Tasbeeh (Praying Beads) ka Istemaal Jayez hai Part 1
(Ahadees par Aiteraazaat ka Jayeza)
Tasbeeh ka Istemaal Jayez hai aur Uske Dalail Darj e Zail hai :
Hadees no 1 :
Hazrat Safiya Rdh. Farmaati Hai Ke Rasoolullah SAW Mere Paas Tashreef Laaye Jo Mere Saamne 4000 Khajoor Ki Gutliya Rakhi Huwi Thi Jinpar Mai Tasbeeh Padh Rahi Thi.
Aap SAW Ne Farmaaya : Huiyya Ki Beti (Safiya Rdh.) ! Yeh Kya Hai ? Maine Arz Kiya Ke In Gutliyo Par Tasbeeh Padh Rahi Hu.
Aap SAW Ne Irshaad Farmaaya : Mai Jab Se Tumaare Paas Aakar Hu Usse Zyaada Padh Chuka Hu.
Maine Arz Kiya : YA Rasoolullah SAW ! Mujhe Sikhaade.
Irshaad Farmaaya :
سُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا خَلَقَ مِنْ شَيْءٍ
Kaho Karo.
Tarjumah : Jo Cheeze Allah Tala Ne Paida Farmaayi Hai, Unki Ta’adaad Ke Baraabar Mai Allah Ki Paaki Bayaan Karti Hu.
(Mustadrak Al Haakim : Jild 1 : Safa 547)
Scan Page :
(Tirmizi : Jild 5 : Safa 555, Hadees no 3554)
Scan Page :
Aiteraaz : Is Riwayat me Haashim Bin Saeed Rh. hai Jo ke Zaeef hai.
Al – Jawaab :
Is riwayat ki Sanad Yu hai.
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ قَالَ: حَدَّثَنَا عَبْدُ الصَّمَدِ بْنُ عَبْدِ الوَارِثِ قَالَ: حَدَّثَنَا هَاشِمٌ وَهُوَ ابْنُ سَعِيدٍ الكُوفِيُّ قَالَ: حَدَّثَنِي كِنَانَةُ، مَوْلَى صَفِيَّةَ قَالَ: سَمِعْتُ صَفِيَّةَ، تَقُولُ: دَخَلَ عَلَيَّ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَبَيْنَ يَدَيَّ أَرْبَعَةُ آلَافِ نَوَاةٍ أُسَبِّحُ بِهَا، قَالَ: «لَقَدْ سَبَّحْتِ بِهَذِهِ، أَلَا أُعَلِّمُكِ بِأَكْثَرَ مِمَّا سَبَّحْتِ؟» فَقُلْتُ: بَلَى عَلِّمْنِي. فَقَالَ: ” قُولِي: سُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ خَلْقِهِ “
Imam Tirmizi Rh. –> Muhammed Bin Bash-shaar Rh. –> Abdul Samad Bin Abdul Waaris Rh. –> Haashim bin Saeed Rh. –> Kinaanah Rh. –> Hazrat Safiya Rdh. –> Rasoolullah SAW.
(Tirmizi : Jild 5 : Safa 555, Hadees no 3554)
Scan Page :
Agarche Is Sanad me Haashim Bin Saeed Rh. Zaeef hai Lekin Yahi Riwayat Ek aur Sanad se Aayi hai Jo ke Darj e Zail hai :
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عُثْمَانَ بْنِ أَبِي شَيْبَةَ، ثنا أَبِي قَالَ: وَحَدَّثَ فِي كِتَابِ أَبِي بِخَطِّهِ، ثنا مُسْتَلِمُ بْنُ سَعِيدٍ، عَنْ مَنْصُورِ بْنِ زَاذَانَ، عَنْ يَزِيدَ يَعْنِي ابْنَ مُعَتِّبٍ، مَوْلَى صَفِيَّةَ بِنْتِ حُيَيٍّ عَنْ صَفِيَّةَ بِنْتِ حُيَيٍّ، رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مَرَّ عَلَيْهَا وَبَيْنَ يَدَيْهَا كَوْمٌ مِنْ نَوًى فَسَأَلَهَا: «مَا هَذَا؟» فَقَالَتْ: أُسَبِّحُ بِهِ يَا رَسُولَ اللَّهِ، فَقَالَ لَهَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَقَدْ سَبَّحْتُ مُنْذُ قُمْتُ عَلَيْكِ أَكْثَرَ مِنْ كُلِّ شَيْءٍ، سَبَّحْتُ فَقُلْتُ» كَيْفَ قُلْتَ: قَالَ: «قُلْتُ سُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا خَلَقَ»
Imam Tabraani Rh. –> Muhammed Bin Usmaan Ibn Abi Shaiba Rh. –> Apne Waalid Rh. –> Mustalim Bin Saeed Rh. –>Mansoor Ibn Zaadaan Rh. –> Yazeed Ibn Mu’attab Rh. –> Safiya Rdh. –> Rasoolullah SAW.
(Dua ut Tabraani : Safa 1585-1586, Hadees no 1470)
Scan Page :
Is Sanad me Haashim ne Saeed Rh. ki Mutaabiyat Mansoor Ibn Zaadaan Rh. Kar rahe hai aur Unke Baare me
1 – Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Farmaate hai ke
Siqa hai, Hujjat hai aur Ibaadat Guzaar hai. (Taqreeb : Raqm no 6946)
Scan Page :
2 – Imam Zehbi Rh. Farmaate hai ke Siqa hai, Badi Shaan Waale hai. (Al Kaashif : Raqm no 5639)
Scan Page :
Neez Unko
3 – Imam Abu Haatim Rh.
4 – Imam Ahmed Bin Hanbal Rh.
5 – Imam Muhammed Bin Sa’ad Rh.
6 – Imam Ibn Hibban Rh.
7 – Imam Ibn Maeen Rh.
8 – Imam Nasaai Rh. ne SIQA Qaraar Diya hai. (Tehzeeb ul Kamaal, Tehzeeb ut Tehzeeb)
Lehaaza Tirmizi Waali Riwayat me Jo Raavi Haashim Bin Saeed hai Unpar Zo’f ka Ilzaam IS RIWAYAT me Khatam hojaata hai.
Kyunke Unki Mutaabiyat Mansoor Ibn Zaadaan Rh. (SIQA) Kar Rahe hai.
Note : Is Hadees me bhi ghutliyo par Zikr Karne ke Alfaaz Maujood hai.
Lehaaza Is Riwayat ko Zaeef Kehna Saheeh Nahi hai.
Al – Jawaab no 2 :
Is Hadees ki shahid bhi Maujood hai Jo ke Abu Dawud me hai ke
Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqas Rdh. Se Riwayat Hai Ke Mai Rasoolullah SAW Ke Saat Ek Sahabiya Rdh. Ke Paas Gaya Jinke Saamne Ghutliya Ya Kankariya Rakhi Huwi Thi.
Wo Unpar Tasbeeh Pardh Rahi Thi.
Aap SAW Ne Irshaad Farmaaya : Kya Tumko Aise Kalimaat Na Bataao Jo Tumaare Liye Is Amal Se Zyaada Aasaan Hai ? Phir Aap SAW ne Kalimaat Bataaye hai. (Iska Mukammal Matan Hadees no 2 ke Zail me Dekhle)
(Abu Dawud : Jild 2 : Safa 115 , Hadees no 1500)
(Tirmizi : Jild 5 : Safa 562-563, Hadees no 3568)
(Sunan e Kubra Lin Nasaai : Jild 9 : Safa 73, Hadees no 9922)
Scan Page : Abu Dawud
Agarche is Riwayat me Khuzaima Jo Hazrat Ayesha Bint Sa’ad Rh. se Riwayat Kar rahe hai Majhool hai Lekin Majhool ki Riwayat Muta’abiyat me Pesh Ki Jaasakti hai.
Aur Aisi Hadees ko Hasan Lighairhi Kehte hai.
Aur Aisi hadees se Istedlaal Durust hai.Chunaanche Imam Suyuti rh. Likhte hai ke
Zaeef Riwayat Agar 2 Tareeqo Se Waarid Ho Toh Usse Aitejaaj Karna Durust Hai. (Tadreeb ur Raavi : Jild 1 : Safa 174)
Scan Page :
Mazeed Hasan Lighairhi se Istedlaal Us Surat me bhi Durust hai Jab tak uske Khilaaf Koi Saheeh Hadees Maujood nahi hai.
Aur Tasbeeh par Zikr Karne Ki Mumaniyat (Prohibition) Kisi Saheeh hadees nahi hai.
Wallahu A’alam.
Al – Jawaab no 3 :
Ba-qaul e Ghair Muqallideen, Agar Is hadees ko Zaeef Tasleem Karliya Jaaye ( Agarche Yeh Mutaabiyat aur Shuwaahid ki Wajeh se Saheeh wa Hasan hai).
Toh bhi Yeh hadees Saheeh hai
Kyunke Jab Kisi Zaeef Hadees par Ummat ka Amal ho toh wo hadees saheeh hojaati hai.
Jiski Tafseel Humne Pehle Bayaan ki hai.
aur Is Hadees par Sahaba Rizwanallaahi Ta’ala Alahim Majmain aur Tabain e Izaam Rhm. Ka Amal hai.
Lehaaza Yeh hadees Is Wajeh se bhi Qaabil e Amal Banjaati hai.
Wal-Alhamdullilah.
Mazeed Is Hadees ki Sehat ko Kayi Muhaddiseen ne Tasleem Kiya hai. Masalan,
1 – Imam Haakim Rh.
2 – Imam Zehbi Rh.
3 – Imam Suyuti Rh. ne is hadees ko SAHEEH Kaha hai.(Mustadrak Al Haakim : Jild 1 : Safa 547, Al Mustadrak Ma’a At Talkhees liz Zehbi : Jild 1 : Safa 547, Al Haawi Lil Fatawa : Jild 2 : Safa 2)
Scan Page : Mustadrak Al Haakim
Scan Page : Mustadrak Ma’a At Talkhees liz Zehbi
Scan Page : Al Haawi Lil Fatawa
Aur Is Hadees se Istedlaal kiya (Daleel Pakdi) hai
4 – Imam Ibn Hajar Haismi Rh. ne (Al Fatawa ul Faqi al Kubra Li Ibn Hajar : Jild 1 : Safa 152) me
Aur
5 – Imam Sharfuddin Khaleeli Rh. Al Mutawaffa 1141 Hij. Ne(Fatawa Khaleeli : Jild 2 : Safa 296) me.
Scan Page : Fatawa Khaleeli
6 – Imam Tirmizi Rh. ne Is hadees ko Ghareeb Qaraar diya hai.(Tirmizi : Jild 5 : Safa 555)
Scan Page :
7 – Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. ne Is Hadees ko Hasan Qaraar Diya hai. (Nataaij ul Afkaar : Jild 1 : Safa 82)
Scan Page :
Algarz Jab Is Hadees ke Mutaabiyat, Shahid aur Ummat ka Amal Maujood hai aur Is Riwayat ko Bade Bade Muhaddiseen Imam Haakim, Imam Zehbi, Imam Ibn Hajar, Imam Suyuti rh. Wagaira ne Isko Saheeh wa Hasan Qaraar diya hai.
Toh Ghair Muqallideen ke paas Is Hadees par Amal Na karne ki kya wajah hai ?
Hadees no 2 : Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqas Rdh. Se Riwayat Hai Ke Mai Rasoolullah SAW Ke Saat Ek Sahabiya Rdh. Ke Paas Gaya Jinke Saamne Ghutliya Ya Kankariya Rakhi Huwi Thi.
Wo Unpar Tasbeeh Padh Rahi Thi.
Aap SAW Ne Irshaad Farmaaya : Kya Tumko Aise Kalimaat Na Bataao Jo Tumaare Liye Is Amal Se Zyaada Aasaan Hai ?
(Uske) Yeh Kalimaat Bataaye :
سُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا خَلَقَ فِي السَّمَاءِ، وَسُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا خَلَقَ فِي الْأَرْضِ، وَسُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا خَلَقَ بَيْنَ ذَلِكَ، وَسُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا هُوَ خَالِقٌ،
Tarjumah : Mai Allah Tala Ki Tasbeeh Bayaan Karta Hu Un Tamaam Cheezo Ki Ta’adaad Ke Baraabar Jo Usne Aasmaan Me Paida Farmaaye Hai, Mai Allah Tala Ki Tasbeeh Bayaan Karta Hu Un Tamaam Cheezo Ki Ta’adaad Ke Baraabar Jo Usne Zameen Me Paida Farmaaye Hai, Mai Allah Tala Ki Tasbeeh Bayaan Karta Hu Un Tamaam Cheezo Ki Ta’adaad Ke Baraabar Jo Usne Aasmaan Aur Zameen Ke Darmiyaan Paida Farmaaye Hai, Mai Allah Tala Ki Tasbeeh Bayaan Karta Hu Un Tamaam Cheezo Ki Ta’adaad Ke Baraabar Jo Allah Tala Aainda Paida Farmaane Waala Hai.
Phir Farmaaya : اللَّهُ أَكْبَرُ Isi Tarah, الْحَمْدُ لِلَّهِ Isi Tarah Aur لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ Ko Bhi Isi Tarah Padho Yaani In Kalimaat Ke Saat Bhi Aakheer Me
عَدَدَ مَا خَلَقَ فِي السَّمَاءِ
عَدَدَ مَا خَلَقَ فِي الْأَرْضِ
عَدَدَ مَا خَلَقَ بَيْنَ ذَلِكَ
عَدَدَ مَا هُوَ خَالِقٌ
Mila Do.
(Abu Dawud : Jild 2 : Safa 115)
(Mustadrak Al Haakim : Jild 1 : Safa 547)
Scan Page :
Scan Page : Mustadrak Al Haakim
Note : Is Riwayat me Khuzaima Rh. me (Jo ke Khair ul quroon ke Raavi hai ) Majhool hai.
Lekin Ahnaaf ke Nazdeek Khair ul Quroon ki Raavi ki Jehalat se riwayat par Koi Farq Nahi Pardta aur wo riwayat Maqbool Hoti hai. (Elaa us Sunan : Jild 4 : Safa 341)
Mazeed Iske Shahid Maujood hai aur wo Hazrat Safiya Rdh. Ki Riwayat hai Jo ke Humne Hadees no 1 ke Zail me Zikr ki hai.
aur 2 Sanado ki Binaa par Yeh Hadees Hasan Lighairhi Banjaati hai, Jisse Istedlaal Bilkul Durust hota hai Jiski Tafseel Humne Upar Zikr Ki hai.
