Se Sir Othaae To Rafa Yadein Na Kare.
Ref:Fathul Baari, j#02, p#288.
Dosri Raka’at ki Qira’at Fatiha Bismillah Se Shuru Karna:
-> Hazrat Ibne-Umar (r.a) Namaz Me Surah Fatiha Se Pehle Or Os k Baad Dosri Surat Se Pehle Bismillah Parhna Nai Chorte Te.
Ref:Sharah Ma’ani Al-Asaar, j#01, p#146, Maktaba Haqqania Multan.
Pehli Raka’at Barhi, Or Dosri Raka’at Choti Rakna:
-> Hazrat Abu Qatada (r.a) Farmaate He K Nabi (Alaihe Salam) Namaz Zuhar Ki Pehli 2 Rakato Me Surah Fatiha Or 2 Surate Parhte Te,Pehli Raka’at Lambi Or Dosri Choti Karte Te Or Kabi Kabi Koi Ayat Suna B Daite Te. Asar ki Namaz Me Fatiha Or 2 Soorate Parhte Or Pehli Raka’at Lambi karte Or Fajar Ki Namaz Me B Pehli Raka’at Lambi Or Dosri Choti karte Te..
Ref:*Saheh Bukhari,j#01, p#105, Qadeemi Kutab khana.* Saheh Muslim, j#01, p#185,AL Meezaan.
Har 2 Raka’at Baad Qaida karna:
-> Hazrat Ayesha (r.a) Se Riwayat He, Farmati He k Rasool (Sallallahu Alaihe Wasallam) Namaz Takbeer Se Shoru Farmaate Or Ye Farmaate Te k Har 2 Raka’at Par Tashahud He
(Yani Qaida karna Hota He.)
Ref:*Saheh Muslim,j#01, p#194, AL Meezaan.* Musanif Abdul Razaq, j#02, p#134, Hadith#3086.
Kaifiat Qaida Oola:
-> Hazrat Abdullah Bin Umar (r.a) farmaate He k Namaz ki Sunnat Ye He k Tashahudd Me Daaya (Right) Paao Karha Rako Or Baaya (Left) Paao Bichao.
Ref:Saheh Bukhari,j#01, p#114, Qadeemi Kutab Khaana.
-> Hazrat Abu Hameed (r.a) RasoolUllah (Sallallahu Alaihe Wasallam) ki Namaz ka tazkira karte Hue Farmaate He,Jab Aap (Alaihe Salaam) 2 Rakato k Baad Bethte To Baae Paao Par Bethte Or Daaya Paao karha Rakhte.
Ref:Saheh Bukhari, j#01, p#114, Qadeemi.
-> Hazrat Ayesha (r.a) Farmaati He k RasooluLlah (Sallallahu Alaihe Wasallam) Takbeer k Sath Namaz Shoru Farmaate, (Tashahud Me) Aap (Alaihe Salam) Baaya Paao Bichate Or Daaya Paao Karha Karlaite…
Ref:Saheh Muslim, j#01,p#195,AL-Meezaan.
Qaida Ola’ Me Sirf Tashahudd Parhna:
-> Hazrat Abdullah Bin Masao′od (r.a) Farmaate He Rasool Pak (Sallallahu Alaihe Wasallam) Ne Hame Taleem Di k Jab 2 Rakato k Baad Baita Kare To “Attahiyyaat” Parha Kare Aakhir Tak.
Ref:Sunan Nisai,j#01, p#174, Qadeemi.
-> Hazrat Hasan (rh.a) Farmaate Te k Namazi Pehli 2 Rakato Me Tashahudd k ilawa kuch Ziada Na Parhe.
Ref:Musannaf Ibne Abi Shaiba, j#03, p#47,hadith#3038.
Tashahudd Me Ungli ka Ishara:
-> Hazrat Abdullah Bin Umar (r.a) Ne Farmaya,Jab Aap (Sallallahu Alaihe Wasallam) Namaz Me Baithte te To Apni Daae Hatheli Daae Raan par Rakhte te, Or Apni Tamaam Unglia Band kar k Shahadat Waali Ungli Se Ishara Farmaate Te Or Apni Baae Hatheli Baae Raan Par Rakhte Te.
Ref:* Saheh Muslim,j#01, p#216,AL-Meezan.* Sunan Abi Daud, j#01, p#150,Rehmania.April 29
Ishare k Wakt Ungli Ko Baar Baar Harkat Na Daina:
-> Hazrat Abdullah Bin Zubair r.a Se Riwayat He,Nabi (Sallallahu Alaihe Wasallam) Apni Ungli se Ishara karte Te Or ise Harkat Nai Daite Te..
Ref:*Sunan Nisai, j#01, p#187,
Qadeemi.*Sunan Abi Daud, j#01, p#150, Rehmania.
Tashahudd Me Nazre Shahadat ki Ungli Se Aage Na Barhe:
-> Hazrat Abdullah Bin Zubair (r.a) Se Riwayat He k Onho Ne Nabi Akram (SallallahuAlaihe Wasallam) Ko Namaz Parhte Daika,Aap ki Nazar Ungli k ishare Se Aage Na Jaati Ti.
Ref:*Sunan Abi Daud, j#01, p#150, Rehmania.*Sunan Nisai, j#01, p#173,Qadeemi.
Tashahud Ahista Parhna:
-> Hazrat Abdullah Bin Maso′od (r.a) irshaad He k Sunnat Me Se Ye He k Tashahudd Aahista Parha Jae.
Ref:*Sunan Abi Daud, j#01, p#150,Rehmania.*Jamia Tirmizi, j#01, p#65,Saeed Company.
Farz ki Aakhri 2 Raka’ato Me Surah Fatiha Parhna:
-> Hazrat Abu Qatada (r.a) Se Marwi He k Nabi Akram (Sallallahu Alaihe Wasallam)Zuhar Ki Pehli 2 Rakato Me Surah Fatiha Or 2 Surate Parhte Te, Or Aakhri 2 Rakato Me Sirf Surah Fatiha Parhte Te.
Ref:*Saheh Bukhari, j#01, p#107,
Qadeemi.*Saheh Muslim, j#01, p#185, Al-Meezan.
Qaida Akheera karna:
-> Hazrat Abdullah Bin Masaood (r.a) Farmaate He k Rasool Pak (Sallallahu AlaiheWasallam) Ne Mujhe Darmyan Namaz Or Akhir Me Tashahudd Ki Taleem Di.
Ref:Musnad Ahmed, j#04, p#238,
Hadith#4382.
-> Hazrat Abdullah Bin Umar (r.a) farmaate The Namaz Me Sunnat Ye He k Aap Daaya (Right) Paao Karha Rakhe Or Baaya Paao Bicha De.
Ref:*Saheh Bukhari, j#01, p#114,
Qadeemi.*Sunan Nisai, j#01, p#173,Qadeemi.
** Hazrat Aisha (r.a) Se Riwayat He..Farmaati He k Rasool Paak (Sallallahu Alaihe Wasallam) Namaz Takbeer Se Shuru Karte Or Qira’at “Alhamdulillahe Rabbil Aalaameen” Se Or (Tashahud Me) Apna Baaya Paao Phelate Or Daae Paao ko khara Rakte.
Ref:Saheh Muslim, j#01, p#194, Al-Meezaan.
Kisi Bhi Rukn Me Imam Se Sabqat Na Karna:
-> Hazrat Anas (r.a) farmaate He k Aik Din Rasool Paak (Sallallahu Alaihe Wasallam) Ne Hame Namaz Parhai, jab Namaz Mukammal ki To Hamari Taraf Mutawajje Hue Or Farmaya,A
Logo ! Me Tumhara Imam Hu, Tum Log Roku,Sajda,Qayam Or Namaz Khatam Karne Me Mujh Se Sabqat Na Kia Karo.
Ref:Saheh Muslim, j#01, p#180,
Al-MeezAan.
Namaz ka Ikhtitam Salam Par He:
-> Hazrat Aisha (r.a) farmaati He k Rasool Pak (Sallallahu Alaihe Wasallam) Namaz Takbeer Se Shoru Farmate Or Salam Pe Khatam Karte Te.
Ref:Saheh Muslim, j#01, p#195,
AL-Meezan.
Alfaaz -e- Salam:
-> Hazrat Abdullah Bin Masaood (r.a) Se Riwayat He k Nabi (Alaihe Salaam) Daae Baae Salam Pherte Te, (Or Ye Farmaate Te)
Assalamualikum Warahmatullah,
Assalamualikum Warahmatullah.
Ref:* Jamia Tirmizi, j#01, p#65, Qadeemi.*Sharah Ma’ani Al Aasaar, j#01, p#190, haqqania.
Doran Namaz Aankhe Band Na karna
-> Hazrat Ibne Abbas (r.a) se Marwi He,k Rasool Pak (Sallallahu Alaihe Wasallam) Ne Farmaya Jab Tum Me Se Koi Namaz k Liay karha Ho To Apni Aankhe Band Na Kare…
Ref:Al-Muajjam Al-kabeer Tibrani, j#05,p#247, Hadith#10794.
Imam ka Namaz Mukhtasir Parhaana:
-> Hazrat Abu Huraira (r.a) Se Riwayat He k Rasolullah (Sallallahu Alaihe Wasalam) Ne Farmaya, Jab Tum Me Se Koi Logo ko Namaz Parhae To Mukhtasir Parhae, Q K In Me Kamzor, Bemaar Or Boorhe B Hote He. Haa Jab Koi Akele Namaz Parh Raha Ho To Jitna Lambi Kare Os Ki Marzi….
Ref:*Saheh Bukhari, j#01, p#97,
Qadeemi.*Saheh Muslim, j#01, p#188, Al Meezan.
Imam ka Muqtadio ki Taraf Mutawajje Hona:
Hazrat Samra Bin Jandab (r.a) Se Riwayat He Farmaate He k Nabi Akram Jab Namaz Se Farigh Hote To Hamari Taraf Mutawajje Hote.
Ref:Saheh Bukhari, j#01, p#117, Qadeemi.
-> Hazrat Abu Umama r.a Se Marwi He, k Rasool Paak Se Pocha Gaya k Kon si Dua Sub Se Ziada Qubool Hoti He? To Aap Ne Farmaya,Raat k Aakhir Me Or Farz Namazo k Baad…
Ref:*Jamia Tirmizi, j#02, p#187,
Qadeemi.*Sunan Kubra Nisai, j#06, p#32,Hadith#9936.
(Alhamdulillah Masnoon Namaz Aap k Saamne He, ALLAH Hum Sub ko Sunnat-E-Nabwi K Tareeqe Se Namaz Parhne Or Os Pe
Amal Karne Ki Toufeeq Ata Farmae)
Add comment