Kashf ka Suboot Ahadees se Part 1 (Farishto ka Ghair e Nabi ko Nazar Aana)
Kashf Ki Tareef
Kashf Ki Ta’areef Karte Huwe Ghair Muqallid Aalim Shaik Abdullah Nasir Rehmani Sahaab Likhte Hai Ke :
Kashf Yaani Koi Banda Aisi Baat Sune Jo Kisi Aur Ne Nahi Suni , Ya Aalaam e Paak ya Bedaari Me Kuch Dekhe Jise Kisi Aur Ne Nahi DekhaYa Aisi Ilm Kisi Aur Ke Paas Nahi Hai.
Is Cheez Ko Kashf Kehte Hai. (Aqeedatun Firqatun Naajiya : Safa 335)
Hadees no 1 :
حَدَّثَنَا أَبُو أَحْمَدَ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ، عَنِ الْبَرَاءِ، أَوْ غَيْرِهِ، قَالَ: جَاءَ رَجُلٌ مِنَ الْأَنْصَارِ بِالْعَبَّاسِ قَدْ أَسَرَهُ،فَقَالَ الْعَبَّاسُ: يَا رَسُولَ اللهِ، لَيْسَ هَذَا أَسَرَنِي، أَسَرَنِي رَجُلٌ مِنَ الْقَوْمِ أَنْزِعُ مِنْ هَيْئَتِهِ كَذَا وَكَذَا، فَقَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لِلرَّجُلِ: ” لَقَدْ آزَرَكَ اللهُ بِمَلَكٍ كَرِيمٍ
Sanad :
Imam Ahmed bin Hanbal Rh. — > Abul Ahmed az-Zubaidi Rh. — > Sufiyan Rh. — > Abi Ishaaq Rh. — > Baraa Rdh.
Matan :
Hazrat Baraa Rdh. Wagaira Hazraat Farmaate hai ke Ek Ansaari Sahabi Hazrat Abbas Rdh. Ko Qaid Karke Laaye (Hazrat Abbas Rdh. Ne Us Waqt tak Apna Musalmaan Hona Zaahir nahi Kiya tha, Isliye wo Jang e Badr me Kaafiro ke Saat the) Hazrat Abbas Rdh. Ne Arz kiya :
Ya Rasoolullah SAW Inhone Qaid nahi kiya Balke Mujhe Toh Aise Aadmi ne Qaid kiya hai Jiske Sar ka Shuru ka Hissa Ganja tha aur Uski Shakal wa Surat Aisi aur Aisi thi.
Huzur SAW ne Un Ansaari se Farmaaya : Allah ne Ek Kareem Farishte ke Zariye Tumaari Madad Farmaayi hai.
(Musnad e Ahmed : Jild 14 : Safa 192)
Scan Page :
Sanad ke Raaviyo ka Ta’aruf :
1 – Imam Ahmed bin Hanbal Rh. ke Siqa, Imam aur Hujjat hai.(Taqreeb : Raqm no 96)
2 – Imam Abul Ahmed az-Zubaidi Rh. bhi Siqa aur Mazboot hai.(Taqreeb : Raqm no 6017)
3 – Sufiyan Sauri Rh. Saheehain ke Raavi hai aur Siqa, Hafiz, Imam aur Hujjat hai. (Taqreeb : Raqm no 2445)
4 – Abi Ishaaq Rh. Jinka Pura Naam Amr bin Abdullah Bin Ubaid Rh. hai aur Yeh Saheeh Bukhari aur Saheeh Muslim ke Raavi hai.
Aur Siqa Aabid hai. (Taqreeb : Raqm no 5065)
5 – Baraa bin Aazib Rdh. Mashoor Sahabi aur Bade Fuqaaha me se hai. (Seer Alamun Nubula : Jild 3 : Safa 194)
Barhaal Yeh Riwayat Saheeh aur Qaabil e Aitejaaj hai.
Isi Tarah Yahi riwayat ek Dusre Sanad se bhi Marwi hai Jiski Sanad Darj e zail hai :
حَدَّثَنَا حَجَّاجٌ، حَدَّثَنَا إِسْرَائِيلُ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ، عَنْ حَارِثَةَ بْنِ مُضَرِّبٍ، عَنْ عَلِيٍّ، قَالَ: لَمَّا قَدِمْنَا الْمَدِينَةَ أَصَبْنَا مِنْ ثِمَارِهَا
……
Sanad :
Imam Ahmed bin Hanbal Rh. — > Hajjaaj Rh. — > Israael Rh. — > Abi Ishaq Rh. — > Haarisa bin Mudharrab Rh. — > Ali Rdh.
Matan :
Hazrat Ali Rdh. se marwi riwayat hai ke ……… Hazrat Abbas Rdh. Ne yeh bhi Farmaaye ke (Jo Aadmi ne Mujhe Qaid kiya) Ab wo Mujhe Musalmaano me Nazar Nahi Aaraha.
(Musnad e Ahmed : Jild 2 : Safa 17)
Scan Page :
Sanad ke Raaviyo ka Ta’aruf :
1 – Imam Ahmed bin Hanbal Rh. hai.
2 – Hajjaaj Rh. Jinka Pura Naam Hajjaaj bin Muhammed Al Maseesi Rh. Al Mutawaffa 206 Hij. hai jo Sihaaye Sitta ke Raavi hone ke Saat saat Siqa aur Mazboot hai. (Taqreeb : Raqm no 1135)
3 – Israael bin Yunus bin Ishaq as-Asabi’e Rh. Al Mutawaffa 160 Hij. Hai. Yeh Sihaaye Sitta ke raavi hai aur Siqa hai. (Taqreeb : Raqm no 401)
4 – Abi Ishaaq Rh. Jinka Pura Naam Amr bin Abdullah Bin Ubaid Rh. hai.
5 – Haarisa bin Mudharrab Rh. Jo Sunan e Arba ke Raavi hai aur Siqa hai. (Taqreeb : Raqm no 1063)
6 – Ali Rdh. Mashoor Sahabi aur Ameer ul Momineen hai. (Al Kaashif Liz Zehbi)
Baaqi Raaviyo ke Halaat upar Guzar Chuke.
Algarz Shawaahid ki Binaa se Yeh Hadees Mazeed Mazboot Hojaati hai aur Is Riwayat me hai ke Hazrat Abbas Rdh. Ko Farishte Qaid kiya aur Us Farishte ko Abbas Rdh. Ne Dekha tha Jo ke Ghaibi Umoor me se hai. [Jaisa ke Kashf ki Ta’arif me Guzar chuka]
Aur Yeh Hadees Ghair e Nabi ke Liye Kashf hone ki Daleel hai.
Kashf Wa Karaamat Aur Khulfa e Raasheedin
Kashf Wa Karaamat Khulfa E Rasheedin Se Bhi Saabit Hai..
Kashf Aur Sayyidina Siddiq E Akbar Rdh. :
…
Imam Ghazali Rh. , Hazrat Sayyidina Siddiq E Akbar Rdh. Ka Ek Kashf Naql Karte Huwe Tehreer Karte Hai :
…
Hazrat Abu Bakr Siddiq Rdh. Ne Apni Wafaat Ke Waqt Apni Sahebzaadi Sayyida Hazrat Ayesha Rdh. Se Farmaaya Ke Mere Waaris Tumaare Alaawa Tumaare 2 Bhai Aur 2 Behne Hai (Halaanke Us Waqt Hazrat Ayesha Rdh. Ki Sirf Ek Bahen Hazrat Asma Rdh. Thi) Magar Hazrat Abu Bakr Rdh. Ki Hamal Se Thi Baad Me Unse Ladki Paida Huwi.
…
Isse Maloom Huwa Ke Sayyidina Siddiq E Akbar Rdh. Ko Ba-Taur E Kashf Wa Karaamat Ke Zariye Pehle Hi Maloom Hogaya Tha Ke Bach-Chi Paida Hogi.
…
(Ahya Ul Uloom Lil Ghazali : Jild 3 : Safa 23)
Scan Page :
Sanad E Hind Imam Shah Wali Ullah Rh. Farmaate Hai Ke
…
Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ne Hazrat Ayesha Siddiqa Rdh. Se Farmaaye : Jo Jaaidaad Maine Aapko Di Hai Agar Aap Ne Haasil Karliya Toh Theek Hai Warna Aap Ke Saat Aap Ke 2 Bhai Aur Behne Shareek Honge Yaani Sabko Miraas Me Milegi.
…
Toh Hazrat Ayesha Siddiqa Rdh. Ne Farmaaya Ke Meri Bahen Toh Yahi Asma Hai Dusri Bahen Kaun Si Hai ? Toh Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ne Farmaaya Ke Mai Samjhta Hu Ke Bint E Khaarja (Siddiq E Akbar Ki Aahliya) Ko Ladki Ka Hamal Hai Aur Uske Pait Me Ladki Hai.