Aur Is hadees ko Bhi Kayi Muhaddiseen ne Qubool kiya hai.Masalan
1 – Imam Haakim Rh. ne Is Hadees ko Saheeh Qaraar diya hai.(Mustadrak Al Haakim : Jild 1 : Safa 547)
Scan Page :
2 – Imam Zehbi Rh. ne bhi is hadees ko Saheeh Kaha hai. (Al Mustadrak Ma’a At Talkhees liz Zehbi : Jild 1 : Safa 547)
Scan Page :
Mazeed Is Hadees se Istedlaal kiya
3 – Imam Suyuti Rh. ne (Al Haawi Lil Fatawa : Jild 2 : Safa 2)
Scan Page :
4 – Imam Tirmizi Rh. ne Is hadees ko Hasan e Ghareeb Qaraar diya hai. (Tirmizi : Jild 5 : Safa 562-563, Hadees no 3568)
Scan Page :
5 – Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. ne Is Hadees ko HasanQaraar Diya hai. (Nataaij ul Afkaar : Jild 1 : Safa 80-81)
Scan Page :
6 – Imam Ziauddin Maqdasi Rh. ne Usi Apni Kitaab Al Hadees ul Mukhtaara Laakar Saheeh wa Hasan Qaraar Diya hai. (Al Hadees ul Mukhtaara : Jild 3 : Safa 209)
Scan Page :
7 – Imam Munziri Rh. ne Bhi Imam Tirmizi Rh., Imam Haakim Rh. ne Taseeh ko Naql Ki hai Jisse Maloom hota hai ke Wo Bhi Is Hadees ke Hasan Maante hai. (At- Targheeb Wat Tarheeb : Jild 2 : Safa 252)
Scan Page :
8 – Imam Nawawi Rh. ne bhi Imam Tirmizi Rh. ki Taseeh Naql ki hai. (Kitaab ul Azkaar :Safa 52-53, Hadees no 28)
Scan Page :
9 – Imam Abu Dawud Rh. ne Bhi is Hadees par Sukoot Ikhtiyaar Kiya hai Jo ke Sehat ki Daleel hai. (Sunan e Abi Dawud : Jild 2 : Safa 115, Hadees no 1500)
Scan Page :
10 – Imam Ibn e Taimiya Rh. ne bhi Imam Tirmizi rh. ki Taseeh ko Naql kiya hai. (Al Kalaam ut Teeb)
Jisse Maloom Hota hai ke Unke Nazdeek bhi Yeh Hadees Motabar hai.
Alhamdulillah, Baat Waazeh hogayi ke Yeh Hadees se Daleel Pakdi Jaasakti hai aur Maloom huwa hai ke Tasbeeh ka Istemaal Jayez hai.
Tasbeeh (Praying Beads) ka Istemaal Jayez hai Part 2 (Salaf se bhi Tasbeeh ka Istemaal Saabit hai)
Jab Kisi Zaeef Hadees par Ummat ka Amal ho toh wo Saheeh Hojaati hai.
ulamaehaqulamaedeoband.wordpress.com/2014/07/11/jab-zaeef-hadees-par-ummat-ka-amal-ho-toh-wo-hadees-saheeh-hojaati-hai/
Tasbeeh ke Jayez Hone par Qaabil e Istedlaal Riwayaat Maujood hai, Jo ke Daleel me Pesh Karne ke Liye Kaafi hai Lekin In Ahadees ko Mazeed Quwat Is baat se Bhi Pahunchti hai ke Ummat ke Salaf-o-Saleheen bhi Kasrat se Zikr Karne ki Wajeh se Tasbeeh ka Istemaal Karte the Jo ke Darj e Zail hai :
1 –
وَفِي جُزْءِ هِلَالٍ الْحَفَّارِ، وَمُعْجَمِ الصَّحَابَةِ لِلْبَغَوِيِّ، وَتَارِيخِ ابن عساكر مِنْ طَرِيقِ مُعْتَمِرِ بْنِ سُلَيْمَانَ عَنْ أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ عَنْ جَدِّهِ بقية، عَنْ أبي صفية مولى النبي صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنَّهُ كَانَ
يُوضَعُ لَهُ نِطَعٌ، وَيُجَاءُ بِزِنْبِيلٍ فِيهِ حَصًى فَيُسَبِّحُ بِهِ إِلَى نِصْفِ النَّهَارِ، ثُمَّ يُرْفَعُ فَإِذَا صَلَّى الْأُولَى أَتَى بِهِ، فَيُسَبِّحُ بِهِ حَتَّى يُمْسِيَ.
Abu Safiya Rdh. Se Marwi hai ke Unke Liye Ek Chapde ki Khaal Bichaayi Jaati thi aur Ek Zambeel (Thaili) Laayi Jaati thi Jisme Kankariya (Hoti) thi Toh Wo Uspar Aadhe Din tak Tasbeeh Padhte the Phir Utaali Jaati, Phir Zohar ki Namaz Padhlete (Phir wo) Laayi Jaati aur Uspar Shaam tak Tasbeeh Padhte the.
(Taarekh Ibn Asaakir : Jild 4 : Safa 293)
Scan Page :
2 –
قَالَ: أَخْبَرَنَا عَفَّانُ بْنُ مُسْلِمٍ قَالَ: حَدَّثَنَا عَبْدُ الْوَاحِدِ بْنُ زِيَادٍ قَالَ: حَدَّثَنَا يُونُسُ بْنُ عُبَيْدٍ عَنْ أُمِّهِ قَالَتْ: رَأَيْتُ أَبَا صَفِيَّةَ رَجُلا مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ –
قَالَتْ: كَانَ جَارَنَا هاهنا فَكَانَ إِذَا أَصْبَحَ يُسَبِّحُ بِالْحَصَى وَالنَّوَى
Abu Safiya Rdh. Jo Ashaab E Muhammed SAW me se hai Tasbeeh Kankariyo Par Padhte The. (Tabqaat Ibn Sa’ad : Jild 7 : Safa 43, Darul Kutub Ilmiya Beirut Edition)
3 –
وَأَخْرَجَ ابن سعد عَنْ حكيم بن الديلي أَنَّ سَعْدَ بْنَ أَبِي وَقَّاصٍ كَانَ يُسَبِّحُ بِالْحَصَى.
Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqas Rdh. Tasbeeh Kankariyo Par Padhte The. (Tabqaat Ibn Sa’ad : Jild 3 : Safa 133)
Scan Page :
4 –
وَأَخْرَجَ ابْنُ أَبِي شَيْبَةَ فِي الْمُصَنَّفِ عَنْ مَوْلَاةٍ لسعد، أَنَّ سعدا كَانَ يُسَبِّحُ بِالْحَصَى، أَوِ النَّوَى،
Hazrat Sa’ad Rdh. Tasbeeh Kankariyo Ya Ghutliyo Par Padhte The. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 5 : Safa 217, Hadees no 7740,7741)
Scan Page :
5 –
وَأَخْرَجَ ابن سعد عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ أَنَّهُ كَانَ يُسَبِّحُ بِالنَّوَى الْمُجَزَّعِ،
Abu Huraira Rdh. Tasbeeh Ragdi Huwi Ghutliyo Par Padhte The.
(Tabqaat Ibn Sa’ad : Jild 5 : Safa 247)
Scan Page :
6 –
حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ جَعْفَرِ بْنِ حَمْدَانَ، ثَنَا عَبْدُ اللهِ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ حَنْبَلٍ، ثنا الْحَسَنُ بْنُ الصَّبَّاحِ، ثَنَا زَيْدُ بْنُ الْحُبَابِ، عَنْ عَبْدِ الْوَاحِدِ بْنِ مُوسَى، قَالَ: أَخْبَرَنِي نُعَيْمُ بْنُ الْمُحَرَّرِ بْنِ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنْ جَدِّهِ أَبِي هُرَيْرَةَ، «أَنَّهُ كَانَ لَهُ خَيْطٌ فِيهِ أَلْفَا عُقْدَةٍ، فَلَا يَنَامُ حَتَّى يُسَبِّحَ بِهِ»
Hazrat Abu Hurairah Rdh. Se Marwi Hai Ke Unke Paas Ek Dhaaga Tha Jisme 1000 Ghitiya Thi Wo Uspar Tasbeeh Padhe Beghair (Padhe) Nahi Sote The. (Tabqaat ul Auliya : Jild 1: Safa 383)
Scan Page :
7 –
وَأَخْرَجَ أحمد فِي الزُّهْدِ، ثَنَا مسكين بن نكير، أَنَا ثابت بن عجلان عَنِ القاسم بن عبد الرحمن قَالَ: كَانَ لِأَبِي الدَّرْدَاءِ نَوًى مِنْ نَوَى الْعَجْوَةِ فِي كِيسٍ فَكَانَ إِذَا صَلَّى الْغَدَاةَ أَخْرَجَهُنَّ وَاحِدَةً وَاحِدَةً يُسَبِّحُ بِهِنَّ حَتَّى يَنْفَدْنَ.
Hazrat Abu Darda Rdh. Ke Paas Ek Basta Tha Jisme Khajoor Ki Ghutliya Thi Aur Jab Aap Rdh. Dopehar Ki Namaz Se Faarigh Hote Toh Wo Usko Nikalte Aur Uspar Ek Ke Baad Ek Tasbeeh Padhte, Hatta Ke Wo (Ghutliya) Khatam Hojaati. (Az Zuhd Lil Imam Ahmed : Safa 175)
Scan Page :
8 –
وَأَخْرَجَ ابْنُ أَبِي شَيْبَةَ عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ أَنَّهُ كَانَ يُسَبِّحُ بِالْحَصَى
Hazrat Abu Saeed Khudri Rdh. Tasbeeh Kankariyo Par Padhte The. (Musannaf Ibn Abi shaiba , Bahawala Al Haawi Lil Fatawa : Jild 2 : Safa 3)
Scan Page :
9 –
وَأَخْرَجَ مِنْ طَرِيقِ أبي نضرة عَنْ رَجُلٍ مِنَ الطُّفَاوَةِ، قَالَ: نَزَلْتُ عَلَى إبراهيم وَمَعَهُ كِيسٌ فِيهِ حَصًى أَوْ نَوًى فَيُسَبِّحُ بِهِ حَتَّى يَنْفَدَ.
Tufawa Ke Ek Aadmi Se Manqool Hai Ke Unhone Farmaaya Ke Mai Abu Hurairah Rdh. Ka Mehmaan Bana Aur Unke Paas Ek Thaili Thi Jisme Kankariya Ya Ghutliya The aur wo (Uspar) Subhanallah Subhan Allah Kehte the Yaha tak ke wo Khatam Hojaate. (Musannaf Ibn Abi shaiba : Jild 5 : Safa 217, Hadees no 7743)
Scan Page :
10 –
وَأَخْرَجَ عَنْ زَاذَانَ قَالَ: أَخَذْتُ مِنْ أُمِّ يعفور تَسَابِيحَ لَهَا فَلَمَّا أَتَيْتُ عليا قَالَ: ارْدُدْ عَلَى أم يعفور تَسَابِيحَهَا.
Zadaan Rh. Se Manqool Hai Ke Unhone Kaha Ke Mai Umme Yafoor Rh. Se Unki Tasbeeh Ko Leliya Phir Mai Jab Hazrat Ali Rdh. Ke Paas Aaya Toh Unhone Farmaaya Ke Umme Yafoor Rh. Ki Tasbeeh Ko Lautaa Do. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 5 : Safa 218)
Scan Page :
11 – Imam Ibn Mundah Asbahaani Rh. Farmaate hai ke
أَبُو صَدَقَة: من الْمُهَاجِرين أَنه كَانَ يسبح بالنوى
Abu Sadaqa Rdh. Jo ke Muhajireen me se The wo Tasbeeh Gutliyo par Padhte the.
(Fathul Baab Li Ibn Mundah : Safa 441)
Scan Page :
12 –
وَقَالَ ابن سعد فِي الطَّبَقَاتِ: أَنَا عُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ مُوسَى، أَنَا إسرائيل عَنْ جابر عَنِ امْرَأَةٍ حَدَّثَتْهُ عَنْ فاطمة بنت الحسين بن علي بن أبي طالب، أَنَّهَا كَانَتْ تُسَبِّحُ بِخَيْطٍ مَعْقُودٍ فِيهَا.
Hazrat Fatima Bint Hussain Rh. Tasbeeh Ek Daange Jispar Gheetiya Hote Uspar Padhti Thi.
(Tabqaat Ibn Sa’ad : Jild 10 : Safa 440)
Scan Page :
13 –
كَانَ فِي يَدِ أَبِي مُسْلِمٍ الْخَوْلَانِيِّ سُبْحَةٌ يُسَبِّحُ بِهَا
Abu Muslim Khaulaani Rh. Ke Haat me Tasbeeh Hoti Thi Jispar Tasbeeh Padhte The. (Taarekh Ibn Asaakir : Jild 27 : Safa 217)
Scan Page :
Note : Yeh Wo hasti hai Jinko Imam Zehbi Rh. Sayyid ut Taba-in ke Laqab se Yaad Karte hai. (Seer Alamun Nubula : Jild 4 : Safa 7)
14 – Imam Yahiya Bin Saeed Al Qattan Rh. Ke Paas Tasbeeh (Kapde Me) Maujood Hoti Thi, Toh Apne Haat Uske Kapde Me Daaqil Karte The Aur Tasbeeh Padhte The.
(Seer Alamun Nubula : Jild 9 : Safa 180)
Scan Page :
15 – Wo (Imam Ibn Hajar Asqalaani) Rh. Jamaat Ke Saat (Namaz E) Isha Ya Uske Alaawa (Kisi Namaz Ke ) Baad Muzaakire Ke Liye Bait-Te Toh Unke Aasteen Me Tasbeeh Hoti Thi Jisko Koi Dekh Nahi Paata Tha.
Aur Usko Mustaqil Ghumaate Rehte The Tasbeeh Padhte Huwe Ya Aksar Auqaat.
Aur Kabhi Unke Aasteen Wo (Tasbeeh) Girjaati Thi.
(Al Jawaahir Wad Durar : Safa 171)
Scan Page :
16 – Imam Ibn Taimiya Rh. Farmaate Hai
وَكَانَ مِنْ الصَّحَابَةِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ مَنْ يَفْعَلُ ذَلِكَ وَقَدْ رَأَى النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أُمَّ الْمُؤْمِنِينَ تُسَبِّحُ بِالْحَصَى وَأَقَرَّهَا عَلَى ذَلِكَ وَرُوِيَ أَنَّ أَبَا هُرَيْرَةَ كَانَ يُسَبِّحُ بِهِ.
Ke Aur Barhaal Zikr Karna Ghutiyo Aur Kankariyo Aur Us Jaisi Cheez Par Behtar Hai.
Baaz Sahaba Rdhm. Is Tarah Kiya Karte The Aur Nabi SAW Ne Ummul Momineen Ko Kankariyo Par Tasbeeh Padhte Huwe Dekha Aur Uspar Khamoshi Ikhtiyaar Kiya Aur Hazrat Abu Hurairah Rdh. Ke Bare Me Bhi Manqool Hai Ke Wo Bhi Kankariyo Ka Tasbeeh Padha Karte The.
(Majmu Al Fatawa : Jild 22 : Safa 506)
Scan Page :
17 – Imam Al Hafiz Al Muhaddis Mulla Ali Qari Rh. Farmaate hai ke
Hazrat Abu Hurairah Rdh. Se Marwi Hai Ke Unke Paas Ek Dhaaga Tha Jisme 1000 Ghitiya Thi Wo Uspar Tasbeeh Padhe Beghair Nahi Sote The.
Aur Ek Riwayat Me Hai Ke Hazrat Abu Hurairah Rdh. Ghutliyo Par Tasbeeh Padhte The.
Imam Ibn Hajar Rh. Farmaate Hai Ke Ghutliyo Aur Kankariyo Par Tasbeeh Padhne Ki Sahaba Rdh. Se Bahut Se Riwayaat Se Marwi Aur Baaz Ummahatul Momineen Se Bhi.
Balke Rasoolullah SAW Ne Dekha Aur Uspar Khamoshi Ikhtiyaar Ki.
