Fazail e Amaal par Waswasa (Shaykh Ibn ul Jalaah Rh. ke Waqiye par Ishkaal) ka Jawaab

 

Aiteraaz :
~~~
Isi Tarah Tausuf ur Rehman ne Fazaail e Amaal par aur Ek Aiteraaz karte huwe, Ulama e Deoband aur Maulana Zakarriya Sahaab Rh. par Be-wajah Aiteraaz kiya ke Unka Aqeeda hai ke Wali ullah Marte Nahi hai.
~~~
Al – Jawaab :
~~~
Tausuf ur Rehman ne Aadhi Ibaarat padhi hai, Puri Ibaarat Pard Leta, toh Maloom hojaata ke Yeh Waqiye Maulana Zakarriya Sahaab Rh. ne apni Taraf nahi Likha.
~~~
Algarz Puri Ibaarat Mulaaheza Farmaaye :
~~~
Shaykh Ibn Jalaah Rh. Farmaate hai ke Jab mere Waalid ka Inteqaal huwa aur unko Nahlaane ke liye Takhte par rakha, toh wo Hasne lage.
~~~
Nahlaane waale Chor-kar chal diye, kisi ki Himmat unko Nahlaane ki Na padi.Ek aur Bugurz unke Rafeeq aaye, Unhone  Ghusul diya.
~~~
Iske Fauraan baad Maulana Zakarriya Sahaab Rh. ne ‘RAUZ UR RIYAHEEN’ ka Hawaala diya hai.
~~~
Mazeed Aage Waazeh Taur par Likhte hai :
~~~
Gharz Sahaab e Rauz [Yaani Rauz ur riyaheen ke Musannif Imam Yafa’ii Rh.] ne Bahut se Waqiyaat un Marmito [Marmitne Waale ] ke Marne ke aise Likhe hai, Jinse unka Marne ke Waqt Marne ke baad Bash-shaash [Itminaan] hona, Hasna Mazaaq karna, Lutf Udaana Maloom hota hai.
~~~
Marne ke baad Kalaam karne ke Baad Waqiyaat Hafiz Ibn Abdul Barr Rh. ne ‘Al Istea’aab’ me zikr kiye hai.
~~~
Hazrat Zaid bin Khaarja Rdh. ke Tarjume me Likhte hai ke Isme [Marne ke baad Kalaam Karne me] Koi Ikhtelaaf NAHI hai, ke Unhone Marne ke baad Kalaam kiya aur isi Tarah Baaz Dusre Sahaba Rdh. se bhi yahi Naql kiya hai.
~~~
(Fazaail e Amaal : Jild 2 : Fazaail e Sadqaat : Safa 478)

Scan Page :

image

Naazireen ! Yeh thi puri Ibaarat Jisko Tausuf ur Rehman ne Chupaaya aur Nahi Padha.
~~~
aur Mazeed Hazrat Shaik ul hadees Rh. ne Waqiye Naql karne ke baad Imam Ibn Abdul barr Rh. ke Hawaale se bhi Baat ko Bilkul Waazeh kiya hai ke Isme koi Ikhtelaaf Nahi hai aur Aisa Amal Sahaba Rdh. se Manqool hai, Lekin Is Zaalim aur Dhoke baaz Shaks ne Usko bhi Padha, kyunke Agar wo Pardte toh Logo me koi Ishkaal Baaqi nahi rehta.
~~~
Mar Afsoos Aaj kal ke Ghair Muqallideen Apne Is Qiyaanat wa Dhoke baaz Khateeb ki Andhi Taqleed me Maulana Zakarriya Sahaab Rh. par Aiteraaz karte hai.
~~~
Allah Inko Aqal aur Samjh aata Farmaaye…..Ameen.
~~~
Jaisa ke Arz kiya gaya ke Maulana Zakarriya Sahaab Rh. ne Yeh Waqiye Apni Taraf se Nahi Likha, Balke Imam Yafa’ii Rh. [SIQA] ki Kitaab ‘Rauz ur Riyaaheen’ se Naql kiya hai.
~~~

Yeh Rauz ur Riyaaheen : Safa 170 Par maujood hai.

Scan Page :

image

Imam Yafa’ii Rh. Al Mutawaffa 768 Hij. ne Is Waqiye se bhi Istedlaal karte huwe Kehte hai ke ‘Allah Unse Raazi ho’. (Rauz ur Riyaaheen : Safa 170)

Scan Page : Red Lined Text.

image

Ab Ghair Muqallideen kuch Alfaaz Inke bare me Kehsakte hai ?
~~~
Aur Imam Yafa’ii Rh. se Pehle,
~~~
Imam Qushairi Rh. Al Mutawaffa 465 Hij. ne bhi Is waqiye se Istedlaal kiya hai aur uski Sanad bhi Bayaan Farmaayi hai :
~~~
Sanad :
~~~
Imam Qushairi Rh. — > Muhammed bin Abdullah Sufi Rh. — > Umar bin Yahiya  Rh. — > Ar-Raqi Rh. — > Shaykh Ibn ul Jalaah Rh.
~~~
(Ar Risaala Lil Qushairi : Safa 576)