…
Shah Wali Ullah Rh. Farmaate Hai Ke Siddiq E Akbar Rdh. Ki Wafaat Ke Baad Hazrat Ayesha Rdh. Ki Bahen Umme Kulsum Paida Huwi.
…
Hazrat Shah Wali Ullah Rh. Ne Is Waqiye Se Kashf Par Istedlaal Kiya Hai , Chunaanche Unwaan Bandhkar Likhte Hai :
…
Yeh Waqiya Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ka Kashf Hai Ke Allah Tala Ne Chupi Huwi Baato Ko Unpar Zaahir Kardiya.
…
(Ezaalatul Khafaa : Jild 3 : Safa 77)
…
Aur Hazrat Abu Bakr Siddiq Rdh. Ka Yeh Waqiya , Imam E Darul Hijrah Imam Malik Rh. Ne Bhi Apni Muwatta Me Naql Kiya Hai. (Muwatta Imam Malik : Jild 2 : Safa 1089 , Safa 2783)
Scan Page :
Kashf Aur Hazrat Umar Farooq Rdh. :
Hazrat Mulla Ali Qari Rh. Farmaate Hai Ke
…
Hazrat Umar Rdh. Ke Min Jumla (Total) Karaamaat Aur Kashf Me Se Wo Waqiya Bhi Hai Jisko Amr Ibn Haaris Rh. Ne Bayaan Kiya Hai , Ke Hazrat Umar Rdh. Ne Jume Ke Khutbe Ke Dauraan Achaanak Khutba Rok Kar Pukaara , Aye Saariya Pahard Ki Taraf Palto. (Mirqaat Ul Mafaateh : Jild 11 : Safa 205)
Scan Page :
Imam Ghazali Rh. Bhi Is Waqiya Se Kashf Par Istedlaal Karte Huwe Farmaate Hai , Chunaanche Likhte Hai :
…
Aur Hazrat Umar Rdh. Ne Darmiyaan E Khutbe Me Farmaaya Ke Aye Saariya Pahard Ki Taraf Palto Aur Yeh Baat Zaahir Hogayi Thi. (Ahya Ul Uloom : Jild 3 : Safa 23)
Scan Page :
Isi Tarah Imam Ibn Ul Qayyim Rh. Ne Is Waqiye Se Kashf Ke Saheeh Hone Par Istedlaal Farmaaya (Kitaab Ur Rooh : Safa 672)
…
Hazrat Umar Farooq Rdh. Ka Ek Aur Kashf
Chand Log Qabile Mazhij Se Hazrat Umar Farooq Rdh. Ke Paas Aaye Unme Ashtar Nakh’ii Bhi Tha , Toh Aapne Ghaur Se (Usko) Upar Se Neeche Tak Dekha Aur Pucha Yeh Kaun Hai Toh Logo Ne Kaha , Yeh Maalik Bin Haaris Hai.
…
Toh Hazrat Umar Rdh. Ne Farmaaya Ke Maalik Bin Haaris Ko Allah Tala Tabaah Kare Ke Mai Uski Wajeh Se Musalmaano Par Bahut Pareshaani Dekhta Hu (Kyunke Yeh Qaatilaan E Usmaan Rdh. Ka Leader Tha).
(Kitaabu Ur Rooh : 672)
Scan Page :
(Tafseer E Qurtubi : Jild 12 : Safa 236)
Scan Page :
Isse Maloom Huwa Ke Aainda Aane Waale Zamaane Me Runumaa Hone Waale Haadse Ke Bare Me Hazrat Umar Rdh. Ko Pehle Allah Tala Ne Ilhaam Aur Kashf Farmaaya Tab Hi Toh Inhone Khabar Di Jo Baad Me 100% Saheeh Saabit Huwi.
Kashf Aur Hazrat Usmaan Rdh. :
Imam Nawawi Rh. , Imam Ibn Ul Qayyim Rh. , Imam Qurtubi Rh. , Imam Ghazali Rh. Aur Imam Raazi Rh. Ne Hazrat Usmaan Rdh. Ka Ek Waqiya Naql Kiya Hai :
…
Hazrat Usmaan Rdh. Ke Paas Ek Aadmi Aaya Jiski Nigaah Raaste Me Kisi Aurat Par Pardgayi Thi Toh Hazrat Usmaan Rdh. Ne Farmaaya :
…
Tumme Se Koi Ek Hamaari Taraf Aata Hai Aur Uske Aankho Me Zinaa Ka Asar Hai , Toh Us Aadmi Ne Kaha Ke Kya Rasoolullah Saw Ke Baad Bhi Wahi Aati Hai ,Toh Hazrat Usmaan Rdh. Ne Farmaaya Nahi Lekin Baseerat Aur Burhaan Aur Sach-Chi Firaasat Hai
…
Yeh Waqiya Mamuli Ikhtelaaf E Lafzi Ke Saat Darj E Zail Kitaabo Me Maujood Hai :
(Bustaan Ul Aarifeen : Safa 388)
Scan Page :
(Kitaab Ur Ruh : Safa 675)
Scan Page :
(Ahya Ul Uloom Ud Deen : Jild 3 : Safa 23-24)
Scan Page :
(Tafseer E Qurtubi : Jild 12 : Safa 236)
Scan Page :
(Tafseer E Kabeer Lir Raazi : Jild 21 : Safa 89)
Scan Page :
Ghaur Farmaaye ! Hazrat Usmaan Rdh. Ko Kaise Pata Chalaa Ke Us Aadmi Ne Raaste Me Ghair Mehram Aurat Ko Dekha Hai , Agarche Dekhna Bilaa Iraada Ho.
…
Hazrat Usmaan Rdh. Aalim Ul Ghaib Nahi The Balke Firaasat Ke Zariye Unpar Yeh Munkashif Hogayi.
Hazrat Ali Rdh. Aur Kashf :
Isi Tarah Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Ne Hazrat Ali Rdh. Ka Ek Waqiya Naql Kiya Hai Farmaate Hai Ke Harsama Bin Salma Rh. Farmaate Hai Ke Hum Hazrat Ali Rdh. Ke Humrah Safar Par Chale , Aap Rdh. Chalkar Karbala Tak Gaye Aur Daraqt Ke Paas Namaz Padhi Aur Waha Ki Zameen Ki Thodi Si Matti Utaayi Aur Usko Soong Kar Irshaad Farmaaya :
…
Afsoos Hai Tujhpar , Aye Matti Ek Aisi Qaum Tujhpar Qatal Ki Jaayegi Jo Be-Ghair Hisaab Ke Jannat Me Jaayegi.
…
Phir Raavi Aage Likhe Hai Ke Baad Me Maine Khud Dekha Ke Us Jagah Par Hazrat Hussain Rdh. Shaheed Kardiye Gaye.
…
(Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 2 : Safa 348)
Scan Page :
Dekhiye ! Hazrat Ali Rdh. Ne Bahut Pehle Se Apne Hazrat Hussain Rdh. Ki Shahaadat Ki Jagah Bataayi Aur Wahi Unki Shahaadat Huwi.
…
Toh Hazrat Ali Rdh. Kya Aalim Ul Ghaib The.
…
Kya Hafiz Ibn Hajar Rh. Ne Aise Naql Karne Ki Wajeh Wo Aur Unki Kitaab Ghair Motabar Aur Shirk Ki Dawaat Deti Hai ?
…
Mazeed Suniye !
…
Kashf Ke Waqiyaat Hazraat E Khulfa E Rasheedin Se Hi Manqool Nahi Balke Bahut Sahaba Rdh. Aur Taba-In Rhm. Se Saabit Hai. Imam Raazi Rh. Farmaate Hai :
…
Tamaam Ke Unke Ahwaal Is Baab Me Bahut Hai. (Tafseer E Kabeer : Jild 21: Safa 75)
Scan Page :
Aur Imam Qurtubi Rh. Likhte Hai Ke
…
Aur Sahaba Rdh. Aur Taba-In E Izaam Rhm. Se Kaseer Ta’adaad Me Maujood Hai. (Tafseer E Qurtubi : Jild 5 : Safa 33)
Scan Page :
Imam Ibn Kaseer Rh. Tehreer Karte Hai Ke
…
Aur Ahadees Aur Aasaar Is (Kashf Wa Karaamat Ke) Baab Me Bahut Hai.
…
(Tafseer Ibn Kaseer : Jild 6 : Safa 229)
Scan Page :
Khulaasa e Kalaam : Kashf Wa Karaamat Ke Mutaalliq Chand Dalaail Zikr Karne Ka Maqsad Yeh Hai Ke Kashf Zaahir Hona Koi Ilm E Ghaib Nahi Hai.
Add comment