Kaha Gaya Ke Ungliyo Par Padhna Tasbeeh Par Pardhne Se Afzal Hai Aur Yeh Bhi Manqool Hai Ke Agar (Ginti) Me Ghalti Se Bachsakta Hai Toh Ungliyo Par Behtar Warna Tasbeeh Par Padhna Behtar Hai.
(Mirqaat Sharah Mishkaat : Jild 3 : Safa 43)
Scan Page :
18 –
وَلَمْ يُنْقَلْ عَنْ أَحَدٍ مِنَ السَّلَفِ وَلَا مِنَ الْخَلَفِ الْمَنْعُ مِنْ جَوَازِ عَدِّ الذِّكْرِ بِالسُّبْحَةِ، بَلْ كَانَ أَكْثَرُهُمْ يَعُدُّونَهُ بِهَا وَلَا يَرَوْنَ ذَلِكَ مَكْرُوهًا،
Imam Suyuti Farmaate hai ke Salaf Aur Unke Baad Ke Logo Me Kisi Se Tasbeeh Par Zikr Karne Ka Na Jayez Hona Manqool Nahi Hai.
Balke Unme Se Aksar Log Apne Zikr Tasbeeh Se Shumaar Karte The Aur Usko Makrooh Nahi Samjhte The.
(Al Haawi Lis Suyuti : Jild 2 : Safa 5)
Scan Page :
19 – Imam Ibn Hajar Rh. Farmaate Hai Ke Ghutliyo Aur Kankariyo Par Tasbeeh Padhne Ki Sahaba Rdh. Se Bahut Se Riwayaat Se Marwi Aur Baaz Ummahatul Momineen Se Bhi.
(Mirqaat Sharah Mishkaat : Jild 3 : Safa 43)
Scan Page :
Mazeed Suniye !
Imam Suyuti ne Apne Kitaab Al Haawi Lil Fatawa Tasbeeh Ka Istemaal Darj E Zail Logo se Bhi Saabit kiya hai.
20 – Abu Darda Uwe’mir Rdh.
21 – Khalid Bin Ma’ad Rh.
22 – Shaik Abul Ghaffaar Kakesh Rh.
23 – Imam Abu Abdullah Muhammed Ibn Abi Bakr Bin Abdullah Rh.
24 – Imam Abul Muzaffar Yusuf Bin Muhammed Bin Masood Tirmizi Rh.
25 – Imam Abdus Samad Bin Ahmed Bin Abdul Qaadir Rh.
26 – Imam Abu Muhammed Yusuf Bin Abil Farj Abdur Rehman Bin Abdullah Bin Ahmed Samarqandi Rh.
27 – Imam Abu Bakr Muhammed Bin Ali As Sulami Rh.
28 – Imam Abu Nasr Abdul Wahab Bin Abdullah Bin Omer Al Muqri Rh.
29 – Imam Abul Hasan Bin Ali Bin Hasan Bin Abul Qaasim Rh.
30 – Abul Hasan Maliki Rh.
31 – Sari Bin Mughallas As Saqati Rh.
32 – Imam Karkhi Rh.
33 – Bishar Haafi Rh.
34 – Hasan Al Basri Rh. (Al Haawi Lil Fatawa : Jild 2 : Safa 4-5)
Scan Page :
Qaa-rieen ! Aapne Padha ke Salaf-o-Saleheen ki Badi Ta’adaat Tasbeeh ka Istemaal Karte Aarahi hai Balke Imam Suyuti Rh. Farmaate hai ke Salaf Aur Unke Baad Ke Logo Me Kisi Se Tasbeeh Par Zikr Karne Ka Na-Jayez Hona Manqool Nahi Hai.
Jaisa ke Upar Guzarchuka, Lekin Ab Bhi Koi Yeh Kahe ke Tasbeeh ka Istemaal Durust nahi hai Toh wo Shaks Apni Kam Ilmi ka Saboot Deraha hai Kyunke Ahadees aur Salaf se Iska Istemaal Saabit hai.
Wallahu Alam.
Kya Tasbeeh ka Istemaal Bid’at hai ? (Ghair Muqallideen ki Pesh Karda Riwayat ka Jawaab)
Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Yeh Nazariya Hai Ke Tasbeeh Ka Istemaal Jayez Hai Lekin Ghair Muqallideen Naam Nihaad Ahle Hadees Firqa Ka Kaam Ummat Me Ikhtelaaf Paida Karna, Lehaaza Unka Kehna Hai Ke Tasbeeh Ka Istemaal Jayez Nahi Hai.
Balke Baaz Juhaala Ka Kehna Hai Ke Tasbeeh Ka Istemaal Bid’at Hai Aur Un Hazraat Ka Ki Daleel Yeh Hai :
Jiska Khulaasa Yeh Hai Ke Hazrat Ibn Masood Rdh. Ne Ek Jamaat Ko Dekha Jo Fajar Se Pehle Halqo Me Baithe, Namaz Ke Intezaar Me Aur Unke Haat Me Kankariya Hai Aur Wo Allah Ka Zikr Kar Rahe Hai.