Scan Page :

image

Dosto ! Sawaal toh yahi hai ke Ghair Muqallideen Is Waqiye ko Lekar Maulana Zakarriya sahaab Rh. par Aiteraaz kardiya hai, Lekin kya wo Ab Imam Yafa’ii Rh., aur Imam Qushairi Rh. par Aiteraaz Karsakte hai ?
~~~
Jabke Maulana Zakarriya Sahaab Rh. ne Yeh Waqiye Unhi se Naql kiya hai.
~~~
Wazaahat :
~~~
In Ibaarto me jo Alfaaz Aaye ke Hume Maut Nahi aati, aur Hum Sirf Ek Makaan se Dusre Makaan Muntaqil hote hai, Ya Yeh ke Tu Mara Nahi, Bas ek Makaan se Dusre Makaan me Muntaqil huwa hai.
~~~
Uske Matlab yeh hai ke Maut Bilkul Mitjaane waali, Fanaah ho Jaane waali nahi [Jaisa ke Baaz log Samjhte hai], Balke Maut ke yeh Ma’ane hai ke Ruh ka Lagaao  Badan se Alag hojaaye aur Un dono me Judaayi hojaaye aur ek makaan se Dusre makaan me Chali Jaaye.
~~~
Aur Yahi Baat Ikhtelaafe Lafzi ke saat
~~~
Imam Suyuti Rh. Al Mutawaffa 911 Hij. ne Sharh us Sudoor me
~~~
Imam Abu Abdullah al Qurtubi Rh. Al Mutawaffa 671 Hij. ne Tafseer e Qurtubi me
~~~
Imam Ibn ul qayyim Rh. Al Mutawaffa 751 Hij. ne Kitaab ur Rooh me
~~~
Imam Aaini rh. Al Mutawaffa 855 Hij. ne Umdatul Qaari me
~~~
Imam Abu bakr Ibn ul Arabi Rh. Al Mutawaffa 543 Hij. ne Ahkaam ul Quraan me
~~~
Imam Abul Fazl Iraaqi Rh. Al Mutawaffa 806 Hij. ne Tarh ut Tasreeb me
~~~
Allama Muhammed bin Yusuf Saleeh Rh. Al Mutawaffa 942 Hij. ne Subul ul Huda me
~~~
Imam Suyuti Rh. ne Apni 2 aur Kitaabo Bushral Ka-eeb Bi-Liqaail Habeeb aur Al Haawi Lil Fataawa Lis Suyuti me
~~~
Allama Shamsuddin Abul Aaun Muhammed bin Ahmed Saalim Rh. Al Mutawaffa 1188 Hij. ne Lamee ul Anwar me
~~~
Allama Abul Fidaa Ismaail bin Mustafa Al Khaluti Rh. Al Mutawaffa 1127 Hij. ne Rooh ul Bayaan me yahi Baat Irshaad Farmaayi hai.
~~~
(Sharh us Sudoor : Safa 14)
~~~
(Tafseer e Qurtubi : Jild 9 : Safa 466)
~~~
(Kitaab ur Ruh : Safa 36)
~~~
(Umdatul Qaari : Jild 12 : Safa 251)
~~~
(Ahkaam ul Quraan : Jild 2 : Safa 384)
~~~
(Tarhut Tasreeb : Jild 3 : Safa 307)
~~~
(Bushral Ka-eeb : Safa 18)
~~~
(Al Haawi Lis Suyuti : Jild 2 : Safa 149)
~~~
(Lamee ul Anwar : Jild 2 : Safa 39)
~~~
(Rooh ul Bayaan : Jild 3 : Safa 46 )
~~~
Scan Page : Sharh us Sudoor

image

Scan Page : Tafseer e Qurtubi

image

Scan Page : Kitaab ur Ruh

image

Scan Page : Umdatul Qaari

image

Scan Page : Ahkaam ul Quraan

image

Scan Page : Tarhut Tasreeb

image

Scan Page : Bushral Ka-eeb

image

Scan Page : Al Haawi Lis Suyuti

image

Scan Page : Rooh ul Bayaan

image

Aur Yahi Baat Imam Ahmed bin Ibrahim al Qurtubi Rh. Al Mutawaffa 656 Hij. ne bhi Farmaayi hai. (At-Tazkirah Lil Qurtubi : 112)

Scan Page :

image

Toh Maloom huwa ke Jo Log Hazraat Maut ka Ma’ana yeh samjhte hai ke Insaan Fanaah hojaayega, Bilkul Ghalat aur Ilm se Doori ka Saboot dete hai.
~~~
Mazeed Hazrat Bilaal bin Sa’ad Rh. [Jo ke Taba-in hai aur Anas Rdh., Uqba bin Aamir Rdh., Sahel bin Sa’ad Rdh. wagaira ke Shaagird hai] aur
~~~
Hazrat Umar bin Abdul Aziz Rh. Al Mutawaffa 101 Hij. Farmaate hai : Aye Logo Tum Fanaa hojaane ke liye paida Nahi kiye gaye ho, Balke Tum Hamesha Rehne Ke Liye Paida Kiye Gaye Ho Aur Tum Ek Makaan Se Dusre Makaan Me Jaoge.
~~~
(Sharh us Sudoor : Safa 14)

Scan Page :

image

Ab Raha yeh sawaal ke Maut Agar Auliya Marte Nahi, Toh Maiyyat Kyun Kehte ho, Toh Jawaab Arz hai ke Allah tala ne Khud Quraan e Kareem me Farmaaya :
~~
Jo Log Khuda ke Raaste me Maaregaye, Unko Murda na Samjho, Balke wo Allah ke Nazdeek Zinda hai……(Sureh Al Imraan : 169)
~~~
Ab Sawaal yahi hai ke Jo Log Inteqaal Kargaye, Toh Unko Allah tala Zinda Kaise Keh rahe hai ?
~~~
Ab Iska Jo Jawaab Aap Denge, Wahi Hamaara Jawaab Is Waqiye ke Mutalliq Hoga.
~~~
Sawaal wahi hai ke Kya Ghair Muqallideen Jo Aiteraaz Maulana Zakarriya Sahaab Rh. par Liya hai, Wahi Aiteraaz In Muhaddiseen par bhi Karsakte hai ?
~~~
Pas, Allah tala Haq wa Sach Samjhne ki Taufeeq Aata Farmaaye…..Ameen.
~~~~

Add comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meks Ads