Jamhoor Ulama Fuqaha Muhaddisin ke Nazdeek Imam ke piche Qira’t nahi kerni chahiye
amhoor Ulama Fuqaha Muhaddisin ke Nazdeek Imam ke piche Qira’t nahi kerni chahiye Kyu ke iska huqm ALLAH aur Uske RASOOL ne diya hey.
…
Chunanche Imam Ibn Qudama Hanbali Rh Al Mutawaffa 620 Hij. Farmate hey ke Aur Jab Muqtadi Imam ki Qirat ko Sune to wo Naa to Al Humd Shareef (Surah Fatiha) Padhega aur Naahi uske Alawa kuch aur. Kyuke ALLAH ne Farmaya hey ke Jab Quran Padha Jaaye to Gaur se Suno aur Khamosh Raho Taake tum per Rahem kiya Jaaye [Surah Aa’raf-204]. Aur Dusri Wajah ye hey ke Hazrat Abu Huraira Rd Riwayat Kerte hey ke Nabi SAW ne Farmaya ke Mere Saath ye kya ho Raha hey? Mere Saath Quran e Karim me Jhagda kiya Jaa Raha hey Padhne me. To Abu Huraira Rd ne farmaya ke Log (Sahaba) Ruk Gaye Qirat Kerne me Jisme Nabi SAW Zorse (Quran) Padha kerte they. Khulasa e Qalam ye hey ke Jab Muqtadi Qirat Sun Raha hoga to Usper Qirat Wajib Nahi Hogi. Aur Naa Mustahab Hogi Humare Imam ke Nazdeek (Imam Ahmed Bin Hanble Rh) aur Aise hi Imam Zuhri Rh, Sufiyan Sauri Rh, Sufiyan Bin Uyayna Rh, Malik Rh, Ibn Mubarak Rh, Imam Abu Hanifa Aur Unke Ashaab (Muhammad aur Abu Yusuf) Rh, Imam Ishaq Rh, aur ye hi Imam Shafa’i Rh Ke do (2) Qaul mese Ek hey. Aur ye hi baat Saeed Bin Musaib Rh, Ibn Zubair Rh, Abu Salma Bin Abdur Rehman Rh, Saeed bin Zubair Rh, aur Salaf ki Ek Jamat isi ke Qayil hey. [Al-Mugni 2/259]
{1}
Aur Ye hi baat Mojuda Ahle Hadeeso (Victorian) ke Shaykh Ul Islam Ibn taymiya ne Bhi Kahi hey. Allama Ibn Taymiya Farmate hey ke Jo Hazraat Imam ke Piche Qir’at se Mana Kerte hey Wo Jahmoor Ulama hey aur unke Saath ALLAH ki Kitab aur Rasoolullah SAW ki Sahih Hadees hey. Aur Jin Logo ne Jehri Qirat ki Halat me bhi Imam ke Piche Surah Fatiha Padhne ko Wajib Karar Diya hey unki Hadeeso ko Muhaddisin ne Zaeef Karar Diya hey. [Fatawa Ibn Taymiya 22/340] {2}
In Dono Ibarato se chand Baatey Wazeh hoti hey.
…
1) Jamhoor Ke Nazdeek Imam ke Piche Fatiha Padhna Wajeeb Nahi.
…
2) Jin logo ne Jehri Namazo me Imam ke Piche Fatiha Padhne ko Wajib Karar diya hey unki Riwayato ko Muhaddisin ne Zaeef Kaha hey.
…
3) Imam ke Piche Qirat Naa Kerne Walo ke Saath ALLAH ka Farman aur Rasoolullah SAW ki Sahih Hadees hey.
….
4) Aslaaf ke Nazdeek Sureh Fatiha Qirat me Shameel hey Isi liye to Ibn Qudama aur Ibn Taymiya Rh dono ne Qirat se Muraad Fatiha bhi liya hey. Aur Fatiha Ko Qirat Kyu naa Kaha jaaye, Jab ke Nabi SAW Ki Qirat Fatiha Se Shuru hoti thi.
…
Chunanche Hazrat Aisha Rd Farmati hey Rasoolullah SAW, Hazrat Abu Bakr Siddiq Rd, Hazrat Umar Rd, Hazrat Usman Rd Qirat Alhumdulillahi Rabbil Aa’lamin (Sureh Fatiha) se Shuru Kerte (Ibn Maja, Hadees-812)
{3}
Aur Tirmizi Shareef H-216 per bhi ye hi Riwayat Hazrat Anas Rd se Milti hey. Aur Is Riwaayat ko Naql kerne ke Baad Imam Tirmizi Rh Farmate hey ke Ye Hadees HASAN SAHIH hey.
{4}
Lihaaza Sabit hua ke Alhumdulillah Imam Ke Piche Qira’t kerna Wajib nahi hey aur Naa Kerna Jamhoor ka Amal hey.
….
Min Jaanib~Zaid Shaikh (Real Salafi)
Tark-Qiraat Khalfal Imaam Ki Ek Mazboot Tareen Dalil
Muqtadi Per Surah Fatiha Waajib Na Hone Ki Takhsees Ki Daleel: (Jisey Rukoo’ Mil Gaya Usey Raka’t Mil Gayi)
1) ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻲ ﻫُﺮَﻳْﺮَﺓَ ، ﺃَﻥّ ﺭَﺳُﻮﻝَ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ﻗَﺎﻝَ : ” ﻣَﻦْ ﺃَﺩْﺭَﻙَ ﺭَﻛْﻌَﺔً ﻣِﻦَ ﺍﻟﺼَّﻠَﺎﺓِ ﻓَﻘَﺪْ ﺃَﺩْﺭَﻙَ ﺍﻟﺼَّﻠَﺎﺓَ ”
Tarjumah-”Abu Hurayrah(raziallahuta’ala anhu) se rivaayat hai ke Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) ne
farmaaya: “Jis ne Namaaz mese Rukoo’ Paa liya Us ne Namaaz Paali”
[Sahih Al-Bukhaari; Kitaab-Mawaaqeet As-Salaah; Raqam# 548;Sahih Muslim; Muatta Malik;Tirmizi; Nisaa’i; Ibn Maajah;Musnad Ahmed]
2) ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻲ ﺑَﻜْﺮَﺓَ ، ﺃَﻧَّﻪُ ﺍﻧْﺘَﻬَﻰ ﺇِﻟَﻰ ﺍﻟﻨَّﺒِﻲِّ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ﻭَﻫُﻮَ ﺭَﺍﻛِﻊٌ ، ﻓَﺮَﻛَﻊَ ﻗَﺒْﻞَ ﺃَﻥْ ﻳَﺼِﻞَ ﺇِﻟَﻰ ﺍﻟﺼَّﻒِّ ، ﻓَﺬَﻛَﺮَ ﺫَﻟِﻚَ ﻟِﻠﻨَّﺒِﻲِّ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ، ﻓَﻘَﺎﻝَ : ”ﺯَﺍﺩَﻙَ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﺣِﺮْﺻًﺎ ﻭَﻟَﺎ ﺗَﻌُﺪْ ”
Tarjumah-”Abu Bakrah (raziallahu
ta’ala anhu) (Masjid me pohnche) Jab ke Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) Rukoo’ me the, Ye dekh kar
Unhoney Saff se Qabl (pehle) hi Rukoo’ kar liya, Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) ko (ba’d Namaaz) Ye baat batlaayi gayi to Aap (sallallahu alaihi wa sallam) ne
farmaaya: Allah Tumhaari Neiki ki Hirs barhaaye magar phir aisa na karna (Ya’ni Saff me peeche na reh jaana balke Saff me aa kar shaamil hona)
[Sahih Al-Bukhaari, Kitaab:Al Azaan Raqam Al-Hadees-744]
Faaydah: Agar Muqtadi per Surah Faatihah WAAJIB hoti to Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) Abu Bakrah(raziallahu ta’ala anhu) ko
Namaaz ke Lautaane ka hukm dete magar aisa koi hukm nahi diya balke Saff se pehle hi Rukoo’ karne se mana’ farmaaya…
3) ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻲ ﻫُﺮَﻳْﺮَﺓَ ، ﺃَﻥَّ ﺭَﺳُﻮﻝَ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ، ﻗَﺎﻝَ : ” ﻣَﻦْ ﺃَﺩْﺭَﻙَ ﺭَﻛْﻌَﺔً ﻣِﻦَ ﺍﻟﺼَّﻼﺓِ ، ﻓَﻘَﺪْ ﺃَﺩْﺭَﻛَﻬَﺎ ﻗَﺒْﻞَ ﺃَﻥْ ﻳُﻘِﻴﻢَ ﺍﻹِﻣَﺎﻡُ ﺻُﻠْﺒَﻪُ ”
Tarjumah-”Abu Hurayrah(raziallahu ta’ala anhu) se rivaayat hai ke, Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaaya: “Jisne Namaz mese Rukoo’ Paa liya Tehqeeq Usne (Namaaz) Paa li isse pehle ke Imaam Apni Peeth Theek kar le”
[Sahih Ibn Khuzaymah; Kitaab: Al-
Imaamah Fis-Salaah; Raqam Al-Hadees# 1512]
Mazeid Rukoo’ me Qur’an parhna MAKROOH hai aur aisa karne per Koi Daleel bhi Qaayem nahi Lihaaza Baghair Surah Fatiha ke Raka’t Sahih shumaar hogi. Agar Koi Shakhs phir bhi Inkaar kare to goya
Wo Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) ki TAKZEEB kar raha hai….
Allah se dua hai ke Humei’n Deen ki Sahih Samajh ata kare…
Ameen…
Add comment