Aur Hazrat Ibn Masood Rdh. Ne Unke Is Tariqe Ko Gooya Biddat Qaraar Diya Hai. (Sunan E Darmi : Hadees No 210, Darul Mughni KSA Edition)
Al – Jawaab :
Is Hadees Ki Sanad Is Tarah Hai :
أَخْبَرَنَا الْحَكَمُ بْنُ الْمُبَارَكِ، أَنبَأَنَا عَمْرُو بْنُ يَحْيَى، قَالَ: سَمِعْتُ أَبِي، يُحَدِّثُ، عَنْ أَبِيهِ قَالَ: كُنَّا نَجْلِسُ عَلَى بَابِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مَسْعُودٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ
(Sunan E Darmi : Safa 286, Hadees No 210)
Scan Page :
Tawajjo Farmaaye ! Al Hakam Ibn Ul Mubarak Se Riwayat Karne Waale Amr Bin Yahiya Rh. Hai.
Unko Aimma Ne Zaeef Balke Ibn Abi Yahiya Rh. Ne Unhe Kazzaab Bhi Qaraar Diya Hai.
Aimma ke Aqwaal Darj e Zail :
1 – Imam Ibn Maeen Rh. Farmaate Hai Ke Yeh Kuch Nahi Hai Aur Maine Uski Hadeeso Ko Dekha Hai. (Al Kaamil Li Ibn A’adi : Jild 6 : Safa 215, Mizaan Ul Aitedaal : Jild 5 : Safa 232, Lizaan Ul Mizaan : Jild 6 : Safa 232)
Scan Page : Al Kaamil Li Ibn A’adi
Scan Page : Mizaan Ul Aitedaal
Scan Page : Lizaan Ul Mizaan
2 – Lais Ibn Abda Naql Karte Hai Ke Maine Imam Ibn Maeen Rh. Ko Farmaate Huwe Suna Ke Mai Usse Khush Nahi Hu. (Al Kaamil Li Ibn A’adi : Jild 6 : Safa 215)
Yaani Usse Riwayat se Mai Khush Nahi hai.
Scan Page :
3 – Imam Ibn Kharaash Rh. Farmaate Hai Ke Wo Pasandida Nahi Hai. (Lizaan Ul Mizaan : Jild 6 : Safa 232, At-Tazyeel : Safa 223, Raqm No 600)
Yaani Wo Is Darje ka Raavi nahi ke Usse Riwayat Kiya Jaaye.
Scan Page : Lizaan Ul Mizaan
Scan Page : At-Tazyeel
4 – Ahmed Ibn Abi Yahiya Al Anmaati Rh. Kehte Hai Ke Wo Kazzab Hai. (At-Tazyeel : Safa 223, Raqm No 600)
Scan Page :
5 – Imam Ibn A’adi Farmaate Hai Ke Uski Zyaada Riwayate Nahi Hai. (Al Kaamil Li Ibn A’adi : Jild 6 : Safa 215, At-Tazyeel : Safa 223, Raqm No 600)
Yeh Alfaaz Ulama ke Nazdeek Jarah hai.
Scan Page :
6 – Imam Zehbi Rh. Ne Unko Al Mughni Fil Zuaafa Me Shumaar Karke Zaeef Qaraar Diya Hai. (Al Mughni : Jild 2 : Safa 76, Raqm No 4729)
Scan Page :
7 – Imam Ibn Qayyim Al Jawzi Rh. Ne Bhi Apni Kitaab Zuaafa Wal Matrookin Me Isko Shumaar Kiya Hai. (Zuaafa Wal Matrookin : Jild 2 : Safa 233, Raqm No 2601)
Lehaaza Yeh Raavi Imam Ibn Qayyim Rh. ke Nazdeek Zaeef wa Matrook hai.
Scan Page :
8 – Imam Ibn A’adi Rh. Ne Inko Apni Kaamil Fii Zuaafa Ar-Rijaal Me Zikr Kiya Hai. (Al Kaamil : Jild 6 : Safa 215, Raqm No 1287)
Maloom huwa ke Unke Nazdeek bhi Yeh Raavi Zaeef hai.
Scan Page :
9 – Isi Tarah Imam Zehbi Rh. Ne Apni Ek Aur Kitaab Dewaan E Zuaafa Wal Matrookin Me Isko Naql Karke Zaeef Aur Matrook Qaraar Diya Hai. (Dewaan E Zuaafa Wal Matrookin : Safa 307, Raqm No 3229)
Scan Page :
10 – Imam Taqiuddin Al Maqreezi Rh. Ne Bhi Mukhtasar Al Kaamil Fil Zuaafa Me Unko Zikr Karke Zaeef Qaraar Diya Hai.(Mukhtasar Al Kaamil : Raqm No 1287, Egypt Edition)
Scan Page :
11 – Imam Haismi Rh. ne bhi Unhe Zaeef hai. (Majmu az Zawaaid : Jild 3 : Safa 178)
Scan Page :
Algarz Yeh Riwayat Zaeef hai.
Aur Badi Ta-ajjud ki Baat hai Jis Jamaat ka dawa hai ke Hum Sirf Saheeh Hadeeso par Amal karte hai.
Dekhiye ! Wo Kis Tarah Apne Nazariye ko Saabit karne ke Liye Zaeef hadeeso se bhi Istedlaal Karte hai.
Yeh Mahez Dhokha aur Ta’assub hai.
Allah tala In Bimaariyo se Hume Mehfooz Rakhe…..Ameen.
Add comment