Very Important Complete SPEECH About Kazzab SHAKIL BIN HANIF

By:Maulana Khalid Saifullah Rahamni DB
(Al-Mahdul Aali Al-Islami Hyderabad)

at MAJLIS TAHAFFUZ E KHATME NUBUWWAT ANDHRA PARDESH & TELANGANA

 

Is video me Hazrat Maulana Khalid Saiffullah Rahmani DB ne Ulama se Fitne Shakeel Bin Hanif ke Baare me Khitaab kiya.

Khitaab ke Shuruaat me Maulana ne bataya ke Nabuwwat ka silsila to Khatm hogaya hai, lekin kaare Nabuwwat abhi bhi baaqi hai. Aur Buniyadi taur par in 3 Qism me munqasim hai

  1. Dawat e Deen
  2. Tehqeeq-e-Deen
  3. Hifazat-e-Deen

Phir Maulana ne in teeno baaton ko Quran o Hadees se samjhaya. Phir Ulama ki jo Zimmedari Fitne Shakeel ke mutalliq hai use tafseel se samjhaya.

Maulana Rahmani DB ne bataya ke Ulama Hifazat e Deen me kis tareeqe se kaam karsakte hain aur uski kya Ahmiyat hai.

Aakhir me Maulana ne us Mashhoor Aetraz ka jawab bhi diya jo bhot logon ki taraf se uthaya jata hai

FITNE KE RAD ME KAAM KARNE SE BATIL KO FAROGH MILTA HAI

Tafseel se Jawab dete hue Maulana ne Hazrat Siddiq-e-Akbar Razi Allahu anhu ke Zamane me jo Fitne uthe the jaise Musailma Kazzab ka Fitna, Zakat na dene walon ka Fitna waghaira aur usme Khalifa e Awwal RA ne kis tareekhe se Kaam kiya us ka hawala bhi diya.

Har Musalman ko Umooman aur Ulama ko Khusoosan Maulana ke ye Bayan Ghaur se Sunna Chahye aur is Fitne ke baare me Mutaharrik hona chahye.

——————-

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads